BISMILLAH
๐ธ
Muharram ka mahina chal raha hai aur isi meib Ashoora ka din aa raha hai, Is din ki bohut Fazilat hai.
Is din mein khas roze ka ihtemam karna chahiye.
Is Roze ki Ahmiyat:
๐Hazrat Ayesha Radhi Allahu Anha bayan farmati hain:
"Zamana e Jahiliyat mein Quraish Aashoora ka roza rakha karte the, aur Nabi sallallahu alaihi wa sallam bhi rakha karte the, Jab aap hijrat karne ke baad madina pahunche to aap sallallahu alaihi wa sallam ne khud Aashoore ke din roza rakha aur saare musalmano ko roza rakne ka hukm diya phir jab Ramzan mein roza rakna farz hogaya to aap sallallahu alaihi wa sallam ne ye ikhtiyar de diya ke jo chahe roza rakhe ya na rakhen."
[Sahih Bukhari, kitab as siyaam, Hadees: 2002, Sahih Muslim, kitab as siyaam, Hadees: 1125]
➡Is hadees se pata chalta hai ke pehle aashoora ka roza farz tha baad mein yani san 2 hijri mein jab ramzan ke roze farz hue to ye mansooq hogaya.
Aashoora ki Fazeelat.
1.Pehli fazilat:
๐Ye roza pechle saal ke sabiqa gunah muaf kar ta hai.
Abu Qatada Radi Allahu Anhu se rivayat hai:
Nabi-e-Rahmat Sallallahu Alaihi wasallam se Ashoora ke din ke rozey ke bare mein pucha to:
"Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne faramaya ye Guzrey huye saal ke (sagheerah) gunahon ka kaffara hai."
[Sahih-Muslim, kitab as
Siyaam, Hadees: 1162]
Subhanallah, agar koi shaks is roze ko la parwahi se choad de toh sochiye uska kitna nuqsan hoga.
2. Dusri Fazilat:
๐Abdullah ibn Abbas Radhi Allahu Anhu bayan karte hain:
"Maine aap sallallahu alaihi wa sallam ko Aashoora ke roze aur ramzan ke rozon ke Siwa aur kisi dinon ko afzal jaan ke qasd (yani talash) karte hue nahi dekha."
[Sahih Bukhari, kitab as siyaam, Hadees: 2006]
3⃣Teesri Fazilat:
๐Abu Huraira Radhi Allahu Anhu se rivayat hai:
Nabi-e-Rahmat sallallau alaihi wa sallam ne farmaya:
"Ramzan ke baad sabse behtar aur Afzal roze Muharram ke roze hain."
[Sahih: Jamia Tirmidhi, Kitab as saum, Hadees: 740]
✳Ye rahi fazilat o ahmiyat, In sha Allah part 2 mein aap ye dekhenge ki, kis tarah hamare salaf us saliheen is ki qadar karte the aur Do roze kyun rakne hain.
๐ต Allah Hume Ilmun Nafs aur Amalus Swaleh ki Taufeeq atkare๐ด
๐ธAameeen๐น
✳ Ahmiyat par mazeed wazahat, Do Roze Kyun, aur Salaf ke Chand Aqwal
Pehle part mein humne Aashoora ki fazilat o ahmiyat ko dekha.
๐Aashoore ki fazilat o ahmiyat aur Azmat ka namoona hame is hadees se bhi pata chalta hai.⤵
๐Ar-Rubayya Binte Mu'awwid Radhi Allahu Anha se rivayat hai ke:
Nabi-e-Rahmat sallallahu alaihi wa sallam ne aashoora ke din subha ansariyon ke muhalle aur ilaqe aur gharon mein ye paigham de kar bheja ki jisne ab tak kuch kha liya wo roza rakle aur jisne abtak nahi khaya to roza mukammal kar le.
➡Rubayya Radhi Allahu Anha farmati hain ke:
"Hamne roza rakha balki apne bachcho ko bhi roza rakhaya jab wo bhook se rone lage toh unhen hamne khilone de diye take wo in mein mashgool ho jayein phir jab sooraj ghuroob hua to hamne unhe khana pesh kiya."
[Sahih Muslim, Kitab as Siyaam, Hadees: 1136]
SUBHANALLAH
๐Kis tarah Salaf us Saliheen iski qadr karte the.
Hamare aslaf safar mein bhi Ashoore ka roza rakte the.
⏩Jaise Abdullah ibn Abbas radhi Allahu anhu, Abu Ishaq as-Sabi'ee rahimaullah, Imam ibn hanbal rahimaullah, az-Zuhri rahimaullah.
๐Az-Zuhri Rahimaullah farmate hain ke:
"Allah ne ramzan ke roze safar mein khaza karne ka hukm diya lekin, Ashoore ke bare mein koi hukm nahi hai, lihaza safar mein musafir roza rakna afzal hai."
๐Do din roze kyun.
๐Hazrat Abdullah Ibn Abbas Radhi Allahu Anhu bayan farmate hain:
"Jab Nabi-e-Rahmat Sallallahu Alaihi wasallam Ne Aashoora ke din Roza rakha aur logon ko Roza rakne ka Huqm diya,
Ispar logon ne arz kiya ke Rasoolallah Sallallahu alaihi wa sallam, ye din toh aisa hai ke Yahood aur Nasara iski Tazeem karte hain,
Toh Aap Sallallahu Alaihi wa sallam Ne farmaya Ki,
Jab Agla Saal aayega to In sha Allah, Hum 9 ka Roza Rakhege,Aakhir Agla Saal na aska ki Aap Sallallahu Alaihi wasallam ki wafaat ho gai."
[Sahih-Muslim, kitab as siyaam Hadees: 1134]
✳Yahi wajah hai ke hum do roze rakte hain.
➡Ab sawal ye hai ke agar koi sirf Aashoora ke din roza rakhe toh uska roza qubul hoga.❓
Haan agar koi sirf Aashoora ko roza rakhe mujboori se toh wallahu a'lam bis sawab iska ajr usko milega lekin afzal ye hain wo do roze rakhe.
Allama ibn Qayyim al jawzi rahimaullah apni kitab zaad al maad mein farmate hain:
"Agar koi 3 din yani Aashoora se pehle wala aur Aashoora aur iske baad wala din roza rakle toh bohut hi fazal hai."
Imam ibn Hajar Rahimaullah bhi isi ke qail hain.
Aakhir mein Allah se dua hain ke in rozon ke ahmiyat jante hue in par amal karne ki taufeeq ata kare. Aur Allah Hume Ilmun Nafe aur Amalus Swaleh ki Taufeeq at kare.
AAMEEN YA RAB