Wednesday, September 30, 2015

Nawaqiz Wuzu (Wuzu Todne Wali Chize)

BISMILLAH
SHARAMGAAH KO HAATH LAGAANE SE WUZU :
Nabi e Akram ne farmaya: ‘Jo shaqs sharamgah ko haath lagae pas wo wuzu kare.’                                                                 (Abu Dawood: al Tahaara P181). Ise Imam Tirmizee (al Tahaara: Baab al Wuzu 82) ne ise Hasan Saheeh kaha.                                          
Ye hukam tab hai jab kapde ke baghair barah raast hath lage wallah a’alam.

NEEND SE WUZU:
Sayyadna Ali riwayat karte hain ke Rasool Allah ne farmaya: ‘Dono’n aankhei’n, Suren ki sarband (tasma) hain. Pas jo
shaqs so jaae ise chaahiey ke dobarah wuzu kare.’
(Abu Dawood: al Tahaara 203 – Ibne Majja: al Tahaara 277) Ise Imam Ibne Islaah aur Imam Nawavi ne Hasan kaha.


HAWA QHAARIJ HONE SE WUZU :
Rasool Allah ke saamne ek aise shaqs ki haalat bayan ki gai jise qhayal aaya ke namaz mein iski hawa qhaarij hui hai to
Nabi e Akram ne farmaya: ‘Namaz is waqt tak na tode jab tak (hawa nikalne ki) awaaz na sun le ya ise badboo mehsoos ho.’
(Bukhari: al Wuzu 137 – Muslim 361)
Is hadees se ma’aloom hua ke jab tak hawa qhaarij hone ka mukammil yaqeen na ho jaae wuzu nahi toothta lehaza jise
peshab ke qatro’n ya waham ki bimaari hua ise bhi jaan lena chahiey ke wuzu ek haqeeqat hai, ek yaqeen hai ye 

yaqeen se hi tootha ha.Shaky a waham se nahi.

QAE , NAKSEER AUR WUZU :
Qae ya nakseer aane se wuzu toot jaane waali riwayat ko jo Ibne Majja (1221) mein hai. Imaam Ahmad aur deegar muhaddiseen
ne zaeef kaha hai, balke is silsile ki tamam riwayat saqht zaeef hain. Lehaza ‘Bara’at Asliya’ par amal karte hue (ye kaha jaasakta
hai ke) qhoon nikalne se wazu faasid nahi hota. Iski taeed is wa’aqea se bhi hoti hai, jo Ghazwa Zaat ar Raqa’a me pesh aaya. 


Jab ek Ansaari Sahaabi raat ko namaz padh rahe the, kisi dushman ne in par 3 teer chaae jin ki wajah se wo saqht zaqhmi hogae aur inke jism se qhoon behne laga magar iske bawajood wo apni 
namaz mein mashghool rahe.

(Abu Dawood: al Tahaara 198) Ise Imaam Haakim V1 P56 aur Imam Zahabi ne Saheeh kaha.


Ye ho‐hee nahi sakta ke Rasool Allah ko is waqa ka ilm na hua ho ya aap ko ilm hua aur aapne inhei’n namaz lautane ya
qhoon behne se wuzu toot jaane ka masla bataya magar saheeh ahadees me iska zikar na ho. Isi tarha jab Umar zaqhmi kie 
gae to aap isi haalat me namaz padhte rahe halan’ke aapke jism se qhoon jaari tha.

(Muwatta Imam Maalik: al Tahaara V1 P39 – Baheqhee V1 P357)
Is se ma’aloom hua ke qhoon ka behna naaqis e wuzu nahi hai.


Rasool Allah ne farmaya: ‘Agar namaz mein wuzu tuth jaae to naak par haath rakh kar lauto (T: Turn around & leave).’
(Abu Dawood: al Salah 1114) Ise Imam Haakim aur Imam Zahabi ne Saheeh kaha.

Tuesday, September 29, 2015

NAMAAZ ME WUZU KA TOOTNA


BISMILLAH

SAWAL :

Namaaz ke darmiyaan agar kisi ka wazu toot jaaye tho kya is par namaaz chhod kar wuzu karna laazmi hai? Isi tarah agar Imaam ka wazu toot jaaye tho wo kya kare? Namaaz chhod kar wazu karna padega ya wo namaaz pora karega?

Alhamdulillah.

ANSWER:

Namaaz ke liye wuzu ka hona shart hai. Jab wuzu toot jaaye toh namaazi ko namaaz chhod kar chale jaana chahiye aur naye sire se wazu kar ke namaaz ada karni chahiye.
Agar Imaam hai toh peeche se kisi ko aage khada kar k chala jaaye aur naye sire se wazu kar ke namaaz ada kare aur yeh bhi yaad rahe ke namaaz ibteda se shuro kare naa ke jahan chhodi thi waha se.

Sayyadna Hazrat Ali bin Talq r.a. se riwayat hai, “Jab tum me se koi aadmi namaaz me apni hawa kharij kare toh wo wapas jaa kar wazu kare aur namaaz dobara padhe”.
Sunan Tirmidhi, hadith- 1124,1166.
Adbul Razzaq, hadith- 139.
Ibn Hibban, hadith- 203,204.
al-Daraqutni, hadith- 153.

Ulma e hanaf ke yaha yeh masla hai ke namazi ka wazu toot jaaye toh wo chala jaaye aur wazu kar ke aaye aur agar is ne namaz ke manafi koi harkat nahi ki ho toh jahan namaaz chodi thi wahin se ibteda kare naye sire se namaaz ada na kare aur iski dalail me wo yeh riwayat pesh karte hai:

Sayyada Ayesha r.a. se riwayat hai Rasool SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya, “Jaise qai,nakeer ya pet ka khana ya mazi aajaye fir wo jaaye wazu kare aur apni namaaz par bana kare basharte ke wo dawraan kalaam naa kiya ho.”

Sunan Ibn e majah, hadith-1221, al-Daraqutni, hadith- 153, 155.
Source: http://sunnah.com/urn/1285690

Yeh riwayat ZAEF(WEAK) hai jaisa ke Hafiz ibne Hazar Asqalaani ne Bulugh al Maram me farmaya hai ke “ZAIFA” aur kaha ki Imam Ahmed wagaira ne ne is hadith ko zaif kaha hai.
Bulugh al-Maram, hadith-89,90.

source- http://sunnah.com/bulugh/1/89
http://sunnah.com/bulugh/1/90

NOTE:

Lehaza is riwayat se istedlaal SAHIH NAHI HAI SAHIH BAAT YAHI HAI ke NAYE SIRE SE WAZU KAR KE IBTEDA SE NAMAAZ PADHI JAAYE KYUN ke WAZU NAMAAZ ke LIYE SHART HAI .

Monday, September 28, 2015

EID KI NAMAZ KA TARIQA

BISMILLAH

1.SADQA FITR 

Rasulullah sws ne Hukm Dia ke Eidul Fitr ki Namaaz ki Adaa Karne se Pahle Sadqa Fitr Ada Kiya Jaaye

( Bukhari & Muslim )

2.Narrated Ali Ra: Juma, Arfa, Qurbani aur Eidul Fitr ke din Gusul Karna Chhaiye ( Bayhaqi : 3/278 )

3. ADHAN WA IQAMAH

Jabir Bin Abdullah ra Narrated: Maine Rasulullah sws ke saath Eid ki Namz Parhi Aap ne Baghair Adhan Aur Takbeer ke, Khutbe se Pahle Namaz Parhaai :
( Muslim : 775 )

Rasulullah sws , Abu Bakr, Umar wa Uthman Radiallaho Anhum Pahle Namaz Parhte Fir Khutba dete :( Bukhari , 774 )

4⃣ SUNNAT WA NAFL

Ibne Abbas Ra Narrated: Nabi Sws Eidgaah me Siwaaye Eid ki 2 Rekaato ke na Pahle Nafal Parhe na Baad me. ( Bukhari: 964 )

5.KHAZOOR

Nabi Rahmat sws Eidul Fitr me Kuch khaa kar Namaz ko Nikalte , Aur Eidul Zuha me Namaz Parh kar khaate :( Timizi & Ibne Majha )

Rasulullah SallAllahu Alaihi wasallam Eidul Fitr ke Rooz Taaq Khazooren ( In Odd Numbers ) Kha kar Eid Gaah Jaaya Karte The.
( Bukhari 953 )

6.RAASTA BADAL KAR EIDGAAH JAAYEN

Jabir bin Abdullah Narrated : Rasulullah sws Eid ke din Eidgaah Aane Jaane ka Raasta Tabdeel Farmaaya Karte the.( Bukhari )

7.NAMAZ KI TAKBEER

Aisha Siddiqa ra Narrated: Beshak Rasulullah sws Eidul Fitr aur Eidul Zuha ki Namaaz ki Awwal Rekaat me 7 Takbeeraat Aur Doosri Rekaat me 5 Takbeeraat kahte.( Abu dawood & Tirmizi )

📝 Dono hi rekat me Takbeerat SOORAH FATIHA PARHNE se PAHLE HONGE

8.RAFAULDAIN

Abdullah bin umar ra Farmate hain ke Rasulullah sws har us Takbeer me Haath uthate jo Rukooh me Jane se Pahle karte , Yahan Tak ke Aap ki Namaaz Mukammal ho Jaati.( Abu Dawood 722 , Musnad Ahmed 2/133 , Dar Qatani 1/ 279 )

9.Nabi SallAllahu Alaihi wasallam Jumah aur Eidaain ki Namzo me Pahli Rekaah me SURAH A’ALA 📖( Ch: 87 ) Aur DOOSRI ME SURAH GHASIIYA 📖( Ch: 88) Parhte.( Muslim )


10.EID KA KHUTBA MIMBAR PAR NA PARHEN.

Abu Saeed Khudri ra ki hadeeth se maloom hota hai ke Eid gaah me Mimbar ka Ehtemaam Marwaan bin Hakim ki ahad me kia gaya.( Bukhaari 956, Muslim 779 )

11.AURATHO KE LYE HUKAM

Umme Atiya Radiallaho anha kahti hain,

Hume Hukm diya Gaya hai ke hum Sabhi Awratho ko hatta ke Haiz waaliyo aur Parda Waaliyo ko bhi Dono Eido me Gharo se Nikalen Taake wo sab Musalmaano ki Jamat Aur unki Dua me Haazir hoon.

Aur Farmaya Haiz Waaliya Jaayen aur Namaz se Alag Rahen , Lekin Musalmano ki Duaoon aur Takbeero me Shaamil Rahen , Taake Allah ki Rahmat Aur Bakshish se Hissa Paayen.

Ek Awrath ne Arz kia ke Agar hum me se kisi ke Paas Chaadar na hoo to , Farmaya “ us ko uski saath waali Awrath Chaadar Aurha de.( Bukhari 351 & Muslim 790 )

12.TAKBEERAT

Abdullah Bin umar radialaho anho Eidul Fitr ke din ghar se Eid Gaah Tak Takbeerat kahte.
( Bayhaqi )

Sulemaan Radiallaho anho uun Takbeerat Kahte :-
ALLAHU AKBAR , ALLAHU AKBAR , ALLAHU AKBAR KABEERA ( Bayhaqi )

Ibn Masud Ra uun Takbeerat kahte

ALLAHU AKBAR ALLAHU AKBAR, LAA ILAAHA ILAALLAH , WALLAHO AKBAR , ALLAHU AKBAR , WA LILLAHILHAMD.
( Ibne Abi Shayba )

 Note: [ Takbeerat Fazar ki Namaz se shuru Asar ki Namaz Tak hai. ]

13.EID aur JUMAAH AGER EK DIN HO TO..

Eid ki Namaz ke baad Juma ke bare me , Nabi Rahmat sws ne farmaya “ Jo chahe wo Juma ki namaz ada kare aur Jo chahe Wo Ada na kare “ ( Ibne Majah )

NOTE
Aisi SOORAT me use ZUHAR ki NAMAZ ADA KARNI HOGI.

14. EID KI MUBARAKBAAD EK DOOSRE KO

” Taqabballaho Minna wa Minkum ” Kah kar karen,
yani Allah Qubul kare meri aur aapki Taraf se..

Lekin Eid MUBARAK KAHNA bhi JAYZ HAI par UPAR WALI DUA KAHNA RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM aur SAHABAH KI SUNNAT HAI 

ZAKAAT


KIN CHEEZON PAR ZAKAAT FARZ HAI :

Islam Me Jin Cheezon Par Zakaat Farz Hai Unka Khulaasa Neeche Ho Raha Hai,

1- Sona, Chandi Aur Nagadi (Gold, Silver, Cash)

Sone Chandi Me Zakaat Farz Hai, Ba'sharte Ke Inki Miqdaar Muqarrar Nisaab Ke Baraar Ya Usse Zyada Hon, Aur Uski Milkiyat Par Ek Saal Guzar Chuka Ho,

Yaad Rahe Sone Ka Nisaab 85 Gms, Jabke Chandi Ka Nisaab 595 Gms. Hai,

Agar Sona 85 Gms Se Aur Chandi 595 Gms Se Kam Ho Toh Zakaat Farz Nahi Hogi,

Aur Agar Ye Donon Apne Muqarrar Wazan(Weight) Ke Baraabar Ya Usse Zyadah To Hon Lekin Un Par Saal Na Guzra Ho Toh Bhi Zakaat Farz Nahi Hogi,

Mazkoorah Dono Sharten Agar Maujood Hon Toh Sone Chandi Ki Zakaat Nikaalne Ka Tareeqa Ye Hai Ke

"Sabse Pahle Unka Wazan Dekh Liya Jaaye, Phir Market Ke Maujoodah Rate(Price) Ke Mutabik Us Wazan Ki Qeemat Malum Kar Len, Phir Uska 2.5% Ya 40wa Hissa Zakaat Ki Nisbat Se Ada Karen"

MASLA-1

Kisi Shakhs Ke Paas Saal Ke Shuru Me Sone/Chandi Ka Poora Nisaab Maujood Tha, Lekin Saal Poora Hone Se Pahle Pahle Wah Usme Se Kuch Miqdaar Ko Bech(Sale) Kar Kharch Kar Leta Hai, Aur Yun Unka Wazan Nisaab Se Kam Ho Jaata Hai Toh Uspar Zakaat Farz Nahi Hogi,

Aur Agar In Saal Me Sona Chandi Khareedne Ki Wajah Se Unka Wazan Nisaab Se Zyaadah Ho Jaata Hai To Zakaat Ki Adaayegi Ke Waqt Baad Me Khareede Gaye Sona/Chandi Ka Wazan Bhi Shamil Karna Hoga....

Masla -2

Sona/Chandi Chaahe Dhele(Biscuits, Coins) Ki Shakl Me Ho Ya Zeweraat(Jewellary) Ki Shakal Me, Donon Soorat Me Zakaat Farz Hogi,

Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Paas Aayi, Uski Beti Ke Haath Me Do Kangan They, Aap Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Poocha:- Kiya Tumne Unki Zakaat Deti Ho ? Usne Kaha Nahi, To Aap Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam(Pbuh) Ne Farmaya:-" Kya Tumhe Ye Baat Pasand Hai Ke Qayamat Ke Din Allah Taala Tumhen Un Dono(Kangan) Ke Badle Aag Ke Kangan Pahnaaye? Toh Usne Kangan Unhi Zameen Par Phenk Diya Aur Kaha-" Ye Dono Allah Aur Uske Rasool Ke Liye Hain "
(Sunan Abu Dawood, Sunan Nisaai, Ba Sanad Sahih)

Masla-3
Paper Currency Chaahe, Riyaal Ho Ya Dinaar, Ruppee Ho Ya Dollar....... Wah Bhi Sone Chandi Ke Huqm Me Aati Hai,

Lihaaza Jis Shakhs Ke Paas Sone/Chandi Ke Nisaab Ke Qeemat Ke Baraabar Ya Usse Zyada Currency Maujood Ho Aur Us Par Saal Ghuzar Chuka Ho To Usme Zakaat Farz Hogi..

Aur Uski Adaayegi Ka Tareeqa Ye Hoga Ke:-" Saal Ke Aakhir Me Jab Zakaat Ada Karni Ho To Us Waqt Dekh Liya Jaaye Ke 85gm Sone Ki Qeemat Kitni Hai, Phir Jitni Currency Saal Bhar Rahe Ho Wah Bhi Dekh Li Jaaye, Agar Wah 85gm Sone Ki Keemat Ke Baraabar Ya Usse Zyadah Ho To Uska 2.5% Ya 40wa Hissa Ba'taur Zakaat Ada Karen....

Masla-4
Ek Shakhs Ke Paas Saal Ke Shuru Me To Paper Currency , Sone/Chandi, Ke Nisaab Ke Baraabar Thi, Lekin Dauraan Saal Me Usme Aur Izaafa(Increment) Hota Raha Toh Saal Ke Aakhir Me Jitni Currency Maujood Ho Sab Ki Sab Shamil Karke " Total" Ka 2.5% Ba'taur Zakaat Ada Karen,

Jo Raqam Dauran E Saal Aayi Thi Unki Zakaat Peshgi Ada Ho Jaayegi...

Masla-5
Tankhwaah Daar Insaan (Salaried Person) Apni Mahaana Bachat (Monthly Saving) Ki Zakaat Kis Tarah Ada Karega ??

Iski Do Sooratein Hain, Ek To Yeh Ke Har Maah Itni Bachat Hoti Hai Ke Wah Sone/Chandi Ke Nisaab Ki Qeemat Ke Baraabar Hai Toh Us Soorat Me Har Maah Ki Bachi Hui Tankhwaah Par Jaise Jaise Saal Poora Hota Jaaye Uski Zakaat Nikaalta Jaaye,

Aur Agar Pahle Maah Ki Zakaat Ada Karte Waqt Baqi 11 Maah Ki Zakaat Bhi Peshgi(Advance) Ada Karna Chaahe Toh Bhi Durust Hoga,

Aur Dusri Soorat Ye Hai Ke Har Maah Ki Bachat Nisaab Ke Baraabar Nahi, Albatta Do Teen Maah Ki Bachat Ko Mila Liya Jaaye To Wah Nisaab Zakaat Ke Baraabar Ho Jaati Hai, To Is Soorat Me Saal Ke Akhtimam Par Uske Paas Jitni Bachat Maujood Ho Uska 2.5% Ba'taur Zakaat Ada Kare

Masla-6
Heeron (Diamonds) Aur Jewellery Par Zakaat Farz Nahi Hai, Elawa Ke Unse Tijaarat(Business) Kiya Ja Raha Ho, To Is Soorat Me Deegar Tijaarati Saamaan Ke Saath Unki Zakaat Bhi Ada Karni Hogi...

Masla-7
Qarz Ki Zakaat
Iski Do Sooratein Hain,
Ek Toh Yah Ke Maqrooz Qarzedaar Hain Aur Use Jald Ya Bareed Waapas Karne Ki Taaqat Bhi Rakhta Hai,

Ya Karzedaar Toh Qarze Se Inkaari Ho Lekin Adaalat Me Case Karke Usse Karza Waapas Lene Ka Yaqeen Ho,

Is Soorat Me Qarz Ki Raqam Ki Zakaat Ada Karni Hogi,

Aur Uska Tareeqa Ye Hai Ke:-" Saal Ke Akhtimam Par Jab Maujooda Maal Ka Hisaab Kiya Ja Raha Ho Toh Uske Saath Qarz Ki Raqam Ko Bhi Shaamil Kar Liye Jaaye, Aur Total Ka 2.5% Ba'taur Zakaat Ada Kar Diya Jaaye,

Aur Dusri Soorat Ye Hai Ke:-" Maqrooz(Karzdaar) Karz Dene Se Inkaari Ho Aur Adaalat Me Case Zariye Se Bhi Na Milne Ka Imkaan Bhi Na Ho,

Ya Wah Qarze Ko Tasleem Toh Karta Ho Lekin Har Aaye Din Waapsi Ka Waada Karke Waada Khilaafi Karta Ho, Ya Uske Haalaat Hi Aise Hon Ke Wah Qarza Wapas Karne Ki Taaqat Hi Nahi Rakhta Ho Toh Aisi Soorat Me Qarz Ki Raqam Par Zakaat Farz Nahi Hogi,

Haan Agar Karzdaar Karza Wapas Kar De Toh Guzashta Ek Saal Ki Zakaat Ada Kar Di Jaaye...

Masla-8
Ek Shakhs Ke Paas Zakaat Ka Nisaab Toh Maujood Hai, Chaahe Sona, Chandi, Ki Shakl Me Ya Kisi Aur Shakl Me, Lekin Wah Khud Dusron Ka Karzdaar Hai, Aur Agar Zakaat Ada Karta Hai Toh Mazeed Bojh Tale Dab Jaane Ka Andesha Hai, Toh Aisi Soorat Me Us Par Zakaat Farz Nahi Hogi, Haan Agar Qarz Ki Adaayegi Ke Baad Bhi Uske Paas Zakaat Ke Nisaab Ke Baraabar Maal Maujood Hai Aur Uspar Saal Ghuzar Chuka Hai To Uska 2.5% Zakaat Ki Niyat Se Ada Karna Zaroori Hai...

Masla-9
Company Ki Hisson (Shares) Agar Tijaarati Maqsad Se Khareede Gaye Hain Aur Unpar Saal Guzar Chuka Hai Toh Un Ki Zakaat Ada Karna Laazmi Hoga,

Agar Khud Company Tamaam Partners Ke Hisson Ki Zakaat Ada Karti Hai Toh Theek Hai, Warna Har Partner Apne Apne Hisson Ki Zakaat Ada Karne Ka Paband Hai...

Masla-10
Zakaat Pure Sone/Chandi Par Farz Hoti Hai, Lihaaza Milaawat Ko Wazan Karne Me Shumaar Nahi Kiya Jaayega,

Is Tarah Agar Milaawat Ka Wazan Nikaal Kar Khaalis Sone, Chandi Ka Wazan Muqarrar Nisaab Se Kam Hojata Hai Toh Us Par Zakaat Farz Nahi Hogi...

2-TIJAARATI SAMAAN (BUSINESS ASSTS )

Dusri Cheez Jis Par Zakaat Farz Hoti Hai " Tijaarati Saamaan" Aur Usse Muraad Wah Tamaam Cheez Hain Jinhe Tijaarat Ki Niyyat Se Khareeda Jaaye, Chaahe Makaami Market Se Ya Baaher Se Bar'amad Kar Ke, Isi Tarah Wah Tamaam Cheezen Is Huqm Se Nikal Jaati Hain Jinhen Kisi Ne Apne Zaati(Personal) Istemal Ke Liye Khareeda Ho, Maslan Ghar, Gaadi(Vehicle), Aur Zameen Wagerah

Toh Aise Ashyaar Par Zakaat Nahi, Aur Isi Tarah Sana'ati Machinery, Stores Aur Unme Padi Almirah, Dafatar Par Bhi Zakaat Farz Nahi ,

Kyonki Aisi Tamaam Cheezen Ek Jagah Par Baqaraar Rahti Hain Aur Unhe Bech Kar Tijarat Karna Maqsood Nahi Hota...

🔳BUSINESS ASSTS PAR ZAKAAT NIKAALNE KA TAREEQA :

Saal Ke Aakhir Me Taajir (Firm Ho Ya Company) Ko Chahiye Ke Wah Apne Tamaam Tijaarat Saamaan Ki Market Ke Maujooda Rate Ke Mutabik Qeemat Lagaaye, Phir Uske Paas Saal Bhar Jo Nagadi(Cash) Currency Rahi Ho Use Isme Shaamil Kar Len, Isi Tarah Uska Jo Qarza Waapsi Ho Use Bhi Hisaab Me Shaamil Kiya Jaaye, Aur Agar Wah Khud Qarzedaar Ho Toh Qarze Ki Raqam Nikaal Kar Baaqi Tamaam Raqam Ka 2.5% Ya 40wa Hissa Ba'taur Zakaat Ada Kare....

MASLA-

Sana'ati Aalaat Aur Machinery Ki Asal Qeemat Par Zakaat Nahi, Albatta Unki Aamdani Agar Zakaat Ke Nisaab Ko Pahunch Jaaye Aur Us Par Saal Bhar Guzar Jaaye To Usse Zakaat Nikaalna Zaroori Hoga, Aur Yahi Huqm Kiraaye (Rent) Par Diye Gaye Makaan(House), Dukaan(Shops) Aur Gaadion(Vehicles) Wagerah Ka Hai Ke Unki Asal Qeemat Par Zakaat Nahi, Kiraaye Par Hogi...

Ba'sharte Ke Ye Nisaab Ko Pahunch Jaaye Aur Us Par Saal Bhar Guzar Jaaye To Uska 2.5% Ada Karna Hoga, Albatta In Ashyaar Par Ada Kiya Kiye Jaane Waala Tax Aur Unki Dekh Bhaal Par Aane Waale Deegar Akhraajaat In Cheezon Ki Aamdani Se Nikaal Liye Jaayen, Aur Is Tarah Agar Malik Ka Ko Zariya Ma'aash Nahi Toh Wah Apne Biwi ,Bacchon Ke Jaayez Akhraajaat Bhi Aamdani Se Nikaal Le, Phir Jo Raqam Baaqi Ho Usse Zakaat Ada Kare....

HAIWAANAAT (LIVESTOCK )

Jin Maweshion(Pet Animals) Par Zakaat Farz Hai Wah Ye Hain,

Oont(Camel), Gaaye(Cow), Bhains(Buffalo), Aur Bhedh(Sheep), Bakri (Goats)

Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Ka Farmaan Hai:-" Jis Shakhs Ke Paas, Oont Ya Gaaye, Ya Bakriyan Hain Aur Usne Inki Zakaat Ada Nahi Ki To Qayamat Ke Din Unhe Bahut Bada Aur Mota Karke Laaya Jaayega, Phir Wah Use Apne Taapon Se Raundenge Aur Apne Seengon Se Maarenge, Jab Sab Uske Upar Se Guzar Jayenge Toh Pahle Ko Phir Lautaaya Jaayega, Aur Logon Ka Faisla Hone Tak Uske Saath Aisa Hi Hota Rahega"
(Sahih Al Bukhari)

🔲MAWESHION ME ZAKAAT KI FARZIYAT KE LIYE 4 SHARTEN HAIN :

Ek Ye Ke Wah Apne Muqarrar Nisaab Ko Pahunch Jaayen, Yaad Rahe Ke Oont Ka Kam Se Kam Nisaab 5, Gaaye/Bhains Ka 3, Aur Bhedh Bakriyon Ka 40 Hai...

Dusri Shart Ye Hai Ke Unki Milkiyat Par Saal Guzar Jaaye

Teesra Ye Ke Saal Ka Aksar Hissa Ye Maweshi Charti Rahe Hon Aur Malik Ko Saal Bhar Ka Beshtar Hissa Unki Khuraak Khareedna Na Padi Ho,

Aur Chauthi Shart Ye Hai Ke Ye Jaanwar Kheti Baadi Ya Bojh Uthaane Ke Liye Na Hon, Aur Yahan Ye Baat Mad'denazar Rahni Chahiye Ke Maweshion Ko Agar Tijaarat Ki Niyat Se Khareeda Gaya Ho Toh Unki Zakaat Dusre Saamaan E Tijaarat Ki Tarah Nikaali Jaayegi,

Chunanche Unki Qeemat Ka Aitbaar Hoga Na Ki Tadaad Ka,

Maweshion Ke Nisaab Ki Deegar Tafseel Hadith Aur Fiqh Ki Kitabon Me Dekhi Ja Sakti Hain.....

ZAMEENI PAIDAWAAR (Agricultural):

Farmaan E Ilaahi Hai:
" Aiy Imaan Walon ! Apni Pakeezah Kamaayi Mese, Aur Ham Ne Tumhare Liye Zameen Se Jin Cheezon Ko Nikaala Hai, Unme Kharch Karo"
(Surah Al-Baqara 2, Aayat 267)

Is Aayat Se Saabit Huwa Ke Zameeni Paidawaar Maslan Gehun, Jau, Chaawal, Khajoor, Angoor, Aur Zaitoon Wagerah Par Zakaat Farz Hai, Aur Is Baat Par Poori Ummat Ka Ijma Hai...

ZAMEENI PAIDAWAAR KA NISAAB E ZAKAAT :

Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Ka Farman Hai:-" 5 Wasq Se Kam Me Zakaat Nahi"
(Mutaffiq Alaih)

5 Wask Ki Miqdaar Maujoodah Hisaab Ke Aitbaar Se 683 Kgs Hai, Is Tarah Zameeni Paidawaar Agar Mazkoorah Wazan Se Kam Ho To Zakaat Farz Nahi Hogi....

ZAMEENI PAIDAWAAR KA KITNA HISSA ZAKAAT ME DIYA JAAYE :

Farmaan E Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam(Pbuh) Hai:-" Jis Ko Baarish(Rain) Aur Chasmon(Wells,Lakes,River Etc) Ke Paani Se Seeraab(Irrigate) Kiya Ho Ya Wah Khud Ba Khud Zameeni Paani Se Seeraab Huwa Ho, Usme 10wa Hissa Hai, Aur Jisko Aalaat(Machinery, Instrument) Ke Zariye Ya Mahnat Se Seeraab Kiya Gaya Ho To Usme 20wa Hissa Hai"
(Sahih Al Bukhari)

Is Hadith Se Saabit Huwa Ke Jo Paidawaar Baarishi Paani Ya Naheri Paani Ya Chasmo Ke Paani Se Haasil Hui Ho, Uska 10wa Hissa Aur Jise Musibaton(Difficulties) Ke Zariye Seeraab Karke Haasil Kiya Gaya Ho, Uska 20wa Hissa Ba'taur Zakaat Ada Karna Chahiye...

Masla -1
Zameeni Paidawaar Par Saal Guzarna Zaroori Nahin, Balke Wah Jaise Hi Haasil Hogi, Uski Zakaat Fauran Ada Karni Hogi,

Farman E Ilaahi Hai:
" Uska Haq Uski Kataayi Ke Din Ada Karo"
(Surah Al-Anaam 6 Aayat 141)

Masla -2
Taaza Istemaal Hone Waale Phoolon(Flowers) Aur Sabzion Par Zakaat Nahi Hai, Albatta Unki Tijaarat Ki Jaaye,

Tijaarat Ki Soorat Me Unki Qeemat Agar Nisaab E Zakaat Pahunch Jaaye Aur Wah Saal Bhar Uske Paas Rahe To Uska 2.5% Ada Karna Hoga...


KIN CHEEZON PER ZAKAT FARZ HAI 

🔳🔹ZAKAAT KE HAQDAAR🔹 🔳

YANI KAUN ZAKAAT LENE KE MUSTAHIQ HAIN?

Allah Ka Farmaan Hai
" Sadqe Sirf Faqeeron, Miskeeno Aur Unke Wasool Karne Waalon Ke Liye Hain, Aur Unke Liye Jinki Taaleef E Qalb Maqsood Hon, Aur Ghulamon Ko Azaad Karaane Me Aur Qarz Daaron Ke Liye Aur Allah Ki Raah Me Aur Musaafir K Liye, Ye Farz Hai Allah Ki Taraf Se"
📖(Surah Al-Tawba 9, Aayat 60)

Is Ayat Se Malum Hota Hai Ke Zakaat Ke Mustahik Yahi 8 Hain, Inko Chhod Kar Kisi Aur Par Zakaat Kharch Nahi Ki Ja Sakti..

Albatta Ye Zaroori Nahi Ke Zakaat Ki Raqam In 8 Par Kharch Ki Jaaye Balke Inme Se Jo Zyadah Munasib Aur Zyadah Zarurat Mand Hon Us Par Ise Kharch Kar Diya Jaaye

1- FUQARA AUR MASAKEEN :

Se Muraad Wah Log Hain Jo Zarurat Mand Hon Aur Jin Ke Paas Itna Maal Na Ho Ke Jisse Wah Apne Biwi Bacchon Ke Akhraajaat Poore Kar Saken, Unhen Zakaat Ki Raqam Se Itna Paisa Diya Jaaye Ke Jo Ziyadah Se Ziyadah Ek Saal Tak Unki Zaroorat Ke Liye Kaafi Ho

2- AAMEELEEN ALAIHA :

Isse Muraad Zakaat Ikattha Karne Waale Aur Use Mustahaqeen Me Taqseem Karne Waale Log Hain, Unhe Zakaat Ki Raqam Se Unke Kaam Ke Badle Tankhwah Diya Ja Sakta Hai, Khwaah Wah Maaldaar Kyon Na Hon,

3- Wal Muwalafa Quloo Buhum:
Isse Muraad Kamzor Imaan Waale Naye Muslim Log Hain, Ya Aise Log Jinke Musalmaan Hone Ki Ummeed Ho, Ya Aise Kuffar Jinko Maal Dene Se Toqa Ho Ke Wah Aise Qabeele Ya Ilaaqe Ke Logon Ko Musalmano Par Hamlawar Hone Se Rokenge..

4- Wafir'riqaab:
Isse Muraad Ye Hai Ke Ghulaamon Ko Uske Aaqaaon Se Chhuda Kar Azaad Kar Dena

5-Maqrooz:
Jo Karz Dene Ki Taqat Na Rakhta Ho, Use Zakaat Ki Raqam Di Ja Sakti Hai, Ba'sharte Usne Qarzah Jaayez Maqsad Ke Liye Liya Ho,

Isi Tarah Aise Log Jinka Kaarobaar Shadeed Khasaare Ka Shikaar Ho Gaya Ho, Toh Unhe Bhi Zakaat Di Ja Sakti Hai...

6- Fi'sabeelillah:
Se Muraad Jihaad Aur Deegar Tamaam Deeni Maqasad Hain Jo Allah Ki Raza Ke Hote Hain, Maslan Madaris Ki Taameer, Unme Zer Taaleem Talbah(Students) Aur Hospital Wagerah Me Zakaat Ki Raqat Kharch Ki Ja Sakti Hain,

7- Wah Musaafir Jiska Safar Jayez Maqsad Ke Liye Huwa Ho Aur Uska Zaad E Raah Dauraan Safar Khtam Ho Jaaye Aur Wah Safari Zaruriyaat Ko Poora Karne Ke Liye Paise Ka Mohtaaj Ho, Use Bhi Zakaat Di Ja Sakti Hai....

Mazkoorah Mustahaqqeen Zakaat Agar Apne Qareebi Rishtedaaron Me Mil Jaaye To Unhe Zakaat Dene Se Dugna(Double) Ajar(Benefit) Milega...

Apne Biwi, Bacchon Aur Waalidain Ko Zakaat Nahi Di Ja Sakti,

Haan ! Bahen, Bhai, Agar Zarurat Mand Hon To Unhe Zakaat Dene Se Dugna(Double) Ajar Milega, Isi Tarah Daulat Mand Aur Kamaane Waale Aur Faasiq Wa Faajir Ko Zaakaat Nahi Di Ja Sakti....

Aur Aal-E-Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Bhi Zakaat Nahi Di Ja Sakti....

Hada Allah Hu Alam...

Note: Amal Karne Se Pahle Kisi Aalim Se Mashwara Kar Len...... Jazakallahu Khairan Kaseera..

Allah Subhanahu Wa Ta'ala Hum Sabko Sahih Deen Seekhne Aur Samjhe ki Taufeeq De Aur Hume Quran Aur Sahih Hadees Ke Mutabik Amal Ki Taufeeq De Ameeen

Allah Se Du'a Hai Ke Hum Ko Ghar Walon Ko Aap Logon Ko Or Sare Musalmano Ko Quran O Sunnat Ko Sahaba Ke Manhaj Par Amal Karne Wala Fir Daw'at Dene.


AMEEN YAH RABBAL AALAAMEEN

LAILATUL QADR


LAILATUL QADR

🔹Allah s.w.t. Quran e majeed me farmate hai

“Yaqinan Hum ne Ise (Quran) ko Shab e Qadr mein Naazil farmaya, Tum kya samjhe Ke Shabe Qadr kya hai? Shab e Qadr ek Hazaar ‘Mahino’ se behtar hai, Us (mein har kaam) ke sar Anjaam dene ko Apne Rab ke Hukm se Farishte aur Ruh utarte hai, ye Raat sarasar Salaamti ki hoti hai aur Fajr ke tulu hone tak (rahti hai)”.

Surah Qadr 97, ayat 1-5.

🔹RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya
“Ae logo ye barkat wala mahina tumhare nazdeek aa raha hai aur Allah ne ye hukm diya hai ki tum is mahine me roze rakho. Is mahine me Jannat ke darwaze khol diye jate hai aur jahannam ke darwaze band kar diye jate hai aur shaitano ko jakad diya jata hai. Aur is mahine me ek raat hai jo hazaar mahino se behtar hai. Jo is mahine me Allah ki barkat se mahroom raha wo har bhalaai se mahroom raha.”

Musnad Ahmad, hadith- 7148.

Lailatul Qadr Ka Waqt:

Lailatul Qadr Ramzaan ke aakhri ashre ke taak raato me talash karni chaiye.

Aisha r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya. “Ramzaan ki aankhri ashre ki Taak raato me Lailatul Qadr talash karo.

Sahih al-Bukhari, hadith 2017.

Isse ye pata chalta hai ki aakhri 10 taak raato me ehtimam ke sath ibadat karni chaiye aur sirf 27 ko iktifa nai karni chaiye.

Ramzaan ke aakhri ashre me apne ahl o ayal ko ibadat ke liye khususi targeeb dilana masnun hai:

Iska matlab sirf khud hi nai balki apne bacho ko aur apne ghar walo ko is ke taraf tawajjo dilana chaiye:

Hajrat Aisha r.a. farmati hai ki Ramzaan ke aakhri ashre me Nabi ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм baki dino ki nisbat ibadat me zyada koshish farmate.

Sunan Ibn Majah, Vol. 1, Book 7, Hadith 1767.(sahih)

Hajrat Aisha r.a. farmati hai ke jab Ramzaan ke aakhri 10 din shuru hote to RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ibadat ke liye kamar-basta ho jate (kamar kas lete), raato ko jaagte aur apne ahl o ayaal ko bhi jagate.

Sunan Ibn Majah, Vol. 1, Book 7, Hadith 1768. (sahih)

 Lailatul qadr me ki jane wali ibadat:

Lailatul Qadr me ibadat guzishta gunaho ki magfirat ka baaes hai:

Abu Huraira r.a. riwayat karte hai ki Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya “Jisne Lailatul Qadr mein Imaan ke saath Sawaab ki Niyyat se Qiyaam kiya, Uske Guzishta Gunah Muaaf kardiye Jaate hai”

Sahih al-Bukhari, hadith 2014.

Lailatul Qadr me saari neki ya ibadat ham karte hai us me se behtreen hai Taweel qayam. Lekin jo ye na kar sake wo baith kar zikr aur azkaar kare.

Lailatul Qadr me ki jane wali dua:

Hazrat Aisha r.a. se riwayat hai, maine pucha ya RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм agar mai Lailatul Qadr palu to kaun si dua padhu. Nabi ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya, Kaho,” Ya Allah tu Muaf farmane wala hai, muaf karna pasand karta hai, Lihaza mujhe muaf farma”.

Dua in arabic:

” اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي “

Dua in Roman English:

‘Allahumma innaka ‘afuwwun tuhibbul-‘afwa, fa’fu ‘anni ‘

Sunan Ibn Majah, hadith-3850.( Sahih)


 QURAN PADHNA

Hajrat Abdullah bin Abbas r.a. farmate hai, “RasoolALlah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм logo ke sath bhalai karne me boht sakhi the lekin Ramzaan me jab Hajrat jibreel a.s. ap se milte to ap aur bhi zyada sakhi ho jate. Ramzaan me jibreel a.s. har raat apse mila karte aur Nabi ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ramzaan guzarne tak unhe Quran majeed sunate the. Jab jibreel a.s. apse milte to apki sakhawat tez hawao se zyada badh jati.

Sahih al-Bukhari, hadith- 3554.

 Haiza aurto ki Lailatul Qadr me ibadat:

Haiza aurte saari ibadat kar sakti hai siwae namaaz, roza, Tawaf e Kaba, aur Itikaaf baithne ke. In char chizo ko chor kar Haiza aurte saari ibadate kar sakti hai.

Hazrat Ayesha r.a. farmati hai ki ek hajj me mai haiza ho gai, toh RasoolALlah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya, “Baitullah ke tawaf ke alawa baaki har wo kaam karo jo haji karta hai.

Sahih al-Bukhari, hadith- 293.

Umm Atiyya r.a. farmati hai ki RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne Haiz wali aurto ko bhi Eid ke roz Eidgah jane ka hukm diya taaki wo logo ke takbiro ke sath takbire kahe aur un ki duae ke sath duae kare lekin namaz na padhe.

Sahih al Bukhari, hadith- 324.

 Lailatul Qadr ki nishania:

1. Jis raat lailatul Qadr hoga us ke agle din suraj bina kiran(rays) ke niklega. [Sahih Muslim, hadith-2633]

2. Jis raat lailatul Qadr hoga us raat ko chand ek plate ke piece ke tarha niklega. [Sahih Muslim, hadith-2635]

3. Lailatul Qadr ki raat ko na zyada garmi hogi aur na zyada thandi hogi lekin wo shakhawat ki raat hogi aur agle subah suraj kamzor aur laal rang ka niklega(rise). [Tabrani, Ibn Khuzaima].

4. Laitalul Qadr wale din ko ya Raat ko barish ho sakti hai. [Sahih Muslim, Hadith 2631].

AKHRI ASHRE KA AEHTIKAF KERNE KA FAZILAT


BISMILLAH

🔳AKHRI ASHRE KA AEHTIKAF KERNE Wala AEHTIKAF WALI JAGHA MAIN KAB DAKHIL HO AUR KAB NIKLE ?🔳

AWWAL :

Aehtikaf wali jagah me dakhil hone ke mutaliq jamuhri ulema e ikram jin main Imaam e Arbiya Imaam Abu Hanifa, Imaam Malik, Imaam Shafai aur Imaam Ahmad Rehmatullah tala Shamil hain. In sabka maslak ye hain ki jo koi bhi Ramzan ul mubarak ke akhri ashre ka ehtikaf karna chahey wo 21 raat ko gurube Shamsh se qabal Masjid main dakhil ho unhone mandarzazel dalail se istedal kiya hain :

1- NAbi karim SallAllahu Alaihi wasallam se sabit hain ki Aap SallAllahu Alaihi wasallam Ramzan ul mubarak ke akhri ashre main aehtikaf kiya karte thy mutafiq alihe ye is baat ki daleel hain ki Nabi akram SallAllahu Alaihi wasallam raato ka aehtikaf karte the na ki dino ka, isliye ki ashra raat ki taiz hain Allah ShubbanoTala ka farmaan hain :

( Aur dus raato ki kasam) Surah al fajar(2).

Aur akhri ashra 21 wi raat se shuru hota hain.

Toh is bina par aehtikaf karne wala ikiswi raat ghurube shamsh se qabal masjid main dakhil ho.

 2- Unka kahna hain ki aehtikaf karne ka sabse azeem aur bada maqsad lailatul Qadar ki talash hain, aur 21wi raat akhri ashre ki taak raato main se hain lihaza ye ehtimal ho sakta hain ke ye hi raat lailatu qadar ho, isilye is raat aehtikaaf ki halat main hona chahiye. Imame Sandi ka hasheta al Nasai main ye hi kahna hain mazid dekhye: Al Mugni (489\4).

Lekin Imam Bukhari aur Imaam Muslim ne Aayesha razi Allahu tala anha se bayan kiya hain wo kahti hain, “Rasul akram SallAllahu Alaihi wasallam jab aehtikaf karna chahte toh apni aehtikaf wali jagah main namaz e fajar ke baad dakhil hote.(Sahih al Bukhari, Hadis- 2041) ( Sahih Muslim – 1173). Baaz ulema e salaf ne is Hadees ke zahir ko dekhte hue ye kha hain key wo eahtikaf karne wali jagha namaz e fajr ke baad dakhil ho, Mushtakil fatwa committee ( Fatawa al-Lajnah al-Daimah ) (411\10).

Aur Sheikh Ibne Baaz rehmatullahi tala ne bhi isi ko liya hain dekhye Fatwe ibne baaz (422\15). Lekin jamuhri ulema e ikraam ne is hadis ke do main se ek jawab diya hain.

AWWAL:
Nabi karim SallAllahu Alaihi wasallam ghurube shamsh se Qabl aehtikaf kar chuke thy lekin wo khas aehtikaf wali jagha main namaz e fajir ke baad dakhil hue. Imaam Nawawi rehmatullah tala khete hain, “Nabi karim SallAllahu Alaihi wasallam jab aehtikaf karna chahte toh namaz namaz e fajir ada karte aur phir apni aehtikaf wali jagha main dakhil ho jate”. Is hadis se unhone dalil li hai jo ye kahte hain ki aehtikaf ki ibtada din ke shuru se kiya jayega, Imaam awzai , Imaam Suri aur Imam Lait ka bhi ek qaul yahi hain aur Imaam Abu Hanifa aur Imaam Shafai aur Imaam Ahmad rahematullah tala ka kahna hain ke agar koi shakhs mahine ya dus din ka ehtikaf karna chahe toh wo aehtikaaf main gurube shamsh e qabal dakhil ho, aur unhone is hadis ki tawil ye ki hain ki ke Nabi SallAllahu Alaihi wasallam namaz e fajir ke baad aehtikaf wali jagha mai dakhil hue aur khalwat ikhtiyar ki ye nahi ke aehtikaf ki ibtida ka waqt hi ye hain balki Nabi karim SallAllahu Alaihi wasallam namaz e magrib se qabal hi masjid main aehtikaf karchuke the aur jab namaz e fajr ada ki toh elaedgi aur khalwat ikhtiyar kar li.

DAUM:

Aehtikaaf se nakalne ka waqt:

Aehtikaaf karne wala shakhs apne aehtikaaf ko ramzan ul mubarak ke akhri din ke suraj gurub hone par khatam kare ga. Sheikh Ibn Uthaymeen rahematullahi tala se mundarza zel sawal kiya gaya, “Aehtikaf karne wala shakhs apne aehtikaf se kab niklega Eid ki raat gurub e shamsh ke baad ya eid ke din namaz e fajir ke baad ?

Sheikh rehmatullah tala ka jawab tha: “Aehtikaf karne wala shakhs apne aehtikaf se ramzan ul mubarak khatm hone per niklega . Aur ramzan ul mubarak ka khatam Eid ki raat gurub shamsh par ho jati hain dekhye fatawi al Siyam (502). mstakil Fatawa committee ke fatwai jaat main hain ke: “Ramzan ul mubarak ke ashre ka aehtikaaf ramzan ke akhri din gurub shamsh ke waqt khatam ho jayega.
Dekhye Fatawa al-Lajnah al-Daimah (411\10)

aur agar wo apne aehtikaf wali jagha main namaz e fajr aur namaz e eid ada karne tak rehna ikhtiyaar kare toh ismain bhi koi harj nahi. Baaz salaf ne usey mustahab qarar diya hain . Imaam Malik rahematulahi tala kahte hain key unhone baaz ahele ilm ko ramzan ul mubarak ke akhri ashre ka aehtikaaf karte hue dekha wo logo ke sath Eid ul fitr ki namaz ada karne se pahele apne ghar wapas nahi palatte the. Imaam malik rehmatullahi tala kahte hain mujh tak ye pahle daur ke ahle fazal o azam se phucha hain aur is masle main maine sabse behter yahi suna hain.

Imaam Nawawi rehmatullahi tala kahte hain Imaam shafai rahematullahi tala aur unke ashhab kahte hain jo koi ramzan ul mubarak ke akhri ashre ke aehtikaf main Nabi karim SallAllahu Alaihi wasallam ki ibtida o pairwi karna chata hain usey chahiye ke wo 21wi raat gurub shamash se qabal masjid main dakhil ho jaye take use kuch bhi na chhut sake, aur Eid ki raat gurub shamash ke baad waha se nikal jaye mahina kami wala ho ya zada ( yani 30 youm ho ya kam) aur Afzal wahi hain ki wo eid ki raat masjid main hi guzare taki namaz wahi ada kar sake ya phir agar namaz eid gaah main ada kare toh wo wahi se eidgah jaye.
Dekhye al majmuae al Nawawi (323\6).

ITIKAF ME NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM KA TARIKA KYA THA?

BISMILLAH

Ehtikaf me Nabi SallAllahu Alaihi wasallam ka tarika kamil aasan tha. Nabi karim sallahu alehiwassalam ne ramzan mubarak main lailatul qadar ki talash main ek baar ramzan ka pahla aur darmiyani ashra ehtikaf kiya, phir un par ye zahir hua key laylatul qadar akhri ashre main hain toh Rasool akram SallAllahu Alaihi wasallamne akhri ashre ka aehtikaf bameshgi ke saath karna shuru kiya hatta ki apne Rab se ja mile .

Nabi karim SallAllahu Alaihi wasallam ne zindagi main ek baar akhri ashre main aehtikaf na kiya toh iski qaza main sawwal ka phela hafta ehtikaf kiya ( Sahih Bukhari aur Sahih Muslim) aur jis baras Nabi akram SallAllahu Alaihi wasallam ki wafat hui us baras Nabi akram sallahu alehiwassalam ne 20 din roz ka aehtikaf kiya dekhye:
( Sahih al Bukhari hadees 2040).

Kaha jata hain ke is ka sabab ye tha ke Nabi akram SallAllahu Alaihi wasallam ko apni mout ka ilm ho chuka tha isliye unhone chaha ki khiro bhalai ka kaam zyada kar liya jaye taki wo apni ummat ke liye ye bayan karde ki jab wo apne akhir amaal main pohche toh amaal e saaleh kasrat se karne ki koshish kare taki wo Allah tala se behtar halat me mil sake.

Aur ye bhi kaha gya hain ki iska sabab ye tha ke Jibril alehissalam ramzan main nabi SallAllahu Alaihi wasallam ke saath Quran majid ka ek baar doura kiya karte the aur jis saal nabi SallAllahu Alaihi wasallam ki rooh kabz hui us baras do baar kiya toh isiliye Nabi karim SallAllahu Alaihi wasallam ne do baar jitna ehetikaf kiya .

Aur is se bhi koi sabab ye hain ki nabi karim SallAllahu Alaihi wasallam ne jis baras 20 ayam ka ehtikaf kiya usse phele baras aap safar main the iski dalil mundarza zel hadis hain:

Abi bin Kaab razi allahu anha bayan karte hain ke Rasool Allah SallAllahu Alaihi wasallam ramzan ul mubarak ka akhiri ashra ehtikaf kiya karte the toh ek saal aap safar par chale gaye aur ehtikaaf na kar sake lihaza ayinda baras Nabi akram SallAllahu Alaihi wasallam ne 20 youm ka ehtikaf kiya isey Nasai aur Abu daud ne riwayat kiya hain aur ye alfaz Sunan nasai ke bhi ‘, aur Ibne Hibban wagera ne ise sahi karar diya hain. Aeh fateh al bari.

Nabi karim SallAllahu Alaihi wasallam khema lagane ka huqum dete toh un ke liye masjid main khema nasab kar diya jata toh Rasool e akram SallAllahu Alaihi wasallam logo se alehdgi me kheme main rahete aur apne Rab se lagao laga lete hatta ke waktan un ke liye khalut puri ho gyi.

Aur ek baar Nabi karim SallAllahu Alaihi wasallam ne chote se turki kheme main ehtikaaf kiya aur us ke darwaze per chatai latkai gayi thi .
( Sahih Muslim hadis number 1167)

Ibne Qaiyyim rahematullahi tala zad ul mamad me kahte hain, “Ye sab kuch kuch ehtikaaf ke maksad aur uski rooh ke husul ke liye hain is ke barakas jo kuch jahil log karte hain aur ehtikaf ko aesho ishrat aur milne julne ki jagha bana lete hain aur waha aapas main guftugu aur gappe hankte rahete hain toh ektikaf ka ek rang toh ye hain aur ehtikafe nabwi ka rung aur hain.”
Zadul mumad (90/2).

Aur Nabi ikram SallAllahu Alaihi wasallam ehtikaf ki halat me masjid ke andar hi rahete waha se sirf zarurat ki bina par hi bahar tashrif le jate the:

Aayesha raziallahu anha bayan karti hain ke jab Rasool SallAllahu Alaihi wasallam ehtikaf ki halat main hote toh zarurt ke bagair ghar main tashrif nahi late the.
(Sahih Bukhari- hadis number (2029)) aur muslim ki riwayat main alfaz hain ki ( insani hajat ke bagair nahi ate thy).
Imaam Zeheri rahmatullahi tala ne iska matlab ke peshab aur pakahne ke liye bahar nikalte.

Nabi SallAllahu Alaihi wasallam dourane ehtikaaf apni saaf safai ka bhi khayal rakhte aur masjid se bahar apna sar Ayesha raziallahu anha ke hujre main karte toh wo Nabi karim SallAllahu Alaihi wasallam ka sar dhoti aur kanghi kar deti thi.

Ayesha razillahu tala bayan karti hain ke Nabi karim SallAllahu Alaihi wasallam ehtikaf main hote toh meri taraf apna sar karte toh main halate haiz main bhi unhe kanghi karti thi.

Aur ek aur riwayat main hain key main unka sar dhoti thi (sahi bukhari hadis 2028)( sahi muslim hadis 297 ).
Tasrih ke mane sar main kanghi karna hain hafiz ibne hajar rehematullahe tala khete hain ,

Aur Hadis me Khushboo lagane aur safai karne aur gusl karne mondne aur banao wa shingar karne ka jawaz paya jata hain aur jamhur ulema isi par hain ke ehtikaf me wahi chize makruh hain jo masjid main makruh hain aur Rasool SallAllahu Alaihi wasallam ka ye tarika tha ki jab aap ehtikaf ki haalat main hote to na toh mariz ki iyadat karte na hi janaze main shariq hote ye is liye tha ki sara waqt Allah tala se munajat par tawajjo markuz karahey aur ehtikaf ki hikmat puri aur mukamil bawaz wo hikmat logo se alhedgi aur Allah tala ke saath lagao hain.

Ayesha razialllahu anha tala bayan karti hain k Ehtikaf karne wale ke liye sunnat tarika ye hain ki wo na toh mariz ki ayadat key liye jaye aur na hi janaze main shariq ho aur na hi biwi se mubasarat kare(gale lagana wagaira) aur usey chuwe, aur kisi bhi zarurt ke liye waha se na nikale lekin jis zarurat ko pura kiye bagair koi chara na ho uske liye nikal sakta hain.
Sunan Abu Daud hadees (2473)allama albani ne ise sahih Abu Daud main sahih qarar diya hain.

Imaam shaukhani rehmatullahi alehe nil ul witaar me kahte hain: “Biwi ko na toh chuye aur na mubashrat kare”. Isse aayesha razai allahu anha ne jamaa murad liya hain .

Nabi karim SallAllahu Alaihi wasallam jab ehtikaf ki halat main hote to nabi SallAllahu Alaihi wasallam ki baaz ajwaj e mutaharat aapki ziyarat ke liye tashrif lati aur jab wo jane keliye hoti toh aap unhe ghar tak pahuchane ke liye unke saath tashrif le jate aur ye raat ka waqt hota:

Nabi karim SallAllahu Alaihi wasallam ki joza ummul mominin Safiya raziallahuanha bayan karti hain ki wo ramzan ke akhri ashre main main Nabi SallAllahu Alaihi wasallam ki ziyarat ke liye masjid main unki ehtikaf wali jagha main aayi aur kuch der unke saath baat chit karti rahi, aur phir bahar wapas jane ke liye uthi toh RasoolAllah SallAllahu Alaihi wasallam bhi unke saath unhe wapas phuchane ke liye uth khare hue yani unke ghar phuchane ke liye.
Sahih al Bukhari – 2035, Sahih Muslim- 2175.

Khulasa ye hua ki: Rasool SallAllahu Alaihi wasallam ka aetikaf aasan aur sahuliyat ka nishan tha na ki sakhti wa shiddat ka. Rasool e akram SallAllahu Alaihi wasallam ka sara waqt Allah tala ke zikr o azakr aur lailatul Qadar ki talash main Allah tala ki taraf mutawajje rahne aur uski Itat o farmabardari main bashar hota tha.

SALATUT TASBIH

BISMILLAH

🌟SALATUT TASBIH🌟

🔶Abdullah Bin Abbas razi Allaahu anhu se marwi hai ke Rasool Allaah sallallaahu alaihi wasallam ne Hazrat Abbas bin Abdul Muttalib razi Allaahu anhu se farmaya:
Ae Abbas ! Ae Chacha Jaan! Kya mai aapko Ek hadiya (tohfa) na du?
Atia ya tohfa na du?

Kya mai aapko Dus baat na sikha du.
Jab aap in par amal karenge to Allaah Aap ke agle ,peechle, Qadeem wa Jadeed Khata(gunah), Jaan booj kar, chote Bade, Chipi hui aur Zahiri sab Gunaho ko maaf farmadega.

Dus baatein ye hai ke-

🔹 Aap Chaar rakatein padhein.
🔹Har Rakat me Aap Surah Fatiha aur Ek Surah padhein.
🔹Jab Aap pahli rakat me Qirat Se faarigh hojayein aur Qayam me ho to 15 baar ye Tasbih padhein
🔹Subhanallaahi walhamdulillaahi wala ilaha illallah wallaahu Akbar.
🔹Phir Ruku karein aur Halat Ruku me Dus baar yahi tasbih padhein
🔹Phir Ruku karein se sar oothaye aur Dus baar yahi tasbih padhein.
🔹Phir Sajda karein aur Sajde me Dus baar yahi padhein.
🔹Phir Sajde se sir oothaye to yahi Dus baar padhein
🔹Phir dusra sajda karein,to usme bhi dus baar padhein.
🔹Phir Sir oothaye to Dus baar padhein.
Har rakat me 75 Tasbihat huein.
Aur Aap chaar rakato me aise hi karein.
Agar Himmat ho to har roz padha karein.
Agar Har roz na padh sakein to Har haftein me ek baar padhein,
agar har hafte me na padh sakein to ek mahine me ek baar padhein.
Agar ye na kar sakein to Saal me ek baar padhien. Agar saal me bhi na padh sakein to apni zindagi me ek baar padhlein.

(Ibn Majah, Hadees No-1387
Sunan Abi Dawood, Hadees No-1297)

Is Hadees ki Sanad ye hai-

حدثنا عبد الرحمن بن بشر بن الحكم النيسابوري حدثنا موسى بن عبد العزيز حدثنا الحكم بن أبان عن عكرمة عن ابن عباس أن رسول الله صلى الله عليه وسلم قال

Abdullah Ibn Abbas razi Allaahu Anhu Mashoor Jaliluo Qadr Sahabi e Rasool hai.

Ikrama Abu Abdullah(Maulaa Ibn Abbas):-Siqa hai

٤٦٧٣- عكرمة أبو عبد الله مولى ابن عباس أصله بربري ثقة ثبت عالم بالتفسير
(See-Taqrib o Tahzib 4673)

Zubair Ali Zai rahimaullah inhe Sahih ul Hadees qarar dete hai

🔹ALHakam bin Abaan rahimaullah-Siqa hai.

(See-Tahzibul Kamal 2/249,Al Kashif (1/181)

Zubair Ali Zai rahimaullah Inhe Hasanul Hadees qarar dete hai

Moosa bin Abdul Aziz rahimaullah-
Aapko Ibn Moeen, Nasai, Abu Dawood, ibn Shaeen, wagaira ne siqa kaha hai

Zubair Ali zai rahimaullah aapko Hasan ul Hadees kahte hai.

Abdur Rahman bin Bashar bin Al Hakam :-
Ye sahih Al Bukhari wa.Al Muslim wagaira ke raawi hai aur Siqa hai

٣٨١٠- عبد الرحمن ابن بشر ابن الحكم العبدي أبو محمد النيسابوري ثقة
(See: -Taqreeb o Tahzib: 3810)



🔷
Zubair Ali Zai rahimaullah kahte hai-

"Iski Sanad me koi Inqata,Illat ya Shuzuz nahi hai, (aur tamam raawi siqa hai) ,lehaza ye hadees Hasan hai. "🔅

Salatul Tasbib Waali rawayat Shabi e Rasul Hazrat e Jabir Razi Allaahu Ta'aala anhu se bhi marwi hai.

Uski sanad ye hai-

🍃
حدثنا أبو توبة الربيع بن نافع حدثنا محمد بن مهاجر عن عروة بن رويم حدثني الأنصاري أن رسول الله صلى الله عليه وسلم قال لجعفر بهذا الحديث

(See-Sunan Abi Dawood:1299)

Hazrat Jabir Razi Allaahu Anhu Sahabi e Rasool hai

◾Urwa bin Ruwaim :-
Aapko Ibn Moeen, Dahim Ash Shami aur Imam Nasai wagaira ne Siqa kaha hai.

(See: -Tahzibul Kamal, 5/153)

Muhammad bin Muhajir Al Ansari:-
Ye Sahih Muslim ke raawi hai aur Siqa hai

٦٣٣١- محمد ابن مهاجر الأنصاري الشامي أخو عمرو ثقة
(See-Taqrib :6331)

Abu Taubah Ar Rabih bin Nafe: -
Aap Sahih Bukhari wa Muslim ke raawi aur Siqa Huujjat aur Aabid hai.

🍂١٩٠٢- الربيع ابن نافع أبو توبة الحلبي نزيل طرسوس ثقة حجة عابد
(Taqrib o Tahzib:-1902)

Zubair Ali Zai Rahimaullah Farmate hai:-
Lehaza ye Hadees Sahih hai .
Aur iska matan(Text) Pahli Hadees (Abu Dawood: 1297) ki tarah hai.▪

Zubair Ali Zai Rahimaullah Salatut Tasbih Waali rawayat ko SAHIH LIGHAIRIHI qarar dete hai

Aur Likhte hai: -
Is Hadees ko in Imamo ne Sahih ya Hasan qarar diya hai-
Shaikul Islam Abdullah Bin Mubarak
Abu Dawood
Imam Al Aajuri
Khatib Baghdadi rahimaullah
Abu Sa'd Samaa'ni rahimaullaah
Abu Musaa Al Madini rahimaullah
Hafiz A'laayi rahimaullah
Hafiz Al Bulqaini rahimaullaah
 Hafiz Ibn Nasiruddin Al Damishqi rahimaullah

Inhone bhi Maqbool qarar diya hai-
Imam Ibn Salah rahimaullah
Imam Ibn Munda rahimaullah
Hafiz Al Munzari rahimaullah

Is Daur Ke Jalil o Qadir Mohaddis Shaikh Nasir Uddin Albani Rahimaullah ne Bhi Salatul Tasbih Waali rawayat ko SAHIH LIGHAIRIHI qarar diya hai

Shaikh Shoaib Al Arnaut rahimaullah bhi Ise Sahih Taslim karte hai

Jab Salatut Tasbih ki Hadees Sahih aur Saabit hai to phir ispar Amal karna jayaz hua.

Jo log Ise Biddat aur Najayaz qarar dete hai unka ye Kahna Galat hai

Salaf me Se Shaikul Islam Abdullah Bin Mubarak rahimaullaah Salatut Tasbih ke jawaz ke qayel the aur Wo iska padhne ka tarqia bhi sikhate the.

(See Sunan At Tirmizi,Hadees No-481)
------------------------

Typed by-
ALQAMAR ibn ENTAKHAB
------------------------

Taken From-

Fatawa Ilmiya of Hafiz Zubair Ali Zai rahimaullah Vol-1,page: 426-430

Sahih At Targib Wat Tarhib of Allama Albani Vol -1,page-165

Sunan Abi Dawood-Tahqiq By Shaikh Shoiab Arnaut rahimaullah

Sunan Abi Dawood Published by Darussalam.
----------+------------
NOTE-
Islamqa.com wagaira me Salatul Tasbih waali rawayat ko Zaif kaha gaya hai, lekin koi Illat (zaif ka wajah) bayan nahi kiya gaya hai.

Uske bil muqabil upar Us hadees ka sahih hona saabit kardiya gaya hai.

Agar koi Bhai is tahqiq se muttafiq nahi hai, to Wo Usool e Hadees ke buniyaad par in hadeeso ka radd karein, sirf Baaz Aimma ke Fatawe dene se ye hadees Zaif nahi hojayegi.

And Allaah Knows Best

DEEN E ILM


BISMILLAH

ALLAH TALA NE SAB SE PEHLI WAHI JO NAZIL KI WO ILM KE MUTALIQ E THI

Aisha Siddiqa Radi Allahu'anha farmati hai:

" Aap Sallallahu Aalaihi wasallam Gaar-e-Hira hi mein qayaam bazeer thaye ke aachanak hazrat Jibrail Aalaihis'Salaam Aap ke paas hazir huwe aur kehne lagen ke Aye Muhammad ! padho: Aap farmate hai ke Maine kahan ke Main padhna nahi jaanta hu, Aap Sallallahu Aalaihi wasallam farmate hai ke: "Fariste ne Mujhe pakad kar itni zor se bhencha ke Meri taqat jawaab de gayi, (aisa 3 baar huwa) Fariste ne Teesri baar Mujko pakda aur Teesri baar phir Mujko Bhencha phir Mujhe chohod diya aur kehne laga ke:

"Iqrah Bismi Rabbikal Lazee Khalaq, Khalaqal Insana Min Aalaq, Iqrah wa Rabbukal Akram."

TARJUMA :

"Pad Apne Rab ke naam se jisne paida kiya, jisne insaan ko khoon ke lothdey se paida kiya, Tu padta reh Tera Rab bada karam wala hai."

[Saheeh Bukhari, Kitaab Badil Wahi, Hadees 3]

ILM KI FAZILAT :

Imam Bukhari Rahimahullah ne Kitabul Ilm mein baab "Ilm ki Fazilat ke bayaan mein" is ke baad likkha:

Aur Allah Pak ne farmaya:

"Jo tumme Emaandaar hai aur jinko Ilm diya gaya hai Allah inke darje buland karega aur Allah ko tumhare kamo ki qabar hai."

📖[Surah Mujadila Aayat 11]

Aur Allah Tala ne farmaya:

"(ke yu Dua kiya karo) Parwardigaar Mujko Ilm mein taraqqi dey."

📖[Surah Taha Aayat 114]

AAMAL SE PEHLE ILM HASIL KARNA CHAHIYE :

Imam Bukhari Rahimahullah ne ek aur baab likkha "Is bayaan mein ke Ilm (ka darja) Qaoul wa Aamal se pehle"

Allah Tala ne farmaya: "Jaan lijiye ke Allah ke siwa koi Ebadad ke layaq nahi."

📖[Surah Muhammad Aayat 19]

ILM ULAMA SE HASIL KARNA CHAHIYE :

Allah ke Nabi Sallallahu Aalahi wasallam ne farmaya:

"Allah'Tala ilm ko iske baad ke tumhe diya hai ek dum se nahi outhayega balki isse is tarha khatam karega ke Ulama ko inke ilm ke sath outha lega phir kuch Jahil loug baqi reh jayegen inse Fatwa pouchey jayegen aur wo Fatwa Apni Rai ke mutabiq degen bas wo lougo ko Gumrah karegen aur wo kudh bhi Gumrah hogen."

[Saheeh Bukhari, Hadees 7307]

DEEN KI SAMAJ MILNA ALLAH KI TARAF SE HAI:

Allah ke Rasool (Sallallahu Aalaihi wasallam) ne farmaya:

"Jis shaks ke sath Allah'tala bhalayi ka irada kare usko Deen ki samahj enayat farma deyta hai."

[Saheeh Bukhari Hadees 71]

SURAH BAQRAH TAFSEER

BISMILLAH IR-REHMAN IR-RAHIM

📖SURAH BAQRAH TAFSEER 

AYAT NO 33,34,35 & 36

قَالَ يَا آدَمُ أَنبِئْهُم بِأَسْمَائِهِمْ ۖ فَلَمَّا أَنبَأَهُم بِأَسْمَائِهِمْ قَالَ أَلَمْ أَقُل لَّكُمْ إِنِّي أَعْلَمُ غَيْبَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ وَأَعْلَمُ مَا تُبْدُونَ وَمَا كُنتُمْ تَكْتُمُونَ

TARJUMA

ALLAH TALA NE HAZRAT ADAM (A.S) SE FARMAYA TUM INKE NAAM BATADO- JAB INHION NE NAAM BATA DIYE TO FARMAYA KE KYA MAINE TUMHEN PEHLE NA HI KAHA THA KE ZAMEEN AUR AASMAN KA GAIB MAI HI JANTA HU AUR MERE ILM ME HAI JO TUM ZAHIR KARTE HO AUR JO TUM CHUPATE HO

TAFSEER

AYAT ME ASMAA SE MURAD WO CHEEZO KE NAAM AUR INKE ACHE AUR FAIDE KA ILM HAI JO ALLAH TALA NE ADAM (A.S) KO SIKHLA DIYA- PHIR JAB IN SE KAHA GAYA KE AADAM INKE NAAM AUR FAIDE BATALAO TO UNHON NE FORAN SAB KUCH BAYAN KARDIYA JO FARISHTE BAYAN NA KAR SAKE- IS TARAH ALLAH TALA NE EK TO FARISHTON PAR HIKMAT TAQLEEQ E AADAM WAZEH KARDI- DOOSRE DUNIYA KA NIZAM CHALANE KE LIYE ILM KI EHMIYAT AUR FAZEELAT BAYAN FARMA DI JAB YE HIKMAT AUR EHMIYAT E ILM FARISHTON PAR WAZEH HUI TO INHON NE APNE QASOOR ILM AUR FAHEM KA ETRAAF KARLIYA- FARISHTO KE IS ETRAAF SE YE B WAZEH HUA KE AALIM UL GAIB SIRF SIRF ALLAH KI ZAAT HAI, ALLAH KE BURGAZIDA BANDO KO BHI ITNA HI ILM HOTA HAI JITNA ALLAH TALA INHEN ATAA FARMATA HAI

-----------------------------------------------------
AYAT 34

وَإِذْ قُلْنَا لِلْمَلَائِكَةِ اسْجُدُوا لِآدَمَ فَسَجَدُوا إِلَّا إِبْلِيسَ أَبَىٰ وَاسْتَكْبَرَ وَكَانَ مِنَ الْكَافِرِينَ

TARJUMA

AUR JAB HUMNE FARISHTO SE KAHA KE ADAM KO SAJDA KARO TO IBLEES KE SIWA SABNE SAJDA KIYA- ISNE INKAR KIYA AUR TAKABBUR KIYA AUR WO THA HI KAFIRON ME SE

TAFSEER

ILMI FAZEELAT KE BAAD ADAM A.S KI YE DOOSRI TAKREEM (IZZAT) HUI- SAJDA KE MAINE (MEANING) HAI " ZAMEEN PAR PESHANI KA TIKA DENA" YE SAJDA SHARIYAT ISLAMIYA ME ALLAH TALA KE SIWA KISI KE LIYE JAYEZ NAHI HAI- NABI ﷺ KA MASHOOR FARMAN HAI KE AGAR SAJDA KISI AUR KE LIYE JAYEZ HOTA TO MAI AURAT KO HUKUM DETA KE WO APNE KHAWIND (HUSBAND) KO SAJDA KARE- FARISHTO NE ALLAH KE HUKUM PAR HAZRAT ADAM A.S KO SAJDA KIYA JIS SE INKI TAKREEM (IZZAT) AUR FAZEELAT WAZEH KARDI GAYI KYU KE YE SAJDA TAZEEM KE TOUR PAR HI THA NA KE IBADAT KE TOUR PAR- AB TAZEEM KE TOUR PAR BHI KISI KO SAJDA NAHI KIYA JA SAKTA-IBLEES NE SAJDE SE INKAR KIYA AUR GUNAHGAR HO GAYA- IBLEES QURAN KE MUTABIQ JINNAT ME SE THA LEKIN ALLAH TALA NE ISE FARISHTO ME SHAMIL KAR RAKHA THA, IS LIYE BA HUKUM E ILAHI ISKE LIYE BHI SAJDA KARNA ZAROORI THA LEKIN ISNE HASAD AUR TAKABBUR KI BINA PAR SAJDA KARNE SE INKAR KAR DIYA- IS LIYE HASAD AUR TAKABBUR WO GUNAH HAI JINKA IRTEKAAB DUNIYA E INSANIYAT ME SABSE PEHLE KIYA GAYA AUR ISKA MURTAKAB IBLEES THA.

------------------------------------------
AYAT NO 35

وَقُلْنَا يَا آدَمُ اسْكُنْ أَنتَ وَزَوْجُكَ الْجَنَّةَ وَكُلَا مِنْهَا رَغَدًا حَيْثُ شِئْتُمَا وَلَا تَقْرَبَا هَٰذِهِ الشَّجَرَةَ فَتَكُونَا مِنَ الظَّالِمِينَ

TARJUMA

AUR HUMNE KEH DIYA KE AYE ADAM! TUM AUR TUMHARI BIVI JANNAT ME RAHI AUR JAHA KAHI SE CHAHO KHAAO AUR PIYO, LEKIN IS DARAQT KE QAREEB BHI NA JANA WARNA ZALIM HO JAOGE-

TAFSEER

YE HAZRAT ADAM KI TEESRI FAZEELAT JO JANNAT KO BANAKAR ATAA KI GAYI- YE DARAQT KIS CHEEZ KA THA? ISKE MUTALUQ QURAN AUR HADEES ME KOI DALEEL NAHI HAI- ISKO GANDOOM KA DARAQT MASHOOR KARDIYA GAYA HAI JO BE ASAL BAAT HAI HUME ISKA NAAM MALOOM KARNE KI ZAROORAT HAI, NA ISKA KOI FAIDE HI HAI

------------------------------------------------------------------------
AYAT NO 36

فَأَزَلَّهُمَا الشَّيْطَانُ عَنْهَا فَأَخْرَجَهُمَا مِمَّا كَانَا فِيهِ ۖ وَقُلْنَا اهْبِطُوا بَعْضُكُمْ لِبَعْضٍ عَدُوٌّ ۖ وَلَكُمْ فِي الْأَرْضِ مُسْتَقَرٌّ وَمَتَاعٌ إِلَىٰ حِينٍ

TARJUMA

LEKIN SHAITAN NE INKO BEHKA KAR WAHA SE NIKALWA HI DIYA AUR HUMNE (ALLAH NE) KEH DIYA KE UTAR JAAO TUM EK DOOSRE KE DUSHMAN HO AUR EK WAQT MUQARAR TAK TUMHARE LIYE ZAMEEN ME THAIRNA HAI AUR FAIDE UTHANA HAI

TAFSEER

SHAITAN NE JANNAT ME DAQIL HOKAR INHEN BEHKAYA YA WASWASA ANDAZI KE ZARIYE SE ISKI KOI DALEEL NAHI- YE WAZEH HAI KE JIS TARAH SAJDE KE HUKUM KE WAQT ISNE HUKUM E ILAHI KE MUQABLE ME QAYAS (aqal) SE KAAM LEKAR (KE MAI ADAM SE BEHTAR HU) SAJDE SE INKAR KIYA ISI TARAH IS MOUQE PAR ALLAH TALA KE HUKUM ( ولا تقربا ) KI TAWEEL KARKE (na manke) HAZRAT ADAM (A.S) KO PHUSLANE ME KAMIYAB HO GAYA- JISKI TAFSEEL SURA ARAAF ME AAYEGI- GOYA HUKUM E ILAHI KE MUQABLE ME QAYAS AUR NAFS KI DOUR AZKAR TAWEEL KA ERTEKAAB (start ) BHI SABSE PEHLE IBLEES NE KIYA-
DONO EK DOOSRE KE DUSHMAN SE MURAD ADAM AUR SHAITAN HAI YA YE MATLAB HAI KE BANI ADAM APAS ME EK DOOSRE KE DUSHMAN HAI

SURAH QADR TAFSEER


BISMILLAH IR-REHMAN IR-RAHIM

📖 SURAH QADR TRANSLATION 

Yaqinan Hum ne usey Qadr mein nazil farmaya , Tuu kiya samjha k Shab e Qadr kia hai ? Shab e Qadr ek Hazaar mahino se behtar hai ,Us (mein har kaam )k sar anjam deney ko Rab k hukum se Farishte aur Rooh (Jibraeel) utarte hain , ye sarasar Salamti ki hoti hai aur Fajr k tulu hone tak (hoti hai).
(Al Quran, Surah Qadr )

TAFSEER

Is surat k Makki aur Madani hone mein iqtelaf hai .Al Qadr k mayene Qadr wa Manzilat bhi hain isliye Shab e Qadr kehte hain , Iske mayene Andaza aur Faisla karna bhi hain is mein Sal bhar k liye Faisle kiye jate hain isliye isey Lailat ul Hukum bhi kehte hain , Iske mayene Tangi k bhi hain is Raat itni kasarat se Zamin per Farishte utartey hain k zamin tang hojati hai .Shab e qadr yani Tangi ki raat ya isliye ye nam rakha gaya k is Raat jo ibadat ki jati hai Allah k han iski badi Qadr hai aur ismein bada Sawab hai .

Ahadees se wazey hai ye Ramadan k akhri ashrey ki Taq raaton mein se koyi Ek raat hoti hai .Iske mabhum rakhne mein yehi hikmat hai k log panchon hi Taq raton mein iski fazilat hasil karne k shawq mein Allah ki khoob ibadat karein.

Quran utarne ka aghaaz kiya ya Looh e mehfuz se is Bait ul izzat mein jo Asmaan e Duniya p hai ek hi martaba utar diya aur wahan se hasb e waqiye Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam per utarta raha taa anka 23 saal mein poora hogaya aur is ayat se sabit hota hai k Lailat ul qadr Ramadan hi mein hoti hai q k (Ramadan wo mah e muqadas hai jismein Quran ka nuzool hua 📖(Al Baqra 185:2)

se wazey hai k Quran Ramadan mein nazil hua aur Qadr ki is ayat se maloom hota hai k Quran Qadr ki raat utra hai lehaza sabit hua k Lalat ul Qadr ramadan mein hoti hai jaisa k sahih Bukhari waghyra ki hadison se sabit hai (Sahih Bukhari hadees 2021).

Is istefham se is raat ki azmat wa ahmiyiat wazey hai goya k Maqloq iski ta tak poori tarha nahi pahunch sakti ye sirf Allah hi hai jo is ko janta hai .

Yani is ek raat ki ibadat Hazaar mahino ki ibadat se behtar hai aur Hazaar mahine 83 saal 4 mahine bante hain. Ye Ummat e Muhamadiya per Allah ki kitna ihsan hai k Muqtasir umr mein ziyada se ziyada sawab hasil kerne k liye kaisi sahulat ata farma di .

Rooh se muraad Hazrat Jibraeel alaisalam hain yani farishte hazrat Jibrael alaisalam samet is Raat zamin per utarte hain in kamon ko sar anjam dene k liye jinka faisla is ssal mein Allah Taala farmata hai .

Yani is mein shar nahi ya iske mayene Salamti wali hai k Momin is raat ko shaitan k shar se mehfuz rehte hain ya farishte ahl e iman ko salam arz karte hain ya farishte hi apas mein ek dusre ko salam karte hain .Shab e qadr k liye Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne bator e Qas ye dua batlyi ..Allahumma innaka afuwwun tuhibbul-afwa, fafu anni .(Jama Tirmidhi hadees 3513 , Sunan ibn e Maja 3850) isliye Shab e Qadr mein isey kasarat se padhna cahiye .
(Tafseer Ahsan ul Bayan pages 1404 & 1405)

📝