BISMILLAH
Hazrat Ummul Momineen Umme Salma r.a. bayan karti hain ke main ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi wasallam se suna ke Aap Asr ke baad namaz padhne se mana karte the phir main ne dekha ke Aap ne Asr ki namaz ke baad 2 rakatei’n padhei’n main ne aap se iski wajah poochi to Aap
ne farmaya:
‘Baat ye hai ke mere paas qabeela Abdul Qais ke log (ehkaam e deen seekhne ke liey) aae the inke sath (meri masroofiyat ne) mujhe Zohar ke baad ki 2 rakat sunnato’n se baaz rakha pas ye wo dono’n thei’n (jo main ne Asr ke baad adaa ki
hain)’
๐(Bukhari: al Sahoo 1233 – Muslim 834)
๐ฐFAJR KI SUNNATEI’N FARZO’N KE BAAD PADH SAKTE HAIN
Agar aap aise waqt masjid mein paho’nche ke jamat khadi hogai ho aur aap ne sunnatei’n na padhi ho’n to is waqt sunnatei’n mat padhei’n kyou’nke Rasool Allah ne farmaya:
‘Jab namaz ki aqaamat (takbeer) ho jaae to farz namaz ke alawa koi namaz nahi hoti.’
๐(Muslim: Salatul Musafireen 710)
⏭Aisi soorat mein aap jamat mein shamil ho jaaei’n aur farz padh kar sunnatei’n padh lei’n.
Chunache Rasool Allah ne 1 shaqs ko subha ki farz namaz ke baad 2 rakatei’n padhte hue dekh kar farmaya:
‘Subha ki (farz) namaz 2 rakatei’n hain (tum ne mazeed 2 rakatei’n kaisi padhi hain?).
Is shaqs ne jawab diya. Main ne 2 rakatei’n sunnat (jo farzo’n se pehle hain) nahi padhi
thei’n.
Inko ab padha hai.
(ye sun kar) Aap ne farmaya:
Phir koi harj nahi.’
๐(Abu Dawood: al Tatwee 1267 – Ibne Majja 1154 – Ibne Khuzaima 1116) Ise Imam Ibne Hibban, Imam Haakim V1 P274‐275 aur Imam Zahabi ne Saheeh kaha.
1 Shaqs masjid mein aaya Rasool Allah subha ke farz padh rahe the. Is ne masjid ke 1 kone mein do rakat sunnat padhi. Phir jamat mein shamil hogaya. Jab Aap ne salam phera to farmaya: ‘Tum ne farz namaz kis ko shumar kiya jo akele padhi thi is ko ya jo hamare sath jamat se padhi hai?’
๐(Muslim: Salatul Musafireen 712)
Note๐
Maloom hua ke FARZ HOTE WAQT SUNNATO’N KA PADHNA DURUST NAHI HAI.

No comments:
Post a Comment