Sunday, April 9, 2017

QUR-AAN MEIN TAAGHOOT KISEY KAHA GAYA HAI ? -

BISMILLAH

JAWAAB : Har Woh Kaam Jo ALLaah Ki Sharee'at Ke KhiLaaf Ho Aur Us Mein ALLaah Ki Razamandi Ke Bajaaye Kisi Aur Ki Razamandi MatLoob Ho, Tou Usey Taaghoot Kehte Hain.
-
1. Ibn Taimiyyah (RahimahuLLaah) Ne Kaha :

"ALLaah Ki Kitaab Ke Baghair Agar Koi
Hukmaraan (leader) Ya Qaazi (judge) FaisLa Karta Hai Tou Usey Taaghoot Kaha Jaata Hai."
-
[Majmooah AL-Fataawaa : 28/201]
-
2. Ibn AL-Qayyim (RahimahuLLaah) Kehte Hain :

"Har Qaum Ka Taaghoot Woh Hai Jis Ke Paas Log Apne FaisLey Lekar Jaatey Hain (Aur Woh FaisLa Karney WaaLa ALLaah Aur Us Ke RasooL (SaLLaLLaahu ALaihi Wa SaLLam) Ke Qaanoon Ke Baghair Doosrey Qaanoon Ke MutaabiQ FaisLa Karta Ho)."
-
[ILaam AL-MuwaQQieen : 1/40]

No comments:

Post a Comment