Sunday, April 9, 2017

GUNAAH KARNA PHIR ALLAAH SE MAGHFIRAT KI UMMEED RAKH KAR TAUBAH KARNA.

BISMILLAH

Raavi e Hadees Abu Hurairah (RadiyALLAAHu Anhu)
-
Unho Ne Nabi (SaLLALLAAHu ALaihi Wa SaLLam) Se Suna Ke :
-
“Ek Bandey Ne Bohat Gunaah Kiye Aur Kaha Aye Merey Rabb ! Tera hi Gunahgaar Bandah Hoon Tu Mujhe Bakhsh Dey (Muaaf Kardey),

ALLaah RABB-UL-IZZAT Ne Farmaaya: "Mera Banda Jaanta Hai Ke Uska Koi Rabb Zaroor Hai Jo Gunaah Muaaf Karta Hai Aur Gunaah Ki Vajah Se Sazaa Bhi Deta Hai Mai Ne Apne Bandey Ko Bakhsh Diya (Muaaf Kardiya),

Phir Banda Ruka Raha (Gunaah Karne Se) Jitna ALLAAH Ne Chaaha Aur Phir Us Ne Gunaah Kiya Aur A’rz Kiya: "Merey RABB ! Mai Ne Dobaara Gunaah Kar Liya, Usey Bhi Bakhsh Dey.

ALLaah Ta'aaLaa Ne Farmaaya: Mera Banda Jaanta Hai Ke Us Ka Rabb Zaroor Hai Jo Gunaah Muaaf Karta Hai Aur Us Ke BadLey Mein Sazaa Deta Hai, Mai Ne Apne Bandey Ko Bakhsh Diya,

Phir Jab Tak ALLaah Ne Chaaha Banda Gunaah Se Ruka Raha Aur Phir Us Ne Gunaah Kiya Aur ALLaah Ke Huzoor Arz Kiya: Aye Merey Rabb ! Mai Ne Gunaah Phir Kar Liya Hai Tu Mujhe Bakhsh Dey.

ALLaah Ta'aaLaa Ne Farmaaya: Mera Banda Jaanta Hai Ke Us Ka Ek Rab Zaroor Hai Jo Gunaah Muaaf Karta Hai Warna Us Ki Wajah Se Sazaa Bhi Deta Hai Mai Ne Apne Bandey Ko Bakhsh Diya Teen (3) Martaba, Pas Ab Jo Chaahey AmaL Karey.”
-
[Saheeh AL-Bukhaari, Kitaab-Ut-Tauheed, Hadees : 7507 ; Saheeh MusLim : 6986, 6987]
-
VAZAAHAT : MaLoom Hua Ke Jab Tak Banda ALLaah Se Gunaahon Ki Taubah Karta Rahega ALLaah Us Bandey Ki Taubah QubooL Karta Rahega.
-
Lekin Iska MatLab Yeh Nahi Ke Baar Baar Gunaah Karein, Aur ALLaah Bhi Sirf Wahi Bandey Ki Taubah QubooL Karta Hai Jo Sachchey DiL Se Taubah Karta Ho. Aur Yeh A'hd Karey Ke Phir Se Yeh Gunaah Mujhse Nahi Hoga. Tou ALLaah Zaroor Taubah QubooL KarLega.
-
Is Hadees Mein Bhi ALLaah Ka KaLaam Ek Gunahgaar Ke MutaLLiQ Mazkoor Hai Aur Yeh BatLaana Bhi MaQsad Hai Ke Qur-aan Majeed ALLaah Ka KaLaam Hai Magar Qur-aan Ke ALaavah Bhi ALLaah KaLaam Karta Hai.

No comments:

Post a Comment