Monday, February 6, 2017

TAYAMMUM KA BAYAN



BISMILLAH

TAYAMMUM KA MAA’NA AUR ZARURAT:
———————————————
Paani Na Milnay Ki Sorat Me Taharat Ki Niyat Se Pak Mitti Ka Qasad Kar Kai Hathon Aur Chehray Par Malna Tayammum Kehlata Hai.

Paani Na Milnay Ki Kahi Soratain Hain Masalan Musafir Ko Safar Me Paani Na Milna Ya Paani Kai Maqam Tak Pahunchnay Par Namaz Kai Fout Ho Janay Ka Khatra Ho Ya Wazu Karnay Se Mareez Ko Marz Me Zyadati Ka Khauf Ho Ya Paani Hasil Karnay Me Jaan Ka Darr Ho. Masalan Ghar Me Paani Nahe Hai Bahar Curfew Nafiz Hai Ya Paani Lanay Me Kisi Dushman Ya Darinday Se Jaan Ka Andesha Ho To Aesi Sorat Me Ham Tayammum Kar Saktay Hain.

Muhtalim, Haiza Aur Nifas Se Farigh Honay Waali Auratain Bhi Ba’waqti Zarurat Tayammum Kar Kai Namaz Padh Saktay Hain. Is Liye Ki Tayammum Uzr Ki Halat Me Wazu Aur Ghusl Dono Ka Qayim Maqam Hai.

Rasoolullah (S.A.W) Ne Farmaya:
“Pak Mitti Musalman Ka Wazu Hai Agarchi Dus (10) Baras Paani Na Paye.”
(Abu Da’wud, Hadees: 332, 333)
(Tirmizi, Hadees: 124)

TAYAMMUM KA TARIKA:
———————————————
{1} Dono Hath Eak (1) Martaba Pak Mitti Par Mar Kar In Me Phonkna Chahiye.
{2} Phir Dono Hath Chehray Par Phairnay Chahiye.
{3} Phir Dono Hath Eak Dusray Par Phair Lenay Chahiye.
(Tayammum Khatam Hua)

Hazrat Ammar Bin Yasir (R.A) Riyawat Kartay Hain Ki Eak Shakhs Hazrat Umar (R.A) Kai Pas Aaya Aur Kehnay Laga Ki Me Janbi Ho Gaya Aur Mujhay Paani Na Mil Saka. Hazrat Ammar (R.A) Ne Hazrat Umar (R.A) Se Kaha Ki Aap Ko Yaad Hoga Ki Me Aur Aap Safar Me Thay (Ham Dono Janbi) Ho Gaye) Aap Ne To Namaz Ada Na Ki Lekin Me Mitti Me Late Gaya Aur Namaz Ada Karli Phir Me Ne Is Waqaa Ka Zikr Nabi (S.A.W) Se Kiya Aap (S.A.W) Ne Farmaya:
“Tumhain To Sirf Is Tarah Karna Hi Kafi Tha”
Chinachi Nabi (S.A.W) Ne Apni Dono Hatheliyon Ko Zameen Par Mara Aur In Me Phonka “Phir In Dono Ko Apnay Chehray Aur Hatheliyon Par Phair Liye.”
Aur Sahi Muslim Me Ye Lafz Hain “Tujhay Sirf Itna Hi Kafi Tha Ki Tu Apni Dono Hatheliyan Zameen Par Marta Phir In Me Phonkta Is Kai Baad In Kai Sath Apnay Chehray Aur Apni Hatheliyon Ka Masah Karta.”
(Bukhari, Hadees: 338)
(Muslim, Hadees: 368)
(Abu Da’wud, Hadees: 322)
(Tirmizi, Hadees: 44)
(Ibn Khuzaymah, Hadees: 268)

Hazrat Ammar Bin Yasir (R.A) Se Marvi Hai Ki Me Ne Nabi (S.A.W) Se Tayammum Kai Muta’alliq Sawal Kiya To “Aap (S.A.W) Ne Mujhay Chehray Aur Dono Hathon Kai Liye (Zameen Par) Eak Martaba Hath Marnay Ka Hukum Diya.”
(Sahi Abu Da’wud, Hadees: 318)
(Abu Da’wud, Hadees: 327)

Yahan Ye Yaad Rahay Ki Jis Hadees Me Chehray Kai Liye Alag Aur Hathon Kai Liye Alag Zameen Par Hath Marnay Ka Zikr Hai Wo Za’eef Hai.

Jamhoor Ulama, Nawawi, Shokani, Abdur Rahman Mubarak Puri, Nawab Sideeq Hassan Khan (Rahimahullah Alaihim):
In Tamam Buzarg Ulama Ki Raai Yahi Hai Ki Tayammum, Chehray Aur Dono Hathon Kai Liye Eak Hi Martaba Zameen Par Hath Marnay Ka Naam Hai.
فتح الباری 1/606
نیل الاوطار 1/389، 1/390
المجموع 2/210
تحفة الاحوذی 1/470
الروضة الندیة 1/181

TAYAMMUM KAI LIYE ZAMEEN KA INTIKHAAB KARNA:
———————————————
Irshad-e Bari Ta’ala Hai Ki:
“Pakeeza Mitti Se Tayammum Karo.”
(Al Qur’aan Surat Al-Maeda: 6)

Qur’aan Me Jo Tayammum Kai Liye “SA’EID” Ka Zikr Hai Is Se Muraad Zameen Ka Balaa-e Wa Wasti Hissa Hai Lihaza Har Us Cheez Kai Sath Tayammum Kiya Ja Sakta Hai Jo Zameen Ki Satah Hai Aur Hadees Me Batauri Khas Mitti Ka Hi Lafz Is Liye Mazkur Hai Kyunki Amuman Zameen Ka Balaa-e Hissa Yahi Hota Hai. Is Liye Jahan Zameen Ki Satah Mitti Ho Wahan Isi Se Tayammum Kiya Jayega Aur Jahan Zameen Ki Satah Rait (Sand) Ho Wahan Rait Se Tayammum Kiya Jayega, Isi Tarah Jahan Zameen Ki Satah Koi Aur Cheez Ho Waha Isi Se Tayammum Kiya Jayega.
[Wallahu A’lam]

IBN QAYYIM (RAHIMAHULLAH):
Nabi-e Kareem (S.A.W) Usi Zameen Kai Sath Tayammum Kar Liya Kartay Thay Jis Par Namaz Ada Kartay Thay Khawah Wo Mitti Hoti, Shoor Waali Zameen Hoti Ya Rait Waali Hoti.
زاد المعاد 1/200

TAYAMMUM WAZU SE KIFAAYAT KAR JATA HAI:
———————————————
Hazrat Abu Sa’id Khudri (R.A) Se Marvi Hai Ki Do (2) Shakhs Safar Me Niklay, Namaz Ka Waqt Aagaya Lekin Dono Kai Pas Paani Na Tha. In Dono Ne Pak Mitti Kai Sath Tayammum Kiya Aur Namaz Ada Karli. Baad Azaa Inhon Ne Namaz Kai Waqt Me Hi Paani Paliya. Eak Shakhs Ne Wazu Kar Kai Dubara Namaz Ada Ki Jabki Dusray Ne Namaz Na Dohrayi. Is Kai Baad Dono Rasoolullah (S.A.W) Kai Pas Hazir Huay Aur (Aap S.A.W Se) Is Ka Tazkira Kiya. Aap (S.A.W) Ne Is Shakhs Se Kaha Jis Ne Namaz Nahe Dohrayi Thi “Tu Ne Sunnat Ki Muwafqat Ki Hai Aur Teri Namaz Teray Liye Kafi Ho Gayi Hai.” Aur Jis Ne Wazu Kar Kai Dubara Namaz Ada Ki Thi Is Se Farmaya “Teray Liye Dugna Sawab Hai.”
(Sahi Abu Da’wud, Hadees: 327)
(Abu Da’wud, Hadees: 338)
Is Sahabi Kai Tayammum Kai Sath Namaz Ada Karna Aur Nabi-e Kareem (S.A.W) Ka Isay Sunnat Kai Muwafiq Qarar Dena (Halanki Namaz Kai Liye Wazu Zaruri Hai) Is Baat Ka Wazeh Saboot Hai Ki Tayammum Wazu Se Kifaayat Kar Jata Hai.

Wazeh Rahay Ki Agar Insan Kai Pas Paani Ho Magar Wo Bhul Jaye Ki Is Kai Pas Paani Hai, Ya Kisi Dusray Shakhs Kai Pas Paani Ho Lekin Wo Na De, Kisi Gehray Kunwen Me Paani Ho Jis Kai Istimaal Ki Taqat Na Ho Wagaira Wagaira Tab Bhi Tayammum Kiya Ja Sakta Hai Aur In Jaisi Soraton Me Paani Ka Hukum Ghair Maujud Ka Hi Hoga.
السیل الجرار للشوکانی 1/124

TAYAMMUM GHUSL SE BHI KIFAAYAT KAR JATA HAI:
———————————————
Irshad-e Bari Ta’ala Hai Ki:
“Ya Tum Ne Auraton Ko Chuwa Ho (Yaani Jima Wa Humbistari Ki Ho Aur Paani Mayasar Na Ho To Tayammum Karlo).”
(Al Qur’aan Surat Al-Maeda: 6)

Hazrat Imran Bin Husain (R.A) Se Marvi Hai Ki Ham Rasoolullah (S.A.W) Kai Sath Eak Safar Me Thay. Aap (S.A.W) Ne Logon Ko Namaz Padhayi To Eak Aadmi (Ba’jamaat Se) Alag Tha. Aap (S.A.W) Ne (Isay) Kaha “Tumhain Kis Cheez Ne Namaz Se Rookay Rakha.”? Is Ne Kaha “Mujhy Halat-e Janabat Lahaq Hai Aur Mazeed Ye Ki Paani Bhi Mayasar Nahe.” To Aap (S.A.W) Ne Farmaya “Tum Mitti Ko Lazim Pakdo (Yaani Tayammum Karlo) Bila Shuba Ye Tumhain Kifaayat Kar Jayegi.”
(Bukhari, Hadees: 344)
(Muslim, Hadees: 682)

Sabit Hua Ki Jima Wa Mubashrat Aur Ahtilaam Kai Baad Agarchi Ghusl Zaruri Hai Lekin Paani Na Milnay Ki Sorat Me Tayammum Bhi Kafi Ho Jata Hai.

AURATON KAI LIYE BHI TAYAMMUM MASNOON HAI:
———————————————
SAUDI MUSTAQIL FATWA COMMITTEE:
Aayat “Paani Mayasar Na Ho To Tayammum Karlo.”
(Al Qur’aan Surat Al-Maeda: 6)
Me Tayammum Ka Hukum Mardon Aur Auraton Kai Liye Aam Hai Aur Wo Dono Is Hukum Me Barabar Hain. Lihaza Ahli Elim Kai Ijmaa Kai Sath Auraton Kai Liye Bhi Mardon Ki Tarah Tayammum Durust Hai.
فتاوی اللجنة الدائمة للبحوث العلمیة والافتاء 5/339

TAYAMMUM TOODNAY WAALI ASHIYA WAHI HAIN JO WAZU TOODNAY WAALI HAIN:
———————————————
Kyunki Tayammum Wazu Ka Badal Hai Is Liye Jo Cheezay Wazu Toodti Hain Wahi Tayammum Bhi Tood Deti Hain.
السیل الجرار 1/140
المغنی لابن قدامة 1/350

PAANI MIL JANAY SE TAYAMMUM KHATAM HO JATA HAI:
———————————————
Hazrat Abu Zar (R.A) Se Marvi Hai Ki Rasoolullah (S.A.W) Ne Farmaya:
“Pak Mitti Musalman Ko Pak Karnay Waali Hai Agarchi Paani Dus Saal Isay Na Milay Lekin Jab Paani Mayasar Aajaye To Isay Apnay Jism Par Malay Kyunki Bila Shuba Isi Me Khair-o Balayi Hai.”
(Sahi Abu Da’wud, Hadees: 321, 322)

Ibn Qudamah, Ibn Hazm (Rahimahullah Alaihim):
Jab Tayammum Karnay Walay Shakhs Ko Paani Mil Jaye Aur Wo Halat-e Namaz Me Ho To Wo Namaz Chod Kar Wazu Karay Aur Agar Halat-e Janabat Se Ho To Ghusl Karay Aur Phir Namaz Ada Karay.
المغنی لابن قدامة 1/347

Yahan Ye Yaad Rahay Ki Namaz Se Faragat Kai Baad Agar Namaz Kai Waqt Me Hi Paani Mil Jaye To Wazu Kar Kai Dubara Namaz Ada Karna Zaruri Nahe Jaisa Ki Hazrat Abu Sa’id Khudri Se Marvi Hadees Pichay Zikr Ki Ja Chuki Hai.
(Sahi Abu Da’wud, Hadees: 327)
(Abu Da’wud, Hadees: 338)

No comments:

Post a Comment