MEHAR ADA KARNA WAJIB HAI:
———————————————
Mehar Ada Karna Wajib Hai. Khawah Lohay Ki Anghuthi Ya Qur’aan Sikhana Hi Kyu Na Ho.
المغنی 10/98
(Sahi Abu Da’wud, Hadees: 1865)
(Abu Da’wud, Hadees: 2125)
Is Kai Dala’il Hasb-e Zail Hain:
{1} “ Aur Auraton Ko Un Kai Mehar Razi Khushi Dedo.”
(Al Qur’aan Surat An-Nisa: 4)
{2} “Jin Auraton Se Tum (Sha’ree Nikah Kai Baad) Faidah Uthao Inhain In Ka Muqarrara Mehar Ada Karo.”
(Al Qur’aan Surat An-Nisa: 24)
{3} “In Auraton (Jo Kafir Shauharon Ko Chod Kar Aagayi) Ko In Kai Mehar Dekar Un Se Nikah Kar Lenay Me Tum Par Koi Gunah Nahe.”
(Al Qur’aan Surat Al-Mumtahina: 10)
{4} “Haq Mehar (Khawah Khazana Ho Is) Me Se Kuch Wapas Na Lo.”
(Al Qur’aan Surat An-Nisa: 20)
(5) Sheikh Saleh Bin Fawzan Se Mehar Kai Hukum Kai Muta’alliq Daryaft Kiya Gaya To In Ka Jawab Tha:
Nikah Me Mehar Wajib Hai Aur Ye Aurat Ka Haq Hai.
…(Sheikh Saleh Fawzan)…
Deen-e Islam Me Mehar Biwi Ka Khosusi Haq Hai Jo Sirf Aur Sirf Biwi Hasil Karegi.
MEHAR KO BOHUT ZYADA BADHA DENA MAKRUH HAI:
———————————————
Hazrat Uqbah Bin Amir (R.A) Se Marvi Hai Ki Rasoolullah (S.A.W) Ne Farmaya:
“Behtareen Haq Mehar Wo Hai Jisay Ada Karna Intihayi Aasaan Ho.”
(Sahi Abu Da’wud, Hadees: 1859)
(Abu Da’wud, Hadees: 2117)
Hazrat Umar (R.A) Ne Farmaya “Auraton Ka Mehar Bohut Zyada Qeemti Mat Karo Kyunki Ye Agar Duniya Me Izzat Aur Allah Kai Haan Taqwa Ka Baa’is Hota To Allah Kai Nabi (S.A.W) Is Kai Tum Me Sab Se Zyada Mustahaq Hotay.”
(Abu Da’wud, Hadees: 2106)
(Tirmizi, Hadees: 1114)
IBN QUDAMAH (RAHIMAHULLAH):
Behtar Ye Ki Mehar Bohut Zyada Qeemti Na Ho.
المغنی 10/101
Sahi Baat Ye Hai Ki Hasb-e Tawfeeq Zyada Mehar Denay Me Bhi Koi Harj Nahe Jaisa Ki Qur’aan Me Hai:
“Haq Mehar (Khawah Khazana Ho Is) Me Se Kuch Wapas Na Lo.”
(Al Qur’aan Surat An-Nisa: 20)
Aur Hadees Me Hai Ki:
“Najashi Shah-e Habsha Ne Hazrat Umm-e Habiba (R.A) Ko Nabi (S.A.W) Ki Taraf Se Char Hazaar (4000) Dirham Mehar Diya Aur Aap (S.A.W) Ne Isay Qabool Bhi Farmaya.”
(Sahi Abu Da’wud, Hadees: 1853)
(Abu Da’wud, Hadees: 2107)
KYA MEHAR KI KOI HAD MU’AYYAN HAI?
———————————————
Aurat Kai Mehar Kai Liya Koi Had Mu’ayyan (Fixed) Nahe, Lihaza Har Wo Cheez Jis Ka Mard Maalik Ho, Isay Aurat Ka Mehar Muqarrar Karna Ja’iz Hai Khawah Wo Kam Miqdaar Me Ho Ya Zyada Aur Hazrat Abu Hurairah (R.A.) Ki Jis Hadees Me Hai Ki Rasoolullah (S.A.W) Ne Farmaya:
“Sab Se Zyada Barqat Wala Nikah Wo Hai Jis Me Kharich Kam Ho.”
Is Maa’na Ki Eak Aur Riwayat Kai Alfaaz Yun Hain:
“Behtareen Nikah Wo Hai Jo (Mehar Kai Lihaaz Se) Aasaan Ho.”
(Musnad Ahmad: 6/82-145)
(Sahi Abu Da’wud, Hadees: 1859)
(Abu Da’wud, Hadees: 2117)
Is Se Mehar Ko Aasaan (Yaani Kam) Karnay Ki Targib Dilana Maqsud Hai.
…(Saudi Fatwa Committee)…
MEHAR KO BOHUT ZYADA BADHA CHADHA KAR MUQARRAR KARNA:
———————————————
Ye Mamla Israaf Kai Ilawa Aur Kuch Nahe. Mehar Me Ye Masnoon Hai Ki Wo Thoda Ho Kyunki Nabi-e Kareem (S.A.W) Ka Mehar Apni Biwiyon Kai Liye Paanch Sou (500) Dirham Tha.
(Muslim, Hadees: 1426)
Aur Jab Bhi Mehar Kam Hoga Nikah Me Barkat Aur Zaujain (Miya Biwi) Kai Darmiyan Mohabbat Zyada Hogi Aur Sab Se Zyada Barkat Wala Nikah Wo Hai Jis Me Kharich Kam Ho.
Aur Jab Mehar Zyada Hoga To Ye Bohut Se Mafasid (Evils) Ka Zariya Banega Masalan Is Se Jawan Ladkon Aur Ladkiyon Ki Shadi Mu’attal Ho Kar Reh Jayegi Kyunki Har Eak Me Zyada Mehar Ada Karnay Ki Taqat Nahe Hoti. Aur Agar Mehar Kam Honay Ki Wajah Se Sab Kai Liye Aasaan Hoga To Mafasid Khatam Ho Jayenge, Shadiyan Kasrat Se Hongi, Ummat Kai Afraad Me Kasrat Hogi Aur Is Tarah Afraad Aur Mu’ashray Me Bohut Zyada Barkat Ho Jayegi.
Lihaza Meri Apnay Bhaiyon Ko Ye Nasihat Hai Ki Mehar Ko Kam Se Kam Muqarrar Karen. Hadees Me Hai Ki Nabi-e Kareem (S.A.W) Ne Is Aurat Kai Liye ‘Ki Jis Ne Apnay Nafs Ko Aap (S.A.W) Kai Liye Hiba Kar Diya Tha Magar Aap (S.A.W) Ne Is Me Ragbat Ka Izhaar Nahe Kiya Tha’ Eak Sahabi Ko Kaha Ki Jao Talaash Karo Agar Eak Lohay Ki Anghuthi Hi Mil Jaye (Isay Bataur-e Mehar Denay Kai Liye) Lay Aao.
(Bukhari, Hadees: 5126)
(Muslim, Hadees: 1425)
Lihaza Khair Wa Barkat Kam Mehar Me Hi Hai. Allah Ta’ala Hi Tawfeeq Denay Wala Hai.
…(Sheikh Ibn Usemeen)…
KYA BIWI SHAUHAR KO MEHAR MAAF KAR SAKTI HAI?
———————————————
Biwi Par Koi Gunah Nahe Ki Wo Apna Haq Mehar Maaf Karde, Is Ki Daleel Mandarja Zail Aayat Hai:
“Agar Wo Khud Apni Khushi Se Kuch Mehar Chod Den To Usay Shooq Se Khush Ho Kar Khalo.”
(Al Qur’aan Surat An-Nisa: 4)
KYA MEHAR KI AADAIGI ME TAKHEER DURUST HAI?
———————————————
Kisi Maslahat Kai Tahat (Mukammal Ya) Mehar Kai Kuch Hissay Ki Aadaigi Me Takheer Bhi Ja’iz Hai Khawah Is Ki Miqdaar Kam Ho Ya Zyada Aur Koi Muddat Muta’ayyan Karna Bhi Ja’iz Hai Jis Kai Andar Andar Shauhar Biwi Ko Mehar Ada Karde Aur Agar Koi Muddat Muta’ayyan Na Ki Jaye To Talaaq Ya Shauhar Ki Wafaat Kai Waqt Aurat Kai Liye Mehar Ki Aadaigi Lazim Ho Jayegi.
…(Sheikh Ibn Jibreen)…
Sheikh Ibn Usemeen, Sheikh Ibn Baaz Aur Sheikh Saleh Bin Fawzan (Rahimahullah Alaihim) Ne Bhi Isi Kai Mutabiq Fatwa Diya Hai.
No comments:
Post a Comment