Sunday, April 2, 2017

AASAAN DEEN [PART - 5]

BISMILLAH

 Jo shakhs chugalkhor hota hai aur ek ki baat doosre tak pohnchaata hai taake doosra shakhs badgumaan ho jaaye aur un donon ke aapsi taalluqaat kharaab ho jaaye, aisi buri sifat waalon ke liye Hadeeson mein bahot sakht waeed aayi hai.

Nabi ﷺ ne farmaaya: *"Laa yadkhulul jannata qattaatun"*

 *Tarjama:* Chugalkhor Jannat mein nahin jaayega.
 [Sahih Bukhaari: 6056]

Ham logon ko chugalkhori karne se bachna chaahiye, agar koi shakhs is buri aadat mein mubtila ho aur hamaare darmiyaan kisi ki chugli karta ho, to use mana kar dena chaahiye. Agar ham aisa nahin kareinge, to hamein bhi Allah Ta‘ala ki rehmat se mahroom hona padega aur aakhirat ke azaab mein mubtila hona padega. Allah Ta'ala ham sab ki is se hifaazat farmaaye. Aameen.

*​(31)➾ Allah hi rizq dene waala hain*

 Jitne jaandaar is duniya mein zindagi basar karte hain, un sab ko rozi pohnchaane ka zimma Allah Ta'ala ne le rakha hai, wahi tamaam cheezon ka khaaliq bhi hai aur wahi sab ka raaziq bhi hai. Woh aisa nahin hai ke kisi jaandaar ko paida karde aur us ko yun hi chhod de, un ke liye rizq aur doosri zarooriyaat ka koi intezaam na kare, woh to samandar mein rehne waale jaandaaron ko, fiza mein udne waale parindon ko aur khushki mein rehne waali beshumaar makhlooqaat ko apne khazaane se rozi pohnchaane waala hai.

Khud Allah Ta'ala farmaata hai: Aur kitne jaanwar hain jo apna rizq uthhaaye nahin phirte! Allah unhein bhi rizq deta hai aur tumhein bhi, aur wahi hai jo har baat sunta hai, har cheez jaanta hai.
 [Sura-e-Ankaboot: 60]

Lekin yeh Allah ki hikmat aur maslehat hai ke woh kisi ke rizq mein wus'at paida farma deta hai aur kisi ki rozi mein tangi kar deta hai. Allah Ta'ala ka irshaad hai: Allah jis ke liye chaahta hai rizq mein wus'at kar deta hai aur (jis ke liye chaahta hai) tangi kar deta hai.
 [Sura-e-Ra'ad: 26]

Yahaan 2 baatein zahen mein rehni chaahiye ek yeh ke jo insaan bhi is duniya mein aata hai woh apni rozi saath le kar aata hai, yaani Allah Ta'ala apne khazaane se us ke liye bhi rizq muqaddar farmadete hain, aur us ke liye rizq ko muqaddar karne ki wajah se kisi doosre ke rizq mein kami nahin hoti hai. Lihaaza yeh samajhna ke pariwaar (khandaan) jitna chhota hoga har ek ki zindagi utni hi khush haali ke saath guzregi aur pariwaar jitna bada hoga zindagi utni hi usrat aur tangi ke saath guzregi, yeh khayaal saraasar galat aur jihaalat par mabni hai.

Zamaana-e-Jaahiliyat mein bhi kuchh log yahi khayaal karte me ke aulaad agar ziyaada ho jaayegi to un ke khaane peene ka intezaam kahaan se kareinge aur kaise un ki zarooriyaat poori ki jaayengi, is liye woh badi berehmi aur sangdili ke saath aulaad ko qatl kar daalte the. Islaam ne is maasoom tabqe par hone waale zulme azeem par rok laga di aur Allah Ta'ala ne saaf taur par yeh farma diya: Apni aulaad ko muflisi ke dar se qatl na karo, ham unhein bhi rizq deinge aur tumhein bhi. Yaqeen jaano! Un ko qatl karna badi bhaari galti hai.
 [Sura-e-Bani Israail: 31]


 Dar asl yeh khayaal yahaan se paida hota hai ke insaan apne aap ko apne liye, apni aulad ke liye aur deegar mutaalliqeen ke liye rizq dene waala samajh baithhta hai, aur is liye woh sochta hai ke abhi to apni zindagi hi pareshaani ke saath guzar rahi hai, agar afraad ziyaada ho gaye to un ki rozi ka intezaam kahaan se hoga. haalaanke insaanon ke zimme sirf itna hai ke woh khud apne liye aur apne zer-e-tarbiyat doosre afraad ke liye rozi haasil karne ki koshish karta rahe aur us ke liye asbaab ikhtiyaar kare, Allah Ta'ala us ko bhi rozi deinge aur us ko zariya aur waasta bana kar doosre logon ko bhi rizq pohnchaate raheinge.

 Doosri baat yeh zahen mein rakhni chaahiye ke ek aadmi ke zer-e-nigraani jitne afraad ki kifaalat hogi usi ke baqadr rizq bhi milega, maslan ek insaan ki kifaalat mein 5 aadmi hain aur 5 aadmi ke baqadr un ke paas rizq aayega aur agar us ki kifaalat mein 10 log hote to us ke paas 10 logon ke baqadr rizq aata. Huzoor ﷺ ka irshaad hai: Bande ke liye Allah Ta'ala ki taraf se madad mashaqqat ke baqadr aati hai.
 [Shobul Imaan: 9956]

*​(32)➾ Qur'aane Kareem ki tilaawat karna*

 Qur'aane Kareem Allah Ta'ala ki taraf se naazil shuda mubaarak kalaam hai, us mein ahkaam wa ma'arif aur akhlaaq-o-aadaab bayaan kiye gaye hain, us mein duniya wa aakhirat ki kaamyaabi ke aamaal bataaye gaye hain aur woh tamaam insaanon ke liye hidaayat ka zariya hai.

 Yeh bahot hi ba barkat aur muqaddas kalaam hai, is ki barkatein beshumaar hain, is ke alfaaz bahot hi paakeezah aur mubaarak hain. Jo shakhs is ki tilaawat karta hai, is ke liye aakhirat mein be inteha ajr-o-sawaab hai aur is ki taaleemaat par amal karna duniya wa aakhirat ki sar bulandi aur izzat-o-asmat ka zariya hai. Woh log bahot hi khush naseeb aur sa'adatmand hain jo hamesha is ki tilaawat karte aur is ki taaleemaat par amal karte hain, is ko samajhne aur doosron ko samjhaane ki koshish mein lage rehte hain.

 Aise shakhs ko Allah ke Rasool ﷺ ne qaabil-e-rashk bataaya hai, chunaanche ek Hadees mein irshaad farmaaya: "Sirf 2 aadmi qaabil-e-rashk hain: Ek woh jis ko Allah ne Qur'aan ki nemat ata farmaai phir woh din raat us mein laga rehta hai. Aur doosra woh khush naseeb aadmi jis ko Allah ne maal-o-daulat se nawaaza aur woh din raat us ko raahe khuda mein kharch karta rehta hai."
 [Sahih Bukhaari: 7529]

Qur'aane Kareem ki tilaawat se dil ki safaai hoti hai aur Allah ki yaad aur aakhirat ke anjaam se befikri aur gaflat door hoti hai. Hadees mein hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Insaanon ke quloob par isi tarah zang lag jaata hai jis tarah paani lagne ki wajah se lohe par zang aajaata hai. Arz kiya gaya: Ya Rasoolullah! Dilon ke zang ki safaai ki kya soorat ho sakti hai? Aap ﷺ ne farmaaya: Maut ko kasrat se yaad karna aur Qur'aane Kareem ki tilaawat karna.
 [Shobul Imaan: 2014]

*​(33)➾ Sood ki hurmat*

Allah Ta'ala ne sab insaanon ko yaksaan aur baraabar nahin banaaya, balke apni hikmat-o-maslehat ke tahat kisi ko maaldaar banaaya to kisi ko gareeb rakha, maaldaar log gareebon se khidmat lete hain aur gareeb log maaldaaron ke paison se faaida uthhaate hain kabhi aisa bhi hota hai ke gareeb aadmi ki zarooratein kaam kaaj aur mehnat mazdoori se haasil kiye huwe paison se poori nahin hoteen, is liye woh qarz lene par majboor ho jaata hai.

 Duniya mein bahot se Allah ke khush naseeb bande woh hain jo aise waqt mein apne gareeb bhaai ke kaam aate hain aur us ki madad karte hain magar baaz log apne bhaai ki us majboori ka faaida uthhaate hain aur use qarz to de dete hain magar saath hi saath yeh bhi shart laga dete hain ke woh izaafe ke saath paisa lautaayega. Isi ko *"Sood"* kehte hai. Sharee'at mein sood lene dene ko haraam wa naajaaiz qaraar diya gaya hai aur bahot hi bada gunaah bataaya gaya hai aur is par intihaai sakht wa'eed waarid hui hai.

 Rasoolullah ﷺ ka irshaad hai: 7 mohlik aur tabaahkun gunaahon se bacho, Sahaaba ne arz kiya: Ya Rasoolullah! Woh kaun se 7 gunaah hain? Aap ne irshaad farmaaya: Allah ke saath (us ki zaat ya sifaat ya af'aal mein kisi ko) shareek karna aurjaadu karna aur naahaq kisi aadmi ko qatl karna aur sood khaana, aur yateem ka maal khaana aur (apni jaan bachaane ke liye) jihaad mein Lashkar-e-Islaam ka saath chhod kar bhaag jaana aur Allah ki paak daaman bholi bhaali bandiyon par zina ki tohmat lagaana.
 [Sahih Bukhaari: 2766]

Ek Hadees mein hai ke Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya ke sood khori ke 70 hisse hain, un mein se adna aur maamooli aisa hai jaise ke apni maan ke saath munh kaala kare.
 [Ibne Maaja: 2274]

 Ek riwaayat mein hai ke Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya ke jis raat mujhe Meraaj hui mera guzar ek aise groh par huwa jin ke pet gharon ki tarah hain aur un mein saanp bhare huwe hain jo baahar se nazar aate hain, mein ne Jibraeel se poochha ke yeh kaun log hain? (jo aise azaab mein mubtila hain) unhon ne batlaaya ke yeh sood khor log hain.
[Ibne Maaja: 2273]

 Lihaaza hamein sood jaisi laanat ko apne muaashare se khatm kar dena chaahiye aur aisi halaakaton aur barbaadiyon se apne aap ko bachaana chaahiye ke sood se bazaahir maal badhta to hai magar haqeeqat mein is ka anjaam kami hota hai aur ek na ek din insaan ko maal ki killat ka saamna karna padta hai. Aur chain-o-sukoon se mahroomi to mustaqil rehti hai. Soodi kaarobaar ki hurmat ke baawajood jo log is se baaz na aayein khudaawandi qaanoon ki naafarmaani karein to un ke khilaaf Allah aur us ke Rasool ki taraf se Elaan-e-Jang hai.

 Qur'aan-o-Hadees mein waarid sood ki hurmat wa laanat aur us par bayaan karda azaab ki wa'eed se maaloom hota hai ke Allah aur us ke Rasool ﷺ ki nigaah mein yeh gunaah sab gunaahon se ziyaada shadeed wa galeez hai. Saari ummat ko Allah is se mahfooz farmaaye. Aameen.

*​(34)➾ Hamesha doosron ki bhalaai chaaho*

 Islaam har ek ke saath khair khwaahi karna sikhaata hai, woh is baat ki taaleem deta hai ke logon ke liye wahi pasand kare jo apne liye pasand karta hai aur jis cheez ko apne liye achchha nahin samajhta, us ko doosre logon ke liye bhi achchha na samjhe. Nabi ﷺ ne is ko badi ahmiyat di hai, Aap ﷺ ne farmaaya: Koi shakhs us waqt tak momin nahin ho sakta, jab tak ke woh apne musalmaan bhaai ke liye wahi pasand na kare jo apne liye pasand karta hai.
 [Sahih Bukhaari: 13]

 Yeh Islaam ki kitni achchhi taaleem hai, ham ko is par amal karna chaahiye aur doosre logon ko bhi is ki targeeb deni chaahiye maslan ham chaahte hain ke doosre log hamaare saath hamdardi karein, izzat wa ehteraam se pesh aayein, qarz lene par mohlat dein, hamaare saath husne sulook aur narmi ka muaamla karein, hamaare saath berehmi aur badmizaaji se pesh na aayein, to hamein bhi un ke saath aisa hi muaamla karna chaahiye, yeh Imaan-e-Kaamil ki alaamat hai.


​(35)➾ Apna kaam khud se karna*

 Hamaara Deen jahaan hamein aur bahot si achchhi baatein sikhaata hai waheen apna kaam khud karne ki targeeb deta hai, jo shakhs apne kaam apne haath se karta hai, Allah Ta'ala us ko kisi ka mohtaaj nahin hone deta. Apna kaam apne haath se karne waale ki muaashare mein sab izzat karte hain aur ghar waalon ki nigaah mein bhi Woh aadmi pasandeedah ban jaata hai, Khud Nabi ﷺ ki Aadat-e-Shareefa yahi thi ke Aap ﷺ apna kaam apne haathon se kiya karte the.
 kisi ne Hazrat Aaisha RaziyAllahu anha se poochha ke Nabi ﷺ jab ghar mein hote, to kya karte the? Hazrat Aaisha RaziyAllahu anha ne jawaab diya: "Jaise tum log ghar waalon ke kaam kaaj karte ho (Aise hi Huzoor ﷺ kiya karte the) apna joota thheek kar liya karte, apna kapda si liya karte aur dol ki marammat kar liya karte the".
[Sahi Ibne Hibbaan: 5676]

Nabi ﷺ ki pyaari beti Hazrat Faatima RaziyAllahu anha bahot hi nek aur ibaadat guzaar theen, Aap ﷺ ne un ke mutaalliq farmaaya ke woh Jannat ki aurton ki sardaar hongi, woh itni badi fazeelat waali theen, magar woh apne kaam khud kiya karti theen, chakki peeste peeste haathon mein ghatte pad gaye the, paani ka Mashak uthhane ki wajah se gale mein nishaan pad gaya tha aur ghar mein jhaadu dene ki wajah se kapde maile hojaate the.

Ek martaba Nabi ﷺ ke paas kuchh gulaam aaye, to Hazrat Ali RaziyAllahu anhu ne Hazrat Faatima RaziyAllahu anha se kaha: Tum apne waalid ke paas jaakar ek khaadim maang lo, Hazrat Faatima RaziyAllahu ahna Huzoor ﷺ ke paas aayein, magar wahaan kuchh log baithhe huwe the, is liye waapas hogaeen....

Doosre roz Nabi ﷺ tashreef laaye aur farmaaya: Kal tum kis zaroorat se aaeen theen? Woh khaamoosh raheen, Hazrat Ali RaziyAllahu anhu waheen the, unhon ne kaha ke ya Rasoolullah! main bataata hoon, chakki chalaane ki wajah se in ke haath mein ghatte pad gaye hain, paani ka mashak uthhane ki wajah se gale mein nishaan pad gaya hai, jab aap ke paas kuchh khaadim aaye, to main ne in se kaha ke jaakar aap se ek khaadim maang lein taake inhein mashaqqat se chhutkara mil jaaye,
Nabi ﷺ ne farmaaya: Aye Faatima! Allah se daro, apne rab ke fareeze ko ada karo aur apne ghar waalon ke kaam kaaj kiya karo aur jab sone ke liye bistar par aao, to 33 martaba *Subhaanallaah,* 33 martaba *Alhamdulillaah* aur 34 martaba *Allaahu Akbar* padh liya karo. Yeh tumhaare liye khaadim se behtar hai. Hazrat faatima RaziyAllahu anha ne farmaaya ke main Allah ke Rasool se raazi hoon.
 [Abu Daawood: 2988]

*​(36)➾ Imaan ki halaawat*

 Jis tarah giza ke andar lazzat aur zaaiqa hota hai aur is lazzat aur zaaiqe ko har shakhs mahsoos karta hai jis ki zabaan aur quwwate zaaiqa sahi ho aur kisi beemaari ki wajah se kharaab na hui ho, agar kisi ki beemaari ki wajah se us ki zabaan kharaab ho jaaye aur us ki quwwate zaaiqa maaoof ho jaaye to achchhi giza ke andar bhi us ko koi lazzat mahsoos nahin hoti hai.

 Bilkul isi tarah Imaan ke andar bhi lazzat halaawat aur sheereeni wa chaashni hoti hai, magar is ki is halaawat aur lazzat ko har shakhs mahsoos nahin kar sakta hai, is ki lazzat wa halaawat un hi ko naseeb hoti hai jinhon ne poori khushdili aur raza wa ragbat se Allah Ta'ala ko apna maalik wa parwardigaar aur ma'bood wa kaarsaaz tasleem kar liya ho, kufr-o-shirk ki gandagiyon se koson door rehta ho balke us se nafrat karta ho aur ikhtiyaar karne mein aisi hi azeeyat aur takleef hoti ho jaisi takleef aag mein jalne par hoti hai.

 Isi tarah Islaam ko apna Deen aur duniya wa aakhirat mein kaamyaabi ke liye apni zindagi ka dastoor bana liya ho, aur Hazrat Muhammad ﷺ ko apna haadi wa rehnuma aur Allah ka aakhri Nabi wa Rasool maanta ho aur har cheez se ziyaada un se muhabbat ho, un ki itaa-at wa farmaan-bardaari karta ho, aur yeh sab cheezein mahaz rasmi taur par na ho balke waaqai dil se in baaton ko tasleem karta ho aur is par woh dil se raazi aur khush ho, to aise log yaqeenan Imaan ki halaawat wa lazzat aur sheereeni wa chaashni ko mahsoos kar leinge, aur jis aadmi ke andar yeh kaifiyat na ho to goya us ka Imaani zaaiqa kamzor hai aur aisa shakhs Imaan ki halaawat wa lazzat ko mahsoos nahin kar sakta hai.

Nabi ﷺ ne farmaaya: Imaan ka maza us shakhs ne chakh liya, jis ne Allah ko apna Rab, Islaam ko apna Deen aur Muhammad (ﷺ) ko apna Rasool maan kar khush ho gaya.
[Sahih Muslim: 160]

 Ek doosri Hadees mein Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Imaan ki halaawat us ko naseeb hogi jis ke andar yeh baatein hongi.
(1) Allah aur us ke Rasool ki muhabbat tamaam maasiwa se ziyaada ho.
(2) Jis aadmi se us ko muhabbat ho sirf Allah ke liye ho.
(3) Imaan ke baad kufr ki tarf palatne se us ko aisi hi aziyat aur takleef hoti ho jaisi ke aag mein daale jaane se hoti hai.
 [Sahih Bukhaari: 16]

No comments:

Post a Comment