Sunday, February 12, 2017

KHULLA KI IDDAT KA SAHI TARIQA

Sawal:

KHULLA KI IDDATKA SAHI TARIQA

Jawab:

Iddat ke dauran, zarurat ke tahat ghar se nikalne ki rukhsat hai lekin raat ghar aa kar basar karna zaruri hai.


*Khulla ki iddat ka sahi tareeqa?*

Haiz se paak hone ke baad, halat-e-tohar mein Aurat khula ka mutaliba karegi.

Khula ki iddat sirf ek haiz hai.

Yani haiz se paak hone, halat-e-tohar mein khula ka mutaliba karne ke baad aurat agla haiz ane tak apne shohar ke ghar ruki rahegi, is darmiyan, miyan biwi dono ko ikhtiyar hoga ruju karne ka, khas taur par biwi ko.

Agar iss muddat mein dono ruju nahi karte hain,

Aur haiz aa jaata hai to us aurat ki khula ki iddat mukammal ho jati hai, ab wo aurat aazad hai,

jiss se chahe nikah kare.

Iss ke ye dalail hain

*Dauran-e-Iddat shohar ke ghar par rahegi:*

أَسْكِنُوهُنَّ مِنْ حَيْثُ سَكَنْتُمْ مِنْ وُجْدِكُمْ وَلَا تُضَارُّوهُنَّ لِتُضَيِّقُوا عَلَيْهِنَّ وَإِنْ كُنَّ أُولَاتِ حَمْلٍ فَأَنْفِقُوا عَلَيْهِنَّ حَتَّى يَضَعْنَ حَمْلَهُنَّ فَإِنْ أَرْضَعْنَ لَكُمْ فَآتُوهُنَّ أُجُورَهُنَّ وَأْتَمِرُوا بَيْنَكُمْ بِمَعْرُوفٍ وَإِنْ تَعَاسَرْتُمْ فَسَتُرْضِعُ لَهُ أُخْرَى

*(سورة الطلاق-6)*

65.06 Tum apni taqat kay mutabiq jahan tum rehtay ho wahan inn (iddat wali) aurton ko rakho aur enhen tang kerney kay liye takleef na phonchao

Aur agar woh hamal say hon to jab tak bacha peda ho lay enhen kharach detay raha kero phir agar tumharay kehney say wohi doodh pilayen to tum enehn inn ki ujrat dey do

aur ba-hum munasib tor per mashwara ker liya kero aur agar tum aapas mein kash-ma-kash kero to iss kay kehney say koi aur doodh pilaye gi. *(Surah Tallaq-6)*

Iss *aayat mein ye tukada bada aham hai, aur yehi daleel bhi hai.*

“Tum apni taqat kay mutabiq jahan tum rehtay ho wahan inn (iddat wali) aurton ko rakho.”

Issi tarah Nabi-e-kareem sallAllahu Alaihi wasallam ne Faree’a bint Malik bin Sanan (jo ke Abu sa’eed Khudari r.a. ki behan hain) se faramaya,

امكثي في بيتك حتى يبلغ الكتاب أجله

Apne ghar mein (yani shohar ke ghar mein) thehri raho hatta ke iddat poori ho jaye.

*(Abu Daud-2300 )*

Khula wali aurat ki iddat ek haiz hai, daleel

عن الربيع بنت معوذ ابن عفراء، أنها اختلعت على عهد النبي صلى الله عليه وسلم «فأمرها النبي صلى الله عليه وسلم، أو أمرت أن تعتد بحيضة»

*(سنن الترمذي – 1185)*

Hazrat Rabe’e bint Muawwiz Bin Afrah se riwayat hai ke unhaun ne nabi akram sallAllahu Alaihi wasallam ke zamane mein apne shohar se KHULA liya to nabi sallAllahu Alaihi wasallam ne unhein hukum diya keh wo ek haiz ki iddat guzar lein. *(Sunan tirmizi – 1185)*

Khula hasil karne wali aurat, agar wo gair madhkhula ho to uss ki ko iddat nahi hai.

Iss ki daleel ye ayat


{يا أيها الذين آمنوا إذا نكحتم المؤمنات ثم طلقتموهن من قبل أن تمسوهن فما لكم عليهن من عدة تعتدونها فمتعوهن وسرحوهن سراحا *جميلا} [الأحزاب : 49]*

Aye imaan walo jab tum momina aurataun se nikah karo phir unhein haat lagane se pehle tallaq do tumhare liye unn par koi iddat nahee jiss ko tum iddat shumar karo, kuch maal do aur bhale tareeqe se unhein rukhsat kar do. *(Surah Ahzaab – 49)*

*Dauran-e-Iddat ?*

1. Aurat dusra nikah nahee kar sakti.

2. Aurat apne shohar ka ghar chore kar na jaye.

3. Ashadd zarurat ke tahat ghar se nikalne ki rukhsat hai lekin raat ghar aa kar basar karna zaruri hai.

****----------********--------*****

FOLLOW US ON https://chat.whatsapp.com/9Zjcdsa8AzKKQX7StLPwTX

No comments:

Post a Comment