Sunday, April 2, 2017

*MUSALMAAN AAZMAAYE JAAENGEY.* -

BISMILLAH

ALLaah Ta'aaLaa Ne Farmaaya :

"Kiya Tum Yeh Samajh Baithey Ho Ke Tum Chhord Diye Jaaogey HaaLanke Ab Tak ALLaah Ne Tum Mein Unhein Zaahir Nahi Kiya Jo Jihaad Karney WaaLey Hain Aur Jin Hone ALLaah Ke Aur Us Ke RasooL Ke Aur Muminon Ke Siwa Kisi Ko Dost Nahi Banaaya. ALLaah Khoob Khabar Daar Hai Jo Tum Kar Rahey Ho."

"Do you think that you will be left [as you are] while ALLaah has not yet made evident those among you who strive [for His cause] and do not take other than ALLaah, His Messenger and the believers as intimates? And ALLaah is Acquainted with what you do."
-
*[Soorah At-Taubah, Aayat : 16]*
-
TAFSEER : MusaLmaan Bhi Aazmaaye Jaaengey. Yeh Naamumkin Hai Ke Baghair Imtehaan Ke MusaLmaan Bhi  Chhord Diye Jaaye. Sachchey Aur Jhootey MusaLmaan Ko Zaahir Karna Zaroori Hai.

ALLaah Ta'aaLaa Ne Kaha: "ALLaah Aisa Nahi Hai Ke Tum Muminon Ko Tumhaari HaaLat Par Hi Chhord Dey Aur Imtehaan Karke Yeh Na MaLoom KarLe Ke Khabees (Naapaak) Kaun Hai Aur Tayyib (Paak) Kaun Hai ? *[AaL-Imraan : 179]*

Pas Jihaad Ke Mashroo Karney Mein Ek Hikmat Yeh Bhi Hai Ke Kharey, Khotey Ki Tameez Hojati Hai Jabke ALLaah Ta'aaLaa Har Cheez Se WaaQif Hai. Jo Hoga Woh Bhi Usey MaLoom Hai Aur Jo Nahi Hua Woh Kab Hoga Aur Kis Tarah Hoga Yeh Bhi Woh Jaanta Hai.
-
*[Tafseer Ibn Kaseer]*

No comments:

Post a Comment