BISMILLAH
DARGAHO ki ZIYARAT karna KAISA hai 
Jawab :
Islami Shariyat ne Qabr-stan jakar waha se ibrat hasil karne aur mayyat ke haq me dua karne se nahi roka hai, jaisa ke Nabi s ne pahle Musalmano ko Qabr-stan jaane se roka tha baad me ijaazat dedi.
Aaye wo Hadees dekh lete hai:
Abu Huraira Radhiallahu anhu bayan karte hain ke Rasoolullah sallallaho alaihi wasallam apni Maa ki Qabr ke paas gaye, wo roye aur unke sath Sahaba bhi roye, fir uske baad Rasoolullah ne kaha ke :
Maine mere Rab se meri Maa ki Maghfirat (Maafi) ke liye dua karne ki ijaazat mangi, lekin Allah ne Maa ki Maghfirat ke liye dua karne ki ijaazat nahi di, aur maine meri Maa ki Qabr ki ziyaarat ke liye ijaazat (Permission) mangi to Allah ne ijaazat dedi. Isliye (Sahaba tum bhi) Qabro ki ziyarat kiya karo kyunke ye ziyarat Maut ki yaad ke liye hai”.(Sahih Muslim, 3/65; Abu Dawood, 2/72; Al-Nasaa’i, 1/286; Ibn Maajah, Al-Haakim, Al-Bayhaqi aur Musnad-e-Ahmad)
 Is Hadees se pata chalta hai ke : 
1⃣Nabi (SallallahuA’laihiWaSallam) apni Pyari Maa ki Maafi ke liye dua nahi kar paaye kyunke unke Maa ki Maut Shirk par hui thi.
2⃣Dekhiye Shirk kitna Khatarnaak gunaah hai jiske wajah se Allah Nabi ke Maa (aur durse aur ek Hadees ke Mutabik Nabi s ke Walid) ko bhi nahi baqsha.
3⃣Aaj Ummat shirk par shirk karte jarahi hai aur Awliya ke kandho par takiya lagakar Jannat me daakhile ki ummid laga baithi hai. Ye sirf ek dhoka hai.
4⃣Qabro ke ziyarat ka Maqsad bataya gaya ke waha se ibrat hasil karo, apne maut ko yaad karo.
5⃣Agar Qabr Mumin ki hai to uske Magfiraat (Maafi) ke liye dua bhi kar sakte hai lekin usse kuchh bhi nahi mang sakte, usko zindo ke dua ki zarurat hai naake ke zindo ko murdo ke duao ki.
6⃣Mushrik ke Magfirat ke liye dua nahi kar sakte hai, isliye apne Khadan walo ko shirk se bachaao taake unke marne baad ham unke liye dua to kar sake warna unke liye duao ka darwaaza bhi band ho jayega.
7⃣Dusri ahem baat ye malum hoti hai ke Nabi (SallallahuA’laihiWaSallam) Deen ka har kaam Allah ke hukm ke mutabiq kiya karte the. Aaj  hamne apni taraf se neki samaj samaj kar kai ibaadato me Biddatein ijaat ki hai.
 Qabro par jaane ki PERMISSION ko sahara banakar logo ne Awliya ke Dargaaho ki ziyarat karna shuru kar diya aur DARGAAHO ki ziyarat ko HALAL bana liya hai.
Qabr aur dargaah me fark:
1⃣Dargaah bhi ek tarah ki Qabr hi hai lekin aaj logo ne usko Masjid jaisa Muqam dekar  Daragaaho “ibaadat-gaah” bana liya hai. Daragahe Ruku-Sajde ki jagah aur Shirk aur Khurafat ka adda ban chuki hai.
2⃣Isliye Qabr aur Dargaah me bahot bada fark hogaya hai. jaisake Qabr par jaane se Akhirat aur Maut yaad aati hai, lekin Dargaah par jaane se Duniya yaad ati hai, waha mele sajaye jaate hai, nach-gana hota hai, dhol-baje bajaye jaate hai, bazaar sajta hai, kharedi-bikri hoti, mard aurato ka milna julna hota hai wagaira wagaira.
3⃣Dusri bat Nabi s ne Qabr ko Unchi, pukhta aur us par baithne se mana kiya.
Jaisa ke …
Jabir Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne :
“Qabro ko pukhta (mazboot) karne aur un par tameer (construction) karne aur un par baithne se mana kiya hai”.(Sunan Nasaii, Vol 1, 2032-Sahih, Jamia Tirmidhi, Vol 1, 1040-Sahih)
Dargaaho ke ZIYARAT ke liye SAFAR karna kaisa hai 
🔹Dusri taraf, Islami Shariyat ne sirf 3 Jagaho ki Ziyarat ke liye safar karne ki ijaazat di hai jisme Makka ki “Masjid-e-Haram”, Madina ki “Masjid-e-Nabawi”, aur Falistin ki “Masjid-e-Aqsa”. Yaha khaas baat ye hai ke tino jagahe Allah ke Ghar hai yani Masjid hai.
✔Aye dekhte hai wo Hadees,
🌴 Rasoolullah s ka irshad hai ke :
“Kisi dusre Masjido ke liye Safar nahi kiya jana chahiye lekin 3 Masaajid ke alawa: Masjid-e-Haram, Masjid-e-Nabawi aur Masjid-e-Aqsa”.
📙(Is Hadees ko Imam Bukhari wa Muslim ne Riwayat kiya hai, Sahih Bukaari – 1189, Sahih Muslim – 1397).
🔺 Is se ye baat malum hoti hai ke : 🔻
1⃣Yaha in 3 Masjido ke alawa, kisi chawthi (4th) Masjid ke ziyarat (visit) ke liye safar PERMISSION tab nahi di gayi to bhala kaise kisi Awliya ke DARGAAH ki ziyarat ke liye SAWAB ki niyyat se ham safar kar sakte hai?, hatta ke koi Musalman sirf khaas Nabi (SallallahuA’laihiWaSallam) ki Qabr-e-Mubarak ki ziyarat ke liye bhi safar Madina ka safar nahi kar sakta. (Han, agar aapka Masjid-e-Nabawi ke ziyarat ke liye jana huwa to sath me Nabi s ke Qabr-e-Mubarak ki ziyarat karne me koi harj nahi, lekin iske liye KHAAS SAFAR nahi karenge.)
2⃣ Islam me Dargaaho ka koi MUQAAM nahi hai warna is Hadees me Allah apne 3 Masjido ke sath sath kisi Ambiya ki Qabr ki ziyarat ke liye safar karne ka hukm deta, isliye Dargaah banana aur uske ziyarat ke liye SAFAR karna HARAM hai, ye SHIRK me bhi shamil hosakta hai.
3⃣Lekin aaj dekha jata hai ke Musalman Dargaaho ke ziyarat ke liye Ajmer, Gulbarga, Nizamuddin aur na-jaane kaha-kaha jaate hai jaisa Non-Muslim jaate hai Kaashi, Amarnath, Kanya-Kumari, Tirupati, Pandharpur, Tuljapur wagaira wagaira.
Kya Qabr-Parsti SHIRK nahi hai?
Jawab :
Islam chahta hai ke saari Insaniyat apne Rab yani sirf Ek Allah ki ibadaat kare aur Shirk se dur rahe isliye Allah apne Ambiya ko bhejta raha taake Insaniyat shirk ke dal-dal baher aajaaye aur Jannat ki mustahiq ban jaaye iske baawjood aaj bhi is zameen par Insan hi aisi makhluq hai jo Allah ke sath Shirk karti hai halanke Allah ne Insan ko Aqal ataa ki hai, kitab ka ilm diya hai.
Rab us Hasti ko kaha jayega jisne Zameen wa Asman ke sath sath saari Makhluq ko paida kiya ho aur unke zarurato ko pura bhi karta ho. Allah ek waqt me Insano se lekar Janwaro tak ki baato ko sunta hai, samjta hai aur unke zarurato ko pura bhi karta hai. Insan ne jo Awliya ko Ibaadat ka darja de rakha hai unko lagta hai ke ye AWLIYA HAMARI duawo ko sunte hai aur hamari zarurato ko pura bhi karte hai, lekin kya unke Awliya Machhliyo, Janwaro, Parindo wagaira wagaira ki dua ko samjte aur sunte bhi hai?
Mera Rab to Dil ke haal ko bhi janta hai, Kya duniya ki koi aisi hasti hai jo Insano ke dil ke haal bhi jaan paye?
Aapke mutabik Awliya sirf Insano ki Zarurato ko pura kar sakte hai kyunke Insan ke paas zuban hai isliye wo apni baat Awliya ke Qabr par jakar kah sakta hai lekin ye Machhliyo, Janwaro, Parindo wagaira wagaira ki dua kaun sunta hai, unke mushkilaat ko kaun hal karta hai.
Sab se pahle hamko ye baat samjna hai ke ibaadat kise kaha jata hai? Ahle Ilm kahte hai ke, Ibaadat har us amal ka naam hai jo Allah ke razamandi ke liye Nabi s ke Sunnat ke mutabik kiya jaaye. Allah ki ibadat me Ruku, Sajda, Mannat, dua, Muhabbat, Dushmani, darr, khauf sab kuchh dakhil hai. Isliye mera Rab mera Wali hai kyunke wo meri bhi baat ko sunta hai aur dusre mukhlaqat ki bhi. Isliye mai Allah ko chhod kar aise hastiyo ki ibaadat kyun karu jinone kisiko paida nahi kiya aur naahi kisi ke baat ko sun sakte hai aur na hi pura kar sakte hai.
Insan ke siway, kya apne kabhi dekha hai kisi Gaay, Bail, Bakri, Sher, Cheeta ko  kisi Dargaah par jaakar Awliya se kuchh manga ho?
Agar yahi Ruku, Sajda, Mannat kisi Gairullah ke dar par jakar kiya jaaye to yahi kaam GAIRULLAH ki ibaadat kaha jayega. Isko SHIRK-fil-Ibadaadat kaha jaata hai. Jo Insan Allah ke Ibaadat me shirk karta hai, jaane-anjaane me wo Allah ke Rabubiyat aur Allah ke Asma wa Sifaat me bhi shirk karne lag jata hai, is tarah wo SHIRK ke dal-dal me fasta chala jata hai.
Gairullah kise kahenge?
Gairullah yani Allah ko chhod kar uski saari mukhluq jaise Ambiya, Awliya, Murshid, Chand, Suraj, Aag wagaira wagaira…
Aur ek baat yaha samjna zaruri ye hai ke, Allah ke haqiqi Awliya jo hai unke liye unke Nekiyo ka Ajr Allah ke paas zarur milega. WO unki kamaayi lekar chale gaye. Ab hamko unki firk na karte huye apni nekiyo ki kamayi ki taraf dhayan dena hoga.  Aur Allah ke haqiqi Awliya jo hote hai wo kabhi insaniyat ko Shirk ki taraf dawat nahi dete hai, lekin unke pairokaro ne Awliya ke shaan me Gulu kiya aur unko Uluhiyat (ibaadat) ka darja derakha. Awliya bhi  TAWHEED aur Itteba-e-Sunnat ki raah par chalne wale hote hai.
Aajkal logo ne apne-apne Sufiyo aur buzrugo ko Awliya bana baithe hai aur unke Qabro ko SHIRK ka Adda bankar Mujawari karne baith gaye. Apna Business khol kar baith gaye.
Aam taur par ye samja jata hai ke, is duniye me jo log “Murti Pooja” kar rahe hai bas wahi SHIRK hai baaqi Awliya ke Qabro par yaani DARGAAH par jakar apna sar jhukana, ruku karna, mannat mangana, unse beta-beti mangana, unke naam ki niyaaz karna ye saare amaal Shirk me nahi aate hai kyunke hamare Awliya MUSLIM the aur jo log Murti-parsti kar rahe hai wo shirk nahi hai kyunke jinki MURTIYA banayi gayi wo gair-muslim the. Yaha baat samjne ki ye hai ke “aapke Awliya” aur “unke Sadhu-Sant” dono bhi Gairullah hai aur Gairullah ki ibaadat karna “SHIRK” hai.
Aye dekhte hai Murti-Parsti aur Qabr-Parsti ek hi chiz ke 2 naam hai.
kyunke,
Murti-parst aur Qabr-Parst dono hi Gairullah ki ibadat kar rahe hai, dono ka amal  Allah ke Tawheed me shirk hai. Agar baghair tawba ke mar jaaye to dono ka thikana Jahannam hai.
Murti-Parst, Murti ko sirf patthar nahi samjta balke Murti ke Roop me wo RAAM, SAI-BABA wagaira wagaira ki ibaadat kar raha hai. Dusri taraf, Qabr-Parst, Qabr ko sirf Qabr nahi samajta balke is Qabr ke Roop me Qabr me dafan kiye gaye SAILANI BABA, KHWAJA GARIB NAWAZ  wagaira wagaira ki ibaadat kar raha hai.
Jaha Murti-Parst Murti ko “Ishwar” tak pahunchne ka wasila samjta hai wahi Qabr-Parst Qabr ko “Allah” tak pahunchne ka wasila samajta hai.
Jis tarah ham Musalman Allah ke nek bando ko Awliya kahte hai usi tarah Non-Muslim bhaiyo ke Awliya yaani unke sadhu-Sant hote hai. Non-Muslim bhai unke Awliya ke marne ke baad unke naam par Mandir bana dete hai aur  Musalman bhai Dargaah Bana dete hai. Bas yahi farq hai.
Murti-Parsti ho ya Qabr-parsti ho karne wala NEK NIYYATI se hi karta hai. Koi bhi Murti-Parsti karne wala kisi Shaitan ki ibaadat nahi karta balke apne dharm ke Awliya ki yani Sadhu-Santo ki Murtiya bana kar unki ibaadat karta hai, aur Musalman Murtiyo ke jagah Qabr ya Qabr wale ki Photo ki ibaadat karta hai. Bahot saare Dargaah parst apne gharo me Awliya ke ya unke Dargaaho ke photos ghar ke diwaro par lakaate hai.
Shirk naam hi us chiz ka hai ke Allah ko apna Rab taslim karle lekin sath sath uske kisi makhluq ko uske sath sharik kare, aur kufr ye hota hai ke ALLAH ko hi na maane. Aap dekhenge ke Non-Muslim bhai bhi ye baat taslim karte hai ke koi na koi 1 hasti hai jo is qaynaat ko chala rahi hai, lekin unka aqeeda ye hota hai ke hamare saadhu-santo ko us ne ikhtiyaraat de rakhe hai isliye ham in Saadhu santo ke Murtiyo ki parstish karte hai.  Koi bhi Non-Muslim apne Awliya yani saadhu ko apna paida karne wala nahi samjta hai.
Dusri ahem baat ye hai ke is amal ke pichhe chhupa huwa aqeeda. Murti-Parst aur Qabr parst ka Aqeeda ye hota hai ke, is Qabr wale ko Allah ne kuchh ikhtiyaraat de rakhe hai isliye is Qabr wale ke paas ye taqat hai ke wo kisi ke dua ko sun le, kisi ke pareshani ko dur kare, kisi ko Awlaad ataa kare, kisi ko nuqsaan ya nafa pahunchaye.
Ham FIQH ko maan ne wale log, agar ham Qabr ko Murti par qayas karenge to koi farq nazar nahi ayega, amal wahi hai lekin shakl badli hui hai.
 Daleel No. 1:
Is zameen par sabse pahle SHIRK Nooh (Alaihi wasSalaam) ki qaum se Shuru huwa, unki qaum bahot saare Gunaaho me mulawwis thi lekin usme sab se bada gunah SHIRK tha, Nooh (Alaihi wasSalaam)  950 saal Tawheed ki dawat dete rahe lekin unke qaum ne Tawheed ko nahi apnaya tha, kuchh logo ke  siway puri qaum Shirk chhodne ko tayyar nahi thi,  wo qaum jo Murtiyo/Putlo ki ibaadat kiyaa karti thi wo koi Shaitano ki Murtiya nahi thi balke us qaum ke “5 Nek-Salehin Awliya” ki murtiya banayi gayi thi jo pancho hi Muslim the jinke naam Wadd,Su’aa, Yagoos, Yaooq aur Nasr tha,
Aaiye dekhte hain Allah ne khud Quran me in Panch Awliya ke bareme kya kaha ,
“Aur (ulta apas me) kahne lage ke apne maa’boodo  (Gods) ko hargiz na chhodna aur na Wadd aur Su’aa ko aur na Yagoos aur Yaooq aur Nasr ko chhodna”.(Surah 71 Nuh  : 23)
Is ayat ki tafseer me Sahih Bukhari me ek Hadees aayi hai jisme Abdullah bin Abbas (Ra) ne kaha hai ke Wadd, Su’aa, Yagoos, Yaooq aur Nasr ye Musalman the aur us qaum ke 5 Awliya the yani Nek-Parezgaar log the. In 5 Awliya ki maut ke baad us qaum ne in pancho ki murtiya banakar unki parstish karna shuru kar diya tha. Unke Wasile se har chiz Allah se manga karte the.
Agar Awliya ki Qabro ya Murtiyo ke samne Ruku, Sajda, Mannat karna agar SHIRK na hota to Allah aur Nooh alaihis salam is amal ko na rokte, aur Allah us Nooh alaihis salam ke Qaum ko Paani me gharq na karta.
  Daleel No. 2:
Hamare Pyare Rasool, Muhammad sallallaho alaihi wasallam ke qaum me bhi Makka ke log jo ke 360 Butt (Murtiyo) ki ibaadat kiya karte the, jinke wasile se Allah se dua kiya karte the wo Murtiya koi Shaitano ki nahi thi balke usne Ibrahim (A), Ismail (A), Jibril (A) aur Laat, Uzza, Manaat ki Murtiya thi.
Makka ke log Allah ko hi apna Rab taslim kiya karte the isiliye Nabi s ke walid ka naam “Abdullah” (Allah ka Banda) tha. Aur bhi bahot saare Abdullah naam ke log Makka me maujud the jaisa ke “Abdullah bin Judaan” ye shakhs Makka ka sabse bada sakhi Insan tha lekin Rasoolullah s ne is baare me kaha ke ye Jahannam me hai kyunke ye MUSHRIK tha. Nabi s ke 1 chacha ka naam “Abdul Kaabaa” (Kaabaa ka Bandaa) tha. Ham sab jante hai ke “Kaabaa” ko Allah ne apna ghar kaha hai. Aur Makka ke log Hajj bhi kiya karte the, har saal Hajiyo ki khidmat bhi kiya karte the, isiliye Janab Muhammadur Rasoolullah ke Nabuwat se pahle Makka walo ko MUSALMAN hi samja jata tha. Lekin Nabuwat ke baad jab Makka ke Mushrikino ne apni Islaah nahi ki, Shirk Chhodne ko tayyar nahi the tab jakar Allah ne unko MUSHRIK qarar diya hai.
Fir Makka ke logo SHIRK kya tha?
Makka wale Allah ko apna Rab taslim karte the, aur uski ibaadat bhi karte the jaisa Hajj wagaira lekin uska shirk bus ye tha ke wo log Allah ki ibaadat me apne apne Awliya ko sharik kiya karte the. Awliya ko Allah tak pahunchne ka wasila bana karte the.
Jaisa ke Allah khud apni Kitab me Mushrikin-e-Makka ke shirk ke bareme kaha hai wo log Awliya ko Allah tak pahunchne ka wasila (zariya) banate the:
Dekhiye wo ayat jis me ye baat aayi hia:
 “Hum unki (Awliya ki) ibaadat sirf isi liye karte hai ke ye (buzrug) Allah ke muqrab (Kharib) bana de.”(Surah 39 Zumar: 03)
Aaj bhi logo me wasile wali ek misal kaafi mash’hoor hai ke jis tarah “Badshah” tak pahunchna ho to “Wazir” ki zarurat hoti hai, Deewar par chadhna ho to “Sidi” ki zarurat hoti hai, usi tarah Allah tak pahunchna ho to “Awliya” ke Wasile zarurat hoti hai.
Yahi to “Wasile” wala shirk Makka ke Mushrikin kiya karte the isliye Allah ne unko “Mushrik” kaha hai. Fir ham Mushrikana Wasile wala shirk ko karne wale kaise “Pakke Sunni Muslman” ban gaye?
  Daleel No. 3:
Makka walo ki tarah, Janab Muhammadur Rasoolullah ke Nabuwat se pahle Yahood wa Nasara ko bhi Musalman sajma jata tha. Baad me unhone Muhammad s ki Nabuwat ko taslim nahi kiya isi wajah se Allah ne Kafir kaha hai.
Ham sab jante hai ke Rasoolullah s ne Yahood wa Nasara par Allah ki lanat (fitkaar) bheji hai. Kya kabhi apne gaur kiye ke Rasoolullah s ne kyun bad-dua di ? Unka Gunah kya tha ? Kya Yahood wa Nasara Shaitano ke Qabro par jakar Ibadaat kiya karte the ? Yahood wa Nasara na hi Shaitano ki aur na hi Awliya ke Qabro ki ibadata kiya karte the balke wo to  Insano me sabse Aaala Darje ke Insano ki yani Ambiya (Nabiyo) ke Qabro ko “Masjid” bana liya tha, Yaani jis tarah se Masjid me Allah ke liye Ruku, Sajde kiye jaate hai
Nabi (SallallahuA’laihiWaSallam) ke Alaaz padhiye :
لَعْنَةُ اللَّهِ عَلَى الْيَهُودِ وَالنَّصَارَى اتَّخَذُوا ، قُبُورَ أَنْبِيَائِهِمْ مَسَاجِدَ(Sahih Bukhari, Hadees No – 5815)
 Turjuma:
 Ayesha Radhi (Radhi..) se riyawat hai ke Rasoolullah s ne farmaya ke:
“Yahood (Jews) wa Nasaaraa (Christian) par Allah ki laanat (gazab) ho kyunke Unone Apne Ambiya ki “Qabro” ko “Masjid” yani “Ibadaat-gaah” bana liya tha”.(Sahih Bukhari, Hadees No – 5815)
Khulasa:
Murti ya Qabr ko chhodiye, is Modern daur me agar aaj koi Insan Computer ki ya Mobile ki ya Paiso ki ibaadat karne lag jaaye to kya ye SHIRK nahi hoga?