Friday, February 10, 2017

TAYEF KA SAFAR

Assalamu Alaikum warahmatullahi wabarakatuhu

BISMILLAH

TAYEF KA SAFAR

PART - 1

ALLAH KE RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM Ne tayef Ka Irada Kiya Ki mumkin he Waha'n Ke Log Aap ki Dawat ko Qubool Kar Ley, Ya Aap Ko Panah Dey or Aapki Madad Kare,

akhirkar Aap Tayef K Liye Paidal Chal Pade, Aap K Saath Aap k Aazad Kiye Gaye Ghulaam Hazrat Zaid Bin Harisa thay, Raste Mein Jis Qabeele Se Guzar Hota usey Islam Ki Dawat Dete, is tarah tayef Pahunche or Qabeela Saqeef K teen Sardaro Se Jo Aapas Mein Bhai thay Mile, Unhe Islam Ki Dawat Dee Aur Islam Ke Prachar-Prasar Mein Samarthan Chaha, Lekin Unhone Use Qubool Na Kiya, Balki Bahut Bura Jawab Diya, Aap Unhe Chhodh Kar Dusro Se Mile Aur Unhe Bhi Islam Laane Aur Apni himayet or madad Ki dawat Di, Is maqsad Ke Liye Ek-Ek Sardaar Ke Paas Gaye, Har Ek Se Baat Cheet Ki Aur Ish Kaam Mein 10 Din Laga Diye, Lekin Kisi Ne Aap ki baat Na Maani, Balki Yeh Kaha Ki Humare Shaher Se Nikal Jao Aur Apne Bachcho, Badmasho Aur Gulamo Ko Aap Ke Peeche Laga Diya,

Jab Aap Wapas Ho Rahe The To Unhone Aap ke Dono Or khade hokar Galiyaa Deni Aur Badzubani Karni Shuru Kar Di, Fhir Patthar Barsane Lage, Jis Se Aap Ki Edi Aur Paauw Jakhmi Ho Gaye, Joote Khoon Se Bheeg Gaye, Hazrat Zaid bin harisa Jo Aap Ko Bacha Rahe The Un Ke Sir Par Kai Zakhm Aaye,

Moorkhta Ka Yeh Silsila Yahan Tak Jari Raha Ki Aap ko Utba Aur Shaiba Bin Rabeeaa ke Ek Baagh Mein Panah Leni Padi, Yeh Baagh Tayef Se Teen Meel Ki Duri Par Isthit Tha,

Jab Aap Ush Baagh Mein Dakhil (Pravesh) Kar Gaye Toh Bheed Wapas Chali Gayi

Baagh Ke Andar Aap Ek Diwar Se Tek Lagakar Angoor Ki Ek Bel Ke Saaye Mein Baith Gaye, Jo Kuchh Ghatit Hua tha Ush Se Aap Ke Dil Ko Bahut Chot Lagi Thi,

akhir kaar Aap Ne Ek Dard Angez Dua Farmayi : Jo Duaye Mustaz'afeen Ke Naam Se Mashhoor Hain, Jis Ka Tarjuma Yeh Hain :

YA ALLAH !
MAIN TUJH HEE SE APNI KAMZORI AUR BEBASI AUR LOGO'N KE NAZDEEK APNI BEQADRI KI SHIKAYAT KARTA HUN, YA ARHAMAR'RAHIMEEN ! TUU KAMZORO KA RAB HAIN AUR TUU HEE MERA BHI RAB HAIN, TUU MUJHE KIS KE HAWALE KAR KAR RAHA HAIN ?

KYA KISI BEGANE KE JO MERE SAATH SAKHTI SE PESH AAYE, YA KISI DUSHMAN KE JIS KO TUUNE MERE MAMLE KA MALIK BANA DIYA HAIN ? YADI MUJH PAR TERA GAZAB NAHI HAIN TOH KOI PARWAH NAHI, LEKIN TERI AAFIYAT MERE LIYE ZIYADA BEHTAR HAIN, MAIN TERE CHEHRE KE USH NOOR KI PANAH CHAHTA HUN JISSE TAARIKIYAA (ANDHERA) RAUSHAN HO GAYI AUR JIS PAR DUNIYA AUR AAKHIRAT KE MAMLE SAHI HUYE KI TUU MUJH PAR APNA GAZAB NAZIL KARE, YA TERA KRODH MUJH PAR AAYE, TERI TAREEF (PRASANNATA) CHAHIYE YAHAN TAK KI TUU KHUSH HO JAYE AUR TERE BINA KOI ZOR AUR TAQAT NAHI

Idhar Aap Ko Rabeeya Ke Beton Ne Is Halat Mein Dekha To In Dono Ko Taras Aa Gaya, Apne ek Isaayi Ghulam Adaas Ke Haath Angoor Ka Ek Guchchha Bhej Diya, Aap Ne BISMILLAH Keh Kar Haath Badhaya Aur Khaya,

Ish Par Adaas Ne Kaha, Is ilaqey K Log Toh Yeh Kalima Nahi Padhte

Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya : Tum Kis ilaqey Se Ho Aur Tumhara Deen Kya Hain ? Adaas Ne Kaha : Nasrani Hun Aur Nainva Ka bashinda hun

Aap Ne Farmaya : Nek Aadmi Younus Bin Matta ki Basti Ke

Usne Kaha : Aap Ko Kya Maloom Ki Younus Bin Matta Kaun Hain ?

Aap Ne Farmaya : Wah Mere Bhai Hain, Wah Bhi Nabi The Aur Main Bhi Nabi Hun, Aur Qur'an Majeed Se Ush Par Younus Bin matta Ki Ghatna Ke Bare Mein Tilawat Farmayi

Kaha Jata Hain Ki Ise Sun Kar Adaas Musalmaan Ho Gaya

Book : Nabuwwat ki kirne Page:128 Arraheequl Makhtoom Page :180
-------------------------------------

*Tayef ka safar or Makka ki wapasi*

UsKe Baad ALLAH Ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Baagh Se Nikle or Makka K Raste Par Aage Badhe,

Aap Dukho'n Se Toote Huye thay,

Kuchh Door Chale to Ek Baadal Ne Saya Kiya Jis Mein Hazrat Jibreel Alaihissalam The Aur Unke Saath Pahaado Ka Farishta Tha,

Aap Ne Sir Uthaya To Hazrat Jibreel Alaihissalam Ne Aap Ko Pukara or Kaha Ki ALLAH Ne Aap Ke Paas Pahado'n Ka Farishta Bheja Hain, Aap Ise Jo Chahe Hukm Ddey,

Iske Baad Pahado Ke Farishte Ne Salam Kiya or Kaha : Aye Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Baat Yahi Hain,

Ab Aap Jo Chahe, agar Chahe to Main Unhe 2 Pahado K Beech Kuchal Dun, Yahan Do Pahado K Liye Akhshabain lafz Ka istemal Hua he, Jo Makka Ke Do Pahaad Abu Kobais or UsKe Samne Wale Par Bola Jata he,

Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya : Balki ummid he Ki ALLAH Jo Badi Izzat Aur Shaan Wala he,

UnKi auladon Mein Se Aisi Nasal Paida karega Jo sirf Ek ALLAH Ki Ibadat Karegi Aur Uske Saath kisi ko Bhagidaar Na Thehraye gi

Yeh Madad Aayi to ALLAH K Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Se Dukhon K Baadal Chhant Gaye,

Aap Makka K Raaste Mein or Aage Badhe,

Nakhla Mein Jakar Ruke or Wahan Kuchh Din Thehrey,

Isi Beech ALLAH ne Aap ke Paas Jinno Ki Ek jamat Bheji, us waqt Aap Apne Saathiyon Ke Saath Fajr Ki Namaz Padh Rahe The, us jamat Ne Quran Suna,

Jab Quran Ki Tilawat Khatm Ho Gayi to Yeh Apni Qaum K Paas ALLAH K Azaab Se Daraane Wale Ban Kar Wapas Huye,

Kyonki Jinno Ki Yeh jamat Imaan La Chuki Thi,

Lekin ALLAH K Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ko iske Bare Mein Kuchh Bhi Pata Na Chala, Yahan tak Ki is Silsile Mein Quran Nazil Hua, Kuchh Ayate Surah Ahqaaf Ki Aur Kuchh Ayate Surah Jinn Ki

Kuchh Dino K Baad ALLAH k Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Nakhla Se Nikal Kar Makka Rawana Huye, Aap sallallahu alaihi wa sallam Ko ALLAH Ki Taraf Se (islam k) Vistaar or Failaaw Ki ummidein Bhi thi or Quraish Ki Taraf Se Shar or Pakad Ka andesha Bhi tha,

Isliye Aap sallallahu alaihi wa sallm Ne Ehtiyat Se Kaam Liya, islye Makka K Qareeb Pahunch Kar Hira (pahaad) Mein thehar Gaye or Akhnas Bin Shoraik K Paas Ek Aadmi Bheja Ki Wah AapKo Panah De Dey, Lekin Usne Mafi Chahi Ki Wah Un Ka Saathi Hain or Saathi Panah Nahi De Sakta,

Fhir Aap Ne Suhail Bin Amar K Paas Sandesh Bheja, Magar Usne Bhi Yeh Keh kar taal Diya Ki usKa ta'alluq Banu Aamir Bin Loi Se Hain or UsKi Panah Banu Kaab Bin Loi Par Lagu Nahi Hoti,

Ab Aap Ne Mutaim Bin Adi Ke Paas paigham Bheja, Mutaeem K Dada Nofal Bin Abde Manaf Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam K Pardada Hashim Bin Abde Manaf Ke Bhai thay or Abd Manaf Quraish K Qabeelo Mein Sab se unchi Shaakh Thi,

akhirkaar Mutaeem Ne Jawab Mein Haa Kahi or Khud Usne or Uske Beto'n Ne Hathiyaro Se Lais Hokar ALLAH K Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Bulwa Bheja, Aap Aye Aur Masjid Haram Mein Dakhil Hokar Pehle Ka'aba Ka Tawaf Kiya or Do Raka'at Namaz Padhi,

Fhir Apne Ghar Gaye,

Is Beech Mutaeem Bin Adi or UsKi Aulaad Ne Hathiyaro Se Lais Hokar Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Apne Ghere Mein Liye Rakha or Mutaeem Ne Quraish Mein Elaan Kiya Ki usne Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Panah Dey Rakhi Hain Aur Quraish Ne UsKi is Panaah Ko Qubool Kar Liya |

*{Book : Nabuwwat ki Kirne Page:130-132, Arraheequl Makhtoom Paeg:180-185}*

****---------**********--------****

*FOLLOW US ON : whatsapp Male Grp*

https://chat.whatsapp.com/2jMn4CMz7XVFTI1oGz8VNr

*FOLLOW US ON: Telegram Grp*

t.me/akhiratkiitayari

*FOLLOW US ON: Blogspot*

http://akhiratkitayari.blogspot.sg

*FOLLOW US ON: Facebook Page*

https://www.facebook.com/akhiratkitayari/

No comments:

Post a Comment