Thursday, February 25, 2016

NEAK AAMAAL KA WASEELA


Assalam o Alaikum warahmatullahi wabarakatuhu

BISMILLAH

Hazrat Abdullah-Bin-Umar Radi-Allahu ‘anhu se rawayat hai Rasool-Allah sallallahu   alaihi wasallam ne farmaya

 Teen 3⃣ Aadmi ja rahe the, itne me barish hone lagi to wo pahad me ek GAAR tha isme ghoos gaye, Pahad par se ek pather gira aur GAAR ke monh par aagaya aur monh band ho gaya,

Ek ne dosre se kaha
apne apne neak Aamaal ka khayal karo jo ALLAH ke liye ho aur DUA maango in Aamaal ke WASILE se shayed Allah-Taala is pather ko khool de tumhare liye,

To inme se Ek ne kaha
 Mere MAA-BAAP budhe zayef the aur meri Biwi(wife) aur mere chote chote ladke the, ke main inke waste Bhed, Bakriyan charaya karta tha, to inka Dodh(milk) duhta tha aur sabse pahele apne MAA_BAAP se suru karta tha, to inko apne ladko se pahele pilata tha, albatta ek din mujhko bakriyon ka chara bahut door mila so main ghar na aaya yahan tak ke mujhko aane me shaam ho gai to maine apne MAA-BAAP ko sota hua paya, phir maine doodh(milk) duha jis tarah duha karta tha, phir main doodh(milk) laya aur apne MAA-BAAP ke sar ke pass khada hua, mujhko bura laga ke main inko neend se jagaon aur bura laga ke inse pahele ladko ko pilaon aur ladke bhook ke mare shoor kar rahe the mere dono pairo(legs) ke pass, so issi tarah barabar mera aur inka haal raha subah tak(yani main apne MAA-BAAP ke intejar me doodh liye raat bhar khada raha) aur ladke rote chillate rahe, na maine piya aur na ladko ko pilaya, so Elaahi agar tu janta hai ke aisi Mahnat aur Moshaqat teri razamandi waste maine ki thi to is pather se ek rozan khool de jisse hum aasmaan ko dekhe to Allah-Taala ne isme ek Rozan khool diya aur unhone isme se Aasmaan ko dekha,

2⃣DOSRE NE KAHA
Elaahi majra ye hai ke mere chacha(yani uncle) ki ek Beti thi, jis se main mohabbat karta tha jis tarah Mard-Aurat karte hain(yani main iska kamaal Ashiq tha) so iski taraf mayel ho kar maine iski zaat ko chaha(yani haraamkhori ka irada kiya) isne na mana aur kaha jab tak 100 Ashrafiya na dega main razi na hungi, maine kosis ki aur 100 Ashrafiya kama kar iske pass laya, Jab main ne iski taang uthai( yani jamaa ke irade se) isne kaha:- Aye Allah ke bande! dar ALLAH se aur mat tood mahar ko magar haq se(yani begair Nikah ke bakarat mat zayel kar) to main uth khada hua iske upper se – Elaahi agar tu janta hai ke ye kaam maine teri razamandi ke liye kiya to ek Rozan aur khool de hamare liye, Allah-Taala ne aur ek Rozan khool diya yani wo Rozan bada ho gaya,

3⃣TEESRE NE KAHA
 Elaahi maine ek saks se mazdoori li, ek Farq chawal par(yani wo bartan jisme 16 ratal aanaj aata hai) jab wo kaam kar chuka isne kaha: mera haq de maine ek Farq bhar chawal iske samne rakhi, isne na liya phir maine in chawalon ko bota raha, isme barkat hui yahan tak ke maine is maal se Gaaye aur Bael(cow & bull) aur inke charane wale gulaam ikhatta kiya, phir wo majdoor mere pass aaya aur kahne laga: Allah se dar aur mera haq mat maar, maine kaha ja aur Gaaye Bael(Cow-Bull) aur iske charane wale sab tu lele

wo bola:  Allah Jabbar se dar aur mujhse mazak mat kar, maine kaha main mazak nahi karta, wo Gaaye Bael(Cow-Bull) aur charane wale ko tu lele isne le liya, phir agar tu janta hai ke maine teri razamandi ke liye kiya to jitna baqi hai Rozan wo bhi khool de, Allah-Taala ne isko bhi khool diya aur wo log GAAR se bahar nikal gaye.
📚( Sahih-Muslim, Hadees-no—6939 / Sahih-Bukhari, Hadees-no—2333,2215)

🔰TASHRIH

 IS HADEES SE JO BAAT  SAMNE AATI HAI WO YE  HAI ⤵⤵⤵⤵

1⃣Sakht mosibat me aur nehayat pareshani me jiski koi tabdir na ho sake to apne khalis Aamaal ko WASILA bana kar Allah se DUA kare Allah isko nijad de.

2⃣MAA-BAAP ka haq apni jaan aur biwi, ladko ke haq me muqaddam hai aur neakiyon me dakhil hai.

3⃣Qadir ho kar gunnah se bachna aur sirf Allah ke Dar-wa-Khauf se shawat ko dabana aur khawash-e-nafs ko mitana bede kamala ki baat hai, aur Allah ko nihayat pasand hai.

4⃣Haq walon ka haq adda karna Raza-e-Elaahi ka umdaa wasila hai.

5⃣ Maalik ke ijazat ke bina koi aanaj bo de to iska hasilaat ka maalik asal maalik hi hoga.

♻QUR'AAN aur HADEES ki TAMAAM DALIL se SABIT HOTA HAI ke SIRF 3⃣TARAH KE WASEELE JAIZ HAIN BAAKI SAB HARAAM HAI

1⃣ ALLAH ke 99 NAAM hai uske NAAM KA WASEELA laga kar usse maango

2⃣ AAP main se jo ZINDA NEAK LOG HAIN UNKE PAAS JAAKE UNSE KAHO ki MERE LIYE DUA KAREN zinda ka hukum hai MURDON KA  NAHI

3⃣ Apne KOI NEAK AAMAL KA WASEELA LAGAO……JAISE ke DEENMAIN jo TUMNE PAISA KHARACH KIYA HAI ya aur KOI NEK  AMAL

🔰NOTE
Aur Murdon ka wasila QURAAN AUR HADEES SE KAHIN BHI SABIT NAHI HAI, agar hai to iski Sahih-Dalil de hum manne ke liye tiyaar hai.

🌟♻♻♻🌟♻♻♻🌟

📝NOTE:

📌COME N JOIN OUR AKHIRAT KI TAYARI BLOG, BRO GROUP, SIS GROUP, TELEGRAM GROUP, SAWAL AUR JAWAB GRP N BROADCAST:

💥Plz mention which group u want join

http://akhiratkitayari.blogspot.sg

✳Whatsapp group join krne kly
Is link FB PAGE INBOX MSG KREIN NAAM AUR PHONE NUMBER
https://www.facebook.com/pages/Akhirat-Ki-Tayari/861927490499974

Tuesday, February 23, 2016

TASHAHHU ME [SHAHDAT DENE WALI ] UNGLI UTHANA AUR HARKAT KARNA


BISMILLAH

Rafa’a Sabaaba !
Tashahhud me [ Shahadat dene wali ] Ungli Uthana aur Harkat karna. 

Tashahhud me Ungli uthaana Sunnat hai aur ispar par Poore Muhaddithonka ittefaaq hai. Iski wajah beshq ye hai saabit hai ke jab Nabi E Kareem Sallallahu Alai Wasallam Namaz me Tashahhud ke liye baidte the tho wo apni Shahadat wali Ungli uthaakar ishara karte.

Darasal me, Ek rivayat me kaha gaya hai ke, EK dafa Nabi E Rahmat Sallallahu Alai Wasallam ek shaks ko uski 2 ungliyonse [ Tashahhud ] me ishara karte hue dekha, tho apne usse kaha ke..

" أَحِّدْ أَحِّدْ "
“ Ek se ek se “ [ Yaani ke Ek Ungli se Ishara kar ].

[ Jamia Tirmidhi # 3557 – HASAN- Zubair Alee Zai Rah. ]

Tho saabit hotha hai Shahadat ki ungli se ishara karna yeh baqaidah Sunnat hai.
Nabi Sallallahu Alai Wasallam ka kahna isse aur bhi zor deta hai jab aapne farmaya ke..

“لهي أشد على الشيطان من الحديد" يعني: السبابة”
“ Yeh Shaitaan par LOHE [ Iron ] se bhi jyada bhari hai “ [ Yaani Shahadat ki Ungli ].

[Authenticated by Shaikh Ahmed Shaakir in Musnad Ahmed: 8/194;
and Shaikh Albaani in Takhreej Mishkaat ul-Masabeeh: 877]

Is Umdah tareen wali fazeeliyat aur Hikmat ka zikr karke, Nabi e Kareem Sallallahu Alai Wasallam ne apne Ummat ko hukm diya, aur kaha ke shaitaan ke jaal se yeh bache rahna.

Ab dekte hai ke Alag Alag Mazabome Tashahhud me Shahadat ki Ungli ko kab aur kaise uthate hai.

-> Poore Muhaddithonka ispar Ittefaaq hai ke Tashahhud me Shahadat ki uthakar Ishara karna Sunnat hai.

Magar Muhaddithonka ispar Ikhtelaaf hai ke Kab aur Kaha uthana chahiye ??

-> Kya sirf ‘Laa Ilaaha Illallaah’ par hi uthana chahiye ? ya fir hame tashahhud ke shuru se lekar khatam honetak musalsal shahadat ki Ungli ko harkat dena chahiye. ?

-> Hanafiyyah aur Shaafi’eeyyah ke sirf ‘Laa Ilaaha Illallaah’ par uthane ke khayel hai. In Donome fark bas itna hai ke Hanafiyyah apni Qyasi duniya se samajte hai ke sirf ‘Laa Ilaaha’ par ungli uthana chahiye fir ‘Illallaah’ par rakdena chahiye. Aur Jabke Shaafi’eeya kahte hai ke sirf ‘Illallaah’ par hi ungli ko uthana chahiye.

-> Aur Hanaabilah ke aagey Shahadat ki Ungli tabhi uthana chahiye jab Tashahhud me “ ALLAH “ ka kaha jaata ho.

->> Maalikiyyah ke mutaabik Tashahhud shurse lekar aakir tah ungliko harkat dena chahiye.

#SIRF “LAA ILAAHA ILLALLAAH” KI HAD PAR HI UNGLI UTHANE KI DALEEL AUR USKA #JAWAB.

EK hi daleel jo ‘Laa Ilaaha Illallaah’ ya ‘Allaah’ par uthane ki dete hai wo bas QYAAS hai. Isi QYAAS ke buniyaad par kahte hai ke “ Jab Namazi ‘Laa Ilaaha Illallaah’ kahta hai tho wo Tawheed ka izhaar apne zubaan se karta hai, tho yeh aur bhi jyada munaasib hojayega ke wo ALLAH ke Tawheed ki tarah apne AML se Ishara kare. Chunache, use chahiye ke uski ungli uthaye aur apne zuban se aur apne aml se bhi ALLAH ki tawheed ko qayam kare. Jabke, Hanaabilah kahte hai ke, Agar ALLAH ke Tawheed ki tarah Ishaara karne ka irada tha tho, fir hame chahiye ke “ ALLAH “ ke alfaaz par ungli uthana chahiye kyunki yeh ALLAH ek hai uski tarah Ishaara karta hai.

Hamare ILM ke mutaabik aise koi bhi Saaf taur par daleel nahi hai jo Falan jagah Ungli ko “ Uthaakar rakha jaaye “ kaha gaya ho.

Haa, Ek hadeeth hai jo baaz log daleel lete hai aur wo Musnad Ahmed aur Sunan Bayhaqi ki hadeeth hai wo darasal me Marjooh Da’eef hai.

--> Al-Ameer as-Sa’aani (the author of Sabal as-Salaam) ne farmaya ke :

“‘Laa Ilaaha Illallaah’ kahte waqt Ungli ko Harkat dene wale auqaat aur aml. Yeh Nabi Sallallahu Alai Wasallam ka Aml hai jaisa Bahyaqi ne rivayat kiya hai. “

[ Sabal as-Salaam ]

** Maulaana Ubaydullaah Mubaarakpoori (the author of Mir’aat ul-Mafateeh) isko Tadeed [ Refute ] karte hue kahte hai ke :

قلت: حاصل ما رواه البيهقي وغيره في ذلك أنه - صلى الله عليه وسلم - كان يشير بالمسبحة إلى التوحيد، أو يريد بها التوحيد، أو يوحد بها ربه عز وجل، وليس فيه كما ترى تصريح بالإشارة عند قوله "لا إله إلا الله" خاصة. ولا نفي الإشارة قبل ذلك من ابتداء الجلوس. ومقصود الصحابي منه إنما هو بيان حكمة الإشارة ونكتتها، لا بيان محل الإشارة ووقتها.

Tarjuma :

“ Mai kahta hu ke : Imam Bayhaqi aur doosrone kaha ke, Nabi Sallallahu Alai Wasallam apni Ungli se Tawheed ki tarah ishara karte the, ya usse Tawheed ki taraf Irada karte, ya unke Rabb ke Tawheed ko bayan karne ka iraada karte the. Inmese, Jaisa ap deksakte hai ki, isme koi bhi tasdeek nahi ki gayi ke ‘Laa Ilaaha Illallaah’ par ishaara karo aur naahi isme koi Nafi [ Negation ] hai ke Juloos [ Baitne ki halat ] ke shuruwat se ishara karo. Isse Sahabi e Rasool [Sallallahu Alai Wasallam] ka maksad tha ke, wo is ishare ke peeche wale hikmat ka khulaasa kare, bina zikr kiye huwe ke “ KAB “ aur “ KAISE “ ishaara kare.

[ Mir’aat ul-Mafateeh: 3/229 ]

Tarjeeh (Preference):

Diye gaye Jis kisi bhi Masala’h par, hame muhadditheen ki ikhtelaafi rayy’onko dekhna chahiye aur usiko tarjeeh dena chahiye jinki Rayy Nusoos (Qur’aan and Hadeeth) ke kareeb ho.

Lihaaza, is Masalah par Sahih taur par Nusoos (Qur’aan and Hadeeth) se saabit ye hai ke Musalli Tashahhud me shuru se lekar aakir tak neeche bataye gaye tareekhe ki tarah karna chahiye.

1- Seedhe haath ke ungliyonko Halka [Ring] banana chahiye, ya Beechki ungli ko anghukese milnakar rakhna chahiye.

2- Shahadat ki unglise ishara karna chaihye.Point with his Index Finger.

3- Aur use Hitaalte rahna chahiye.

Yeh Upar bataye gaye tareeke QURAN aur SUNNAT se saabit hai.

1)

وَحَدَّثَنَا عَبْدُ بْنُ حُمَيْدٍ، حَدَّثَنَا يُونُسُ بْنُ مُحَمَّدٍ، حَدَّثَنَا حَمَّادُ بْنُ سَلَمَةَ، عَنْ أَيُّوبَ، عَنْ نَافِعٍ، عَنِ ابْنِ عُمَرَ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم كَانَ إِذَا قَعَدَ فِي التَّشَهُّدِ وَضَعَ يَدَهُ الْيُسْرَى عَلَى رُكْبَتِهِ الْيُسْرَى وَوَضَعَ يَدَهُ الْيُمْنَى عَلَى رُكْبَتِهِ الْيُمْنَى وَعَقَدَ ثَلاَثَةً وَخَمْسِينَ وَأَشَارَ بِالسَّبَّابَةِ .

Ibne Umar Radiallahu Anhu riwayat karte hain ke..

“ Rasool Allah jab namaz (ke qaeda – Tashahhud ) mein baith‐te to apna baaya’n haath baaye’n Qudne par rakhte aur Seedha haath seedhe ghudne par rakhte, aur use Halka banakar Shahadat ki ungli se ishara karte “

[Saheeh Muslim: Kitaab al-Masaajid wa Mawaadi’ as-Salaah H. 1203]

Aur ek Rivayat me hai ke :

وَحَدَّثَنِي مُحَمَّدُ بْنُ رَافِعٍ، وَعَبْدُ بْنُ حُمَيْدٍ، قَالَ عَبْدٌ أَخْبَرَنَا وَقَالَ ابْنُ رَافِعٍ، حَدَّثَنَا عَبْدُ الرَّزَّاقِ، أَخْبَرَنَا مَعْمَرٌ، عَنْ عُبَيْدِ اللَّهِ بْنِ عُمَرَ، عَنْ نَافِعٍ، عَنِ ابْنِ عُمَرَ، أَنَّ النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم كَانَ إِذَا جَلَسَ فِي الصَّلاَةِ وَضَعَ يَدَيْهِ عَلَى رُكْبَتَيْهِ وَرَفَعَ إِصْبَعَهُ الْيُمْنَى الَّتِي تَلِي الإِبْهَامَ فَدَعَا بِهَا وَيَدَهُ الْيُسْرَى عَلَى رُكْبَتِهِ الْيُسْرَى بَاسِطُهَا عَلَيْهَا .

Ibne Umar riwayat karte hain ke Rasool Allah jab namaz (ke qaeda) mein baith‐te to apne dono’n hath apne dono’n
ghutno’n par rakhte aur daahine hath ki tamaam ungliya’n band kar lete aur apni daahini ungli jo anghute ke nazdeek hai uthalete, pas iske sath dua maangte aur baya’n hath baei’n ghutne par bicha lete.

[ Sahih Muslim: al Masaajid # 580 ]

Alfaaz “Kaana Iza Qa’ada” aur “Kaana Iza Jalasa” se saabit hotha hai ke :

1- Nabi Sallallahu Alai Wasallam jaise hi Tashahhud me baidte the tho wo dono haathe’ dono’ ghutnonpar rakhte aur shahadat ki ungli se ishara karte [ Bina Ruke fauran ].

2- Fir jaise unke haath ghutnonpar tashahhud ke honetak rahte the, shahadat ki ungli se ishara karne wali Ungli bhi usi tarah tashahhud ke khatam hone tak rahti thi.

--> Muhaddith ul-Asr Shaikh Muhammad Naasir ud-Deen Albaani (rahimahullah) ne Pahli hadeeth Ibn Umar [ Radiallahu Anhu ] ke ziman me farmaya ki..

“ Yeh Hadeeth se saabit hotha hai ke Tashahhud me baidte hi fauran Ungli ko uthaakar ishara karna chahiye. “

Aur Ibn Umar [ Radiallahu Anhu ] ki doosri Rivayat ke ziman me farmaya ki..

“ Is hadith me, Ungli se ishaara Dua-e-Tashahhud khatam honetak Salam se pahle karne ka ishaara milta hai. “

Fir mazeed farmate hai ke :

“ Yeh hadeeth zaahiri taur par daleel bante hai ke, Ungli se ishaara Salam se pahletak karna chahiye.”

[Tahqeeq Mishkaat ul-Masabeeh: 1/285]

3-

خْبَرَنَا سُوَيْدُ بْنُ نَصْرٍ، قَالَ أَنْبَأَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ الْمُبَارَكِ، عَنْ زَائِدَةَ، قَالَ حَدَّثَنَا عَاصِمُ بْنُ كُلَيْبٍ، قَالَ حَدَّثَنِي أَبِي أَنَّ وَائِلَ بْنَ حُجْرٍ، أَخْبَرَهُ قَالَ قُلْتُ لأَنْظُرَنَّ إِلَى صَلاَةِ رَسُولِ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم كَيْفَ يُصَلِّي فَنَظَرْتُ إِلَيْهِ فَقَامَ فَكَبَّرَ وَرَفَعَ يَدَيْهِ حَتَّى حَاذَتَا بِأُذُنَيْهِ ثُمَّ وَضَعَ يَدَهُ الْيُمْنَى عَلَى كَفِّهِ الْيُسْرَى وَالرُّسْغِ وَالسَّاعِدِ فَلَمَّا أَرَادَ أَنْ يَرْكَعَ رَفَعَ يَدَيْهِ مِثْلَهَا - قَالَ - وَوَضَعَ يَدَيْهِ عَلَى رُكْبَتَيْهِ ثُمَّ لَمَّا رَفَعَ رَأْسَهُ رَفَعَ يَدَيْهِ مِثْلَهَا ثُمَّ سَجَدَ فَجَعَلَ كَفَّيْهِ بِحِذَاءِ أُذُنَيْهِ ثُمَّ قَعَدَ وَافْتَرَشَ رِجْلَهُ الْيُسْرَى وَوَضَعَ كَفَّهُ الْيُسْرَى عَلَى فَخِذِهِ وَرُكْبَتِهِ الْيُسْرَى وَجَعَلَ حَدَّ مِرْفَقِهِ الأَيْمَنِ عَلَى فَخِذِهِ الْيُمْنَى ثُمَّ قَبَضَ اثْنَتَيْنِ مِنْ أَصَابِعِهِ وَحَلَّقَ حَلْقَةً ثُمَّ رَفَعَ إِصْبَعَهُ فَرَأَيْتُهُ يُحَرِّكُهَا يَدْعُو بِهَا

Hazrat Wail bin Hujr [ Radiallahu Anhu ] se rivayat hai ke..

“ Jab Aap Sallallahu Alai Wasallam [Tashahhud ke liye baidte] namaz me baidte tho baayan haath baayen Raan [thigh] aur khudne par rakhe aur daayen kohni ka kinaara apni daayen raan par rakha
Fir aapne [Daayen Haath] ki do ungliyan bandke aur [Darmiya Ungli aur Anghotese] halqa banaya.
Fir apni Shahadat ki ungli ko uthaya. Fir maine aapko dekha ke aap use HARKAT DETE THEY AUR ISKE SAATH DUA KARTE THE.

[ Narrated by al-Nasaa’ee, 889; classed as Saheeh by Ibn Khuzaymah, 1/354; Ibn Maajah, 5/170; classed as Saheeh by al-Albaani in Irwa’ al-Ghaleel, 367. ]

Upar ki Waa’il (radiallah anhu) ki hadeeth se saabit hotha hai ke Ungli se ishaara karne ke alawa hame use musalsal hilaana chahiye. Yaani hame Tashahhud ki Dua ke saath Salam hue tak Ungli hilaana chahiye, Jaise Alfaaz “Yuharrikuha” istemaal kiya gaya jo ke Fi’l Mudaari’ hai, jo tasulsul (continuation) ka faidah deta hai, Yaani Nabi Sallallahu Alai Wasallam Tashahhud ke saath Ungli se ishara karte the, aur doosra Alfaaz is hadeeth me “Yad’oobiha” , iske maane hai ke Nabi Sallallahu Alai Wasallam Tashahhud me Musalsal Ungli ko Hilaate hue DUA karrahe the.

Aur Tashahhud me DUA’e hi hai. Pahli Dua, At-Tahiyyat aur doosri DUA Durood fir doosre DUA’e.

Yahi wajah hai ke Ibn az-Zubair [Radiallahu Anhu] ki hadeeth me alfaaz ‘Tashahhud’ ke badle ‘DUA’ kahi gayi hai.

Hadeeth me kaha gaya hai ke “ Jab Nabi Sallallahu Alai Wasallam jab DUA [ Tashahhud ] ke liye…”.
isse saabit hotha hai poora Tashahhud ki Ek DUA hai, lihaaza hame Tashahhud ke khatam honetak yaani Salam padetak Ungli ko Harkat dena chahiye.

Shaikh Albaani (rahimahullah) ne Farmaya : “ Yeh hadeeth Tahreek [ Musalsal Harkat dena ] ki fazeeliat deti hai, aur yeh Maalikiyyah ka mazhab hai aur wo log beshq HAQ par hai. “

4- Abdullah bin az-Zubayr [Radiallahu Anhu ] ki Hadeeth :

كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم إِذَا قَعَدَ يَدْعُو وَضَعَ يَدَهُ الْيُمْنَى عَلَى فَخِذِهِ الْيُمْنَى وَيَدَهُ الْيُسْرَى عَلَى فَخِذِهِ الْيُسْرَى وَأَشَارَ بِإِصْبَعِهِ السَّبَّابَةِ وَوَضَعَ إِبْهَامَهُ عَلَى إِصْبَعِهِ الْوُسْطَى وَيُلْقِمُ كَفَّهُ الْيُسْرَى رُكْبَتَهُ .

Hazrat Abdullaah bin zubair [Radiallahu Anhu] se Riwayat karte hain ki “ Rasool ALLAAH Sallallahu Alai Wasllam Dua [Tasha’hud] ke liye baidte tho apna daaya’n haath daaye’n , aur baaya’n haath baaye’n raan par rakhte aur shahadat ki ungli ke saath isharah karte ,aur apna angootha apni darmiyyani ungli par rakhte,…

[Saheeh Muslim: Book 4: H. 1202]

Yeh Hadith se aur ek daleel milti hai ke Ungli ka pahla ishaara Qa’ood [ sitting position ] se bhi shuru huwa tha “Laa Ilaaha Illallaah” se nahi.

Kuch log ka Aitraaz aur unko JAWAB :

Kuch Ulemanone [ Shaikah Mulla Ali Qaari bhi shamil hai ] kaha ke, “Waa’il ibn Hujr (radiallah anhu) hadeeth me alfaaz “Fara’eetuhu Yuharrikuha Yad’oobiha” rivayat kiye gaye hai, jo Abdullah bin az-Zubayr ki hadith se ikhtelaaf karti hai, jo Abdullah bin az-Zubayr ki hadeeth me rivayat hai ke “

Jab Nabi e Kareem Sallallahu Alai Wasallam Tashahhud ke liye baidte the tho, jab aap Dua karte the tho Ungli se ishara karte the aur wo ungli ko harkat nahi karte the.

[Al-Nasaa’ee # 1270) aur Abu Dawood # 989 –
Da’eef – Zubair Alee Zai & Shaikh Al Albani Rah. ]

Yeh Hadith Kai wajah se Da’eef hai.

Pahla Wajah : Yeh hadeeth Shaa’dh ki wajah se Da’eef hai.

SHAADH kya hai ?

Imaam Abu Abdullah Muhammad bin Idrees ash‐Shaafi’ee (rahimahullah) iski tareef
ke bayan me farmate hai ke…:

“ Shaadh, hadith ke silsilme wo nahi jo Thiqah ravi jo rivayat karta hai jise aur koi rivayat na kare, Shaadh hadith ke maaane yeh hai ke, ek thiqah ravi jo rivayat karta hai aur doosre raviyonse koi ek us rivayat se Shadhoodh [Contradict ] kare, Yaani ke us ravi se mukhalifat karna..”

[ADAAB ASH‐SHAAFI’EE WA MANAQIBUHU BY IBN ABI HAATIM: PG 178‐179, CHAIN SAHEEH]

IMAAM SHAAFI’EE (RAHIMAHULLAH) FIR AAGEY FARMATE HAI KE..

“ Beshak ! Shaadh wo rivayat hai jo ek Thiqah ravi ek alfaz me hadith rivayat kare
aur fir doosra Thiqah ravi uske mukhalifat me doosri rivayat kare tho uski rivayat
me SHUDHOODH kahlaaye jaayegi.

[ADAAB ASH‐SHAAFI’EE PG 179, CHAIN SAHEEH]

Shaikh Al Albani Rah. Ne ise 2 wajuhaat par Da’eef kaha hai

Farmate hai ke..

1- Waa’il Radiallahu anhu ki Hadeeth Ibn az-Zubayr ki hadeeth ke muqaabileme jyada motabar hai. [ Jab 2 hadeethe jo bazaahir ho aur un donome ikhtelaaf ho tho fir un donone aashti’ [ reconciliation ] karna munaasib na ho tho fir Tarjeeh ke usool aur shartonke mutabik kisi ek ko tarjee di jaayegi. Un usoolomese ek usool hai ke agar ek hadeeth doosre hadeeth se Jyada Motabar
Hai tho Jyada motabar wali hadeeth ko tarjee di jaayegi. ]

2- Waa’il [ Radiallahu Anhu] ki hadeeth Muthbaat (establishing an action) hai, jabke Ibn az-Zubayr ki hadeeth Naafi (negating an action) hai. Aur ek mash’hoor USOOL hai ke Muthabat, Naafi par Tarjee diya jaayega. Iske alawa, Alfaaz “Wala Yuharrikuha [ aur unhone harkat nahi kit hi ] Shaadh aur Munkar hai kyunki Ravi Muhammad bin Ajlaan ne yeh alfaaz kuch rivayatome zikr kiya tha aur doosre Rivayatome nahi kiya. Aur Ravi is alfaaz ki wajah se, jisne yeh Mutaabi’ah kiya hai wo bhi Mutaabi’ hai.

Iske Alawa Muhammad Ibn Ajlaan ek Mudallis hai.

-->Haafidh Ibn Hajar Rah. Ne inhe Tabaqaat al-Mudalliseen me TEESRE darje ke Musalliseen (whose An’an narration is the cause of weakness in hadeeth by Ibn Hajar) me zikr kiya.

Aur Farmaya :

“Ibn Hibbaan Rah. Ne inhe Mudallis kaha hai. [3/98]

--> Allaamah al-Halabi Rah. Ne al-Tabiyeen me Ajlaan ko Mudallis kaha hai aur Haafidh al-‘Alaa’ee se rivayat kiya hai ke..

“ Wo Ibn Abi Haatim se rivayat karte hai ke wo Mudallis the “

[ Jaami al-Tahseel Pg 125” ]

Wo Abu Mahmood Maqdisi, Dhahabi, aur al-Dameeni se Mudallis Karar diya gaya hai. Haafidh Suyooti ne unhe Apne Risaala “Asmaa man Arafa bit-Tadlees [ Names of those who are known for tadlees ] ” me zikr kiya hai.

[ See: Fath ul-Mubeen fi Tahqeeq Tabaqaat ul-Mudalliseen by Shaikh Zubair Ali Zai]

Inke Ilaawa, Hanafi FIRQA ke Mashoor Allaamah Tahaawi ne bhi unhe MUDALLIS karar diya hai.

[ Mushkil ul-Athaar [1/100-101] ]

Allaamah Sindhi al-Hanafi ne unke ‘ Haashiah Ibn Maajah ‘ me Mudallis kaha hai.

Tho upar ki ittela se pata chalta ke ‘Ungli ko harkath Na dete the ‘ kahne wali Abu Dawud aur Nasai ki hadith Bataye gaye Wujuhaat ki wajah se Da’eef hai.

Mazeed jaankari ke liye dekhiye...

Nayl al-Awtaar (2/283)
Fiqh us-Sunnah by Sayyid Saabiq (1/170)
Zaad al-Ma’aad (1/255)
Tahqeeq Mishkaat ul-Masaabeeh by Albaani (1/285) Mir’aat ul-Mafateeh by Shaikh Ubaydullaah al-Mubaarakpoori (1/661-672)

DAROOD KE BAAD KI DUAE'IN



BISMILLAH

1. Ummul Momineen Aaisha Ra. farmati hai ke..

“ Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam namaz mein (aaqhri qaede mein) you’n dua farmate the:

اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ الْمَسِيحِ الدَّجَّالِ، وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ الْمَحْيَا وَفِتْنَةِ الْمَمَاتِ، اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْمَأْثَمِ وَالْمَغْرَم
ِ
‘Allahumma Inni A’auzu Bika Min A’azabil Qabri wa A’auzu Bika min Fitnatil Maseehid Dajjal wa A’auzu bika min Fitnatil Mahya wal Mamaati Allahumma Inni A’auzu Bika Minal Ma,aathami wal Maghrami’ –

Ya Ilaahi! Main Teri Panah Mein Aata Hu’n A’azaab Qabr Se Aur Teri Panah Mein Aata Hu’n Dajjal Ke Fitne Se Aur Teri Panah Mein Aata hu’n Maut o Hayaat Ke Fitne Se, Yaa Ilaahi Main Gunah Se Aur Qarz Se Teri Panah Maangta Hu’n.

Aaisha Ra. ne arz ki “ Aey Allah ke Rasool ! Aap qarz se bahot panah kyou’n maangte hain. ?
Aap ne farmaya : “ Jab aadmi qardar hota hai to wo jhut bolta hai aur wa’ada qhilafi bhi karta hai.

[ SAHIH AL BUKHARI: AL AZAN 832 – MUSLIM: AL MASAAJID 589 ]

Nabi e Akram Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya ke…

“ Tassha‐hud mein 4 cheezo’n se Allah Ta’ala ki panah zaroor talab karo, wo ye hain :

اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ وَعَذَابِ النَّارِ وَفِتْنَةِ الْمَحْيَا وَالْمَمَاتِ وَشَرِّ الْمَسِيحِ الدَّجَّالِ

‘Allahumma Inni A’auzu bika Min A’azabi Jahannama Wa Min A’azabil Qabri wa Min Fitnatil Mahyaa wal Mamaati wa MinSharri Fitnatil Maseehid Dajjal’ – Aey Allah! Main Jahannam Aur Qabro’n Ke Azab Se, Maut o Hayaat Ke Fitna aur Maseeh Dajjal Ke Shar Se Teri Panah Maangta Hu’n.

[ SAHIH MUSLIM: 588 ]

Nabi e Rahmat Sallallahu Alai Wasallam ye dua Sahaaba ko is tarha sikhate jaisa ke inhei’n Quran ki suratei’n sikhate the. (Muslim: 590) Lehaza ise padhna zaroori hai.

2. Abu Bakr Siddiq Ra. riwayat karte hain ke..

“ Main ne kaha, “ Ya Rasool Allah! Namaz mein maangne ke liey mujhe (koi) dua sikhaiey (ke ise Attahiyyat aur Darood ke baad padha karu’n) to Aap ne farmaya! Padh :

اللَّهُمَّ إِنِّي ظَلَمْتُ نَفْسِي ظُلْمًا كَثِيرًا وَلاَ يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلاَّ أَنْتَ، فَاغْفِرْ لِي مَغْفِرَةً مِنْ عِنْدِكَ، وَارْحَمْنِي إِنَّكَ أَنْتَ الْغَفُورُ الرَّحِيمُ


‘Allahumma Inni Zalamtu Nafsi Zulman Katheerau’n walaa Yaghfiruzunooba Illa Anta Faghfirli Maghfiratam Min indika warhamni Innaka Antal Ghafoor ur Raheem’ –


Ya Ilaahi! Bilaa Shuba Maine Apni Jaan Par Bahot Ziyada Zulm Kiya Hai. Aur Tere Siwa Gunaho’n Ko Koi Nahi Baqsh Sakta, Pas Apni Janab Se Mujhko Baqshde aur Mujhpar Raham Kar, Be Shak Tuhi Baqhashne Wala Maherban Hai.

[ SAHIH AL BUKHARI : AL AZAN 834 – SAHIH MUSLIM: AL ZIKR WAD DUA : 2705 ]

3. Sayyadna Ali bin Abi Taalib Ra. bayan karte hain ke…

“ Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam tassha‐hud ke baad salam pherne se qabl ye dua padhte the:

اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي مَا قَدَّمْتُ وَمَا أَخَّرْتُ وَمَا أَسْرَرْتُ وَمَا أَعْلَنْتُ وَمَا أَسْرَفْتُ وَمَا أَنْتَ أَعْلَمُ بِهِ مِنِّي أَنْتَ الْمُقَدِّمُ وَأَنْتَ الْمُؤَخِّرُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ

Allahummagh Firli Maa Qaddamtu wa Maa Aqqhartu wa Maa Asrartu wa Maa A’alantu wa Maa Asraftu wa Maa Anta A’alamu Bihi Minni Antal Muqaddimu wa Antal Muaqqhiru Laa Ilaaha Illa Anta –

Aey Allah! Tu Mere Agle Piche, Poshida aur Zaahir (Tamaam) Gunah Muaaf Farma Aur Jo Main Ne Ziyadati Ki Aur Wo Gunah Jo Tum Mujh Se Ziyada Jaanta hai (Wo Bhi Muaf Farma) Tuhee (Apni Dargah Izzat Mein) Aage Karne Wala Aur (Apni Baargah Jalaal Se) Peeche Karne Wala Hai. Sirf Tuhi (Saccha) Ma’abood Hai.

[ SAHIH MUSLIM: SALATUL MUSAFIREEN 771 ]

4. Mahjan bin Al Adra’a Ra. bayan karte hain ke..

“ Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam masjid mein dakhil hue to 1 shaqs masjid ke aaqhir mein ye dua kar raha tha :


اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ يَا اللَّهُ الأَحَدُ الصَّمَدُ الَّذِي لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ وَلَمْ يَكُنْ لَهُ كُفُوًا أَحَدٌ أَنْ تَغْفِرَ لِي ذُنُوبِي إِنَّكَ أَنْتَ الْغَفُورُ الرَّحِيمُ


Allahumma Inni As,aluka Yaa Allahul Ahadus Samadullazi Lam Yalid wa Lam Youlad wa Lam Yakullahu Kufuan Ahad An Taghfirlee zunoobi Innaka Antal Ghafoorur Raheem –


Aey Allah Main Tujhse Sawaal Karta Hu’n Is Baat Ke Saath Ke Tu Waahid, Akela aur Beniyaaz hai, Jis Ne Na Janaa (T: Has Not Given Birth To Anyone) Na Janaa Gaya (T: Has Neither Been Born) Aur Na Iska Koi Shareek Hai ke Tu Mujhe aur Mere Gunah Muaaf Karde Beshak Tu Bakshne Wala Bahot Maherban Hai.

Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya :

Teri Bakshish hogai, Teri Bakshish hogai, Teri Bakshish hogai.

[ ABU DAWOOD: 985 – NASAI: 1301 V3 P 52 ]

5. Anas bin Maalik Radiallahu Anhu se riwayat hai ke main Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ke sath baitha hua tha aur ek aadmi namaz padh raha tha,is ne tassha‐hud mein ye dua ki:

اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ بِأَنَّ لَكَ الْحَمْدَ لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ الْمَنَّانُ بَدِيعُ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ يَا ذَا الْجَلاَلِ وَالإِكْرَامِ حَىُّ يَا قَيُّومُ إِنِّي أَسْأَلُكَ

" Allahumma Inni Asaluka Bianna Lakal Hamda Laailaaha Illa Intal Mannanu Badeeus Samaawati wal Arzi Yazal Jalaali wal Ikraami Ya Haiyyu Ya Qayyumu Inni As,aluka – "

[ Aey Allah Main Tujh Se Sawal Karta Hu’n Is Baat Ke Sath Ke Hamd Tere Ley Hai, Tere Alaawa Koi Ibaadat Ke Laaeq Nahi, Behad Ehsaan Karne Wala, Asmaano’n Aur Zameeno’n Ko Banaane Wala Buzrug Aur Izzat Wala, Zinda aur Qaaem Rakhne Wala Main Tujhse Sawal Karta Hu’n. ]

Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya:

‘Is zaat ki qasam jiske hath mein meri jaan hai isne Allah ke azeem namo’n ke sath dua ki hai jo shaqs inke sath dua karta hai, Allah qubool karta hai aur jab wo maangta hai Allah a’ataa karta hai.’

[ Nasaai: al Sahu 300 ]

6) Ammar bin Yaasir Radilallahu Anhu se riwayat hai Rasool Allah Sallallahu Alai Wasasallam namaz mein ye dua karte the:

" اللَّهُمَّ بِعِلْمِكَ الْغَيْبَ وَقُدْرَتِكَ عَلَى الْخَلْقِ أَحْيِنِي مَا عَلِمْتَ الْحَيَاةَ خَيْرًا لِي وَتَوَفَّنِي إِذَا عَلِمْتَ الْوَفَاةَ خَيْرًا لِي اللَّهُمَّ وَأَسْأَلُكَ خَشْيَتَكَ فِي الْغَيْبِ وَالشَّهَادَةِ وَأَسْأَلُكَ كَلِمَةَ الْحَقِّ فِي الرِّضَا وَالْغَضَبِ وَأَسْأَلُكَ الْقَصْدَ فِي الْفَقْرِ وَالْغِنَى وَأَسْأَلُكَ نَعِيمًا لاَ يَنْفَدُ وَأَسْأَلُكَ قُرَّةَ عَيْنٍ لاَ تَنْقَطِعُ وَأَسْأَلُكَ الرِّضَاءَ بَعْدَ الْقَضَاءِ وَأَسْأَلُكَ بَرْدَ الْعَيْشِ بَعْدَ الْمَوْتِ وَأَسْأَلُكَ لَذَّةَ النَّظَرِ إِلَى وَجْهِكَ وَالشَّوْقَ إِلَى لِقَائِكَ فِي غَيْرِ ضَرَّاءَ مُضِرَّةٍ وَلاَ فِتْنَةٍ مُضِلَّةٍ اللَّهُمَّ زَيِّنَّا بِزِينَةِ الإِيمَانِ وَاجْعَلْنَا هُدَاةً مُهْتَدِينَ " .

" Allahumma Bi Ilmikal Ghaiba wa Qudratika A’alal Khalaqi Ahyinee Maa A’alimtal Hayata Khairan Li wa Tawaffani Izaa A’alimtal Wafaata Khairan Lee wa Asaluka Khasyataka Fil Ghaibi was Shaadata wa Kalimatal Iqlaasi fir Rizaa wal Ghazabi wa Asaluka naiman laa Yanfadu wa quraata a’ainin Kaa Tanqatio wa Asalukar Rizaa bilqazaa,I wa Bardal A’aisi ba’adal Mauti wa Lazaatannazari Ilaa Wajhika wasshauqa Ilaa Liqaaika wa A’auzu Bika Min Zarra,a Muzirratin wa Fitnatin Muzillatin Allahumma aiyyinan Bizinatil Emani waja’alna Hudatan Muhtadeen – "

" Aey Allah! Tera Ghaib Janne aur Khalq Par Qudrat Rakhne Ke Sath Sawal Karta hu’n Ke Mujhe Is Waqt Tak Zinda Rakh Jab Tak Tu Mere Leiy Zindagi Behtar Jane Aur Mujhe Is Waqt Faut Kar Jab Wafat Mere Leiy Behtar Jane, Main Gaaeb Aur Haazir Ki Haalat Mein Tujh Se Teri Khashiyat Ka Sawal Karta Hu’n Aur Raazi Aur Ghusse Ki Haalat Mein Khaalist Baat Kehne Ki Taufeeq Ka Sawaal Karta Hu’n Aur Main Tujhse In Nemato’n Ka Sawal Karta Hu’n Jo Khatam Na Ho’n Aur Ankhon Ki Aisi Thandak Ka Sawal Karta Hu’n Jo Khatam Na Ho Aur Main Tujh Se Tere Faislo’n Par Raazi Rehne Ka Sawal Karta Hu’n Aur Main Tujhse Maut Ke Baad Ki Zindagi Ki Thandak Ka Sawal Karta Hu’n Aur Main Tujhse Tere Cehre Ki Taraf Dekhne Ki Lazzat Aur Teri Mulaqaat Ke Shauq Ka Sawaal Karta Hu’n Aur Main Takleefdah Museebat Aur Gumrah Kun Fitno’n Se Teri Panaah Caahta Hu’n. Aey Allah! Hamei’n Eman Ki Zeenat Se Mazeen Farma Aur Hamei’n Hidaayat Dene Wala Hidaayat Paane Wala Banade.

[ Nasai: V3 P 5 ]

. Aaisha Radiallahu Anha se riwayat hai ke Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam namaz mein ye dua kiya karte the:

" اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّ مَا عَمِلْتُ وَمِنْ شَرِّ مَا لَمْ أَعْمَلْ " ."

Allahumma Inni A’auzubika Min Sharri Ma A’amiltu wa Min Sharri Maalam A’amal –

" Aey Allah! Main Teri Panah Caahta Hu’n In A’amaal Ke Shar Se Jo Maine Kiey Aur In A’amaal Ke Shar Se Bhi Jo Main Ne Nahi Keiy.

[ Nasai: V3 P56 – Muslim: az Zikr wad Dua 2716 ]

NAMAZ KA IQHTETAAM:

1) Abdullah bin Masood Radiallahu Anhu riwayat karte hain ke..

" Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam apne daei’n taraf salam pherte (to kehte):

Assalamu A’alaikum wa Rahmatullahi aur baei’n taraf salaam pherte to kehte: Assalamu A’alaikum wa Rahmatullahi.

[ Abu Dawood: 996 – Tirmirzee: al Salah 295 ]
Ise Imam Tirmizee aur Imam Ibne Hibban ne Saheeh kaha.

2) Wael ibne Hajar Radiallahu Anhu riwayat karte hain ke main ne Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ke sath namaz padhi.

Aap Sallallahu Alai Wasallam daei’n taraf salam pherte to kehte : Assalamu A’alaikum wa Rahmatullahi wa Barakaatuhu aur baei’n taraf salam pherte to kehte Assalamu A’alaikum wa Rahmatullahi ( ya’ani sirf daie’n taraf wale salam mein wa Barakaatuhu " ka izaafa karte) .

[ Abu Dawood: al Salah 997) Imam Nawavi aur Imam Ibn Hajar ne ise Saheeh kaha.

NAMAZ KE BAAD MASNOON AZKAAR


BISMILLAH

1. Ibne Abbas Radiallahu Anhu Riwayat karte hain ke ..

“ Main Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ki namaz ka khatam hona takbeer “ الله أكبر “ Allahu Akbar ki awaaz) se pehchaan leta tha.

[ SAHIH AL BUKHARI: AL AZAN 841 & 842 – SAHIH AL MUSLIM: AL MASAAJID # 583 ]

Yaani Nabi e Rahmat Sallallalhu Alai Wasallam farz namaz ka salam pher kar ounchee awaaz se Allahu Akbar kehte the. Isse sabith hua ke Imam aur Muqtadiyo’n ko namaz se farigh hote hi 1 baar buland awaaz se Allahu Akbar kehna chaahiye.

2. Thaubaan Radiallahu Anahu se Riwayat karte hain ke Nabi e Kareem Sallallahu Alai Wasallam jab apni namaz khatam karte to farmate :

“أَسْتَغْفِرُ اللَّهَ أَسْتَغْفِرُ اللَّهَ أَسْتَغْفِرُ اللَّهَ ”

Astaghfirullah, Astaghfirullah, Astaghfirullah – Main Allah Se (Gunaho’n Ki) Bakhshish Chaahta Hu’n. (3 Times).

“اللَّهُمَّ أَنْتَ السَّلاَمُ وَمِنْكَ السَّلاَمُ تَبَارَكْتَ ذَا الْجَلاَلِ وَالإِكْرَامِ ”

Allahumma Antas Salaam wa Minkas Salaamu Tabaarakta Yaazal Jalaali wal Ikraam –

“ Ya Allah Tu Hi Salaamti Wala Hai Aur Teri Hi Taraf Se Salaamti Hai Aey Buzrugi Aur Izzat Wale Tuhi Bada Hi Barkat Hai “

[ SAHIH MUSLIM: AL MASAAJID # 591 ]

Tambeeh: Duae Rasool Sallallahu Alai Wasallam mein izaafa :

Jis tarah dua azaan mein logo’n ne izaafa kar rakha hai isi tarha is dua mein bhi logo’n ne ziyadati ki hui hai. Wo Ziyadati mulaaheza ho (Allahumma Antas Salaamu wa Minkas Salaam) Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ke alfaz hain. Aage (Wa Ilaika Yarji us Salaamu Haiyyina Rabbana Bis Salaam wa Adkhilna Daaras Salaam) ka izaafa kar rakha hai. Kis qadr afsos ka maqam hai ke shuru aur aqheer main Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ke alfaz aur darmiyan mein khud apni taraf se duaiya jumle badha kar hadees Rasool mein ziyadati hui hai.

Maaz Allah! Kiya aap ye jumle bhool gaye the yaa dua naaqis chod gaye the ? jiski takmeel ummatiyo’n ne ki hai ? Agar koi kahe ke in badhae hue jumlo’n mein kya kharabi hai inka tarjuma bahot accha hai, aqhir dua hi hai aur Allah hi ke aage hai? Guzarish hai ke insane apni maadri ya arbi zuban waghaira mein jo dua caahe apne maalik se kare, jo jumle caahe dua mein istemaal kare, koi harj nahi. Magar hadees Rasool mein apni taraf se alfaz ya jumle ziyada karne naajaez hain aisa karne se deen ki asal surat qaem nahi rehti.

3. Muaz bin Jabal Radiallalhu Anhu kehte hain ke.

“ Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne mera hath pakadkar farmaya : “ Aey Muaz ! Allah ki qasam main tujh se muhabbat karta hu’n. Main tujhe wassiyat karta hu’n ke har (farz) namaz ke baad ye (zikar) padhna na chodna.



“ اللَّهُمَّ أَعِنِّي عَلَى ذِكْرِكَ وَشُكْرِكَ وَحُسْنِ عِبَادَتِكَ ”


Allahumma Aa,inni A’alaa Zikrika wa Shukrika wa Husni A’ibaadatik – Aey Mere Rab! Zikar Karne, Shukr Karne aur Acchi Ibaadat Karne Mein Meri Madad Kar.

[ ABU DAWOOD: AL WITR # 1522 ] ISE IMAM HAAKIM (V1 P273), IMAM ZAHABI, IMAM IBNE KHUZAIMA, IMAM IBNE HIBBAN AUR IMAM NAWAVI NE SAHEEH KAHA.

4. Mughaira bin Shoba Radiallahu Anhu riwayat karte hain ke Rasool allah Sallallahu Alai Wasallam har farz namaz ke baad kehte the :

" لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ، لَهُ الْمُلْكُ، وَلَهُ الْحَمْدُ، وَهْوَ عَلَى كُلِّ شَىْءٍ قَدِيرٌ، اللَّهُمَّ لاَ مَانِعَ لِمَا أَعْطَيْتَ، وَلاَ مُعْطِيَ لِمَا مَنَعْتَ، وَلاَ يَنْفَعُ ذَا الْجَدِّ مِنْكَ الْجَدُّ ".


LaaIlaaha Illallahu Wahdahu Laa Sharika Lahu, Lahul Mulku wa Lahul Hamdu wa Huwa A’alaa Kulli Shai,in Qadeer, Allahumma Laa Mania’a Lima A’ataita wa Laa Mo’otiya Limaa Mana’ata wa Laa Yanfa’u Zal Jaddi Minkal Jaddu –

Allah Ke Siwa Koi (Saccha) Ma’abood Nahi Hai, Wo Akela Hai Iska Koi Shareek Nahi Hai, Isi Ke Leiy Baadshaahat Hai Aur Isi Ke Liey Saari Ta’areef Hai, aur Wo Har Cheez Par Qaadir Hai. Ya Allah! Teri A’ataa Ko Koi Rokne Wala Nahi Aur Teri Roki Hui Cheez Koi Ataa Karne Wala Nahi Aur Daulatmand Ko (is ki) Daulat Tere Azaab Se Nahi Bacha Sakti.

[ SAHIH BUKHARI: AL AZAN 844 – SAHIH MUSLIM: AL MASAAJID # 593 ]

5. Abdullah bin Zubair Radiallahu Anhu Riwayat karte hain ke Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam salam pherne ke baad padhte the:


" لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَىْءٍ قَدِيرٌ لاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَلاَ نَعْبُدُ إِلاَّ إِيَّاهُ لَهُ النِّعْمَةُ وَلَهُ الْفَضْلُ وَلَهُ الثَّنَاءُ الْحَسَنُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ مُخْلِصِينَ لَهُ الدِّينَ وَلَوْ كَرِهَ الْكَافِرُونَ "


Laa Ilaaha Illallahu Wahdahu Laa Shareeka Lahu Lahul Mulku wa Lahul Hamdu wa Huwa A’alaa Kulli Shai,in Qadeer. Laa Haula Walaa Quwwata Illa Billahi Laa Ilaaha Illallahu walaa Na’abudu Illa Iyyahu Lahun Nematu wa Lahul Fadlu wa Lahuth Thnaaul Hasanu Laa Ilaaha Illallahu Mukhliseena Lahuddeena Wa Lau Kareehal Kaafiroon –

Allah Ke Siwa Koi (Saccha) Mabood Nahi Wo Akela Hai, Is Ka Koi Shareek Nahee, Isi Ke Liey Baadshaat Hai Aur Isi Ke Liey Saari Tareef Hai. Aur Wo Har Cheez Par Qaadir Hai. Gunaho’n Se Rukna Aur Ibaadat Par Qudrat Paana Sirf Allah Ki Taufeeq Se Hai. Allah Ke Siwa Koi (Saccha) Mabood Nahi Aur Ham (Sirf) Isi Ki Ibaadat Karte Hain Har Nemat Ka Malik Wohi Hai Aur Sara Fazl Isi Ki Milkiyat Hai (Yaani Fazl Aur Nematei’n Sirf Isiki Taraf Se Hain) Isi Ke Leiy Acchi Ta’areef Hai. Allah Ke Siwa Koi Ma’abood (Haqeeqi) Nahi, Ham (Sirf) Isi Ki Ibaadat Karte Hain Agar Che Kaafir Bura Manei’n.

[ SAHIH MUSLIM: AL MASAAJID # 594 ]

6. Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam namaz ke baad in kalemat ko padhte the:

" اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْجُبْنِ، وَأَعُوذُ بِكَ أَنْ أُرَدَّ إِلَى أَرْذَلِ الْعُمُرِ، وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ الدُّنْيَا، وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ


Allahumma Inni A’auzubika Minal Jubni wa A’auzubika Minal Bukhli wa A’auzubika Min An Uradda Ilaa Arzalil Umori wa A’auzubika Min Fitnatid Dunya wa A’azabil Qabr –

Aey Allah! Main Buzdili Aur Kanjusi Se Teri Panah Caahta Hu’n Aur Is Baat Se Bhi Teri Panaah Chaahta Hu’n Ke Mujhe Razeel Umar Ki Taraf Pher Diya Jaae Aur Main Duniyavi Fitno’n Aur Azaab e Qabr Se Bhi Teri Panaah Caahta Hu’n.

[ SAHIH BUKHARI: AL JIHAAD WAL SAIR # 2822 ]



7. Abu Huraira Radiallahu Anhu kehte hain ke Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya :

‘Is ke tamam gunah muaaf kar diey jaei’nge khuwah samandar ki jhaag ke baraabar hu’n, jo har (farz) namaz ke baad padhe: 

Subhanallahi – Allah (hair aeib se) Paak Hai (33 Times)
Alhamdulillahi – Saari Ta’areef Allah Ki Hai (33 Times)
Allahu Akbar – Allah Sabse Badaa Hai (33 Times)

“ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَىْءٍ قَدِيرٌ ”


Laailaaha Illallahu Wahdahu Laa Shareeka Lahu, Lahul Mulku wa Lahul Hamdu wa Huwa A’alaa Kulli Shai,in Qadeer –
Allah Ke Siwa Koi (Saccha) Ma’abood Nahi, Wo Akela Hai Iska Koi Shareek Nahi. Isi Ke Liey Saari Baadshaahat Aur Isi Ke Leiy Saari Ta’areef Hai Aur Wo Har Cheez Par Khoob Qhudrat Rakhne Wala Hai.

[ SAHIH MUSLIM: AL MASAAJID # 597 ]

Ka’ab bin Ujrah Radiallahu riwyat karte hain ke Rasool Allah Sallallalhu Alai Wasallam ne farmaya : ‘Jo shaqs farz namaz ke baad Subhanallahi 33 Times, Alhamdulillahi 33 Times, Allahu Akbar 34 Times kahega wo (sawaab ya buland darjaat se) mehroom nahi hoga.’

[ SAHIH MUSLIM: # 496 ]

8. Uqba bin Amer Radiallahu Anhu riwayat karte hain ke Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne mujhe hukam diya ke main har (farz) namaz ke baad ma’auzaat padha karu’n.

[ Abu Dawood: al Witr # 1523 – Nasai: V3 P 68 (#1336) ] Ise Imam Haakim V1 P 253, Imam Zahabi, Imam Ibne Khuzaima aur Imam Ibne Hibban(2347) ne Saheeh kaha.

Ma’auzaat (Allah ki panah mein dene wali sooratei’n) ye in surato’n ko kehte hain jin ke shuru mein Qul A’auzu ka lafz hai. Inhei’n ma’auzatain bhi kaha jaata hai. Yaani Quran e Paak ki aaqhri 2 suratei’n.

9. Ummul Momineen Umme Salma Radiallallaha se riwayat hai ke Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam jab subha ki namaz ka salam pherte to kehte :

" اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ عِلْمًا نَافِعًا وَرِزْقًا طَيِّبًا وَعَمَلاً مُتَقَبَّلاً "

Allahumma Inni Asaluka Ilman Naafe a’auw’n wa Rizqan Taiyyibauw’n wa A’amalan Mutaqabbala –

" Aey Allah! Main Tujhse Nafa Dene Wale Ilm Aur Paakiza Rizq Aur Qubook Keiy Gae Amal Ka Sawaal Karta Hu’n. "

[ IBNE MAJJA: IQAAMATIS SALAH # 925 ]

10. Ammara bin Shabeeb Radiallahu Anhu se riwayat hai ke Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya :

‘ Jisne maghrib ki namaz ke baad 10 baar ye alfaz kahe…

“ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ يُحْيِي وَيُمِيتُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِي ”


Laailaaha Illallahu Wahdahu Laa Shareeka Lahu, Lahul Mulku wa Lahul Hamdu Yuhyee wa Yumeetu wa Huwa A’alaa Kulli Shai,in Qadeer’


Allah Ta’ala iski hifaazat ke liey farishte bhejta hai jo subha tak shaitan mardood se iski hifaazat karte hain aur Allah Ta’ala iske liey 10 nekiya’n likhta hai, aur 10 halak karne wale gunah is se door karta hai iske liey 10 momin ghulam azaad karne ke baraabar ajar hai.

[ TIRMIZEE: AD DA’AWAAT # 3534 ]

11. Abu Umaama Radiallahu Anhu riwayat karte hain ke “ Maine Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ko farmate hue suna :

‘Jo shaqs har namaz ke baad Aayatal Kursi padhe to isko bahisht mein dakhil hone se siwae maut ke koi cheez nahi rokti.’

[ Nasai: Fil A’amal al Yaum wal Lail # 100 ] Ise Imam Ibne Hibban aur Imam Munziri ne Saheeh kaha.

Matlab ye hai ke Aayatal Kursi padhne wala maut ke baad seedha jannat mein jaega.

Ayat Al Kursi :


اللَّهُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَيُّ الْقَيُّومُ لاَ تَأْخُذُهُ سِنَةٌ وَلاَ نَوْمٌ لَهُ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الأَرْضِ مَنْ ذَا الَّذِي يَشْفَعُ عِنْدَهُ إِلاَّ بِإِذْنِهِ يَعْلَمُ مَا بَيْنَ أَيْدِيهِمْ وَمَا خَلْفَهُمْ وَلاَ يُحِيطُونَ بِشَيْءٍ مِنْ عِلْمِهِ إِلاَّ بِمَا شَاءَ وَسِعَ كُرْسِيُّهُ السَّمَاو ;َاتِ وَالأَرْضَ وَلاَ يَئُودُهُ حِفْظُهُمَا وَهُوَ الْعَلِيُّ الْعَظِيمُ


Allahu LaaIlaaha Illa Huwal Haiyyul Qaiyyum Laata Khuzuhu Sinatau’n Walaa Naum Lahu Maafis Samaawaati Wamaa FilArdhi Man Zallazi Yashfa,oo Indahu Illaa Bi,iznihi Ya’alamu Maa Baina Aidihim wa Maa Khalfahum wa Laa Youhitoona Bi,shai,im Min Ilmihi Illa Bimaa Shaa,a Wasia’a Kursiyyuhus Samaawaati Wal Ardh walaa Yaooduhu Hifzuhuma Wahuwal A’aliyoul A’azeem –

Allah Ke Siwa Koi (saccha) Ma’abood Nahi, wo Zinda Hai, Hamesha Qaem Rehne Wala Hai, Wo Oun’ghta Hai Na Sota Hai. Isika Hai Jo Kuch Aasmaano’n Aur Zameen Mein Hai. Iski Ijaazat Ke Baghair Kaun Iske Paas (kisi ki) Sifaarish Karsakta Hai? Wo Jaanta Hai Jo Kuch Inse Pehle Guzara Aur Jo Kuch Inke Baad Hoga. Aur Log Iske Ilm Mein Se Kisi Cheez Ka Ehaata Nahi Karsakte (malum nahi karsakte) Magar Wo Jitna Caahta Hai. (Itna Ilm Jise Caahe De Deta Hai) Iski Kursi Ne Aasmaano’n Aur Zameen Ko Gher Rakha Hai Aur In Dono’n Ki Hifaazat Isko Thakaati Nahi, Wo Buland o Baala, Badi A’azmato’n Wala Hai. (Allah jo saari kaaenaat (T: Universe) ki hifazat karsakta hai kya wo 1 insan ya iski kaarki hifazat nahi karsakta? Yaqeenan kar sakta hai phir wo apni hifaazat ke liey jaaez asbab ke bajaae shirkiya asbab kyou’n ikhtiyar karta hai? Is maqsad ke liey mukhtalif kade aur anghotiya’n kyou’n pahenta hai? Dhaage kyou’n baandhta hai? Apni gaadi par jute ya ceethdey kyou’n latkata hai? Aey Allah ke bando’n! Aayatal Kursi padho, hifazat mein rahoge, yaqeenan Allah ki hifaazat hi behtareen hifaazat hai jiska koi todh nahi.)

Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya” ‘Jo shaqs raat ko sote waqt Aayatal Kursi padh leta hai to Allah ki taraf se iske liey muhaafiz muqarrar kar diya jata hai aur tuloo e Fajr tak shaitan iske qareeb nahi aata.’

[ NASAI: FIL A’AMAL AL YAUM WAL LAIL # 959] ISE IMAM IBNE KHUZAIMA (#2424) NE ISE SAHEEH KAHA.

Saturday, February 20, 2016

KYA DEEN ME DAEEF HADITH HUJJAT HOTI HA?

BISMILLAH


Is KAAM ke peeche SHAIKH ZUBAIR ALI ZAI Rah. Ki Mahenat hai.

ALLAH unko JANNAT EL FIRDOUS me ALA MAKAM ata farmaye.

AAMEEN YA ALLAH

ZAIF RIWAYATH

Alfazi taur par, Zaif ka matlab “Kamzor” hota hai.

Hadith ke lihaz se daif riwayat usko bolte hai jo hasan riwayat ke darje ke niche ki riwayat hoti hai.

Is hadith me ek ya ek se zyada Sihhah (sahih) ki sharte puri nahi hoti hai.

AL-Bayqoonee ne Uloom al Hadeeth me is hadith ki wazahat kuch is tarha ki hai:

“Jo bhi hasan darje ke niche ki hadith hoti hai use daeef kahte hai aur iski boht si shakhe(branches) hoti hai.”

Hadiths ke shariat me, Zaif riwayaat wo hoti hai jo na-qabil e qubool aur mardood (inkaar ki hui) hadiths hoti hai. Misal ke taur par; dekhye,
[ Tayseer Mustalah al-Hadith (Pg 62) .]

Kuch log hai jo kahte hai ki ye bilkul jayz hai Zaif hadith ke upar amal karna, Fazaail e aamal ki baunyad par, lekin ye Jumhoor (aksar) ulma ke mutabik sahih nahi hai .

Ahkaam aur Aqeedah me, Zaif hadith na-qabool kiya jata hai sabhi ulmae ke mutabik lekin kuch ulema Fazaail ke muamle me Zaif hadith qubool kar lete hai, lekin kuch sharte lagane ke baad:

1.Pahli shart:

Wo boht Kamzor nai hono chaiye; wo jhuto, ghadne walo aur boht badi galti karne walo ki riwayat nahi honi chaiye.
[ Is haalat pe Ijma hai]

2.Dusri shart:

Ye aam taur par subut ke mutabik honi chaiye .

3.Teesri shart:

Uspe amal karte waqt ye yakeen nahi karna chaiye ke ye amal achi tarha se qayam ya sabit hai .
[See: Al-Qaul al-Badee Fi Fadhal al-Salat Alal Habeeb al-Shafee’ Pg 258]

4.Chauthi shart:

Jo uspal amal karta hai usko ye yakeen karna chaiye ke ye zaif hadith hai .
[Tabiyeen al-Ajab bima warad fi Fadhail rajab by Ibn Hajr, Pg 72]

5.Panchwi shart:

Use ek ache amal ka zikr karni chaiye Jo ki Shariat ke buniyad maise ho.

6.Chathi shart:

Wo Zaif hadith kisi Sahih hadith ki wazahat karne ke liye shumar nahi karna chaiye .
[See: Hukam al-Amal bil Hadith Al-Da’eef fi Fadhaail al-A’maal by Abu al-Yasar Ashraf bin Sa’eed Al-Misri (pg 55)] .


📝In halat pe amal karne ke liye, ye zaruri hai ke us hadith ke sanad(silsile) aur Takhreej pe Tahkeek ki jaye, jab tahkeek ho jae aur upar ki shart puri ho jae sirf tab hi us Zaif hadth ko liya jayega.

Dusre ulema ke giroh Zaif hadith pe amal karne ke haq me bilkul nahi hai chahe wo Aaqaid aur ahkam me ho ya Fazail aur Manaqib me ho, aur in ulema ke giroh ki tahkeek Sahih hai aur Haq ke nazdeek hai

Kyuki ye QURAN , SUNNAH aur ULEMAO ke JUMHOOR(Ijma) SE SABIT HAI .

IMAM MUSLIM, ne apni kitab ke muqaddimah mein kayi saboot diye hain jo batati hai ki fadhail me ZAIF HADITH LENA GALAT HAI .

Jabki dusri Raae(opinion) jo ki fazaail me Zaif hadith qubul karne ko kahte hai

us raae ki Quran wa Sunnah se Himayat(support) nahi milti.

Ye kuch dalaail hai in un giroh ke ulema ki jo Zaif hadith ka inkaar karte hai Fazaail aur Ahkaam me:

QURAN SE DALAIL

BISMILLAH IR-REHMAN IR-RAHIM


ZAIF HADITH ME YE SHAK HOTA HAI KI SHAYAD WO SABIT NA HO 

 Matlab hame ye pakka nai pata hota ki ye RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam se sabit hai ki nai aur

Allah swt farmate hai

Jiss baat ki tumhe ilm hi na ho uss kay peechay mat pado.

Kyu ki tumhare kaan aur aankh aur dil inn mein say her aik say pooch-taach ki janey wali hai.
📖[ Surah Al-Isra: 36] 

HADITH SE DALAIL

RasoolAllah Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya: Jo chize Halal hai wo bata diya gaya hai aur jo chize Haraam hai wo bata diya gaya hai, aur undono ke bich chize hai jinpar shak hai jo boht se log nahi jante.

Jo aadmi apne aap ko aisi cheezo se bachata hai jo shaq aur shubhat paida kare woh apni deen ki hifazat karta hai aur apne aap ki hifazat karta hai,

aur jo shaq aur shubhe waali cheez par amal paira hota hai woh haraam ki taraf chala jaata hai,

usi tarah jis tarah ek charwaha apni jaanwaro ko charata hai kisi ki aurki zameen ke paas yeh laazim hai ki woh usme pad jaye .
[Saheeh Muslim: Bk 10, H. 3882]


KYU KI ZAEF HADITH ME SHAK-SHUBA HOTA HAI, isliye..

 KYU KI ZAEF HADITH ME SHAK-SHUBA HOTA HAI, isliye..IS HADITH ke MUTABIK, Jo ISPE AMAL KARTA HAI WOH HARAAM CHIZO PE APNA AMAL KHATM KARTA HAI .
ISLIYE HAME is HADITH PAR AMAL KARTE HUE SHAK-SHUBA WALI CHIZE EK KINARE PAR RAKH DENI CHAIYE

📝 ISLIYE HAME is HADITH PAR AMAL KARTE HUE SHAK-SHUBA WALI CHIZE EK KINARE PAR RAKH DENI CHAIYE .
SAHABA IKARAAM AUR ULMAO SE DALAAIL

↪ Is giroh ke qabil ahtram Aalim ke athaar se dalai jisse ye sabit hota hai ki in aalimo ne ZAIF HADITH se DALAAIL NAHI LIYE .

1⃣RasoolAllah sallAllahu alaihi wasallam ke Sahaba se riwayat hai ki Abdullah bin Abbas r.a. Mursal riwayat sunna tak ittefak nahi karte the.
[See: Muqaddimah Muslim H. 21, & Al-Nakat ala Kitaab Ibn as-Salaah: 2/553]

Iska matlab ki Abdullah bin Abbas r.a. Mursal Riwayat qubool nahi karte the, agar wo Fazaail me ho fir bhi .

2⃣Imam Muslim ne ek baar kaha (jiska khulasa hai ki): Zaif hadith kabil e qubool nai hai kisi bhi surat me chahe woAhkaam ke liye ho, ya Targheeb-o-Tarheeb(Fazaail) ke liye .
[Ref: Mudaddimah Sahih Muslim Vol 1, Pg 185, 186 with the Sharh of al-Nawawi 127_ 123/1]

3. Hafiz Ibn Rajab al-Hanbali ne kaha: Imam Muslim ne jo apne kitab ke muqaddimah me kaha hai uska matlab ye hai ki Targheeb-o-Tarheeb (Fazaail) me bhi, hadith ke riwayati wo hone chaiye jo Ehkam(sadik,sachhe riwayatio) se riwayat karte hai .
[Sharh Illal al-Tirmidhi Vol 1, Pf 74]

4.Imam Sa’d bin Ibraheem ne kaha: Sirf Siqqah riwayatio ko RAsoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ki hadiths riwayat karni chaiye.
[Muqaddimah Sahih Muslim published by Darul-Salam: 31]

Is baat se hame pata chala ki Imam Sa’d bin Ibrahim Zaif aur gair-kabile aeitbar raawio se dalaail nahi lete the .

5. Abu Bakr ibn al-‘Arabi ne kaha ki Ye bilkul jayz nahi hai ki zaif hadith ke binah par amal kiya jaye ya to Fazaail ke muamle me ya dusri surat me .
[See Tadreeb al-Raawi, 1/252.]

To be Continue... IN SHAA ALLAH 📌


بسم الله الحمد لله والصلاة والسلام على رسول الله

SAWAL:
Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Marvi’ Mayyat Ko Ghusl Deny Ka Sahi Tarika Kiya Hai? 


ANSWER:
🔰ANSWER : 
Mayyat Ko Ghusl Deny Ka Sharai Tarika Ye Hai Ki Sab Se Pahle ‘ Mayyat Ki Sharam gaah Ko Dhoye’ 

Phir Ise Ghusal Dena Shuru Kare Aur Pahly Ise Wazu Karaye Lekin Is Ke Munh Aur Naak Mai Pani Na Dale Balki Kapre Ko Pani Se Tar Kar Ke Is Ke Munh Aur Nak Ko Saaf Kar De’ 

Phir Baki Jism Ko Aise Pani Se Dhoye Jis Mai Beri Ke Patte Mile Huwe Ho (Woh Is Tarha Ke) Beri Ke Patte Bareek Koot Kar Pani Mai Milaye Jayen Aur Phir Pani Mai Hath Daal Kar Hilaya Jaye Hatta Ke Beri Ke Patto Ka Jhag Peda Ho Jaye To Jhag Le Kar Sar Aur Darhi Ko Dho De Aur Baki Patto Ke Sath Baki Sare Jism Ko Achi Tarh Dho Diya Jaye’ 

Beri Ke Patto Ke Istemal Se Khub Achi Tarh Safai Ho Jayegi

Aakhri Baar Jism Par Pani Bahate Huwe Is Mai Kapoor Bhi Shamil Kar Lia Jaye Jo Ki Aik Ma’aruf Khushbu Hai. 

🔰📝Ulema Farmate Hain Ke Kapoor Ke Istemal Ki Faide Ye Hain Ki Is Se Jism Sakht Ho Jata Hai Aur Keere Makore Bhag Jate Hain. 

Agar Mayyat Ke jism Par Mail Jyada Ho To Ise Jyada Bar Ghusl Diya jaye Kyon Ki Nabi Kareem s.a.w Ne In Khawatin Se Farmaya Tha Jo Apki Sahabzadi Ko Ghusl De Rahi Thi:

“Ise Teen (3) Bar Ya Panch (5) Bar Ya Saat (7) Bar Ghusl Do Aur Ager Zarurat Mahsus Karo To Is Se Jyada Bar Bhi Ghusl De Sakte Ho.” 

Sahi Al-Bukhari no. 1259, 
Sahi Muslim no. 939. 

Ghusl Ke Bad Mayyat Ke Jism Se Pani Ko Saf Kar Diya Jaye Aur Ise Kafan Pahna Diya Jaye

QURAN E PAAK TILAWAT KA FAZILAT


Hazrat Umme Salma Rad. se Riwayat hai ke
‘Rasool Allah sallallahu alai wasallam Quran e Majeed ki har ayaat par tauqaf (T: Stop) farmate (baad wali aayat ko pehli ayat ke saath nahi milaate the).’
[ ABU DAWOOD: AL HUROOF WAL QIRAA‐AT # 4001]
ISE IMAM HAAKIM AUR IMAM ZAHABI NE SAHEEH KAHA.

📝Mazkoora hadees kasrat e tareeqh ke sath marwi hai.
Is masla mein isko buniyadi haisiyat haasil hai.
Aimma e Salaf o Saleheen ki ek jamat har aayat par tauqaf farmati thee, agar ma ba’ad ki ayat ma’ani ke lehaz se pehli ayat ke sath muta’aliq hoti thee phir bhi qata’a karke padhte the.
Tilaawat Quran ka masnoon tareeq yehi hai lekin aaj jamhoor Qurra (T: Reciters) is tarah tilaawat karne se garez karte hain.
Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya :
‘Namazi apne Rab ke sath sargoshi (T: Whispers) karta hain.
Ise qhayal karna chahey ke wo kis zat se sargoshi kar raha hai aur tum Quran e Majeed unchi awaz ke sath tilawat karke apne saathiyo’n ko izterab mein na dalo.’
[ ABU DAWOOD: AL SALAH # 1332 ] ISE IMAM IBNE HIBBAN AUR IMAM IBNE QHUZAIMA NE SAHEEH KAHA.
Rasool Allah Sallallahu alai wasallam Allah ke hukam ke mutabiq aahista aahista Quran e Paak ki tilawat farmate balke ek ek harf alag alag padhte. Yu’n maloom hota ke choti choti soorat, lambi soorat se bhi ziyada lambi hogai.
Chunache Aapka irshad hai ke :
‘Haafiz e Quran ko kaha jaaega, jis tarha tum duniya mein aahista aahista padha karte the isi tarha tum Quran padhte jao aur jannat ki seedhiya’n cadhte chalo. Tumhari manzil waha’n hai jaha’n tumhara Quran e Majeed (padhna) qhatam hoga.’
[ ABU DAWOOD: ISTEHBAAB AL TARTEEL FIL QIRA‐AT # 1464 ]
IMAM IBNE HIBBAN AUR IMAM TIRMIZEE (HADEES # 2914) NE ISE SAHEEH KAHA.
Rasool e Akram Sallallahu alai wasallam Quran e Majeed ko acchi awaaz se padhne ka hukam farmate the.
[ ABU DAWOOD # 1468 ]
ISE IMAM IBNE HIBBAN AUR IMAM IBNE QHUZAIMA NE SAHEEH KAHA.
Hazrat Uqhba bin Aamir Rad. Se rivayat hai ke ..
Nabi Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya : ‘Allah ki kitab ka ilm hasil karo, isko zahen mein mehfooz karo aur ise qhoobsurat awaaz se pdho. Mujhe is zaat ki qasam jiske haath mein meri jaan hai oun’th ke ghutno’n ki rassi agar khol di jaae to wo itni tezee se nahi bhaagta jitna tezee se Quran e Paak haafeza se nikal jaata hai.’
[ DAARMI: FAZAEAL QURAN # 3352 – MUSNAD AHMAD V4 P 146, 12650 ]
Nabi e Rahmat Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya:
‘Allah Ta’ala kisi awaz ke liey is qadr kaan nahi lagata jis qadr wo acchi awaaz ke saath Quran Majeed padhne par lagata hai.’
[ BUKHARI: FAZAEL QURAN 5023 – MUSLIM: FAZAEL QURAN # 792 ]
💫💫💫💫💫💫💫💫💫

✳NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM REHMATULIL AALAMEEN



بسم الله الحمد لله والصلاة والسلام على رسول الله

Rabul alamin irshad farmata hai

"Aur Humne apko tamam jahan walo k liye rehmat banakar hi bheja hai.
📖(SURAH AL ANMBIYA 107)

Hazrat Sayyedna Abu huraira Razi ALLAH'U anhu se riwayat h k logo ne kaha aye ALLAH Rasool ALLAH sallallahu alaihi wasalam mushriko k liye (lanat ki) badh dua kijiye Aap sallallahu alaihi wasalam ne farmaya mujhe lanat karne wala nahi bheja gaya bal k mujhe rehmat banakar bheja gaya hai.
(SAHI MUSLIM 6613)

Chun k aap rehmatulil alamin hai lihaza gusse aur gazab mein apka kisi musalman par lanat ya sab wa shitam Karna b qayamat k din maujab e rehmat karar payega
(ABU DAWOOD 4659,
WA ISNAD HASAN AHMAD 437/5 HADIS 23706)

🌟🔰KAMIL MOMINO KE LIYE AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALAM REHMAT HAI

kyun ke aap ki itteba dunya wa akhirat mein kamyabi Ka sabab hai muharbayn se jihad Karna unke liye rehmat hai ta k wo Islam qubol karlein ahle zimma se juzya lena unke liye rehmat wa aman ka sabab hai munafiqo k dil mein kufr hota hai lekin

zahiri taur par unko momino ki tarah huqoq diye jate hai ye un ke liye rehmat hai

🔰SURAH TAWBA AYAT no 41 MEIN momino k liye rehmat ki takhsis ki gayi h lihaza us se khas rehmat murad h ye aap sallallahu alaihi wasalam ki rehmat Ka hi natija h aap ki ummat با لكلي tabahi wa barbadi se mehfoz kardi gayi yani uspar kuli azab nahi ayega bal k guzishtan nafarman ummatein harf galt ki tarah mita di gayin

ALLAH tala farmata h
"Yaqeenan tumhare paas ek aise Rasool tashrif laye h Jo tumhari jins se h jinhe tumhari taklif ki baat nihayat giraa guzarti h Jo tumhare fayde k bade khwaishmand rehte h momino par bade shafiq aur maherban hai.
📖(SURAH AL TAWBA 128)

Rasool ALLAH sallallahu alaihi wasalam ne farmaya " meri aur logo ki misal ek aise shaqs ki h jisne aag jalayi jab uske aas paas roshni hogayi to parwane aur keede makode Jo aag mein girne lage aur (aag jalane wala) usmein se unhe nikalne laga lekin uspar wo ghalib rahe aur aag mein girte hi rahe isi tarah main tumhe tumhari pushto se pakad pakad kar (aag se door karne k liye) khincta hoon aur tum ho k usi mein zabardasti karte jate ho.
(BUKHARI 6483 MUSLIM 2284)

🔰🌟AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALAM JANWARO KE LIYE V BAYIS E REHMAT TE

Ek bar aap sallallahu alaihi wasalam ek ansari k bagh mein rafa hajat k liye gaye usmein ek oont ta Jo Rasool ALLAH sallallahu alaihi wasalam ko dekh kar bil bilaya aur abdid hogaya aap uske paas gaye aur uske kanpatti par haath phera aur farmaya? Ye kiska oont h? Ek ansari naujawan ne aakar kaha mera ya Rasool ALLAH sallallahu alaihi wasalam is janwar k bare mein jiska ALLAH ne tumhe maalik banaya h ALLAH se nahi daarte? Usne mujhse shikayat ki k tum usey bhoka rakhte ho aur uspar jabar karte ho.
(MUSNAD AHMAD 1745 WA SANAD SAHI )

AL ISRA WAL MIRAJ


BISMILLAH

📝NOTE

Isra = Raa ke safar.
Miraj = Lugvi me Seedi. [ Ladder ].

📖 QURAN SURAH AL-ISRA 1.

سُبْحَانَ الَّذِي أَسْرَىٰ بِعَبْدِهِ لَيْلًا مِنَ الْمَسْجِدِ الْحَرَامِ إِلَى الْمَسْجِدِ الْأَقْصَى الَّذِي بَارَكْنَا حَوْلَهُ لِنُرِيَهُ مِنْ آيَاتِنَا ۚ إِنَّهُ هُوَ السَّمِيعُ الْبَصِيرُ 

Pak hai wo ALLAH jo apne bandeko [ Sallallahu Alai Wasallam ] raat hi raat me Masjid e Haram se masjid e Aqsa [ Bait el Muqaddas ] tak, jiske chaaro taraf hamne barkathe rakhi hai legaya taaki ham usey apni Qudrat ki nishaniya dikhaye Beshaq wo sunne wala hai dekhne wala hai.

HADITH 

Ibn Abbas Ra. Ne
📖 [ Quran 17:60 ]

” وَإِذْ قُلْنَا لَكَ إِنَّ رَبَّكَ أَحَاطَ بِالنَّاسِ ۚ وَمَا جَعَلْنَا الرُّؤْيَا الَّتِي
" أَرَيْنَاكَ إِلَّا فِتْنَةً لِلنَّاسِ وَالشَّجَرَةَ الْمَلْعُونَةَ فِي الْقُرْآنِ ۚ وَنُخَوِّفُهُمْ فَمَا يَزِيدُهُمْ إِلَّا طُغْيَانًا كَبِيرًا 

📝is ayat ke ziman me kahte hai.. “ Isse murad AANKHH KA DEKHNAA hai jo Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ko is miraaj ki raat dekhaya gaya tha.

Jab aap ko bait Al Muqaddas taq raat ko lejayagya tha. 

Kaha ke Quran Majeed mein ” الشجرہ الملعونہ “ se murad ” زقوم – Al Zaqqam “ ka darakht hai .
[ SAHIH AL-BUKHARI # 6613 ]

🔰YEH SAFAR JAAGTE HUE HUA, YEH KOI KHWAB NAHI THA.


Hazrath Anas Ra. & Ibn Abbas Ra. Se rivayat hai ke..

Nabi Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya…

“ Mai ALLAH ke ghar [ Mecca ] me sothe aur jaagne ki halat me [ Neend aur Jaagne ki kaifiyat ] tha tho maine suna ke kisine kaha ke “ Beechwala jo teenome hai “.

[ wahase apko masjid e Haram lejayagaya ].

Fir farmaya k..”Mere galese lekar Naaf [ Pet tak ] ke hisse ko Cheerdiya gaya, aur fir Mera DIL baher nikala gaya, fir use Zamzam ke paani se dhoyagaya, uske baad ek SONE [ GOLD ] ka TASHT laaya gaya jo HIKMAT aur IMAAN bhara hua tha fir usme HIKMAT aur IMAAN se bhardiya gaya, fir DIL ko usi jagah lagadiya gaya “
[ SAHIH AL BUKHARI, MUSLIM & TIRMIDHI ].

🔰SAFAR E MASJID E HARAM SE BAIT AL MAQDIS
[ MASJID E AQSA - JERUSALEM ]


Nabi Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya ke…

“ Fir mere paas Ek BURAQ laaya gaya. Burak ek Janwar hai jo ke uska rang Safed tha. aur wo Kacchar se thoda chota aur Ghade se thoda bada tha. Aur wo aisa janwar hai jo jaha kahi uski nigah padti hai agla khadam wahipar hotha hai aur mai uspar sawar hokar Bait Al Muqdis pahuncha aur fir maine us buraq ko waha baanda jaha saare NABI apne sawariko us khootese baanda karte the. .
[ SAHIH MUSLIM # 318 ]

🔰HAZRATH MUSA A.S APNI QABAR ME NAMAZ PADRAHE THE.

Hazrath Anas Ra. Se rivayat hai ke…

Nabi Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya..

“ Miraj ki raat ke safar me mera guzar Musa a.s ke Qabar ke paas se hua, tho maine dekha Musa A.S apne Qabar me Namaz padrahe the..”
[ SUNAN AN-NASA'I # 1634 ]

🔰ANBIYA KO NAMAZ PADAYI GAYI

Nabi Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya ke..

“ fir mai Masjid e Aqsa me dakhil hua aur 2 rakaten pada, aur fir maine waha dekha ke Ambiya maujood the, kuch khade hue the tho kuch ruku ki halat me the tho aur kuch Sajde me the. 

Fir Azan di gayi, fir hamlogone Rakaten banayi Namaz ke liye fir ham dekhrahe the ke koi Imam aaye namaz ke liye . 

Fir Jibrail ne mera haath pakda aur muje aagey kiya namaz padane k liye aur fir maine Anbiya ko Namaz padayi.

[ The description of the Prophet Sallallahu Alai Wasallam performing Salāh with the prophets is from the narration of Ibn Mas’ud. (Cited from p. 47, Al Isra Wal Miraj by Dr. Abd al-HalimMahmud ) ]

🔰NAMAZ PADNE KE BAAD 

Hazrat Abu Hurairah Ra. Rivayat hai ke ..

Nabi Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya…

“ Jis raat muje miraj karai gayi tho mere aagey do pyale pesh kiyegaye. Ek me sharaab aur doosreme doodh tha. 

Tho maine doodh ka pyalaa leliya. 

Is par Jibarail A.S ne farmaya…” Saare Tareefe ALLAH ke liye hai jisne aap sale Allah alaihi wasallam ko deen FITRAT ki taraf chalne ki hidaayat farmayi. Agar Aapne sharaab ka pyalaa leliya hota to aapki ummat gumraah hojati. “

[ SAHIH AL-BUKHARI # 5576 ]

ZINA REPENTANCE ( zina ka pachtaawa)


BISMILLAH IR-REHMAN IR-RAHIM

SURAH BANI'ISRAIL Ayat 32
📖SURAH BANI'ISRAIL Ayat 32 
Khabrdaar zinna kay qareeb bhi na phatakna kiyon kay woh bari bey hayaee hai aur boht hi buri raah hai.

📖SURAH ZUMUR Ayat 53-54

(meri janib say) keh do kau aey meray bando! Jinhon ney apni jano per ziyadti ki hai tum Allah ki rehmat say na-umeed na hojao bil-yaqeen Allah Taalaa saray gunahon ko bakhash deta hai waqaee woh bari bakhsish bari rehmat wala hai.

Tum (sab) apnay perwerdigar ki taraf jhuk paro aur uss ki hukum bardaari kiye jao iss say qabal kay tumharay pass azab aajaye aur phir tumhari madad na ki jaye.

📖SURAH FURQAAN Ayat 63- 71

Rehman kay (sachay) banday woh hain jo zamin per farotni kay sath chaltay hain aur jab bey ilm log inn say baten kerney lagtay hain to woh keh detay hain kay salam hai.

Aur jo apnay rab kay samney sajday aur qayam kertay huye raten guzar detay hain.

Aur jo yeh dua kertay hain kay aey humaray perwerdigar! Hum say dozakh ka azab paray hi paray rakh kiyon kay iss ka azab chimat janey wala hai.

Be-shak woh therney aur rehney kay lehaz say bad-tareen jagah hai.

Aur jo kharach kertay waqt bhi na to israaf kertay hain na bakheeli bulkay inn dono kay darmiyan motadil tareeqay per kharach kertay hain.

Aur Allah kay sath kissi doosray ko mabood nahi pukartay aur kissi aisay shaks ko jissay qatal kerna Allah Taalaa ney mana ker diya ho woh ba-juz haq kay qatal nahi kertay na woh zinah kay muratkib hotay hain aur jo koi yeh kaam keray woh apnay upper sakht wabaal laye ga.

Issay qayamat kay din dogra azab kiya jayega aur woh zillat-o-khuwari kay sath hamesha ussi mein rahey ga.

Siwaye unn logon kay jo tuaba keren aur emaan layen aur nek kaam keren aisay logon kay gunahon ko Allah Taalaa nekiyon say badal deta hai Allah bakhshney wala meharbaani kernay wala hai.

Aur jo shaks toba keray aur nek amal keray woh to (haqeeqatan) Allah Taalaa ki taraf sacha rujoo kerta hai.


📖SURAH ANAAM AYAT54 

Aur yeh log jab aap kay pass ayen jo humari aayaton per eman rakhtay hain to (yun) keh dijiye kay tum per salamti hai tumharay rab ney meharbani farmana apney zimmay muqarrar ker liya hai kay jo shaks tum mein say bura kaam ker bethay jahalat say phir woh iss kay baad tauba ker ley aur islah rakhay to Allah (ki shaan hai kay woh) bari maghfirat kerney wala aur bari rehmat wala hai.

📖SURAH NISSA AYAT 17 - 18

Allah Taalaa sirf unhi logon ki tauba qabool farmata hai jo ba waja nadani koi buraee ker guzren phir jald uss sa baaz aajayen aur tauba keren to Allah Taalaa bhi unn ki tauba qabool kerta hai Allah Taalaa beray ilm wala hikmat wala hai. 
Unn ki tauba nahi jo buraiyan kertay chalay jayen yahan tak kay jab inn mein say kissi kay pass maut aajaye to keh dey kay mein ney abb tauba ki aur unn ki tauba bhi qabool nahi jo kufur per hi marr jayen yehi log hain jin kay liye hum ney alam naak azab tayyar ker rakha hai. 

📖SURAH AL IMRAN AYAT 135 - 136

Jab unn say koi na shaista kaam hojaye ya koi gunah ker bethen to foran Allah ka zikar aur apney gunahon kay liye istaghfaar kertay hain fil waqey Allah Taalaa kay siwa aur kaun gunahon ko baksh sakta hai? Aur woh log ba wajood ilm kay kissi buray kaam per arr nahi jatay. 

Enhin kay badla unn kay rab ki taraf say maghfirat hai aur jannaten hain jin kay neechay nehren behti hain jin mein woh hamesha rahen gay inn nek kaamon kay kerney walon ka sawab kiya hi acha hai.

Prepared by : Akhirat-Ki-Tayari & Al Ruqyah Al Shariah Admin