Sunday, April 2, 2017

*APNA KAAM KHUD SE KARNA*

BISMILLAH

  Hamaare Deen Jahaan hamein aur  bahot  si  achchhi  baatein sikhaata hai waheen apna kaam khud  karne  ki  targeeb  deta hai, jo shakhs apna kaam apne haath se  karta  hai , Allah Ta'ala  us ko kisi ka mohtaaj nahin hone deta.

Apna kaam apne haath se karne waale  ki  muaashare  mein  sab izzat karte hain aur ghar waalon ki  nigaah  mein  bhi  woh aadmi pasandeedah ban jaata hai. Khud Nabi  ﷺ  ki  Aadat-e-Shareefa yehi  thi  ki  aap  ﷺ  apna  kaam apne  haathon  se kiya  karte the.

Kisi  ne  Hazrat  Aaisha  Radi Allahu  anha  se  poochha  ke Nabi  ﷺ  jab ghar mein hote, to kya karte the?

Hazrat Aaisha Radi  Allahu  anha  ne  jawaab diya: "Jaise tum log ghar waalon ke  kaam  kaaj  karte  ho  ( Aise hi  Nabi  ﷺ  kiya  karte  the )apna  joota thheek kar liya karte, apna kapda  si liya karte aur dol ki marammat kar liya karte the".
*[Sahi Ibne Hibbaan:5676]*

Ek martaba Nabi  ﷺ  ke paas kuch gulaam  aaye , to Hazrat Ali Radi Allahu  Anhu  ne Hazrat Faatima  Radi  Allahu  Anha  se kaha: Tum apne waalid  ke paas jaakar  ek  khaadim  maang  lo ,
Hazrat Faatima Radi Allahu Anha Nabi ﷺ ke paas aayein, magar wahaan kuchh log baithhe huwe the ,  is  liye  waapas  hogaeen, doosre roz

 Nabi  ﷺ  tashreef
laaye aur farmaaya :

kal tum kis zaroorat  se  aaeen  theen? Woh khaamoosh  raheen , Hazrat  Ali Radi  Allahu  Anhu  waheen  the, unhon ne kaha ke

 ya Rasoolullah!
    Main  bataata  hoon ,  chakki chalaane ki wajah se in ke haath main ghatte pad gaye hain, paani ka mashak uthhane ki wajah se gale main nishaan pad gaya hai, jab aap ke paas kuchh khaadim aaye , to  main  ne  in se kaha ke jaakar aap se ek khaadim maang lein taake inhein  mashaqqat se chhutkara mil jaaye,

Nabi  ﷺne farmaaya: Aye Faatima! Allah se daro, apne rab  ke fareeze ko ada karo aur  apne  ghar waalon ke kaam kaaj  kiya  karo  aur jab sone  ke  liye  bistar  par aao, to 33 martaba  *SubhaanaAllaah*,
  33 martaba *Alhamdulillaah* aur
  34 martaba *Allaahu Akbar* padhliya  karo.
Yeh  tumhaare  liye khaadim se  behtar  hai.

Hazrat faatima  Radi  Allahu  Anha  ne farmaaya  ke  main  Allah  ke Rasool  se  raazi  hoon.
 [Abu Dawood: 2988]

*✍🏻Ref:* Deeniyat Course book [Idara-e-Deeniyat]

No comments:

Post a Comment