Monday, April 3, 2017

120 MUKHTASAR HADEES

BISMILLAH

1. Tamaam kaamo ka darumadaar niyyat par hai aur aadmi ke liye sirf wahi hai jis ki us ne niyyat ki (Sahih bukhari 1)

2. Allah ta’ala tumhaari shaklo aur tumhaare amwaal ko nahi dekhta, balke tumhaare dilo aur amaal ko dekhta hai (Sahih muslim 2564)

3. Logo Allah ke huzoor tauba wa isteghfaar karo, main Allah ke huzoor din mein 100 martaba tauba karta hoon (Sahih Muslim 20702)

4. beshak Allah ta’ala us waqt tak bandhe ki tauba qubool karta rehta hai jab tak mauth ki kayfiyath taari na ho (Jaame Tirmizi 3537)

5. jo Shaqs Allah ta’ala aur aakhirath ke din par imaan rakhta hai ose chahiye ke acchi baath kahe warna chup rahe (Sahih Bukhari 6138)

6. Sabr wahi hai jo sadme ke shuro mein ho (Sahih Bukhari 1238)

7. Mumin ke maamle par ta’ajjub hai ke us ka har maamla khair par mabni hai, aur ye ezaaz sirf mumin hee ko haasil hai, ke agar ose khushi haasil hoti hai to wo us par Allah ta’ala ka shukr karta hai, aur ye shukr baja lana us ke liye nihayath mufeedh hai, aur agar ose koyi musibath ya pareshani laheq hoti hai to wo us par sabr karta hai, us sabr karne mein bhi us ke liye khair wa barkath hai (Sahih Muslim 2999)

8. Taaqatwar wo nahi jo logo ko kushti mein pachaad de, haqiqi taaqatwar wo hai jo ghusse ke waqt apne aap par qaabo pa le (Sahih Bukhari 6114)

9. Ek shaqs ne Nabi ﷺ se arz kiya, mujhe nasihath farmaiye. Aap (saw) ne irshaad farmaya Ghussa na karo, us ne baar baar nasihath ki darqaast ki, Aap ﷺ ne har baar ose irshaad farmaya: Ghussa na karo (Sahih Bukhari 6116)

10. jo cheez tumhe shak mein daale ose chohd kar us cheez ko eqtiyaar karo jo shak mein na daale, beshak sacchayi sukoon qalb ka baayes hai aur jhot insaan ko muztarab aur pareshaan rakhta hai (Jaame Tirmizi 2518)

11. Tum jaha aur jis jagah bhi ho Allah ta’ala se daro aur gunaah ke baadh naki karo, wo us gunaah ko khatam kar degi, nez logo ke saath husn sulook se pesh aao (Jaame Tirmizi 1987)

12. Ye bhi insaan ke Islam ki qoobi hai ke jis maamle se us ka talluq nahi ose chohd de (Jaame Tirmizi 2317)

13. 2 nemate aisi hai jin ki aksar log qadar nahi karte – Seheth aur Faraaghath (Sahih Bukhari6412)

14. jab bandha bimaar hota hai ya safar ki haalath mein hota hai to us ke naam-e-amaal mein un amaal ke barabar likh diye jaate hai jo wo apne ghar mein haalat-e-sehet mein kiya karta tha (Sahih Bukhari 2996)

15. Har neki Sadqa hai (Sahih Bukhari 6021)

16. Jo musalmaan koi pauda (ya daraqt) lagata hai, to us se jo kuch kha liya jaaye wo us ke liye sadqa (charity) ban jaata hai, us se jo kuch chori ho jaaye wo us ke liye sadqa hai, darinde us se jo kuch kha jaaye wo us ke liye sadqa hai, jo kuch parinde chak jaaye wo us ke liye sadqa hai, aur jo koi ose nuqsaan pahonchaaye wo us ke liye sadqa hai (Sahih Muslim 1552)

17. Neki aur maroof ke kisi bhi kaam ko haqeer na jaanu, qaah apne (Musalmaan) bhai ko khandah peshaani se milna hee ho (yaani has kar, muskura kar milna bhi neki hai) (Sahih Muslim 2626)

18. Jahannam ki aag se bacho qaah khajoor ke ek tukde hee ko sadqa wa khairaath kar ke bach sako (Sahih Bukhari 1417)

19. Qiyamath ke din Adam ki saari aulaad ki sardaari mere paas hogi, main hee wo shaqsiyath hoon jis ki qabr puri makhlooq mein sab se pehle kholi jaegi, main hee sab se pehle bargah-e-ilaahi mein sifaarish karonga aur meri hee sifaarish sab se pehle qubool ki jaegi (Sahih Muslim2278)

20. tum mein se jo shaqs mere baadh zinda raha wo bahuth se eqtelafaath dekhega. qabardaar! deen mein nayi nayi bid’aath ejaadh karne se bachna kyo ke ye gumraahi hai. agar tum mein se koi ye zamaana paale to ose chahiye ke meri sunnath aur hidayath yaafta khulafa-e-rashideen ke tariqe ko laazim pakde, un ko daadho se mazboth pakde (Jaame Tirmizi 2676)

21. tum may say jo shaks meri baad zinda raha vo bahut say iqtelafaat dekhega. Qabardaar ! deen may naye naye bidaat eajaad karne say bachna kyun kay ye gumraahi hai.agar tum may say koye ye zamaana paale to usay chahiye ke meri sunnat aur hidaayat yaafta khulfa- e- rashedeen ke tarekhay ko laazim pakad le . in ko daadhon se mazboot pakad le . (Jamia Tirmizi2676)

22. momino ki misaal ek doosray kay saat mohabbat karne may,ek doosray par rahem karne may aur ek doosray ke saat shafaqqat va narmi karne may ek jism ki tarah hai.jab is ka ek hissa ya aza dard karta hai to baakhi saara jism bhi is ki vajey se bimaari aur bukhaar may mubtela hojaata hai (sahi muslim 2586)

23. jo logon par rahem nahi karta Allah Ta’ala bhi us par rahem nahi karega.(sahi muslim2319)

24. Ek doosray say hasad na karo, na khareed va farokht may (dhoka denay kay liye) boli badhaoo, na ek doosre se baghz rakho, na ek doosre say berukhi barto aur na tum may se koi doosray kay s ka bhai hai musalmaano uday pzlm karenuar souda kare.Allah kay bando bhai bhai ban jaao.(sahi muslim 2564)

25. musalmaan musalmaan ka bhai hai, na us par zulm karen na usay (madad kay waqt be-yaaro madadgaar chod kar) rusva kare, aur na usay haqeer jaane.(sahi muslim2564).

26. apnay bhai ki madad karo, vo zalim ho ya mazloom. ek aadmi nay arz kiya: Allah kay Rasool(saw) ! agar vo mazloom ho tab to us ki madad karo, lekin jab vo zalim ho to us ki madad kaisay karon?Aap nay ershaad farmaya: tum us ko zulm say roko,yahi us ki madad hai.(sahi bukhari 6952)

27. musalmaan kay musalmaan par paanch haq hai: salaam ka javaab dena,mareez ki timardaari karna, janazay kay liye jaana, daavat khubool karna aur cheenk ka javaab dena. (sahi bukhaari 1240).

28. jo banda dunya may kisi banday ki parda poshi karta hai, Allah ta’ala qiyamat kay din zaroor us kay aiboon par parda daalega.(sahi muslim 2590).

29. jo shaks Allah ta’ala aur aakhirat kay din par emaan rakhta hai usay chahiye kay sila rahmi (yaani rishtedaaron say acha (sulook) kare. (sahi buqaari 6138).

30. jis nay do bachhon ki tarbiyat aur parvarish ki hatta kay vo balogat ko pahonch gaye, qiyamat kay din vo meray saath(us tarah qareeb hoga). Aap( S.W.S) nay apni ungliyon ko milaaya.(sahi muslim 2631)

31. sifarish karo (jaaez kaam kay liye) tumhe ajar milega.(sahi muslim 2627).

32. Har roz subah saveray do farishte zameen par utarte hain in may say ek Allah ta’ala say dua karta hai kay aye Allah jo teri rah may kharch kare usay mazeed rizq ata farma aur doosra ye dua karta hai kay aye Allah jo teri rah may kharch na kare us kay maal ko tabah va barbaad kar de (sahi bukhaari 1442).

33. jo shaks Allah ta’la aur aakhirat ke din par emaan rakhta hai usay chahiye ki apnay mahmaan ki ezzat kare (sahi bukhaari 6138)

34. Allah ki qasam ! vo emaandaar nahi, Allah ki qasam ! vo emaandaar nahi, Allah ki qasam ! vo emaandaar nahi. arz kiya gaya : Allah kay Rasool s.w.s! vo koun hai ? Aap(saw) ne ershaad farmaya: vo shaqs jis ki shararaton say us ka hamsaaya mahfooz na ho(sahi bukhaari 6016).

35. aadmi apnay dost kay deen aur aklaaq par hota hai, isliye tum may say (har) ek ko dekhna chahiye kay vo kis say dosti karraha hai.(jaamiya tirmizi 2378)

36. ek dihaati nay Allah kay Rasool(saw) say poocha: Allah kay Rasool (saw): qiyamat kab aayegi. Aap(saw) nay ershaad farmaaya: tum nay qiyamat kay liye kya tayyari kar rakhi hai? Us nay arz kiya kay Allah aur us kay Rasool(saw) ki mohabbat. ershaad farmaaya kay qiyamat kay roz tum us kay saath hoge jissay tumhe mohabbat hai

37. aadmi (qiyamat kay din) usee kay saath hoga jissay usnay (dunya may) mohabbat ki (sahi bukhaari 6168).

38. Sayyadna Maaz Bin jabal r.a. kehte hain kay Allah kay Rasool s.w.s nay mera haath pakda aur ershaad farmaya: Maaz! Allah ki qasam ! mujhey tum say mohabbat hai. phir ershaad farmaya: Maaz mai tumhe nasihat karta hoon kay har namaaz kay baad ye alfaaz kehna kabhi na chodna : aye Allah tu meri madad farma kay mai Tera zikr Tera shukr aur Teri ebaadat umda andaaz say kar sakon. (sunan abi dawood 1522).

39. teen cheeze mayyit kay peechay jaati hai. Do(qabarastaan say) vaapas aajati hai aur ek us kay saath hi rahti hai. Us kay peechay us kay gharwaaley, maal va daulat aur aamaal jaate hain phir gharwaale aur maal va daulat vaapas aajaate hain aur us ka amal(us kay saath) baaqi rahta hai.(sahi bukhaari 6514).

40. dunya momin ka khaid khaana aur kaafir ki jannat hai (sahi muslim 2956).

41. ( dunya kay maamlay may)apnay say neechay (kam maal) vaalay ko dekho, oopar vaalay ko na dekho, essay ye hoga kay aap, apnay paas moujood Allah ki nemat ko haqeer nahi samjhengay.( sahi muslim 2963).

42. ameeri, maal va daulat ki faravani ka naam nahi balke : asal ameeri to dil ki bay niyaazi hai. (sahi bukhaari 6446).

43 upar wala (denay wala) haath neechay walay (lenay walay) haath say bahit behtar hai.(sahi bukhaari 1428).

44. jis shaqs nay apnay ahal va ayaal kay darmiyaan aman va emaan ki haalat may subah ki, vo jismaani lihaaz say tandurust tha aur us din ka samaan guzur basar bhi usay maiyyassar tha, to vo aisa hai , jaisay saari dunya usay sameat kar dedi gaye.(jaamiya tirmizi 2346).

45 . do khoobiyon waalay shaks khaabilay rashk hai : ek vo jisay Allahtala nay bahut sara maal diya aur vo usay haq kay raastey may bay dareeq kharch karta hai , doosra vo jisay Allahtala nay hikmat va daanaee say navaaza ho, vo hakeemaana faislay karta aur logon ko hiqmat va daanaee ki taleem deta hai.(sahi buqari 73).

46. ek shaks nay Nabi s.w.s say pucha : koun sa islaam zyada qair va bhalaae vala hai? Aap s.w.s nay farmaya : aap zaroorat mandon ko khana khilaaen aur har shaks ko salaam karen chahe aap usay jaante ho ya na jaante ho.(sahi buqari 12)

47. sadqa va kairaat se maal kam nahi hota aur maaf karne say Allahtala banday ki ezzat may ezafe hi farmata hai. Jo shaks Allahtala ki khatir tavazay va en- k- saari eqtiyaar karta hai Allah tala usay zaroor ooncha kardeta hai.(sahi muslim 2588).

48. qiyamat ki nishaniyon may se ye bhi hai ke( kitaab va sunnat ka) ilm uthaliya jaaega,jahalat pheal jaaegi, sharaabein piye jaaengi aur zina aam hojaaega.(sahi buqari 80).

49. Allahtala farmaata hai: aye ibn – aadam tu (bhalaae may ) kharch kar,Mai tujh par kharch karoonga. (sahi bukhari 5352).

50. zulm say bacho kyun kay zulm qiyamat kay din andheron ka sabab banayga.(sahi muslim2578).

51. lizzaton ko kar kara karne wali cheez , yaani mout ko kasrat se yaad karo (jaamiya tirmizi2307).

52. neki husn-e-aqlaaq ka naam hai aur gunah vo hai jo aap ke dil may khatke aur aap na pasand karen ke logon ko us ki qabar ho.(sahi muslim 2553).

53. bayshak Allah ta’la osi banday ko pasand karta hai jo parhezgaar,gumnaam aur logon say bayniyaaz ho (sahi muslim 2965).

54. jis kay dil may zarra barabar bhi takabbur hoga vo jannat may daakhil nahi hoga.ek aadmi nay arz kiya: aadmi chahata hai kay us ka libaaz accha ho .us kay jootay umda ho(to kya ye bhi takabbur hai)?Aap nay farmaaya:(nahi) bayshak Allahtala khoobsoorat hai .khoobsoorti ko pasand karta hai.haq baat ko thukraana aur logon ko haqeer samajhna takabbur hai.(sahi muslim 91).

55. roz-e- qiyamat teen (tarah kay) logon say Allahtala kalaam nahi karega,unhe gunah se paak nahi karega,un ki taraf(nazar rahmat se) dekheyga bhi nahi aur kay liye dardnaak azaab hoga.(vo teen lig ye hain)bodha zaani,bahut jhoota baadsha aur mutakabbir fakheer.(sahi muslim 107).

56. tum may se behtareen vo hai , jin ka aqlaaq accha hai (sahi buqari 3559).

57. buql say bacho kyun kay tum – se – pehlay logon ko buql hi nay halaak kiya.(sahi muslim2578).

58. momino may se kaamil tareen vo hai jis ka aqlaaq sab se accha ho.aur tum may se acche vo hain jo apni biwiyon kay liye acchay ho.(jaamial tirmizi 1162).

59. Nabi Kareem s.w.s nay Ashj abdul qais say farmaaya : bila shuba tujh may do khoobiyan aisee hai n jo Allahtala ko bahut pasand hain: burdbaari aur soonch samajh kar kaam karna.(jaamial tirmizi 2011).

60. bayshak Allahtala narmi karne wala hai aur narmi ko pasand karta hai.narmi eqtiyaar karne se vo kuch deta hai, jo hatdharmi ki soorat may nahi deta (sahi muslim 2593.)

61. jab tum may say kisi ko cheenk aae aur vo Alham,dulillah kahe to usay. Yarhamukallah kaho o Alhamdulillahlekin a na kahe to usay yarhamukallah na kaho.( sahi muslim 2992).

62. tim may say har ek zimmaydaar hai aur har ek say usske maa-tehton ke mutaaliq pooch- googh hogi. hukmaraan waqt apni riaya ka zimmaydaar hai aur ussay riaya ke mutaliq baaz purs hogi.

Har shaks apnay biwi bacchon ka zimmzydaar hai aur ussay us ki zimmaydaari ke mutaliq poochay jaaega.

Aurat apnay khavind kay ghar ki zimmay- daar hai aur ussay us ki zimmaydaari kay mutaliq poocha jaaega.

Naukar apnay maalik kay maal ka nigraan hai aur ussay us ki zimmaydaari kay baaray may poocha jaaega. \(sahi bauqari 893).

63. Jis nay Meri ettat ki vo zaroor jannat may jaaega aur jis nay meri naafarmaani ki usnay jaannat may jaanay say inkaar kar diya( sahi buqari 7280).

64. jis nay hamaaray us amr(deen) may naya tareequa aejaad kiya jo haqeeqatan us may nahi hai to vo –tareequa mardood hai.(sahi buqari 2697).

65.jis nay kisi qair va bhalaae kay kaam ki rahnumaaee ki usay neki karnay walay kay baraabar savaab milayga (sahi muslim 1893).

66. jis nay us baat ki gavaahi di kay Allah kay siva koi maabood barhaq nahi aur Muhammad s.w.s Allah kay (Rasool hain to Allahtala nay us par jahannum ki aag haraam kar di (sahi muslim 29) .

67. mai aur yateem ki kifalat karne wala jannat may is tarah honge.Aap nay darmiyaani aur shahadat wali ungli ko milaakar bataya.(sahi buqaari 6005).

68. Mujhey gareeb logon may talaash karo( kyun kay Mai in hi may rehta hoon).bila shuba tumhe apnay kamzooron ki vajae hi say rizzakh diya jaata hai.aur (dushman kay khilaaf) tumhaari madad ki jaati hai.( Jaamiya tirmizi 1702)

69. dunya faaeda uthanay ki cheez hai aur dunya may sab say zyada faaeda denay waali mataae neak aurat hai.(sahi muslim 1469).

70. aurat jab paanch waqt ki namaaz ada kare,maahe ramzaan kay rozay rakhea,apni ezzat va asmat ki hifazat kare aur shahor ki etaa-at kare to jannat kay jis darvaazay say ,chahe daakhil ho jaaegi (mishkaatal masaabih3254)

71. Jibraeel Mujhey hamsaae kay mutaliq vasiyat karte rahe had-taake mujhey gumaan guzra kay vo usay vaaris qaraar dedengay (sahi buqari6014).

72. us ki naak khaak aalud ho, phir us ki naak khaak aalud ho phir us ki naak khaak aalud ho. Arz kiya gaya: kis ki Allah kay Rasool s.w.s ? Aap nay farmaya : jis kay paas us kay vaaledain may say kisi ek ya dono ko budhaapa aaya,phir vo( un ki khidmat na karke) jannat may daakhil na ho saka. (sahi muslim 2551).

73. jis nay hamaaray choton par shafaaqat na ki aur hamaaray badon ki ezzat va sharf ko na pehchana us ka hamaray saath koi taaluq nahi. ( jaamial tirmizi 1920).

74. kisi aurat say chaar sifaat ki –bina par shadi ki jaasakti hai: us kay maal ki bina par, us ki khoobsoorti ki vajey say, us kay hasab va nasab ki vajey say aur us kay deen ki vajey say.tumdeen waali kay (hasool kay) zarye kaamyaab ho jaao. (sahi bukhari 5090).

75. tum jannat may daakhil nahi hongay, jab tak momin na ban jaaoaur tum (kaamil ) momin nahi ban sakte jab tak baahem mohabbat na karne lagjaao. Kya mai tumhe vo kaam na bataaon jis kay karne say tumhaaray ander ek doosray ki mohabbat paida ho jaae? Aapas may salaam ko rivaaj do.(sahi muslim 54).

76. saat (qisam kay) logon ko Allahtala us din apnay (arsh kay) saae may jagah dega,jis din sirf Us kay arsh ka saaya hoga: adal karne waala huqmaraan, vo naujavaan jo apnay Rub ki ibaadat may parvaan chadha, vo shaks jis ka dil masjid may atka rahta hai, vo do aadmi jo Allah ki khaatir muhabbat karte hain , Usee ki qatir ekatthey hote hain aur Usi ki qatir alag hote hain, vo shaks jisaykisi baaeqtiyaar khoobsoorat aurat nay daavat gunah di to us nay kaha: mujhey Allah say darr lagta hai ; vo shaks jis nay sadqua kiya to is qadar maqfi aur poshida rakha kay baaen haath ko bhi qabar na huvi kay daaye nay kya kharch kiya ; aur vo shaks jis nay tanhaae may Allah ko yaad kiya to (kauf ya fart mohabbat say) us ki aankhon say aanso jaari ho gaye. (sahi buqari 660).

77. Meray paas Jibreel aae aur un ho nay Mujhey khush qabri di kay jo shaks us haal may faut huva kay vo Allah kay saath zarra bhar bhi shirk nahi karta tha , vo zarqqr jannat may daakhil hoga .(sahi buqari 7487).

78. jo ruksaaron ko peetay, giraybaan phaaday aur jaahelaana cheeq va pukaar kare vo ham may say nahi. (sahi buqari 1297).

79. aasaani karo tangi na karo( Allah kay fazl va ataa ki) khush qabri do aur ( sirf azaab ka zikr kar ke) logon ko mutanafir na karo.(sahi buqari 69).

80. jis nay kisi aesay mareez ki teemardaari ki jis ki maut ka waqt na aachu ka ho aur us kay paas saat martaba ye padha (asalAllah……….) mai azmat vaalay Allah ,arsh azeem kay Rub say savaal karta hoon kay vo tujhey shifa de; to Allah ta’ala us beemari say usay zaroor shifayaab karega. (Sunan abi dawood 3106).

81. jab tum may say koi masjid may daaqil ho to do rakaat padhe-bagair na baithey.(sahi buqari1163).

82. jab insaan fout hojaata hai to us kay amal ka silsila bhi manquata hojaata hai, albatta teen tarah kay aamaal ka sawaab badastoor jaari rehta hai: sadqua jaariya,vo ilm jissay faaeda uthaya jaaraha ho ya neik aulaad jo us kay liye duva karti rahe (sahi muslim 1631).

83. jis nay eshan ki namaaz bajamaat ada ki us nay goya nifs raat qiyaamkiya aur jis nay fajr ki namaaz bhi bajamaat ada ki us nay goya saari raat qiyaam kiya. (sahi muslim 656).

84. jab kisi banday ka bacha fout hojaata hai to Allahtala Apnay farishton say farmaata hai: tum nay Meray banday kay bachey ki ruh qabz karli? Vo kehtein hain : ji haan.Allahtala farmata hai: tum nay us kay jigar goshey ko layliya? Vo kehtein hain : ji Baari tala .Allahtala poochta hai: Meray banday ka kya kehna tha? Vo kehte hain: us nay Teri taareef ki aur “enna lillah hi va inna elaihi rajioon” padha .Allahtala farmaata hai: Meray banday kay liye jannat may ek azeem –al- shaan ghar banaao aur us ka naam “baitul hameed” rakho (jaamial tirmizi1021)

85. paanch kaam fitrat say hai:qatnay karwana,zeir naaf baal saaf karna,moonchey katarna, naqoon taraashna aur baglon kay baal okhaadna. (sahi buqari5891).

86. jab ramzaan aata hai to asmaan kay darvaazay chow –pat khol diye jaate hain aur jahannum kay darvaazay acchi tarah band kardiye jaate hain aur shayateen ko paaband salaasal kar diya jaata hai.(sahi buqari 1899).===

87.sehri kiya karo, bila shuba sehri may barkat hai.(sahi buqari 1923).

88. Allahtala nay farmaaya: ibn nay aadam kay har amal ka mutaaeen ajar usi kay liye hai sivaae rozay kay, vo sirf Meray liye hai aur mai hi us ki jazaa muqarrar karonga. Roza (gunaahon kay qhilaafaa ) dhaal hai.jab tum may say koi rozay say ho to fahesh goyee aur shoor va ghul na karen,agar usay koi gaali de ya ussay ladaae kare to keh dein : mai rozaydaar hoon ( mai aap kay saath nahi ulajhna chahata. ( sahi buqari 1904 ) .

89. jo rozaydaar gunah ki baat aur gunah ka kaam karne say baaz nahi aata Allahtala ko us kay bhooka , pyasa rehnay ki koi zaroorat nahi .(sahi buqari 1903).

90. Allahtala us shaqs par rahem farmaaye jo qareed va farouqt aur apnay haq ka mutaleba karte waqt narmi say kaam leta hai.(sahi buqari 2076.)

91. mazdooron ko paseena khushk honay say pehlay us ki mazdoori ada karo.(sanan ibn- e- maaja 2443)

92. Allahtala pasand karta hai kay jab tum may say koi shaqs koi kaam kare to khush usloobi aur mahaarat say kare.(maajim – ausat-liltabarni 427/1)

93. jis nay ramzaan kay rozay rakhey phir us kay baad shawwaal kay 6 rozay rakhey,vo aisa hai jaisay us nay saaray saal kay rozay rakhey.(sahi muslim 1164).

94. Allahtala ko sab say badh kar mehboob banday vo hai jo logon kay kaam aanay waalay hain.Allah-az –vajal ko sab say zyada pasandeeda amal kisi musalmaan ko khushi faraahem karna ya us ki koi takleef door karna ya us ka qarz ada karna ya us ki bhook mitana hai.( salsalatul hadees al saheeha 906).===

95. jo shaqs apnay gussay ko roak le,Allahtala us ki parda poshi farmaata hai.jo shaqs badla laynay ki taaqat kay baavajood apnay gussay ko pee jaae,Allahtala qiyamat kay din us kay dil ko rehmat ki umeed say bhar de ga.jo shaqs apnay kisi bhai ki zaroorat poori karne kay liye us kay saath jaae hattake us ki haajat poori hijaae to,Allahtala us roz us ko saabit qadam rakhega jis roz logon kay qadam dagmagaa rahey hongay. Bad aqlaaqi neak amal ko is tarah qaraab kardeti hai jis tarah sirka shahed ko qaraab kardeta hai (salsalatal hadees- al – saheeha 906).

96.saat tabah karnewaalay gunahoon say bacho.arz kiya gaya: Allah kay Rasool s.w.s! vo kaun say gunah hai? Aap nay farmaaya Allahtala kay saath shirk karna,jaado seekhna ya karna,kisi shaks ko naa haq qatal karna (agar koi shaks kisi aisay jurm ka ertekaab kare jis ki saza mout banti ho to vo us may shamil nahi) yateem ka maal khana,soodi lein dein karna,maidaan kaarzaar say bhaagna,paakdaaman bholi bhali momin aurton par tauhmat lagaana. (sahi buqari2766.)

97.ek aurat ko billi ki vajey say azaab diya gaya.us nay usay baandh diya tha , hatta kay vo margayee.bas usi vajey say vo jahannum ki aag main chali gayee .us nay usay baandhey rakha na usay khilaaya pilaaya aur naa hi choda kay vo hashraat elaarz hi khaaleti. (sahi buqari 3482).

98. jis nay kisi rozaydaar ki eftaari karvaae usay rozaydaar kay baraabar ajar milaayga,alaava ezen Allahtala rozaydaar kay ajar va savaab may koi kami nahi karega.(jaamial tirmizi 807).===

99. (zavaal haj) kay dus dino may kiye gaye amaal saaleh Allah ko baakhi ayaam may kiye gaye amaal say badh kar mehboob hain.sahaba karaam r.a. nay kaha: Allah kay Rasool s.w.s ! Allah kay raaste may jahaad karna bhi nahi? Aap nay farmaaya: Allah kay raaste jahaad bhi nahi,albatta agar koi apnay jaan va maal kay saath nikla aur us ka kuch bhi vaapas na aaya to vo afzal ho sakta hai.(sanan –abi –dawood 2438 )

100. jis nay Allah kay liye haj kiya us may bay huda aur fisq va fajoor waali baat ki na aisa kaam kiya to vo(gunahon say paak ho kar) aisay lauta jaisay us ki maa nay usay aaj hi jana ho. (sahi buqari 1521 ).

101. koi din aisa nahi jis may Allahtala logon ko Arfa kay din say zyada jahannum say aazaadi deta ho.(sahi muslim 1348 ).

102. do aankhon ko aag nahi chuaaegi: ek vo aankh jo qashiyat elaahi say ro padi, doosri vo jo Allah kay raastay may pehra deti rahi (jaamiya tirmizi 1639).

103. jo shaks najoomi kay paas gaya aur us say kisi chees kay mutaaliq poocha, chalees din tak us ki koi namaaz khubool nahi hogi (sahi muslim 2230).

104. emaan ke, sattar say zaaed hissay hain aur Haya bhi emaan ka ek hissa hai (sahi muslim 35).

105. jo shaks har roz subah shaam teen martaba ye duva padta hai usay koi cheez nuksaan nahi pohnchaegi :(bismillah…………………..) Allah kay naam kay zarye say ( panah maangta hoon), vo zaat jis kay naam ki barkat say zameen va aasmaan may koi cheez nuksaan nahi pohnchasakti. aur vo khoob sunnay waala jaannay waala hai. (sahi muslim 3869).

106. mazloom ki badduva say bacho kyun kay us ki duva aur Allah kay darmiyaan koi rukaavat nahi hoti.(sahi muslim 19).

107.Allahtabaarak va taala farmaata hai:Aadam kay betay! Agar tum mujhey us haal may milo kay tumhaaray daaman may shirk na ho.us kay alaav a zameen bhar kay gunah bhi ho to mai tumhe utni hi magfirat aur rehmat kay saat milonga (sahi ibn-e-habaan 462/1 hadees 226)

108. jo shaks amaanat daar nahi, us may koi emaan nahi, aur jo shaks vaaday ka paaband nahi us ka koi deen nahi.( sahih ibn – e—habaan423/1 hadees 194 )

109. tum may say koi shaks us waqt tak momin nahi ho sakta jab tak vo apnay musalmaan bhai kay liye vahi kuch pasand na kare jo khud apnay liye pasand karta hai. (sahi buqari 13).

110.qiyaamat kay din momin kay aaza , vahaan tak chamak rahe hongay jahaan tak dunya may us kay wazu ka paani pahonch ta tha.(sahi muslim 250 ).

111. vo shaks jo Allah ko yaad karta hai aur jo yaad nahi karta un ki misaal zinda aur murda ki si hai`(sahi buqari 2407).

112. tum may say jo shaqs kisi buraae ko dekhay, usay chahiye kay vo usay apnay haath say rok de.agar us ki taaqat na rakhta ho to phir apni zabaan say roke.agar us ki bhi taaqat na ho to dil may bura jaanay.ye emaan ka kamzoor tareen darja hai. (sahi muslim 49)

113. kisi musalmaan kay liye jaaez nahi kay vo apnay bhai kay saath teen din say zyada boal chaal band rakhey.( sahi buqari 6237).

114. aamaal ki quboolityat ka inhe- saar aadmi kay aaqri kaamon par hai. (sahi buqari 6607).

115. Allahtala kay nazdeek duva say badhkar qaabil ezzat koi cheez nahi.(sanan ibn-e- maaja3829).

116. us shaqs nay emaan ki mithaas paali jo Allah kay Rub honay par islaam kay deen honay par aur Mohammad s.w.s kay rasool honay par raazi hogaya. (sahi muslim 34).

117. dunya say bay ruqbat hojaaen Allah aap say mohabbat karega aur logon kay maal va mata say bay niyaaz ho jaye log aap say mohabbat karengay. (sanan ibn-e- maaja 4102).

118. Allah ta’la haya waala,karam waala hai.jab banda Us ki baargah may duva kay liye haath othata hai to un haathon ko khaali namuraad lautate huvay Allah ko haya aati hai. (jaami al tirmizi 3556.)

119. Mujh say haj ka tareeqa seekhlo (meray tareequa par haj karo). (sunan al bahiqi 125/5varva muslim 1297).

120. Aab-e-zamzam ko jis maqsad kay liye bhi piya jaae faaeda deta hai ,(sanan ibn e maaja3062)

4 comments:

  1. As Salam Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barkatuhu... Kya ye sab verified hadees hai aapne iska number check kiya hai, mujhe isko hindi me type kr ke post krna hai

    ReplyDelete
  2. Teton Canyon: Burning Titanium - TitaniumArts
    Teton titanium pan Canyon: Burning titanium mens wedding bands Titanium: Teton Canyon | Teton Canyon | Teton Canyon | Teton Canyon | Teton Canyon | titanium nose rings Teton Canyon schick quattro titanium | titanium coating Teton Canyon | Teton

    ReplyDelete