Sunday, January 29, 2017

Fitna e Dajjal se kya Murad(matlab) Hai


Arabi zaban mein Dajjal ke mayne hote hai 'Fareb' ke.Kisi shay(element) ki haqiqat me koi aur parda dal dena .Is sey lawz-e-dajjal bana hai yani bhut bada 'dhokebaz',jab yeh kisi insan ke liye istemal hoga tab uske mayne honge 'Behrupiye' ke.

Yeh lawaz Quran majeed me kahi nahi aaya.Na fitna e dajjal ka zikr aaya hai.Han hadees mein'Fitna e dajjal' ka zikr bhut bar aaya hai,uskey aane ka ,uski qualities ka ,uski halakat ka ,khas toor par Huzur(saws)ki hidayat hai '

Joh insan Surah Kahaf padta rahega woh fitna e dajjal ke asar se mehfooz rahega'
(Muslim).


Joh insan surah kahaf ki shuruwati ayat padta rahega woh fitna e dajjal se mehfooz rahegi
(Dawood).


Joh insan surah kahaf ki akhiri ayat padta rahega woh fitna e dajjal se mehfooz rahega
(Nasai).


Huzur(saws)ne farmaya ke Surah Kahaf insan ko fitna e dajjal sey mehfooz rakhney mein mufeed hai.
(Muslim,Tirmizi,Dawood,Maza,Nasai,Ahmad)

Quran ki roshni mein hum jab dekhte hai tab hume pata chal ta hai sabse bada Dajjal yeh 'duniya' aur 'duinya ki zindagi' hai ,Isliye k is Duniya ne Akherat(Day of Judgement) me parda dal diya hai.

Quran bar-bar kehta hai 'Yeh duniya ka saman siway dhokey ke aur kuch nahi'
(Quran).


Jis insan ne apni puri mehnat ,strength,duniya mein laga de aur akherat se gafil raha woh samgho is Dajjal ke fitne mein giraftar ho gaya.Aur uskey liye Duniya-Azab-E-Ilahi ka reason ban gayi .Khas tuar par duniya ka 'Glamour' bad ta ja raha hai, Duniya mein jitni material chamak-damak hai,Nazar ko lubhane wali chamak hai yeh chamak jitni badegi Dajjaleyat utni he badti chali jayegi.

Kafir joh haqeqatan kafir hai chaye naam uska muslim ho uski pechan yeh hai uski sari mehnat ,struggle,duniya ke liye hai ,duniya ka Aaram,Luxury etc .

Yeh hi wajah hai jab hum surah kahaf par ghor karte hai,Aur hamarey Huzur(saws) ne bhi Surah Kahaf ki shuruwati aur akhiri ayat padne ko kaha hai.

'Aur jo cheez zameen par hai usko humney uskey leye zeenat(shobha) banaya hai taki logo ko aazmaey,ki unmey behtar amal karney wala kuan hai.'Aur joh kuch us(zameen) par hai usey toh hum ek chateyal maydan bana dene waley hai. (Surah 18 Ayat 7,8)

Yani duniya ki sajawat,glamour,Aaj joh west mein apni inteha ko puhunch chuka hai.Aap andaza kijeye waha zindagi kitni dilkash hai,kitni chamak damak hai .Is qadar wah Uuchi-Uuchi Imaretey hai,Aadmi sab bhool jata hai.

Farmaya
'Taki hum aazmaey ke kuan accha amal karta hai,Kiya tum duniya hi ke andar gum ho jate ho,magan ho jate ho Aur hume bhool jate ho? Duniya se mohabbat kartey ho?Bus yeh imtehan ka ek 'peroid' hai,Aur is period mein hi Insan ki kamyabi aur na kamyabi hai.Duniya mein rehte hue duniya se dil na lagana ,Duniye se mohabbat na karna .Isey sirf zindagi guzarne ki leye zariya(means) samaghna ,Asal mehboob ,maqsood Allah ho jaye,Akhirat ki zindgi asal maqsood ho ,fhir farmaya''Aaj tum is zameen par jo dekh rahe ho kal hum isey chateyal maydan bana dengey jasey koi fasal kat di jaye.
(Surah 18 Ayat 8).


phir Allah age farmatey hai 'Aay Nabi (saws) 'In sey kahiye kiya hum tumko bataye ke apney amal ke aithbar se, apni mehnat ke aithbar se,apni koshish ke aithbar se sabs sey zyada dhokey mein kuan hai? Jinki bhag-dor ,mehnat,duniya hi ki zindgi mein gum ho kar rah jaye,duniya mein .....? 'Kah dejeye ,'Kya hum tumhey unki khabar dey,joh apney amalo ke lehaz sey sabsey badkar nuksan udhaney waley hain.?'...

Ye wah log hain,'Jinki puri koshish duniya hi ki zindgi me barbad ho kar rahi ,or wah apney ap ko yahi samjhtey rahey ,ki wah achey kam kar rahe hai
(Surah 18 Ayat 103,104)

Lekin Insan ye samjh raha ho ke mein bhut kamyabi pa lee,maine fala factory bana li,mera capital pehle se bhut zyada ho gaya? etc

Or insan ye soche k ye sari hamari success hai ,halaki asal aithbar se ,akherat k aithbar se 'yeh log woh hai jo apni mehnat k aitbar se sabse zyada dhoke me hai?

Quran majeed ke mutabik yeh duniya aur uske glamour 'SAB SE BADA DAJJAL HAI'.Insani zindgi ka asal Dajjal yeh duniya hai .Hamara asal ghar yeh duniya nahi hai .Jab insan is duniya mein hi gum ho jaye aur woh bhool jaye ke 'Hum sab Allah ke hai aur uski taraf wapas palat kar jane waley hai'
(Surah 2 Ayat156)

Jab insan duniya ka ashiq ho jaye tab duniya Dajjal ban jati hai,Huzur(saws)ne farmaya'Duniye kehti hai jismey bogey to akherat me katogey'.Duniya Darul Imtehan hai

Aaeyeh aab Hadees e Rasool(saws) ki taraf aanyeh hadees mein 'Dajjal' ka lafz 'singular noun '(ek wachan)mein bhi aaya hai Aur 'Dajjalon'yani plural noun (bahu wachan) mein aaya hai.Plural noun mein kai hadees hai joh aayi hai,jin mein yeh farmaya gaya hai 'Ke Qiyamat kayam nahi hogi jab tak 30 dajjal payda na ho jaye ,Aur woh sab ke sab yeh kahengey ke hum Allah ke rasool hai ,halaki Allah ka akheri Nabi mein hu aur mere bad koi Nabi nahi ayega
(Tirmizi)

Huzur ke zamane hee mein hume pata chalta hai ke 4-5 jhutey nabi kharey ho gaye thaey ,Halaki woh jhutey nabi mar deye gaye.Waqt-Waqt mein kai logo ne asa kiya eg Bahaullah(Irani),Gulam ahmed qadeyani etc etc.Is silseley ka akheri jhoota nabi joh akheri hoga woh yahood sey hoga aur maseeh(christ) honey ka dawa karega.Yeh toh thaey woh 30 dajjal .Lekin ek aur hai joh hai Dajjal-Ul -Akbar yani sab sey bada dajjal jokey 'Kanha Dajjal' ke naam se mashoor hai.Yeh woh hoga joh khudai ka dawa karega insan ke paas duniya ki bhut badi takat hogi woh 'natural forces' tak ko apney control mein kar lega woh kahega mugh par imaan lao.Mughey sajda karo insan ki bhut badi tadad usey khuda manegi .Hadees shareef mein ata hai 'Ke Momin insan jab apney ghar se niklega toh yeh samghey ga mein momin hu lekin jab woh dajjal apney karishmey(chamatkar) dikhlayega toh momin bhi us dajjal ke sath ho jayengey Aur 'kufr' karengey Allah ka.Ek aur hadees shareef mein aaya hai Allah ke Rasool(saws) ne farmaya hai ke 'Hazrat Adam(as) ki paidaish se lekar Qiyam-E-Qiyamat tak koi fitna itna bada nahi hai jitna us Dajjal-Ul-Akbar ka hoga(Muslim).Ek aur hadees mein Huzur (saws)ne farmaya hai 'Ke koi aasa Nabi nahi guzra hai jisne apni ummat ko us andhey Dajjal se kahabrdar na kiya ho,Tume sun rakho ke woh kana(blind from one eye) hoga,Aur tumhara rab hargiz kana nahi hai.(Bukhari)Yani Allah aur Dajjal mein farq sirf ek anakh ke kane hone ka hai ,usey Allah itna power dengey ke log usey Allah smaghne langegey.Ek aur hadees mein aya hai ke'Uski dono aankho ke beech mein likha hua hoga Kaaf-Faa-Raa.
(Bukhari&Muslim).

Ek aur hadees mein aya hai ke yeh alfaz uskey mathey(forehead) par likhey hue hongey usey har momin pad lega ,chaye woh pada likha hoga ya nahi ,Iska matlab kuch nishaniya aeysee hongi uskey sath ke jisey uski peshani mein alfaz padney ke liye pada likha hona zaruri nahi hai.Usko natural forces mein itna kabza ho jayega..Ke Hadees mein aata hai''Woh puri duniya mein fhir jayega aur koi ek dariya bhi nahi chorega sirf 40 din ke andar-andar.(Dajjal ke liye fasla bemani ho kar rahjayega uski raftar itni tez hogi jasey koi tufaan badal ko liye jaa raha ho aur zameen ki koi basti nahi bachegi jismey woh 40 din ke andar fhir na jaye.

Hazrat Ali(raz) ki riwayat mein aya hai ke 30-30 hath lambey uskey kan hongey fhir yeh ki uski raftar itni tez hogi ek kadam Mecca mein hoga toh dusra Syria mein hoga). Aur uskey gadhey(sawari) ke kano ke darmiyan fasla 80 hath ka hoga.Teesri baat yeh ke uska joh gadha hoga uski ek taap aur dusri taap ke darmiyan fasla hoga jitna ke insan ek din aur ek raat mein tay karta hai.
(Muslim)

Ek aur hadees mein aya hai 'Ke woh pukarega(baat karega,address karega)asee awaaz sey jisey sunegey tamam mashriq(east) aur magrib(west) le lo
(Ahmed)
Ek aur hadees mein aya hai ke zameen ke sarey dariya (nadi,naley)yeh sab uskey hukum ke tabey kar diye jayegey,Aur joh kuch uskey pani se ugta hoga woh bhi uskey kabzaey-kudrat mein hoga ,woh hukum dega asman ko toh woh barish barsaega Aur zameen ko hukum dega toh woh apney andar sey fasal nikalege aur jab woh aasey veeran jagah se guzrega toh usey hukum dega aapney khazaney nikalo ,Toh zameen apney khazaney nikal kar Dajjal ke sath chal padegi .Uski ek alamat yeh bhi bataegayi hai ke uskey andar Ilaj karney ka aur bimariyo ko shiwa dene ka bhut badi malka paida ho jayega,Yani paidashi Andho ko roshni aata karega aur joh kori(leprosy)hai unhey achha karega,
murdoy ko zinda karga.(Ilaj ke joh alwaz Quran majeed mein Hazrat Isa(as) ke liye aaye hai same wasey hee alfaz dajjal ke liye aaye hai jasey Quran mein Isa(as) kehtey hai
'Mai paidaishi andho ko accha karta hu ,aur koriyo ko sirf hath fher kar achha kar deta hu aur murdoy ko zinda kar deta hu.Yahi kudrat dajjal ko bhi hasil hogi.)

Yaha tak farmaya ek aadmi ko woh aarey se cheer kar 2 hissoy mein alag-alag kardega aur dono hissoy ke beech mein chalega jissey pata chal jayega ke is mein gap paida ho chuka hai,fhir un dono ko jod kar ek zinda insan bana dega .

Dajjal ka ek aur karishma yeh hoga ke uskey sath asey shayateen jin hongey ke jinki surtaein hongi un logo jasi jo mar chukey hai(kisi insan ke baap,bhai maa etc)Woh log jinhe ek insan pechanta ho.Aur un mein se ek shaks aayega apney baap ke paas aur kahega kiya mein tumahra baap nahi hu ,kya mein tumahra bhai nahi hu ,kya tum mughe nahi pechantey .Is ka nateja yeh hog ke kufr bhut badey pamaney mein faal jayega.

Majority us paar imaan layegi ,usey khuda manegi ,usey sajda karegi ,uski parshtish karegi.Ek aur hadees mein aaya hai ke dajjal jab niklega uskey sath pani bhi hoga aag bhi hogi ,woh cheez jisey log pani deykah rahe hongey woh aag hogi joh bhasam kar ke rakh degi aur jisko log samgheygey aag hai woh paani hogi woh dhanda mein hoga meeta bhi hoga toh huzur(saws)ne farmaya tum mein sey joh bhi usey paye 'toh us cheez ko ikhteyar karey jisko woh dekh raha hai ke woh aag nazar aa rahi hai isleye ke woh paani hoga
(Bukhari&Muslim)


Aab hum zara in hadees'o ka analysis kartey hai 'Jaha tak shaks Dajjal hai woh abhi nahi aaya ,Lekin kyo ke khabar de hai Hazrat Muhammed(saws) ne ke asa ho kar rahega ,Yeh tha ek individual(Dajjal) ke barey mein hai ,
Aur jaha tak sawal hai Fitna e Dajjal uskey asrat hamarey samaney hai .Aap dekhe ke duniya mein science aur technology kis inteha ko pucah gayi hai.Insan ke kadam chand par par chukey hai .

Fasley khtam ho gaye hai .Agar aaj 'Obama' speech karey toh puri duniya usey ek sath dekh sakti hai sun sakti hai.Isetarah joh Information technology hai uskey kitney karnamey hai .

Hawai-Jahaz asal joh kaha gaya hai 'Dajjal' ka gadha Woh aaj ka Hawai-Jahaz hai.Aaj se 1440 sal pehle in sab scientific discovery ke barein mein bataya jata toh in alwaz ke siwa aur koi surat nahi thi inhe bayan karne ki. Huzur(saws) agar us waqt Hawai-Jahaz ka taskira(explain) kartey toh log ko kase samagh aata,us waqt insan gadhey ki sawari karta tha aur aaj 'hawai-jahaz ' insan ki sawari hai.

Uska joh gadha hai woh hamara Hawai-Jahaz hai aur joh hawai jahaz ke radar hotey hai yeh bilkulunke wings ke end mein hotey hai,yahi unke kan hai jis sey unhe maloomat hasil hoti hai ,Unki lamabai chorai kitni hai .

Hawai jahaz ki Raftar kitni tez hoti hai.
Aur aaj hume pata hai ke 'Din-Raat' ka joh safar hai usesey hum puri duniya cover kar saktey hai.

Aaj deserts jaha kahi kuch paida nahi hota tha Aaj yeh haal hai ke Saudi Arabia khud wheat,rice export karne laga hai.Ise tareeke se 'Clonning' ka mamla hai ,Human clonning ki Ijazzat abhi nahi hui hai ,Kisi murdey shaks jism sey ek cell nikallegey usey treat karengey aur ek insan banadengey.

Jasey Dajjal ki hukumat puri duniya mein kayam ho jayegi .Aaj humey pata hai puri duniya 'Unipolar' ho chuki hai America jo hai,jis tareekey se woh puri duniya ko control karna cha raha hai.

New World Order(N.W.O) ke tehat jaisey 'Golbalisation' ho raha hai,World bank ,IMF puri duniya ka finance control kar rahi hai .WTO ka agrements 'Trips' se ho chuka hai.Genetical engeneering sey naya beech(seeds) paida kiya hai ,Ek chawal ki paidawar hoti hai usey pehley bhut kam chawal milta tha.

Aab bhut zyada ho raha kyo ke unhoney beech(seeds) ke andar 'genetical engeneering'ki hai ke woh zyada padawar de rahe hai ,Yeh joh zyada paidawar ho rahi humne iskey leye joh kosish ki hai ,Research ki,Science develop ki hai lehaza us ka fayeda hume puchna chayeyeh Ayenda beech hum se logey ,Aur beech bhi woh dengey jis sey el fasal toh hasil ki ja sakegi lekin fasal ko beech ki shakal mein istemal nahi kiya jaa sakega .

Jasey ke humey maloom hai joh andey(eggs) aaj kal bazar mein biktey hai
usey hum choozey nhai nikal saktey Duniya ka galamour asa bada ke insan duniya ka gulam ban kar rah jayega .

'Dajjal' fitna ka preface aa gaya hai kisi bhi din jasey Huzur(saws) ne farmaya hai ke koi Asa shaks khara ho jayega Aur woh khudai ka dawa karega aur asey asey karishmey dekhaega ke log usey khuda manegey.

Joh cheezey kabhi 'Rasool'o' ke mojzey se hoti thi,Woh insan kudrat('Forces of nature,Univeral forces') par kabu paa kar khud karne lagega.

Ek Aur Alamat yeh batai gayi hai ke'Us Fitney ke dono Aankho ke beech mein likha hua hoga KAAF-FAA-RAA.

Yeh alamat(symbol) hai is majuda tehzeeb ki ,Matrialism ki,Allah ke inkar ki,Akherat ke inkar ki ,Rooh ke inkar ki

Ek aur hadees mein yeh aya hai ke 'Khuda ki kasam jab waqt ayega ek shaks hazir hoga Dajjal ke paas aur woh shaks apney aap ko momin samghta hoga lekin joh shubhat(shak) is fitney ki wajah se paida ho jayengey ke woh bhi usiki parwi karengey..

Aaj aap khud dekh lejeye kitno ko imaan ki hasiyat hasil hai ,hamari values kiya hai ,wohi material culture hamara bhi hai ,hum samghtey zaroor hai apney aap ko musalman ..Lekin??
Upar ek civilization hai Aur uskey mathey par likha hai KAAF-FAA-RAA.(yani kufr)

Ek aur hadees mein aya hai 'Dajjal ke sath kuch shyateen hongey aur woh logo ko dhoka denge yeh kehka ke hum rooh hai tumhare marey hue logo ki woh logo ko kuch nishaniya bhi batayengi jis sey log man langey.

Dajjal ke sath shaytano ke lashkar hongey woh shaytan jinn nazar toh nahi aayengey darasal woh jinn uske walid se awaz bana kar batein karengey woh samghegey hamarey walid ki rooh bol rahi hai halaki woh jinn shaytan hoga yeh sarey kam europe ,america mein bhut sare kam asey hotey hai,arwah ko bulana,hadees sey malom hota hai woh arwah nahi hongi woh shaytan e jinn hotey hai joh aakar guftugu karte hai woh is tarah sey guftugu kartey hai ke log samagh batey ke wakai merey baap se guftugu ho rahi hai.

AUR AB HUM DEKHTEY HAI ISKA KHAS TALLUK AURTO SE KIYA HAI...
Hadees mein aya hai 'Ke sabse akheri mein joh dajjal ki taraf ruzu karengi woh aurtein hongi ,Yaha tak ek Banda e Momin bhagega apney ghar ki taraf aur apni maa ko .apni beti ko,apni behan ko ,
aur apni phupi ko bandey ka rassiyo sey kahi yeh dajjal ke peechey na nikal jaye ,Ek aur hadees mein ata hai ke sabsey zyada kaseer tadad mein is fitney ki taraf joh badegi woh aurtein hongi,
Yaha tak ek banda e momin apney ghar mein wapas jayega apni maa ko apni behan ko apni phupi ko bandhey ka rassiyo se is khuaf se kahi woh nikal kar dajjal ki parwi na karne lage
(Musnad Ahmed).

Is fitney ki taraf akheri pesh kadmi ho chuki hai .
Joh kuch ho raha hai shariat ka mazak udaya jaa raha hai.Islam ka mazak udaya ja raha hai,Femenism,Liberalism ke naam par 'Aurton ki azadi' ke naam par jo kuch ho raha woh kisi se chupa nahi hai,Bepardagi, Television ,newspaper etc mein hum sab dekh sakte hai .Shareef insan har man chuka hai.

Is duniya mein burai ki sabsey badi takat iblees hai ,iblees aur adam(as) ka mamla Quran mein 7 suraton mein aaya hai.Quran mein aaya hai ke 'Shaytan kasam kah kar keh chuka hai ke 'Mein Adam ki aulad ko gumrah kar ke rahunga aur tu dekhe ga in mein se aksar(majority) tere shukar karne wale nahi payega,Mughe mohlat dey mugh par mouat tari na hi us din tak jis din yeh jama kiye jaye (Qiyamat tak)Allah ne kaha tughe mohlat de 'Lekin mere khas bando par tera zor nahi chalega(yani Allah ke khas bandey shytan ke shar se bach jayengey ),Mere bando par tera koi ikhteyar nahu hai,Tu unhe sabs-baag dekha sakta hai temptations de sakta hai tu unpar zabrdasti nahi kar sakega.

Insano ka sabse bada dushman shyatn hai uska mission hi insano ko gumrah karna hai,uskey cheley(agent)insano mein bhi hai aur shytano(jinn)mein bhi.Yeh sab shyatano ki taraf bulatey hai,gunah ki taraf,behayai ki taraf,insani soverienty ki taraf...And (remember) when We said to the angels; "Prostrate to Adam." So they prostrated except Iblîs (Satan).

 He was one of the jinns; he disobeyed the Command of his Lord. Will you then take him (Iblîs) and his offspring as protectors and helpers rather than Me while they are enemies to you? What an evil is the exchange for the Zâlimûn (polytheists, and wrong-doers, etc).
(surah 18 ayat 50)

Yeh jis mein ek taraf Allah ke neak bandey hai unhe farishto ke support hasil hai dusri taraf shytan aur uskey agent hai.Aur yahudi sabse bade shytan ke agent hai yahudi apni makkariyon se christian ko apna gulam bana liya hai.Aur in logo ne 'Shirk' ko sabse zyada faylaya..Shaytan aur apney agent ke zariye.

Allah farmate hai 'Ke Mai 'Shirk' ko toh hargiz maaf nahi karunga'.
(Surah 4 Aayat 48& 116)

INSANI ZINDAGI Ke 3 LEVEL HOTE HAI .

1. FAMILY{Mard+Aurat -- khandan}

2. FINANCIAL ASPECT.

3. CONCEPT OF'STATE'

(Concept of state is 200 yrs old).Is duniya mein burai ki sabsey badi takat iblees hai ,iblees aur adam(as) ka mamla Quran mein 7 suraton mein aaya hai.Quran mein aaya hai ke 'Shaytan kasam kah kar keh chuka hai ke 'Mein Adam ki aulad ko gumrah kar ke rahunga aur tu dekhe ga in mein se aksar(majority) tere shukar karne wale nahi payega,
Mughe mohlat dey mugh par mouat tari na hi us din tak jis din yeh jama kiye jaye (Qiyamat tak)Allah ne kaha tughe mohlat de 'Lekin mere khas bando par tera zor nahi chalega(yani Allah ke khas bandey shytan ke shar se bach jayengey ),Mere bando par tera koi ikhteyar nahu hai,Tu unhe sabs-baag dekha sakta hai temptations de sakta hai tu unpar zabrdasti nahi kar sakega.

Insano ka sabse bada dushman shyatn hai uska mission hi insano ko gumrah karna hai,uskey cheley(agent)insano mein bhi hai aur shytano(jinn)mein bhi.Yeh sab shyatano ki taraf bulatey hai,gunah ki taraf,behayai ki taraf,insani soverienty ki taraf...And (remember) when We said to the angels; "Prostrate to Adam." So they prostrated except Iblîs (Satan). He was one of the jinns; he disobeyed the Command of his Lord.


Will you then take him (Iblîs) and his offspring as protectors and helpers rather than Me while they are enemies to you? What an evil is the exchange for the Zâlimûn (polytheists, and wrong-doers, etc).

 'INDIVIDUAL AND SOCIETY'
1.Pehla pehlu joh family ha woh itna purana hai jitna khud insan hai.Aur yeh Quran ka sabse zyada pasandeeda subject hai.
Insani zindgai ka yeh level hadees shareef ki roshni mein sabse akhir mein kharab hoga.Hadees e Rasool(SAWS) ke alfaz hai 'Auratein is fitne ke taraf sabsey akhir mein ruzu karengi'.

2.Dusra level hai 'Finacial level' aur isko shytan ke agent puri tarah tabah kar chukey hai .Interest,Gambling ,shares ke zariye
{speculation = gambling = manipulation}IMF(International Monetary Fund),World bank ke zariye woh puri duniya ko control kar rahe hai

Pehle angrez hum par direct raj karta tha ,aaj in 'bankS' ke zariye woh hume apna gulam bana chuka hai.

Islam ka 'financial system' aaj puri duniya se gayab hai .Puri duniya Fitna e Dajjal mein fas chuki hai.Christian bhi Interest ko haram mantey thaey,Pope-Roman Catholic sect ki sabsey highest authority hoti hai aur jab tak yahudiyo ne 'protestant' sect nahi banwaya tha tab tak 'pope' ka control hota tha purey christian world mein.
Lekin jasey hee 'protestant' sect kayam hua wase hee 'Bank Of England'(estblished in 1694 )bani ..

phir ye lanat (Interest) puri duniya mein fhaal gayi jiskey zariye 'exploitation' ki inteha par ho gayi.

Huzur(saws) ne farmaya 'Sood(interest) itna bada gunah hai ke agar iskey 70 hissey kiye jaye toh iska ek hissa itna bada gunah hai ke koi apni maa ke sath zina karey).Interest se 'distribution of wealth' bigad jata hai,gareebi bad jati hai.Socho hum 'banks' sey kitna bache hue hai.Agar hum bank se interest nahi lete toh kiya bank hamarey paiso se interest nahi kamatey kiya?

3.Teesra Concept hota hai 'State' ka .Yahudiyo ko 'Europe aur England' mein koi position hasil nahi thi 'christianity ' ke chaltey .

Christian Jesus(pbuh) ko (Nauzobillah) Allah ka beta kehte hai aur Yahoodi Jesus(pbuh) ko kehte hai ke iske 'baap' ka pata nahi hai,Dono community mein itna bada difference tha jiske chalte 'yahoodi'o ' ko 'europe aur england' mein koi haseyat hasil nahi thi,unhe kuch asa karna chaye tha jise yeh museebat hamesha ke liye khatam hojaye .Aur yahudiyo ne kiya bhi kuch asa pehli baar duniya ko unhone 'secularism' ka concept diya.Yahudi pichley 500 salo sey is ko hasil hua.

Democracy (Govt of the people,by the people,for the people).'Representative of the people' Yani 'Janta key numayendey' joh chaye kanoon banaye.

Woh homosexuality,gambling jisko chaye lagu kar waye.

Secularism mein logo ko apna-apna mazhab manne ki ijazat hoti hai 'State 'ka koi mazhab nahi hota .Jiska matlab hai Allah,God,Malik ki koi hasiyat nahi,God ko kinarey karo, Hum azad hai God Ya Allah yeh naam masjid,mandir,church tak rahe .'Insan joh chaye karey,insan homsexuality,gayism ,living relationship etc etc.

Jisko chaye ijazat dey.IS SEY BADI ALLAH KI NAFARMANI AAJ TAK NAHI HUI.YEH TOH WOHI BAAT HAI JOH 'FIRUAN NE KI THI ' MEIN HU YAHA KA RAAB.(sURAH 43 Aayat 51). I DONT CONSIDER ANY AUTHORITY ABOVE ME.IS SEY BADA AUR KIYA SHIRK HOGA.

Aaj 'America' ki yeh halat hai ke kuch saal pehley American President 'Clinton' ne kaha tha 'Aaj America ki majority haramzadoy ki hai ' uske alfaz thaey 'Born without wedlock'.Quran jis khandani system ki baat karta hai usmey 'Haya ,izzat,issmat' hai.Quran Auarato'n ki hifazat ki baat karta hai.Aur is 'fitne' ne aurat'o ko zaleel kar ke rakh diya.

Sahaytano ke agento ne 'International Conference' karwayi hai apna maqsad hasil karne ke liye Aur isko naam diya hai 'Social Engeneering'(matlab yeh family system sahi nahi hai ,society ki imarat galat buniyaado par khari hai iski engeneering hum karengey)Aap ko 'Kahira Conference'(1994), Beijing Conference(1995)Aur akehri jo US mein 9 June 2000(U.N Assembly) mein hui thi yaad hogi .
Pehle conference 'Egypt' mein hui aur dusri 'China Beijing + 5 'mein kyo unhe 'Asia' ka gheyraw karna hai.Abhi 'Asia' mein 'Khandani nizam' baki hai.Is social engeneering program ke yeh point thaey..

1. Jisam faroshi(prostituism) ko izzatdar pesha karar diya jaye aue isey bura na mana jaye.

Jasey insan apney kisi na kisi body part ko isteymal karta hai paisa kamaney ke liye wasey hee yeh bhi hai.
Homosexuality should be considered normal orientation bcoz everyone has a different taste.Yaha tak inki shaadi bhi ho sakti hai.

2. Aurat aur mard barabar hojaye 'Virasat' aur 'Talaq' ke mamle mein.

3. Aurat ghar ka kaam karne ke liye paband nahi hai aur kaam karne ki salary maang sakti hai.Agar aurat chaye toh 'pregnancy'ki taqleef ke chaltey mana kar sakti hai bacchey ki paidaish ko.Aur chaye toh 'relationship(sath mein rahney ka), pregnancy' ka muafza mang sakti hai U.N.O is working for the attaintment of these principles.

Is Dajjali Fitney ne 3rd aur 2nd level 'Insani zindagi' ka pura gira diya hai .Aab 1st level joh bacha hai uska number hai.Shaytan ke agent isey pura karwaney ke liye koshish kar rahe hai.Charter bana rahe hai ..Aur joh mulk bhi inki nahi manega un par yeh 'sanctions' laga deygey .Jasa inhone 'Iraq aur Afgahnistan' mein kiya.

'Huzur(saws) ne farmaya hai 'Ke Dajjal ka rizk ke khazano par itna kabza ho jaye ga ke joh kufr karega sirf usko dega'.

Momino ke liye yeh waqt bada takleef hoga.1ST level ko tabah karne ke liye shaytan ke agent ne,'Femenism,Liberalism,Women Reservation 'etc ka sahara liya hai.
Yani kisi bhi tareeke se aurat ko ghar ke bahar nikalo.

YEH FITNA ITNI SHIDDAT KE SATH AA CHUKA HAI.HAMARA YEH FARZ BANTA HAI KE HAMREY PAAS JITNI TAKAT HAI HUM ISEY KHUD BHI BACHEY AUR LOGO KO BHI BACHAY.

'Globalisation Of Westernisation'aaj puri duniya ka ho chuka hai.Isey Hazrat Isa(as) hi khatam kar payengey .

Hum aur hamari aulad ko deen par kayam rakhna itna hee mushkil ho jayega jaisey dhaktey huey angarey ko hath mein lena.
Padai(studies) woh hona chaye jis sey Imaan badey.Aaj joh bhi padai ho rahi hai usey is 'Fitney Hi Ko Serve' kiya ja raha hai'.'
 Even Technology is serving Multinational companies and Capitalists'.'Some are big some are small servant .
'Lekin Gulami toh Gulami hai.Aap M.A. In Language, M.A in social sciences (Arts,economics,histroy,poltical science,philosphy,psychology.)kar saktey hai taki kam sey kam is system mein involve ho.
Yeh zaroor hai ke MBA,Engneering,C.A.etc karengey toh badi achi job mil jayegi lekin hoga kiya woh inhi yahoodi 'Firmo,Multinational companiyo' ki chakri karengey. M.A karney kisi college mein lecturer lagegey aane wali naslo ka zahan tayyar kar sakte hai,In 'Social science' jais political science etc mein har cheez galat nahi hai hum dekhengey ke islam ki taleem in mein kitni hai hum usey kis tarah fayeda uda saktey hai,kaha tak hum unhey behta bana saktey hai.

Hum kahne-peeney ke liye zinda na rahey balki zinda rehney ke liye kahaey-peeyeh.Insan asani se guzara kar sakta hai,sadgee se bhi zindagi guzar jaati hai.Kitney asey badsaah guzrey hai joh apney haatho sey topiya sil kar,Quran likh kar apni zindgi chalatey thaey.

Baitul Maal(National Reserve) sey ek paisa bhi nahi letey thaey.Yeh hamara lalach hee hai joh humey muthmaeen nahi karney deta.
Warna wakeyah yeh hai zindgi guzar ney ke liye jin cheez ko zaruri samagh thaey hai,unmey sey aksar zaruri nahi hai,jasey badey-badey makan ho,bhut keemti usmey furniture ho,decoration ho,lekin hum bhool jatey hai 'In makano sey hume char kandho par nikalna padega.
'Kuch bhi hamesha ke leye nahi hai'

Science ki tarakki fitna nahi hai isey jis cheez ne fitna banaya hai woh yeh ke 'science' ki tarakki ke sath ,Rooh ki tarraki Imaan ki tarraqi nahi ho payi .

Gadi ke doo paheye ek sath badtey toh koi fitna nahi hota.
Yeh ilm (science and technology)toh woh tha joh Hazrat Adam(as) ko Allah ne diya tha aur isko dey kar hee unko zameen ka kahilfa banaya tha .
Surah Bakr ke 4th ruku mein dono ilm (knowledge) ke barey mein bata diya gaya hai.
Aur usi ko daleel ke roop mein Allah ne pesh farmaya hai 'farishtoy' ke samney, Adam ko joh ilm sikhaya us mein yeh baat bhi hai ke joh mai Adam ko zameen ka khalifa ban kar ikhteyar dey raha hu toh sath mein ilm bhi dey raha hu.
Hazrat Adam ke andar potentially yeh ilm rakh diya gaya...''Aur(Allah ne) Aadam ko tamam naam sikhay, fhir unhe 'farishtoy' ke samney pesh kiya aur kaha ,'Agar sacchey ho toh muhghey unka naam batao. Un sabney kaha(Aaey Allah) 'Tu pak hai ,'Tuney joh kuch hamey bataya uskey sewa humey koi ilam nahi,beshak tu ilm wala hikmat wala hai.(Tab Allah ney)hukum diya ,'Aaey Adam!In(Farishtoy) ko unkey naam bata doy ,jab unhoney unkey naam bata deeye toh farmaya,'Kiya meiney tum sey (pehley hee) nahi kaha tha,ki zameen aur aasman ki chupi baton ko mai hee janta hu,aur mai janta hu ,joh kuch tum zahir karte ho aur joh kuch tum chupatey ho.''
(Surah 2 Ayat31,32,33)

Yeh hai cheez ko observe karna jis sey knowlege aati hai fhir ise ilm ko deduct kar ke result baramad karna,Insan ne ise liye har cheez ko ek naam diya hai.
Joh aaj hamrey samney ilm hai yeh wohi ilm hai joh Hazrat Adam ko Allah ne diya tha ,jaisey aam ki gudhli hee mein pura aam ka ped hota hai lekin us gudli ko waqt lagta hai ped banney mein.

Yeh ilm 'fitna' nahi hai agar yeh ilm us ilm ke sath ho joh Surah Bakr ke 4 th ruku ke akheri mein hai.
Jab Allah ne Hazrat Adam ko zameen mein rakha toh ek 'charter' diya gaya tha unhey hamesha-hamesha ke liye.
Ek farman Allah ka tha...''Hamney kaha,'Tum sab yaha sey utar jao,fhir agar meri aur sey tum logo key paas koi hidayat(divine-guidance) puachey toh jinhoney meri hidayat ki paarvi ki un ko na toh dar hoga aur na wah dhukhi hongey
(Surah2 Ayat 38).

Yeh 2 ilm hai observation,dimag sey joh hasil hota hai Aur dusra ilm hai joh Allah ney apney nabiyon ke zareye bheja hai Isey hum 'Wahi'(Revealed Knowledge') bhi kehtey hai.

Bad kismati sey hua yeh ke insani ilm aur wahi ka ilm mein bhut bada gap aa gaya aur yeh dono ilm alag ho chukey hai .Ek taraf insan chand par pucah chuka hai aur dusri taraf wahi ka ilm se door .

(Quran ko Apna 'leader' nahi man raha hai)'Even muslims do not consider Quran as their guide'.
Yeh Alami Tahzeeb (Universal civilization) hai ,har koi dekh raha hai .Duniyaparsti(Materialism) Aur akherat ka inkar ismey hai .Is Tahzeeb ka subject materialism ,universe life of the world hai .Isey ko Huzur(saws) ne farmaya hai 'Key Iski Peshani(forehead) par likha hua hai Kaaf-Faa-Raa(Yani kufr).Yahi iska symbol hai ,Science toh saaf kehti hai ke humey nahi kah saktey ke Allah hai ya nahi ..

Lekin qaynat(universe) toh hai ,kudrat(forces of the nature)ka suraag lago fhir unhey istemal karo(exploit) karo .

Rooh hai ya nahi hum nahi jantey,Woh hamari investigation mein nahi aati,Hamarey paas asey equipments nahi hai joh isey bata sakey lekin jism(body) toh hai .
Isey tarah hume nahi pata 'Life after Death' ha yaa nahi .
Sirf insano ko is duniya mein joh de sakte ho do kuan si jannat humey kuch nahi pata iseleye aaj 'welfare state' ya'welfare society' highest concept ban gaya.Is ke aagey kisi ko kuch nahi pata .
Universe,matter aur uski properties ,life of the world apna dhyan sirf in cheez par laga lo.

Zameen par apko bada farq nazar aayega,Kahi Nadiya hai,Kahi Pahar hai,Kahi Registan hai.In sab ke upar ek envelop hai ek fiza hai jisey hum Hawa kehtey hai Aur yeh puri duniya mein ek jasi chalti hai Yahi baat aapko Religion Aur Civilization mein nazar aayegi .
'Neechley tapkey (Status)' mein aapko mazhab dekhega .
Koi church jaa raha hai ,Koi mandir jaa raha hai,Koi masajid jaa raha hai.Neechey apko fark nazar ayega Muslim hai toh kurta-paejama pehney hai ,Hindu hai toh dhoti hai,Lekin uppar Ek hee tehzeeb hai ,wohi libas hai ,Woh hee values hai ,Aurton ke libas ek sey hai .
Uppar level par ek hee civilization hai ,'Woh hi materialism hai ,materialism virtues hai ,materialistic values hai,Wordly pursuit hai ,Woh hee insan ki soch yeh ban gayi hai...

duniya mein hume joh mauka mila hai woh isleye ke duniya mein hum zyada kamaye ash karein woh joh philosphy hai 'eat ,drink and be merry. '
kamyab woh hai jisne zindagi ka har-har lamha duniya mein kamyab hone mein lagaya,aaj musalman bhi ise soch mein mubtala hai.
Akhirat hai lekin usekey liye woh mehnat nahi hai ..

Isleye Allah bhut 'Gussey' mein kehtey hai..

'''Kah dejeye ,'Kya hum tumhey unki khabar dey,joh apney amalo ke lehaz sey sabsey badkar nuksan udhaney waley hain.?'

'Yeh wah log hain.'Jinki puri koshish duniya hee ki zindgi mein barbad ho kar rahi ,aur wah apney aap ko yahi samghtey rahey ,ki wah achey kam kar rahey hai.Yahi wah log hain jinhoney apney 'Rab' ki ayaton aur uskey samney hazir honey ko na mana ,toh inkey kam akarath ho gaye,fhir kiyamat ke din 'Hum' unhey koi wazan na dengey''
(Surah 18 Ayat 103,104,105)

Asal mein duniya ki zindagi ek dhoka hai ..
Allah farmatey hai Quran mein kai jagah ...'Duniya ki zindgi toh dhokey ke siwa kuch nahi.'
(Suarh 3 Ayat 184)

'Jan lo! ki duniya ki zindgi bas khel aur tamasha hai.'
(Surah 57 Ayat 20)

'Yah is wajah sey ki tumney Allah ki ayato ki hansi udai thi Aur duniya ki zindgi ney tumhey dhokey mein dal rakha tha,Toh aaj wah na toh ussey(dozak)sey nikaley jayengey ,aur na unki tauba kubool hogi'.
(Surah 45 Ayat35).

'Aur taki joh log akherat ko nahi mantey ,unkey dil uski aor jhukey,aur taki wah usey pasand kar ley,aur taki joh kamai unhe karni hai kar ley.
(Suarh 6 Ayat 113).

Aey jinn aur inasano ke geroh!Kiya tumharey paas tumhi mein sey rasool nahi aaye thaey ,joh tumhey 'meri' aayat sunate aur is din sey daratey ? Wah kaehengey ,'kyo nahi !!(rasool toh aaye thaey) Hum khud hi apney khilaf gawah hai.'In logo ko duniya ki zindgi ne dhokey mein dal rakha tha.
(Surah 6 Ayat 130)

'Jinhoney apna deen khel-tamasah bana rakha tha aur jinhey duniya ki zindgi ney dhokey mein dal rakha tha; Toh aaj hum bhi unhey bhula dengey ,jis tarah yah log apney is din ki mulakat ko bhuley rahey aur hamari aayat ka inkar kartey rahe".
(Surah 7Ayat 51)'

'Hum unko thoda maza udaney dengey ,fhir unko ek sakht aazab ki aor kheech kar le jayengey.'

''Aaey logo!Apney rab sey dar rakho aur us din sey daro jab na koi baap apni aulad ki aor sey badala dega aur na koi aulad hee apney baap ki aoor sey badla dene wali hogi,Beshak Allah ka wada sachha hai,Toh duniya ki zindgi hargiz tumhey dhokey mein na daley,Aur na Allah ke barey mein wah dhokebaaz(shaytan) tumhe dhokey mein daley
(Surah 31 Aayat24&33)

Shyatan sabsey bada 'dhoka' yeh kah kar deta hai Allah bada Raheem hai Kareem hai,Jon insano ko gunah chorney nahi deta.Duniya ki zindgi fareb ban kar hamari aankho par dhoka dalti hai ke hamara matloob,maqsad(aim,objective) Jab duniya hee hamara 'objective' ban gayi toh fhir marney ke baad ki zindgi ko insan bhool jata hai.Allah faramtey hai "Balki tum log duniya ki zindgi ko ahmeyat dete ho,Aur akherat behtar aur baki rahne wali hai.'
(Surah 87 Ayat16,17).

'Balki tum duniya sey mohabbat kartey ho ,Aur akherat ko choar detey ho.'
(Surah 75 Ayat20,21).

'Yah log jald hasil honey wali cheez (duniya)sey mohabbat kartey hai,aur ek bhari din ko apney peechey choar datey hai'.
(Surah76 Ayat 27)

Yahi asal fareb hai .Duniya jitni haseen banegi fitna utna hee khatarnak ho jaye ga .Europe,America,Dubai mein dekhey toh samagh aata hai.Iska husn jitna badega akherat utni hee insan bhool jayega ,cham-damak,Duniya ki raunak(glamour)dekh kar insan sochta hai mai bhi apney ghar mein sab ley aayu.Insan Apna Imaan Tak Beach khata hai.Allah farmatey hai..

'''Aur joh cheez zameen par hai usko humney uskey leye zeenat(shobha) banaya hai taki logo ko aazmaey,ki unmey behtar amal karney wala kuan hai.'
'Aur joh kuch us(zameen) par hai usey toh hum ek chateyal maydan bana dene waley hai.
(Surah 18 Ayat 7,8)

'Kah dejeye ,'Kya hum tumhey unki khabar dey,joh apney amalo ke lehaz sey sabsey badkar nuksan udhaney waley hain.?

'Yeh wah log hain.'Jinki puri koshish duniya hee ki zindgi mein barbad ho kar rahi ,aur wah apney aap ko yahi samghtey rahey ,ki wah achey kam kar rahey hai.
(Surah 18 Ayat 103,104)

Agar akherat nazar mein ho toh yeh duniya akherat ki kehti hai .Yah joh bogey toh waha katogey.Allah farmatey hai ''Yeh Quran wa rasta dekhata hai ,joh sab sey seedha hai,aur imaan walo ko joh bhaley kaam kartey hai kushkhabri deta hai,ki unkey liye bada badla hai.Aur yah bhi ki joh log akherat par imaan nahi rakhtey ,unkey leye dukh dene wala azab tayyar kar rakha hai.
(Surah 17 Ayat 9,10)

Ghor farmaye Azab un key leye hai
'joh log akherat par yakeen nahi rakhtey Aur farmaya Hum unhe azab dengey.Insan lakh smaghta ho apney aap ko musalman lekin agar akherat par imaan nahi toh kuch nahi aur tab sabit hota hai jab Allah ka hukum aur hamari khaish ke beech mein se kisi ek ko hume chuna padta hai.For eg Allah ne kaha rishwat haram lekin insan kahey 'Sahab bina rishwat ke ghar nahi chalta.Iska matlab hai uska akherat par imaan nahi ,'Arey Allah ke bandey Allah ne jannat bhi banai hai,duniya sab kuch nahi.Sabr aur Imaan dono ek dusrey sey judey huey hai.'.

Duniya jitni haseen hogi hum utney hee zyada us ke jaal mein fhas te chaleye jayengey.
Ek bar sahaba ney dekha ke Huzur(saws)kisi chez ko dhaka de rahey hai halake samne koi cheez nahi thi huzur se poocha gaya huzur aap kisko dhakka de rahey hai huzur ne farmaya duniya mere samney ek haseen bani sawri aurat ki shakal mein aayi aur mai duniya ko dhaka de raha tha,mughey duniya s kya sarokar hai tu yaha se dafa ho jaa.

'Kah dejeye ,'Kya hum tumhey unki khabar dey,joh apney amalo ke lehaz sey sabsey badkar nuksan udhaney waley hain.?

'Yeh wah log hain.

'Jinki puri koshish duniya hee ki zindgi mein barbad ho kar rahi ,aur wah apney aap ko yahi samghtey rahey ,ki wah achey kam kar rahey hai.(Surah 18 Ayat 103,104)

Sabse zyada ghatey mein rahnewaley woh hai jinki sari mehnat duniya hasil karne mein chali jaye .Duniya hee aim,objective raha ,rato ko jagey ,ghar-bar sey door rahey sirf duniya ke leye..
Kya Paya?

Allah farmata hai yeh woh log hai joh apney amal ke lehaz sey zyada dhokey mein hain.
Insan kah sakta hai hum Allah ke manney waley hai,Huzur(saws) ke manne waley hai ,Qiyamat ke manne waley hai.Agar wakai mein Qiyamat ke manne waley hotey toh 'Is Duniya Par nahi reechtey,Is Duniya ke maal ,Ikhtidar(power),shohrat ke liye apne aap ko halakan nahi kartey.

Allah Farmata hai..
"Yahi wah log hain jinhoney apney 'Rab' ki ayaton aur uskey samney hazir honey ko na mana ,toh inkey kam akarath ho gaye, fhir kiyamat ke din 'Hum' unhey koi wazan na dengey''
(Surah 18 Ayat 105)

Inhoney isleye kufr kiya hai Allah ki ayat ka Quran toh yeh kehta ke Asal zindgi Akherat ki hai Aur yeh usko nazar andaz kr key,Duniya ko pasand kar liya hai inhoney darasal Allah ki ayat ka bhi ayat ka inkar kiya ,uski mulakat ka bhi inkar kiya,Joh namaz roza yeh kar rahe hai unmein se kisi amal ka hamarey yaha wazan nahi hoga .

'Dekha Yeh Jayega Asal Mein Aim Kiya Tha.
'kiz cheez ke leye tum ne bhag-dor ki ,Apni salaheyat kaha lagai,Hume maloom hai joh khulam-khula kafir hai unkey leye wazney amal ka masla hee nahi hai.
 Amal unke toley jayengey joh apney aap ko 'Musalman' kethe thaey .Neakiyo ka palla bhari hai toh jannat mein aur buraiyon ka palla bhari hai toh dozak bhugat kar jannat mein jayengey.

Allah farmata hai ''Unka badla wahi dozak hai ,is ley ki unhoney kufr(inkar) kiya ,aur hamari ayato,aur hamarey rasoolo ki hansi udai.''
(Surah 18 Ayat 106)

Allah ek Aur jagah farmatey hai ..
''Quran par imaan nahi rakhta woh joh Quran ke Haram kiye huey ko haram na jane.
(Al-Quran).

Insano ney magrb(west) ki material taraqi ko daleel banaya hai uski tehzeeb sahi honey ki.Allah farmatey hai ''Aur us(insan) ko khoob paidawar milti thi,toh usney apney sathi sey baat kartey-kartey bol udha,'mai tugh sey maal mein aur adamiyon mein bad kar izzat mein hu.
(Surah 18 Ayat 34).

Yani Insan superior honey ke leye yeh daleel dey 'ke mere paas tum se zyada maal hai aadmi(workers,army etc) hai, sara saman mere paas hai, isleye mai bada hu.'Tum kuan ho mughe nasiyat karney waley .

''Aur wah apney bagh mein is haal mein dakhil hua ,ki apney aap par zulm kar raha tha,usney kaha !mai nahi samghta ki yah bag kabhi tabah hoga.'
(Surah 18 Ayat 35)

'I DONT THINK THIS WILL EVER PERISH'Yeh sentence aaj kitno ki zaban par hai.Insan ko thoda sa Allah nawaz deta hai Insan apney aap ko bada samghney lagta hai.Aur haqeqat ko kitney jaldi bhool jata hai.West ki har cheez galat nahi hai lekin hume unhe Quran Aur Sunnat mein parakh kar dekhna chayeyeh.

Is dajjal ki gumrahi bhut zyada hai humey dheerey-dheerey nikalna hoga ..
Sabsey pehle hume yeh baat yaad rakhni hogi ke yeh duniya 'Imtehangah'(examination hall) hai.

Allah faramtey hai
''Jisney paida kiya hai muoat aur zindgi ko ,taki tumhe aazmaey,ki tum mein sey kuan accha amal karney wala hai? Aur wah badi takat wala ,maaf karney wala hai.
(Surah 67 Ayat 2)

''Magar Insan ka yeh haal yeh hai ki jab izzat aur nemat dekar uska 'Rab' usey aazmata hai toh kush hokar kehta hai ke mere 'Rab' ne mughey izzat di.Aur jab wah usey aazmata hai(ki)uski rozi us par tang kar deta hai toh kehta hai,'Mere Rab ney mughey zaleel kiya'.
(Surah 89 Aayat 15,16)

In ayat ka kiya matlab hai?
NA YAHA KI IZZAT,IZZAT HAI ..NA TANGI YA PARESHANI ZILLAT HAI.IZZAT BHI IMTEYHAN HAI AUR ZILLAT JISEY HUM SAMGHTEY HAI WOH BHI IMETHAN HAI ..

BALKI ZILLAT WALA IMETHAN ZYADA ASAN HAI KYO KE IS IMETHAN MEIN INSAN ALLAH KO NAHI BHULTA.

Huzur(saws) ne farmaya 'Kam ho cheez joh kifayat kar jaye behtar hai usey joh zyada ko lekin gafil kar dey.'
Allah farmatey hai .

''Aur humney is Quran mein logo key leye tarah-tarah ki misaley bayan kar di,magar insan sabsey badkar jhagralu hai.Aur hum joh rasool'o ko bheja karte hai toh kefal isleye ki kushbhari sunaye,aur (azab sey) daraye ;aur joh kafir hai wah nahaq jhagrey nikaltey hai taki usko haq sey fisla dey ;aur unhoney hamari nishaniyo ko aur uski jissey unhe darya gaya hai mazak kartey hai.
(Surah 18 Aayat 54 &56)


Momin Allah ke Fasley par sabr karey hum har cheez ki haqiqat nahi bati ja sakti hai .
'''Aap mere sath sabr na kar sakengey.
(Surah 18 Ayat 67,72,75)

Kuch ase hi batein Hazrat Khijr(as) ney Musa(as) sey kahi thi .Allah ki hikmat hum nahi samgh saktey,Jismey humey taqleef dard dekhta hai woh cheez hamarey leye bhalai ho sakti hai ,is duniya ka ek zahir hai ek batin(chupa) hua ,Hume pata nahi hota .Humey akherat ke leye mehnat karni chayeyeh ,Hamara maqsad Allah ki raza hona chayeyeh

'' Aur insan usi tarah burai mangta hai ,jis tarah bhalai ki dua mangta hai,aur insan hai hee bada jaldbaz.
(Surah 17 Aayat 11)

Hum nahi pata taqleef ke pardey mein bhalai aa rahi hai ,jisey hum khair samgh rahe woh khair na ho,humey cheezo ke zahir(face) sey muttasir (impress) nahi ho na chayeyeh .
Humey apney akhirat ke barey mein bhut fikr hone chayeh ,Kadam-kadam par dhoka hai,fareb hai.

Hume Allah sey dua karni chayeh ke Allah ne dhoko se bachahey .
Har chez ka ek zahir hai ek batin hai insan zahir se dhoka kha jata hai,hamesha batin par nigah rakho. -
yeh jo tahzeeb e nuaW aa rahi hai aur jungle ki aag ki tarah bad rahi hai is ka muaqabla karne ke liye aap ke andar ek azm(determination)hona chayeyeh ke duniya aap ko dakiya-nusee samghey aur aap unko bewakoof samghey aur apney upar athmad,yakeen ke sath shariat par pura amal karein.

Is duniya ki chamak par mat jayeyeh.
Allah sey dua karety rahne ki zarurat hai ke hamara khatma Imaan par ho
AAMEEN YA ALLAH.

IKHTELAAF PAIDA HO JANE PAR KYA KIYA JAAYE?

JAWAB:

Jaha 1 se zyada insan baste aur rahte hai waha apas me IKHTELAAF hojana natural hai. Isme koi tazzub ki baat nahi.

Lekin IKHTELAAF ko baaki rakhna aur usko hal karne koshish Na karna ye tazzub ki baat hai.

aye dekhte hai Allah ne kya karne ko kaha jab ikhtelaaf paida ho jaye :




*يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓا۟ أَطِيعُوا۟ ٱللَّهَ وَأَطِيعُوا۟ ٱلرَّسُولَ وَأُو۟لِى ٱلْأَمْرِ مِنكُمْ ۖ فَإِن تَنَٰزَعْتُمْ فِى شَىْءٍۢ فَرُدُّوهُ إِلَى ٱللَّهِ وَٱلرَّسُولِ إِن كُنتُمْ تُؤْمِنُونَ بِٱللَّهِ وَٱلْيَوْمِ ٱلْءَاخِرِ ۚ ذَٰلِكَ خَيْرٌۭ وَأَحْسَنُ تَأْوِيلًا*


Tarjuma:

Aye imaan waalo farma- bardaari karo Allah ki aur farma-bardaari karo Rasool (sallallahualaihiwasallam) ki aur tum mein se ikhtiyaar waalo ki, phir agar kisi cheez mein ikhtelaaf karo to use lautaao Allah ki taraf aur Rasool ki taraf agar tumhe Allah par aur qayaamat ke din par imaan hai, ye bahuth behtar hai aur ba-etebaar anjaam ke bahuth accha hai.

(Surah 4 Nisa'a: Ayat 59)

Khulasa :

IKHTELAAF ko Allah ki taraf yani Quran ki taraf lautaye.

IKHTELAAF ko Rasool SallallahuA'laihiWaSallam ki taraf yani Rasool ki sahih Hadees ki taraf lautaye.

Yahi tariqa Anjam (result) ke hisaab se behtar hai.


HAM IKHTELAAF ko KHATAM NAHI KARNA CHAHTE

Aaj musalmano ke amal se ye dikhaayi deta hai ke ham ikhtelaaf ko baaki rakhna chahte hai.

Kyunke ham QURAN aur Sahih Hadees ke Roshni me ham apni islaah nahi karna chahte.

Apne maslaqo ko lekar adkar baith gaye hai. Quran ki ayat aati hai aur Rasool SallallahuA'laihiWaSallam ki sahih Hadees bhi aati hai lekin kya kare ham apne maslaq aur baap dadao ke rasm riwaj ko nahi chod sakte.

DEOBANDI, BARELWI aur AHLE HADEES me kya buniyadi FARK hai ?

JAWAB:

Ek aam musalman ye samjta hai ke HANAFI aur AHLE HADEES me sirf SALAT (NAMAZ) ke tariqe me fark hai baaki MANHAJ aur Aqeeda ek hi hai.

Lekin ye ek khush-fahemi hai. Manhaj, Aqeeda, Salaat se lekar Islam ke har har chhote bade masail me HANAFI aur AHLE HADEES me fark paya jata hai.

 Kuchh Buniyadi fark is tarah hai :

AHLE HADEES koi naye firqe ka naam nahi hai balke ek Manhaj (methodology) ka naam hai jisko AHLE SUNNAT WAL JAMAAT Kaha jata hai.

Ye  Ahle Hadees naam jab  mashre me musalmano ke andar Ahle Raay aur Ahle Kalaam paida huye tab se wajood aya hai. Isliye ye naam 1 Manhaji naam kahelata hai.

Jabke …

HANAFI ye ek TAQLEEDI FIRQA hai jo shakhs parsti karta hai yaani Imam Muhammad bin Muhammad Maturidi aur Imam Abu Hanifa ke taraf mansub (directed) hai.

AHLE HADEES Manhaj, Aqeeda, ibadaat ke Tariqo aur Fiqh me AHLE SUNNAT WAL JAMAT hai yani RASOOLULLAH SallallahuA’laihiWaSallam aur SAHABA ke raaste (Manhaj) par hai.

Jabke ….

HANAFI bhai,

1. Manhaj aur Aqeede me :

MATURIDI hai yani IMAM MUHAMMAD BIN MUHAMMAD MATURIDI ko follow karte hai.

Maturidi ye Firqa Allah ke “Tawheed Asma Wa Sifaat” me gumrah tha aur hai.

2. Tariqatan yani Tazkiya Nafs me yani Roohani ilaaj aur Ibadat me : Sufiyo ke 4 silosilo yani Qadari, Chisti, Nakshbandi, Suharwardi ke follower hai.

3. Fiqh : me HANAFI hai yani Fiqhi masale masail me Imam Abu Hanifa ke follower hai.

AHLE HADEES ki dawat khalis KITAB Wa SUNNAT ke buniyad par hai.

Jabke…

HANAFI bhaiyo ki dawat unke Maslaq ke mutabik hoti hai.

Jaisa ke,

Tableeghi Jamat ki dawat ki buniyaad FAZAEEEL AMAAL par hai.

BARELWI ki dawat Imam Ahmed Raza Khan ke kitabo ke mutabik hoti hai.

JAMATE ISLAMI ki dawat Maulana Maududi ke Kitabo ke mutabik hoti hai.

AHLE HADEES 4 Imamo  ko mante hi hai lekin sath sath me Ahle Sunnat wal Jamaat ke saare Imamo ke khidmat ko taslim karte hai aur usne fayda uthate hai.

AHLE HADEES kabhi bhi Ahle Sunnat wal Jamaat ke Imamo ke darmiyaan un-nich ka bartaav nahi kiya karte.

Jabke …

HANAFI Bhai 4 Imamo ko man-ne ka dawa karte hai lekin,

zindagi bhar

Aqeede me Imam Maturidi ko

Tariqatan Sufi hai

Yani rohani ilaaj ke liye Sufi ke 4 silsile Qadari, Nakshbandi, Chisti air Suharwardi ke raah par chalte hai.

Fiqh me sirf Imam Abu Hanifa

ke usoolo ko mante hai baaki 3 Imamo ke khidmaat (services) ko  zindagi bhar nazarandaaz karte hai.

Ek Hanafi ke samne aap sar bhi fod liye to wo kabhi Imam Shafi’i ke sahih fatwo par amal nahi karega.

Kahte hai ham HANAFI hai isliye hamko sirf Fiqh me Imam Hanifa ke Fiqh par chalna chahiye isliye ham  Imam Malik, Imam Shafi’i aur Imam Ahmed bin Hanbal ke Fiqh par nahi chalenge chahe ye 3 Imam kisi masle sahih kyun Na ho.

Assal ye HANAFI bhai MATURIDI aur SUFI hai lekin PUBLIC ko bewkhoob banate aur kahte hai ke ham ne  Imam Abu Hanifa sr pura ka pura Islam liya hai.

Unone Imam Abu Hanifa ko Fiqh ke had tak rakha  Aqeede ke department me Abu Hanifa ko chhod kar Imam Maturidi ka Aqeeda apnaya hai.

Sawal ye hai ke Imam Abu Hanifa ke Aqeede me aisa kya bigad thi jo apne unse Aqeeda nahi liya ?

Ye post jo apko mila hai aap kisi bhi HANAFI MUFTI se in saare bato ko conform kijiye.


AHLE HADEES saare duniya me mukhtalif naamo se jaane jate hai Jaisa ka …

AHLE SUNNAT WAL JAMAAT

AS’HAABUL HADEES

SALAFI

MUHAMMADI

FIRKE NAJIYA

ANSARUL SUNNAH

TAYFA MANSOORA

AHLE ASAR

Allah ne Quran-e-Hakim ko "Behtareen Hadees" kaha hai ?


 Jawab : Ji haan ayaa hai.

Ham ne Behtareen HADEES naazil ki hai..."
(Surah Zumar : Ayat 23)


QURAN ke in Surato me bhi HADEES ka lafz aaya hai
Surah GHASHIYA ayat 01,

Surah TAHERIM ayat 03,

Surah KAFH ayat 06,

Surah TUR ayat 33,34,

Surah NISA ayat 42,87,140

Surah YOUSUF ayat 111

Surah QALAM ayat 44

Bahot saare musalman ye samjte hai ke "AHLE HADEES" yaani sirf HADEES par amal karne wale log hote hai

Jis tarah "AHLE KITAB" naam me "TAWRAT aur INJEEL" dono asmaani kitabein chhupi huyi hai usi tarah naam "AHLE HADEES" me "QURAN aur HADEES" do chhupe huye hai jaisa ke apne dekha Quran ke liye bhi Hadees ka lafz Allah ne istemaal kiya.

SALAAT of JANAZA ( FUNERAL PRAYER)


Most of us Don't know what to say during Salat Al-janaaza ( Burial prayers)​:

Here is the hand out for you.

1- ​After the First Takbeer​: Recite Surat Al-Fatiha.

1. Bismillaahir Rahmaanir Raheem

2. Alhamdu lillaahi Rabbil 'aalameen

3. Ar-Rahmaanir-Raheem

4. Maaliki Yawmid-Deen

5. Iyyaaka na'budu wa lyyaaka nasta'een

6. Ihdinas-Siraatal-Mustaqeem

7. Siraatal-lazeena an'amta 'alaihim ghayril- maghdoobi 'alaihim wa lad-daaalleen


2- ​ After the Second Takbeer: (DAROOD)Salat Al-Ibrahimiyya to the end, not Salat Fatih pls

​Allaahumma salli 'alaa Muhammadin wa 'alaa 'aali Muhammadin, kamaa sallayta 'alaa 'Ibraaheema wa 'alaa 'aali 'Ibraaheema, 'innaka Hameedun Majeed. Allaahumma baarik 'alaa Muhammadin wa 'alaa 'aali Muhammadin, kamaa baarakta 'alaa 'Ibraaheema wa 'alaa 'aali 'Ibraaheema, 'innaka Hameedun Majeed​.


3- ​ After the Third Takbeer:
Pray for the dead but according to how it was narrated from our Prophet (S.A.W). One of them is:

Allaahum-maghfir lihayyinaa, wa mayyitinaa, wa shaahidinaa, wa ghaa'ibinaa, wa sagheerinaa wa kabeerinaa, wa thakarinaa wa 'unthaanaa. Allaahumma man 'ahyaytahu minnaa fa'ahyihi 'alal-'Islaami, wa man tawaffaytahu minnaa fatawaffahu 'alal-'eemaani, Allaahumma laa tahrimnaa 'ajrahu wa laa tudhillanaa ba'dahu​.

O Allaah! forgive our living and our dead, those who are with us and those who are absent, our young and our old, our menfolk and our womenfolk. *O Allaah*, whomever you give life from among us give him life in Islam, and whomever you take way from us take him away in Faith. *O Allaah*, do not forbid us their reward and do not send us astray after them.


4- Then lastly after the Fourth Takbeer​:
And you should pray for all Muslims.


5- And lastly end the prayer with one Salaam to the right (Just once).

Please share if you think its right for the benefit of others.

May Allah S.W forgive us our sins.
AAMEEN YA ALLAH

MODERN TECHNOLOGIES ka Istemaal karna kya BIDDAT hai


JAWAB:

Biddat nahi hai.

Jab Deen-e-Islam me biddat karnewale bhaiyo se kaha jata hai ke Kunde, Barsi, Chaliswa, Duwam, Shab-e-Baraat, Shab-e-Meraj, Jashn Milaadun Nabi na manaya jaaye kyunke ye Sunnat-e-Rasool nahi hai to aise logo ka jawab hota hai ke aap Morden Technological machines/devices kyun istemaal karte ho jaise Car, Bike, Cycle, Computer, Watch, Aeroplane wagaira ?

Kya in technologies ka istemaal karna Sunnat-e-Rasool hai ? Ye bhi to ek tarah ki biddat hai.

Aj ham aise naadaan bhaiyo ke naadaan sawaalat ka jawab ek Hadees-e-Rasool ki roshni dena chah rahe.

Ayesha radhiyallahu farmati hai ke :
Rasoolullah SallallahuA'laihiWaSallam ne kuchh awaaze suni, to kaha ke ye awaaze kaisi hai? Logo ne Kaha ke Aey Allah ke Rasool ke yaha log Khajoor ke nar aur mada ki crossing kar rahe hai. Rasoolullah ne Kaha ke aisa na kare to tab bhi thik rahega.(To us saal) un logo ne khajoor ke male-female ki crossing nahi ki, (iska natija ye huwa ke) us saal puri khajoor ki paidawar barbaad hogayi gayi. Logo ne aakar Rasoolullah se kaha apke kahne par hamne crossing nahi ki thi isliye puri khajoor ki paidawar raddi hogayi. To Rasoolullah SallallahuA'laihiWaSallam ne ek usool bayan kiya :

Agar mamala tumare duniya ka hai to tum jo chahe karo jaha tak Islam ijazat deraha hai. Agar koi mamla Deen (Islam) ka aajaye to (us mamle ko karne ke liye) meri taraf ruju karo (meri taraf lautao yani meri Sunnat dekho).

(Musnad Ahmad)

Is Hadees se pata chalta hai ke .....

1. Us daur me khajoor ke darkhto ki "Cross planting" karna us daur ke hisab se ek agricultural technique thi isliye Rasoolullah SallallahuA'laihiWaSallam ne baad me "cross plantation" ki ijazaat dedi.

2. Is Hadees ko ajke daur me laagu (apply) karonge to pata chalta hai ke un Modern Technologies ka istemaal karne me koi harz nahi jo Islam ke buniyaadi usoolo se na takraati ho.


3. Is Hadeese me Rasoolullah SallallahuA'laihiWaSallam ne Sahaba ke shakl me saare Musalmano ko ek nasihat farmaayi hai ke Deeni ke mamlo meri Pairawi karo. Isme apni manmaani nahi chalegi.

4. Ab ham ye dekhenge ke kya Allah aur uske Rasool SallallahuA'laihiWaSallam ne Kunde, Barsi, Chaliswa, Duwam, Shab-e-Baraat, Shab-e-Meraj, Jashn Milaadun (dusare digar tammam rasumaat) ko manane ka hukm diya hai kya, agar hukm diya hai to ham ye sab manayenge warna ruk jayenge kyunke ham ye sab rasumaat Deen ke naam par kar rahe hai isliye inke karne kr liye Quran aur Sahih Hadees se daleel chahiye.

5. Islam ek lachakdaar (flexible) Deen hai jo har zamane ke liye fit hota hai.

Modern Technologies ka istemaal karne ka ishaara is Hadees-e-Rasool se milta hai.

SALAFI KAUN?


BISMILLAH

Jawab :

Aaj Islamic duniya me 2 naam bade badnaam hai aur public me inke bareme bahot zyada galat-fahmiya paaye jaate hai, Muslim aur gair-muslimo me bhi aur *wo 2 naam hai “AHLE HADEES” aur “SALAFI”.* Ye unke ilm ki kami ki wajah se hai aur unke su-Ulama (bad-Ulma) ka hath bhi hai isme jo jaan bujkar in 2 naamo ke bareme musalmano ko bhad’kaate hai.

Buniyadi baat yaad rahe ke khalis Islami shariyat par chalne walo ko kai naamo se pukara jata hai jaisa ke "Ahle Sunnat wal Jamaat",“AHLE HADEES”,"As'haabul Hadees", “SALAFI”, "Ahle Athar", "Tayfa Mansoora", "Firqa Najiya (jisko Jahannam se najaat milegi).

Ye saare naam aise hai jaise ham Islam par chalne walo ko kabhi "Muslim" kahte hai aur kabhi "Mumeen", to kabhi "Ibaadur Rahman", to kabhi "Allah ke bande", aur kabhi "Imanwale".

Aaj ham sirf “SALAFI" naam ke bareme guftgu karenge.

“SALAFI” lafz “SALAF” se nikla hai. "SALAF" yaani pichhe guzre huye log.

Isalm me “SALAF” se murad kaun

Islami duniya me SALAF se murad SAHABA, TABI’IN, TAB-TABI’IN aur inke naksh-e-kadam par chalne wale tamam Mumineen jo Qayamat tak paida hoge.

Jaisa ke Allah ne khud SALAF ki aise taarif ki hai:

“Aur muhaajireen aur ansaar me se (Iman ki taraf) sabqat (pahal) karne wale aur jitne log ikhlaas ke saath un ke pairaw hai, Allah un sab se raazi huwa aur wo sab Allah se raazi huye aur Allah ne un ke liye aise baagh muhaiyya kar rakhe hai jin ke niche nahre jaari hongi jin mein hamesha rahenge, ye badi kamyaabi hai".

(Surah 09 Tawbah : Ayat 100)

Is ayat ye malum hoti hai ke ….

1.Nabi aur unke Sahaba ke naksh-e-kadam par chalne walo se Allah raazi hai aur wo sab Allah se raazi hai aur aise logo ke liye Jannat ki khushkhabri hai.

2.Jin logo ne apne apne Imam bana liye aur unki TAQLEED (blind-fallowing) karne lag gaye hai kya unme se koi Sahabi hai???? Sahaba ki itni fazilat hone ke bawjood bhi kya aap bata sakte hai ke 4 bade Sahaba ke naam par koi Siddiqui, Umari, Usmani, Alawi naam ka koi firqa bana?


3.Is ayat se ye bhi malum huwa ke Allah ne Sahaba ko MUSLIM ke alawa MUHAJIREEN aur ANSAR ka bhi laqab (label) diya hai.

Iska matlab ham “MUSLIM” naam ke alawa is gumrahi wale daur me dusre gumrah firqo se apni alag pahechan banane ke liye apna koi SIFAATI aur MANHAJI naam rakh sakte hai jo Islami Shariyat ki tarjumani karta ho jaisa AHLE HADEES, SALAFI, AS’HABUL HADEES, ya TAYFA MANSOORA. Ye saare Islami shariyat ke tarjumaani naam hai.

Ye naam kisi khas Imam ki taraf nahi bulate hai. Dusare alfaaz in saare naamo ka nichod 1 hi hai yani sirf Allah aur uske Rasool ki pairawi ki taraf logo ko bulana hai.

Naam ki koi ehmiyat (importance) baaki nahi rah jaati agar uski buniyaad (foundation) galat ho. Nama me kuchh nahi rakha hai. Isiliye "Ahle Sunnat wal Jamaat", "AHLE HADEES", SALAFI, AS’HABUL HADEES aur TAYFA MANSOORA ye koi firqe ka nam nahi hai balke ISLAMI Shariyat ke ham-naam (parallel names) hai.

Lekin han TAQLEEDI naamo se bacha jaaye. Imamo ke nam par jitne bhi Firqe banaye gaye ye sab TAQLEEDI FIRQE hai.

ham ye bhi batane chahte hai ke jab Saare Musalman Sahaba ki tarah Allah aur uske Rasool ki pairawi karne lag jaayenge to in saare naamo ki koi zarurat nahi rahegi. "Muslim" hi naam kaafi hoga.

Rasoolullah SallallahuA'laihiWaSallam ne bhi farmaya :

Beshak mere Ummat me sabse behtareen log mere Zamane ke (yaani Sahaba), fir unke baad ke zamane ke log (yaani Tabi’in) fir unke baad ke zamane ke log (yaani Tab-Tabi’in)".

(Sahih Bukhari, Sahih Muslim #2535)


Is Hadees 3 giroh ki taraf ishaara kiya gaya, yaani...

Sahaba,

Tabi’in aur

Tab-Tabi’in,

inko ham hamare SALAF kahte hai. Hamare 4 Imam bhi SALAF me shamil hai isliye in 4 Imamo ki izzat karna ham par farz hai lekin kisi 1 Imam ki Taqleed nahi karenge. Zarurat hone Chaaro Imamo se ham ilm hasil karenge. Hame Maslaqi-deewarein khadi nahi karna chahiye.


“SALAFI" naam ki zarurat kyun ?

Jab muslim samaj me taqleed aam hogayi thi. Musalman apne apne Imam bana liye the aise waqt jo Musalman Sahaba ke Manhaj par qayam the unone kaha ke "ham kisi khas 1 Imam ke muqallid (blind followers) nahi hai" balke ham "SALAFI" hai yaani ham Quran aur Hadees ko kisi ek khas Imam ke faham (understanding) aur sonch ke mutabik samajne ke bajaay ham Quran aur Hadees ko SAHABA , TABI’IN aur TAB TABI’IN aur “Ahle Sunnat wal Jamaat” ke saare Imamo ke MUJMUYI (collective) fahem ke mutabik samjte hai.


Is methology ko “SALAFIYAT” kaha jata hai aur is raah par chanle walo ko SALAFI kaha jata hai aur yahi behtar tariqa hai Islam ko samjne ka.


Ek GALAT FAHEMI

Log ye samje hai ke SALAFIYAT ki shuruwat Imam ibn Taimiyyah ke daur se shuru hui aur Saudi Arab ke Imam Muhammad ibn Abdul Wahhab (Rh) ne use zinda kiya. Ye ek galat fahemi hai.

Ham pahle hi bata chuke ke jab se is ummat me Imamo ki taqleed shuru hui tab se SALAFI naam maujud me aya. Aap khud pata kare ke is Ummat me taqleed kab se shuru hai.


KHULASA :
Jab ham apne apko SALAFI kahte hai to yaani ham SAHABA, TABI'IN aur TAB TABI'IN aur tamaam SALAF-e-SALEHIN ke raah par chalne wale hai yaani Quran aur Sahih Hadees ko in SALAF ke MAJMUYI FAHEM (Collective Understanding) ke mutabik Samaj ne wale hai.

“Is it best for a woman to perform the night prayer in Ramadhaan ?

BISMILLAH

Q: “Is it best for a woman to perform the night prayer in Ramadhaan (taraaweeh) in her house or at the mosque?”

Shaikh al-Albaani: “Particularly for the night prayer in Ramadhaan, the best thing is what the righteous believing women of the Righteous Predecessors (Salaf as-Saalih) used to do, which is performing it with the congregation of Muslims in the mosques, as opposed to the rest of the months in which case ‘Their houses are better for them’ as the Prophet ﷺ said.”

Q: “So it is recommended (mustahabb) for a woman, as you said, to go out to pray taraaweeh?”

Shaikh al-Albaani: “Didn’t you get the answer to this question already?

Q: “Yes but just to confirm.”

Shaikh al-Albaani: “Yes it is as you said. And it is even more recommended for the 27th night.”

[al-fataawaa al-muhimmah 431 / alalbaany.com]

Sunday, January 15, 2017

SHAADI KE BAAD PEHLI RAAT KA ISLAMIC TARIKA



BISMILLAH

Hazrat Muhammad Sallallaho Alaihi Wasallam Ne irshad Farmaya:

"Jab Koi Shaks Nikah Kare
Aur Pehli Raat Ko Apni Dulhan
Ke Paas Jaye To Narmi Ke Sath Uski Peshani Ke Thode Se Baal Apne Sidhe
Hath He Le Kar Yah Dua Padhe

"Allahumma in'ni as'a'luka min
khai'riha wakhai'ri ma fiha wakhairi
ma jabalta'ha alai wa a'udhu bika min
shar'riha washar'ri ma fiha wa sharri
ma jabalta'ha alai"

Tarzuma:

Aye ALLAH me tujse iski (apni biwi ki) bhalai aur khairo barkat mangta hu aur uski fitari aadato ki bhalai aur teri panah chahta hu iski burai aur fitari aadato ki burai se.
(Abu Dawood : jild-2,page-150, Hasne
Hasin : page-164)
(Bukhari shareef, Jild 3, Safa 473)


"Bismillah, Allahumma jannib nash
Shaitana, wa Janni bish-Shaitana ma
razaq tana.'

Tarzuma:

"ALLAH ke naam se. Aye ALLAH door kar hamse shaitan mardud ko aur door kar shaitan mardud ko us Aulad se jo tu hame ata karega"
"Jo shaks Is Dua Ko Sohbat Ke Waqt Padhega
(Dua Wahi Jo Upar Likhi Hai)

To ALLAH Us Padhnewale Ko Agar Aulad Ata Farmaye To Us Aulad Jo Shaitan Kabhi Bhi Nuksan Na Pahuncha Sakega"
(Bukhari sharif Jild 3,Safa 85,
Tirmizi sharif,Jild 1,Safa 557)


Note :

Ye Yaad Rakhiye Ki Jo Peshani Ke Baal Pakad Kar Dua Karna Hai Wo Sirf Pehli Raat Mein Hi Padhna Hai Aur Ek Hi Baar Padhna Hai, Lekin Ye Waali Dua
("Bismillah, Allahumma jannib
nash Shaitana, wa Janni bish-Shaitana ma razaq tana")
Aapko Hamesha Padhni Hai,
Jab Bhi Biwi Ke Saath Sone Ka Irada Ho

NIKAH ME MEHAR KI AHMIYAT AUR AHKAAM


BISMILLAH


MEHAR ADA KARNA WAJIB HAI:
———————————————
Mehar Ada Karna Wajib Hai. Khawah Lohay Ki Anghuthi Ya Qur’aan Sikhana Hi Kyu Na Ho.
المغنی 10/98
(Sahi Abu Da’wud, Hadees: 1865)
(Abu Da’wud, Hadees: 2125)

Is Kai Dala’il Hasb-e Zail Hain:
{1} “ Aur Auraton Ko Un Kai Mehar Razi Khushi Dedo.”
(Al Qur’aan Surat An-Nisa: 4)

{2} “Jin Auraton Se Tum (Sha’ree Nikah Kai Baad) Faidah Uthao Inhain In Ka Muqarrara Mehar Ada Karo.”
(Al Qur’aan Surat An-Nisa: 24)

{3} “In Auraton (Jo Kafir Shauharon Ko Chod Kar Aagayi) Ko In Kai Mehar Dekar Un Se Nikah Kar Lenay Me Tum Par Koi Gunah Nahe.”
(Al Qur’aan Surat Al-Mumtahina: 10)

{4} “Haq Mehar (Khawah Khazana Ho Is) Me Se Kuch Wapas Na Lo.”
(Al Qur’aan Surat An-Nisa: 20)

(5) Sheikh Saleh Bin Fawzan Se Mehar Kai Hukum Kai Muta’alliq Daryaft Kiya Gaya To In Ka Jawab Tha:
Nikah Me Mehar Wajib Hai Aur Ye Aurat Ka Haq Hai.
…(Sheikh Saleh Fawzan)…

Deen-e Islam Me Mehar Biwi Ka Khosusi Haq Hai Jo Sirf Aur Sirf Biwi Hasil Karegi.

MEHAR KO BOHUT ZYADA BADHA DENA MAKRUH HAI:
———————————————
Hazrat Uqbah Bin Amir (R.A) Se Marvi Hai Ki Rasoolullah (S.A.W) Ne Farmaya:
“Behtareen Haq Mehar Wo Hai Jisay Ada Karna Intihayi Aasaan Ho.”
(Sahi Abu Da’wud, Hadees: 1859)
(Abu Da’wud, Hadees: 2117)

Hazrat Umar (R.A) Ne Farmaya “Auraton Ka Mehar Bohut Zyada Qeemti Mat Karo Kyunki Ye Agar Duniya Me Izzat Aur Allah Kai Haan Taqwa Ka Baa’is Hota To Allah Kai Nabi (S.A.W) Is Kai Tum Me Sab Se Zyada Mustahaq Hotay.”
(Abu Da’wud, Hadees: 2106)
(Tirmizi, Hadees: 1114)

IBN QUDAMAH (RAHIMAHULLAH):
Behtar Ye Ki Mehar Bohut Zyada Qeemti Na Ho.
المغنی 10/101

Sahi Baat Ye Hai Ki Hasb-e Tawfeeq Zyada Mehar Denay Me Bhi Koi Harj Nahe Jaisa Ki Qur’aan Me Hai:
“Haq Mehar (Khawah Khazana Ho Is) Me Se Kuch Wapas Na Lo.”
(Al Qur’aan Surat An-Nisa: 20)

Aur Hadees Me Hai Ki:
“Najashi Shah-e Habsha Ne Hazrat Umm-e Habiba (R.A) Ko Nabi (S.A.W) Ki Taraf Se Char Hazaar (4000) Dirham Mehar Diya Aur Aap (S.A.W) Ne Isay Qabool Bhi Farmaya.”
(Sahi Abu Da’wud, Hadees: 1853)
(Abu Da’wud, Hadees: 2107)

KYA MEHAR KI KOI HAD MU’AYYAN HAI?
———————————————
Aurat Kai Mehar Kai Liya Koi Had Mu’ayyan (Fixed) Nahe, Lihaza Har Wo Cheez Jis Ka Mard Maalik Ho, Isay Aurat Ka Mehar Muqarrar Karna Ja’iz Hai Khawah Wo Kam Miqdaar Me Ho Ya Zyada Aur Hazrat Abu Hurairah (R.A.) Ki Jis Hadees Me Hai Ki Rasoolullah (S.A.W) Ne Farmaya:
“Sab Se Zyada Barqat Wala Nikah Wo Hai Jis Me Kharich Kam Ho.”
Is Maa’na Ki Eak Aur Riwayat Kai Alfaaz Yun Hain:
“Behtareen Nikah Wo Hai Jo (Mehar Kai Lihaaz Se) Aasaan Ho.”
(Musnad Ahmad: 6/82-145)
(Sahi Abu Da’wud, Hadees: 1859)
(Abu Da’wud, Hadees: 2117)

Is Se Mehar Ko Aasaan (Yaani Kam) Karnay Ki Targib Dilana Maqsud Hai.
…(Saudi Fatwa Committee)…

MEHAR KO BOHUT ZYADA BADHA CHADHA KAR MUQARRAR KARNA:
———————————————
Ye Mamla Israaf Kai Ilawa Aur Kuch Nahe. Mehar Me Ye Masnoon Hai Ki Wo Thoda Ho Kyunki Nabi-e Kareem (S.A.W) Ka Mehar Apni Biwiyon Kai Liye Paanch Sou (500) Dirham Tha.
(Muslim, Hadees: 1426)

Aur Jab Bhi Mehar Kam Hoga Nikah Me Barkat Aur Zaujain (Miya Biwi) Kai Darmiyan Mohabbat Zyada Hogi Aur Sab Se Zyada Barkat Wala Nikah Wo Hai Jis Me Kharich Kam Ho.
Aur Jab Mehar Zyada Hoga To Ye Bohut Se Mafasid (Evils) Ka Zariya Banega Masalan Is Se Jawan Ladkon Aur Ladkiyon Ki Shadi Mu’attal Ho Kar Reh Jayegi Kyunki Har Eak Me Zyada Mehar Ada Karnay Ki Taqat Nahe Hoti. Aur Agar Mehar Kam Honay Ki Wajah Se Sab Kai Liye Aasaan Hoga To Mafasid Khatam Ho Jayenge, Shadiyan Kasrat Se Hongi, Ummat Kai Afraad Me Kasrat Hogi Aur Is Tarah Afraad Aur Mu’ashray Me Bohut Zyada Barkat Ho Jayegi.
Lihaza Meri Apnay Bhaiyon Ko Ye Nasihat Hai Ki Mehar Ko Kam Se Kam Muqarrar Karen. Hadees Me Hai Ki Nabi-e Kareem (S.A.W) Ne Is Aurat Kai Liye ‘Ki Jis Ne Apnay Nafs Ko Aap (S.A.W) Kai Liye Hiba Kar Diya Tha Magar Aap (S.A.W) Ne Is Me Ragbat Ka Izhaar Nahe Kiya Tha’ Eak Sahabi Ko Kaha Ki Jao Talaash Karo Agar Eak Lohay Ki Anghuthi Hi Mil Jaye (Isay Bataur-e Mehar Denay Kai Liye) Lay Aao.
(Bukhari, Hadees: 5126)
(Muslim, Hadees: 1425)
Lihaza Khair Wa Barkat Kam Mehar Me Hi Hai. Allah Ta’ala Hi Tawfeeq Denay Wala Hai.
…(Sheikh Ibn Usemeen)…

KYA BIWI SHAUHAR KO MEHAR MAAF KAR SAKTI HAI?
———————————————
Biwi Par Koi Gunah Nahe Ki Wo Apna Haq Mehar Maaf Karde, Is Ki Daleel Mandarja Zail Aayat Hai:
“Agar Wo Khud Apni Khushi Se Kuch Mehar Chod Den To Usay Shooq Se Khush Ho Kar Khalo.”
(Al Qur’aan Surat An-Nisa: 4)

KYA MEHAR KI AADAIGI ME TAKHEER DURUST HAI?
———————————————
Kisi Maslahat Kai Tahat (Mukammal Ya) Mehar Kai Kuch Hissay Ki Aadaigi Me Takheer Bhi Ja’iz Hai Khawah Is Ki Miqdaar Kam Ho Ya Zyada Aur Koi Muddat Muta’ayyan Karna Bhi Ja’iz Hai Jis Kai Andar Andar Shauhar Biwi Ko Mehar Ada Karde Aur Agar Koi Muddat Muta’ayyan Na Ki Jaye To Talaaq Ya Shauhar Ki Wafaat Kai Waqt Aurat Kai Liye Mehar Ki Aadaigi Lazim Ho Jayegi.
…(Sheikh Ibn Jibreen)…

Sheikh Ibn Usemeen, Sheikh Ibn Baaz Aur Sheikh Saleh Bin Fawzan (Rahimahullah Alaihim) Ne Bhi Isi Kai Mutabiq Fatwa Diya Hai.

Monday, January 9, 2017

Ahl e Mayyat Ke Ghar 40 Din Tak Khaana Dena


BISMILLAH

Tehreer:

Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah


Sawal:

Aaj kal aisa hota hai ke log mayyat ke ghar 40 din tak khaana bhejte hain is amal ki kya haisiyat hai? Isi tarah ahl e mayyat doosron ke liye apne ghar khaana pakaate hain wafaat ke din bhi aur terahwen, chaaliswen par bhi shariyat mein is amal ka kya hukm hai?


Jawab:

Kisi ke ghar mayyat ho jaaye to us ke rishtedaaron aur padoosiyon ko chahiye ke ahl e mayyat ke liye khaana tayyaar kar ke un ke ghar bheje, yeh amal masnoon hai. Jab jung e Mouta ke din Hazrat Jafar Radhiallahu Anhu ki shahadat ki khabar pahunchi to Rasool e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:

اصْنَعُوا لآلِ جَعْفَرٍ طَعَامًا فَإِنَّهُ قَدْ أَتَاهُمْ أَمْرٌ شَغَلَهُمْ

Tarjumah: Jafar ke ghar walon ke liye khaana tayyaar karo kiunki unhein woh cheez pahunchi hai jis ne unhein mashgool kar diya hai.
(Sunan Abi Dawood: 3132)

* Allama Albani Rahimahullah ne is Hadees ko Hasan kaha hai.

Isi tarah Sahihain (Sahih Bukhari aur Sahih Muslim) mein yeh riwayat maujood hai:

عَنْ عَائِشَةَ، زَوْجِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم أَنَّهَا كَانَتْ إِذَا مَاتَ الْمَيِّتُ مِنْ أَهْلِهَا فَاجْتَمَعَ لِذَلِكَ النِّسَاءُ، ثُمَّ تَفَرَّقْنَ، إِلاَّ أَهْلَهَا وَخَاصَّتَهَا، أَمَرَتْ بِبُرْمَةٍ مِنْ تَلْبِينَةٍ فَطُبِخَتْ، ثُمَّ صُنِعَ ثَرِيدٌ فَصُبَّتِ التَّلْبِينَةُ عَلَيْهَا ثُمَّ قَالَتْ كُلْنَ مِنْهَا فَإِنِّي سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يَقُولُ: التَّلْبِينَةُ مَجَمَّةٌ لِفُؤَادِ الْمَرِيضِ، تَذْهَبُ بِبَعْضِ الْحُزْنِ

Tarjumah: Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki zauja e mutahhara Hazrat Aisha Radhiallahu Anha se riwayat hai ke jab kisi ghar mein kisi ki wafaat ho jaati to us ki wajah se aurtein jama hoti aur phir woh chali jaati. Sirf ghar waale aur khaas khaas aurtein reh jaati to Aap haandi mein Talbeenah pakaane ka hukm deti. Woh pakaaya jaata phir sareed banaya jaata aur Talbeenah us par daala jaata. Phir Umm ul Momineen Hazrat Aisha Radhiallahu Anha farmaati ke usay khaao kiunki main ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se suna hai Aap farmaate they ke Talbeenah mareez ke dil ko taskeen deta hai aur us ka gham door karta hai.

(Sahih Bukhari: 5417 and Sahih Muslim: 2216)

Talbeenah: Yeh ek ghiza hai jo soop ki tarah hota hai, jo aate aur chaan se banaya jaata hai, kabhi kabhaar us mein shehad milaaya jaata hai, isay Talbeenah is liye kehte hain ke uska colour doodh jaisa safaid aur doodh hi ki tarah patla hota hai. Kuch log isay jaw ki kheer bhi keh dete hain.

In dono ahadees se ahl e mayyat ke liye khaana pakaana saabit hota hai magar ahl e mayyat ko khaana khilaane ke liye 40 din mutayyan karna rasam o riwaj mein se hai aur agar 40 din ko sawab samajh liya jaaye to phir bidat thehregi. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:

مَنْ عَمِلَ عَمَلًا لَيْسَ عَلَيْهِ أَمْرُنَا فَهُوَ رَدٌّ​

Tarjumah: Jis ne koi aisa amal kiya jispar hamara hukm nahi toh wo amal mardood hai.
(Sahih Bukhari: 2697)

Isi tarah ahl e mayyat ke yahan jama hona aur phir un logon ke liye ahl e mayyat ka khaana pakaana na sirf zamana e jahiliyyat ke aamaal mein se hai balki yeh noha mein shumaar hai.

كُنَّا نَرَى الِاجْتِمَاعَ إِلَى أَهْلِ الْمَيِّتِ وَصَنْعَةَ الطَّعَامِ مِنْ النِّيَاحَةِ

Tarjumah: Hum Sahaba ki jamaat ahl e mayyat ke yahan jama hone aur un ke khaana tayyar karaane ko murde ki nauha mein se shumaar karte they.

(Ibne Majah: 1612)

* Allama Albani Rahimahullah ne is Hadees ko Hasan kaha hai.

Imam Nawawi Rahimahullah ne likha hai ke ahl mayyat ka khana banana, doosron ka un ke yahan jama hona is silsile mein koi cheez manqool nahi hai is liye yeh kaam bidat aur ghair mustahab hai. (Rauzat-ut-Talibeen: 2/145)

Is liye ahl e mayyat ka wafaat ke din, terahwan, chaliswan ya koi aur is tarah ka din manana bidat hai albatta ghar aaye mehmaan ki ziyafat karna is se alag hai.

Ahl e mayyat ko chahiye ke mayyat ki taraf se faqeeron aur miskeenon mein baghair din ki ta’een ke sadqa kare.

والله أعلم بالصواب

*Quran Paak Galti Se Gir Jaye To Kya Iska Kaffara Hai*


BISMILLAH

*فَإِنَّ خَيْرَ الْحَدِيثِ كِتَابُ اللَّهِ وَخَيْرُ الْهُدَى هُدَى مُحَمَّدٍ ﷺ*

Aaj kal ye baat mashoor hai k *AGR galti se bhi* Quran paak gir jaye to ye bahot bade gunah ka sabab hai, is waja se aksar log pareshan ho jate hai k is galti ka Kaffara kaise kare. Aise me la ilm pet molwi bhi aise aise tareeqe batate hai jiska shriyat me koi hukm nahi h._

Itna jaan le k Quran majeed Allah ka paak Kalam hai, Quran majeed ka ahtram aur tazeem faraz hai. Iski be-adbi aur be-hurmati na jayaz aur haram hai. Baaz awqaat iski toheen kufr tak poncha deti hai. Isliye Quran Kareem lene dene uthane rakhne m ahteyat se kaam Lena chye.*

Lekin phir bhe gair-irade tor par Quran majeed hath se chut kar gir jaye to koi gunah lazim nahi aata aur na hi koi Kaffara shriyat me Tay kiya gaya hai.

Sahabi e Rasool Abdullah bin Abbas r.a se rewayat hai k Allah k Rasool saw ne faramaya :

" Allah tala ne meri Ummat se (Anjane m hone wali) galti, bhool chook aur zoor zabardasti k nateeje me hone wale khelaf e shriya kamo ko maaf kar diya hai.*
Sunan Ibne Maja : 2045_

Saydna Abu Hurerah r.a se Marwi Sure Baqra ki Aakhre 2 Aayat ki fazeelat k muttaliq hadees me hai "

Aye Hamare rab ham se mawakhza na kar, Agar ham bhool jaye ya ham galti kar jaye, to Allah tala ne faramaya :
"Maine Aisa Kar diya "
Sahi Muslim : 330_

Upar ki dono hadees se pata chalta hai k bande se Agar bhool chook ho jaye to Allah tala unhe maaf farma deta hai, Agar bhool se Quran Kareem bhe gir jaye to WO Allah tala k nazdeek maaf hai Aur Quran Kareem k girne par koi Kaffara etc Allah tala ne Aur Mohammed saw ne bayan nahi Farmaya. Agar banda Astagfaar kar leta hai to behtar hai. Allah se duwa hai k hame Quran paak ko samjh kar padhne ki tofeeq se

Aameen Ya Allah.

*KONSE BAAL UTARNE JAIZ HAI AUR KOUNSE UTARNE JAIZ NAHI?*

Assalamu Alaikum warahmatullahi wabarakatuhu

BISMILLAH

*Sawaal-*
Mujhe ilm hai ke eyebrow ke baal utarne, aur chehre ke baal nochne haraam hai, lekin mujhe ilm hai ke honton ke uper wale baal utarne mumkin hain lekin jo baal sar aur eyebrow ke darmiyan ho un ka hukm kya hai?

JAWAB:

*Awwal:* Baal utarne ke aitebar se ulema ne balon ko 3 qismo me taqseem kiya hai:

*Pahli Qism:*
Wo baal jin ke utarne aur katne ka hukm diya gaya hai. Aur wo ye baal hain jinhe fitrati sunnat kaha jata hai.

Misaal ke tour par zer e naaf, aur muncho ke baal, aur baglon ke baal, aur is me Hajj aur Umrah ke mauqe par sar ke baal chote karana aur sar mundwana bhi dakhil hota hai.

Is ki daleel Ayesha r.a. ki darj e zail hadees hai wo bayan karti hain ke Rasool ﷺ ne farmya, “10 chizen fitrat me se hain; Munchen katna, Dadhi badhana, miswak karna, naak me pani chadhana, nakhun katna, unglion ke poore (joints) dhona, baglon ke baal ukhedna, zer e naaf baal mundwana, aur pani se istanja karna.”

Zakariyya kahte hai, Mus’ab ne kaha: “Mai (10) daswee cheez bhul gaya hoon magar wo kulli karna ho sakta hai.”
*Narrated by Muslim, Hadith-502.*

*Dusri Qism:*
o baal jin ko utarne ki hurmat (manahi) aati hai. Is me eyebrow ke baal utarne shamil hain, aur is fail ko nams ka naam diya jata hai, aur is tarah darhi ke baal.

Is ki daleel darj e zail hadees hai:

Abdullah bin Mas’ood r.a. bayan karte hain mai ne Rasool kareem ﷺ ko farmate hue suna:

“Allah ta’ala godne aur gudwane walion, aur eyebrows ke baal ukhedne walion, aur khoobsurti ke liye dant ragad kar bareek karne walion, Allah ki paida karda surat me tabdeeli karne walion par laanat farmayi.”
*Narrated by al-Bukhaari, 5931; Sahih Muslim, 2125*

Aur Abdullah bin Umar r.a. bayan karte hain mai ne Rasool ﷺ ko farmate hue suna:

“Mushriko ki mukhalifat karo, dhadhion ko badhao aur munchen past karo.”
*Narrated by al-Bukhaari, 5892; Muslim, 259*


Imam Nawawi r.h. kahte hain:

*“Al Naamisah:* Wo aurat hai jo chehre ke baal utare. Aur Al-Mutanammisah: Wo aurat hai jo apne chehre ke baal utarwaye.

Aur ye fa’il haraam hai, lekin agar aurat ko dadhi ya munchen aa’jaen to use utarna haram nahi, balke hamare nazdeek wo mustahab hai.”
*Sharh al-Nawawi li Saheeh Muslim, 14/106*

*Teesri Qism:*
Wo baal jin se shariyat khamosh hai, in ke mutalliq na to utarne ka hukm hai, aur na hi inhe baqi rakhne ka wajub,

Maslan pindlion aur hatho ke baal, aur rukhsaron (Gaal, cheeks) aur peshani per ugne wale baal.


To in baalon ke mutaliq ulema e karam ka ikhtilaf hai:

Kuch ulema kahte hai ke inhe utarna jaiz nahi, Kyun ke inhe utarne me Allah ta’ala ki paida karda surat me tabdeeli hai.

Jaisa ke Allah ne shaitan ki baat ko naqal karte hue farmya: “Aur mai yaqeenan inhe Allah ki paida karda suraton me tabdeeli ka hukm dunga.”
*[al-Nisa’ 4:119 – interpretation of the meaning]*

Aur kuch ulema ka kahna hai (aur ye Raaye mujhe behtar lagti hai Deen ke Usool ki roshni me) ki:

Ye baal in me shamil hain jis per shariyat khamosh hai, aur us ka jayez wala hukm hai aur wo inhe baqi rahne ya utarne ka jawaz hai, Kyun ke jis se kitaab o sunnat khamosh ho wo muaf karda hai.

Mustaqil Fatwa Committee ke ulema e karaam ne yahi Qaul iqhtiyar kiya hai aur isi tarah Shaykh Ibn ‘Uthaymeen ne bhi yahi Qaul iqhtiyar kia hai.
*See: Fataawa al-Mar’ah al-Muslimah, 3/879*

Mustaqil Fatwa Committee ke Fataawa al-Lajnah al-Daa’imah me hai:

1. Aurat ke liye apni Munchen, Raano aur Pindlion aur Bazu’on ke baal utarne me koi haraj nahi, aur ye mamnoo e tanammus (plucking) me se nahi hai”
*Fataawa al-Lajnah al-Daa’imah, 5/194, 195*

2. Mustaqil Committee se daryaft kiya gaya:
Islam me eyebrows ke darmiyan baal nochne ka hukm kya hai?

Committee ka jawab:

Inhe nochna jaiz hai; kyun ke ye eyebrow me shamil nahi hain.”
*Fataawa al-Lajnah al-Daa’imah, 5/197*

3. Aur Committee se ye bhi sawal kiya gaya, “Aurat ke liye apne jism ke baal utarne ka hukm kiya hai?”

Committee ka jawab tha:

Sar aur eyebrows ke balon ke alawah aurat ke liye baal utarne jaiz hain, Eyebrow aur sar ke baal bilkul utarne jaiz nahi aur na hi eyebrows ke kuch baal mundwane jaiz hain.
*Fataawa al-Lajnah al-Daa’imah, 5/194*

Shariyat E Islamiya Me Aise Shaks Ka Kya Hukm Hai Sahaba / Sahabi Galiya Deta Ho?


BISMILLAH

Sawal

Shariyat E Islamiya Me Aise Shaks Ka Kya Hukm Hai Jo Rasoolullah Sallallahualahiwasallam Ke Sahaba Ekram Ya Kisi Bhi Sahabi Raziallahuanhu Ko Maz'Allah Summa Maz'Allah Galiya Deta Ho Ya Unhe Bura Kehta Ho Ya Unki Takfeer Karta Ho?


Jawab:

Agar Koi Shaks Rasoolullah Sallallahualahiwssallam Ke Kisi Bhi Sahabi Raziallahuanhu Ke Bare Me Bura Kehta Ho Ya Unhe Maz'Allah Galiya Deta Ho Ya Unki Takfeer Karta Ho To Shariyat E Islamiya Me Aise Shaks Gardan Zadni Hai Aise Shaks Ko Qatl Kar Diya Jayega Lekin Ye Ikhtiyar Sirf Sharayi Qazi Ko Ya Hakim Ho Hoga Pehle Wo Us Shaks Se Tauba Karwaye Agar Kar Leta Hai Tauba To Fir Use Chor Diya Jayega Aur Aise Shaks Ke Piche Namaz Nahi Hoti Agar Wo Imam Hai Kisi Masjid ka Aur Na Unke Majalis Me Baytha Jayega Aur Na Hi Unke Dawat Kubool Ki Jayegi Aur Na Unse Baat Chit Kiya Jayega Aur Na Hi Unhe Salam Kiya Jayga Aur Na Unke Salam Ka Jawab Diya Jayega Na Un Logo Se Munazara Wagayra Kiya Jayega....


Ye Fatawa Sahabi E Rasool Sallallahualahiwasallam Hazrat Abdur Rahman Al Abza Raziallahuanhu Ka Hai Aur Humare Imam, Imam Ahle Sunnat, Imam Ahle Hadees Imam Ahmad Ibn Hanbal Raziallahuanhu Ka Hai.

Ek Hadees ki Tahqeeq ke liye SALAF ka Safar


BISMILLAH

Ek Hadees ki Tahqeeq ke liye SALAF ka Safar

حَدَّثَنَا مُوسَى، قَالَ‏:‏ حَدَّثَنَا هَمَّامٌ، عَنِ الْقَاسِمِ بْنِ عَبْدِ الْوَاحِدِ، عَنِ ابْنِ عَقِيلٍ، أَنَّ جَابِرَ بْنَ عَبْدِ اللهِ حَدَّثَهُ، أَنَّهُ بَلَغَهُ حَدِيثٌ عَنْ رَجُلٍ مِنْ أَصْحَابِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم، فَابْتَعْتُ بَعِيرًا فَشَدَدْتُ إِلَيْهِ رَحْلِي شَهْرًا، حَتَّى قَدِمْتُ الشَّامَ، فَإِذَا عَبْدُ اللهِ بْنُ أُنَيْسٍ، فَبَعَثْتُ إِلَيْهِ أَنَّ جَابِرًا بِالْبَابِ، فَرَجَعَ الرَّسُولُ فَقَالَ‏:‏ جَابِرُ بْنُ عَبْدِ اللهِ‏؟‏ فَقُلْتُ‏:‏ نَعَمْ، فَخَرَجَ فَاعْتَنَقَنِي، قُلْتُ‏:‏ حَدِيثٌ بَلَغَنِي لَمْ أَسْمَعْهُ، خَشِيتُ أَنْ أَمُوتَ أَوْ تَمُوتَ، قَالَ‏:‏ سَمِعْتُ النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم يَقُولُ‏:‏ يَحْشُرُ اللَّهُ الْعِبَادَ، أَوِ النَّاسَ، عُرَاةً غُرْلاً بُهْمًا، قُلْتُ‏:‏ مَا بُهْمًا‏؟‏ قَالَ‏:‏ لَيْسَ مَعَهُمْ شَيْءٌ، فَيُنَادِيهِمْ بِصَوْتٍ يَسْمَعُهُ مَنْ بَعُدَ، أَحْسَبُهُ قَالَ‏:‏ كَمَا يَسْمَعُهُ مَنْ قَرُبَ‏:‏ أَنَا الْمَلِكُ، لاَ يَنْبَغِي لأَحَدٍ مِنْ أَهْلِ الْجَنَّةِ يَدْخُلُ الْجَنَّةَ وَأَحَدٌ مِنْ أَهْلِ النَّارِ يَطْلُبُهُ بِمَظْلَمَةٍ، وَلاَ يَنْبَغِي لأَحَدٍ مِنْ أَهْلِ النَّارِ يَدْخُلُ النَّارَ وَأَحَدٌ مِنْ أَهْلِ الْجَنَّةِ يَطْلُبُهُ بِمَظْلَمَةٍ، قُلْتُ‏:‏ وَكَيْفَ‏؟‏ وَإِنَّمَا نَأْتِي اللَّهَ عُرَاةً بُهْمًا‏؟‏ قَالَ‏:‏ بِالْحَسَنَاتِ وَالسَّيِّئَاتِ




Hazrath Ibn Uqail RaziAllahu anhu se Rivayat hai ke ..

Sayyidina Jabir bin Abdullah RaziAllahu Anhu ne farmaya..

" Ek Admi ne muje Nabi e Kareem Sallallahu Alai Wasallam ki Ek Hadees sunayi. Maine ek Oont khareeda aur uspar Kajwaa daala aur chalpada. Aur EK Maheene baad mai SHAAM pahuncha. Dekha tho waha Abdullah ibn Unays RaziAllahu anhu the.

Chunaache, Unhe Paighaam bheja ke Darwaaje par Jabir khada hai. Us admi ne wapis aakar poocha ke..

" Tum Jabir bin Abdullah ho ? "

Maine arz kiya... " Haan, Mai Jabir bin Abdullah hu.. "

Chunache, Abdullah bin Unays baher aaye aur mujse Gale mile.

Maine kaha.. " Muje aapke paas se ek Hadees ka pata chala. Barayeraasat jisey mai Sunna na saka. Muje darr hai ke kai mai aur aap marjaaye aur hadees gumm hojaye.

Unhone farmaya...

" Maine Nabi e Kareem Sallallahu Alai Wasallam se suna tha ke aapne farmaya ke .

" ALLAHutala Hashr ke din logonko Nanga, aur Be-Khatna aur { بُهْمًا ] Buhma ki halat me uthaayega "

Maine arz kiya ke : " yeh بُهْمًا kya hai.. ??
Apne farmaya : " unke haath khali honge [ Yaani kuch nahi hoga ], fir aisi awaaz se bulaaye jaayenge ke jo door waale sunenge { mere Khayal me aapne yeh bhi farmaaya ke jisey khareeb waale sunsakte hai } ke..

" Mai Badshaah hu, Aisa Mumkin nahi ke koi Ahle Jannat, Jannat me is waqt tak daakhil hojaaye jabtak uspar kisi dozaqi ka haqq ho . Yaani Yeh b Mumkin nahi ke koi Dozaqi, Dozaq me daakhil hotha ispar kisi Jannati ka haq ho. "

Maine Abdullah ibn Unays RaziAllahu Anhu se arz kiya . " Yeh Kyunkar Mumkin hoga jabke Ham tho Nange aur Be-saman uthenge ??

Aapne Farmaya : " Yeh Tumhare Nekiyon aur buraiyyonse lene dene se Mumkin hoga "
{ Adaab Al Mufrad : 970 - Hasan Al Albani,
Al Mustadrak Al Saheehyn Al Haakim # 3638,
Musnad Ahmad Wagairah me bhi yeh Riayat darj hai }

Hadees ki itni saari kitaabein Kyun ? Quran ki tarah ek (1) kitaab kyun nahi?



BISMILLAH


SAWAL

Hadees ki itni saari kitaabein Kyun ? Quran ki tarah ek (1) kitaab kyun nahi?


JAWAB

Hadees ki itni saari kitaabein Kyun ?

Quran ki tarah 1 kitaab kyun nahi ?

Ye ek sawal paida hota hai jo kisi musalman ke dil me paida ho sakta hai.

Jaisa ke Ham sab jante hai ke...

Allah ne 23 saal me zarurat ke hisaab se Quran ko zare-zare se Pyare Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam par naazil kiya aur ham sab ye bhi jante hai ke Quran ki ayato ki ginti ki jaa sakti hai lekin Hadees ke bareme aisa nahi hai.


Exactly Hadees ki kitni kitabein maujud hai aur usme total kitne hazaar hadeese jama ki gayi is bareme aam musalman ilm nahi rakhta.

Sabse pahle ek buniyadi baat ye samjna hai ke Quran ek "Mujmal" (in-brief) kitab hai aur Hadees "Tafsili" (in-detail) hoti hai. Mujmal us baat ko kaha jata hai jisko samajne ke liye kisi tafseer (explaination) ki zarurat hoti hai. Jaisa ke Quran me "Salaat" (Namaz) qayam karne ka hukm diya lekin Salaat (Namaz) ka tariqa quran me nahi bataya gaya. Salaat ka tariqa Muhammadur Rasoolullah SallallahuA'laihiWaSallam ne Hadees ki shakl me Sahaba ko practically Salaat adaa karke bataya.

Aur ek misaal Quran me chor ka hath katne ka hukm diya gaya lekin chor ka hath kaha se aur kaise kata jaaye Quran nahi bataya lekin iski tafseel Hadees-e-Rasool me batayi gayi.

Isiliye "Hadees-e-Rasool" ko Quran ki "Tafseer" (Explaination/Commetry) kaha jata hai

Iske alaawa Islami Shariyat ka bahot bada hisaa Quran me bilkul nahi bataya gaya jaisa ke Kafan-Dafan ke tafsilaat, Shadi-walima ka tariqa, masnoon dua'ye, roz-marra zindagi me adaab, jihad ke usool, zakaat ke tafsilaat aur digar Sunnatein aur bahot saare chize apko Quran me nahi milenge. Ye saare chize apko Hadees-e-Rasool me milenge.

Ham dekhte hai ke jab Teacher class me koi subject padhata hai to padhate waqt apne students ko subject me jo diya hota hai usey students ko samjhane ke liye Teacher ko explaination dena padta hai. Dusare alfaaz me subject ka syllabus "mujmal(brief/short)" hota hai lekin subject students ke dil me utaarne ke liye Teacher use khol-khol kar bayan karna hai.

Yehi misaal Rasoolullah sallAllahu Alaihi wasallam ke liye fit hoti hai.

Rasoolullah sallAllahu alaihi wasallamek Teacher the aur Sahaba unke Shagird (student) the. Quran unka Syllabus tha aur Hadees unka explaination (tafseer) tha. Isiliye Quran short me nazil kiya gaya aur Hadees ko detail me.

Allah ne Rasoolullah sallallaho alaihi wasallam ko Quran ko khol-khol kar bayan karne ka hukm diya ..

بِٱلْبَيِّنَٰتِ وَٱلزُّبُرِ ۗ وَأَنزَلْنَآ إِلَيْكَ ٱلذِّكْرَ لِتُبَيِّنَ لِلنَّاسِ مَا نُزِّلَ إِلَيْهِمْ وَلَعَلَّهُمْ يَتَفَكَّرُونَ

"Dalilo aur kitaabo ke saath ye zikr (kitaab) hum ne aap ki taraf utaara hai ke logo ki jaanib jo naazil farmaya gaya hai, aap use khol khol kar bayaan karde, shaayad ke wo ghaur wa fikr kare".

(Surah 16 Nahal : Ayat 44)

Yaha kamaal is baat ka hai ke Rasooolullah Quran ki tafseer bhi apne dil se bayan nahi kiya karte the balke wo tafseer (yaani Hadees) bhi Allah ki taraf se nazil ki jaati thi.

Jaisa ke Allah ne khud farmaya :

“Ke Tumhara saathi (Muhammad) na gumraah huye aur na baheke. Aur wah (Muhammad) to APNI NAFSAANI KHWAHISH se kuchh NAHI KAHTE. Yah to WAHEE (paigaam) hai jo unpar bheji jaati hai".

(Surah Najm 53 : Ayat 2,3,4)


Miqdaam bin Ma’dikarib (Rz) farmate hai ke Rasoollulalh SallallahuA’laihiWaSallam ne IRSHAAD farmaya ke…

"Suno, mujhe Quran diya gaya aur usi ke sath sath “uski Misl” (yaani Sunnat/Hadees) bhi di gayi”.

(Abu Dawood, Kitabul Sunaah, Chapter 42, Hadees No. 9)

Aap hi bataeeye ke Quan ko khol-khol kar bayan karne me aur roz-marra zindaagi ke Dawati, Maali, Siyasi, Samaaji masail par Roshni dalne ke liye Rasoollullah SallallahuAlaihiWaSallam ne .....


1 din me...

1 hafte me...

1 mahine me...

1 saal me ....


Aur....

Nabuwat ke baad apni puri zindagi me....

Kitni Hadeese bayaan ki hongi...

yahi asal wajah hai ke Quran ki aayeto se jyada Hadeese payee jaati hai.

In saare Hadeeso ko alag alag Muhaddiso ne apne apne zamane me apne apne hisab se logo ke pas ja-ja kar Hadees-e-Rasool ko jama kiya aur in Hadeeso ko Kitab ki shakl me likh kar mahefuz kiya.

*SAHEEH HADEES DEEN HAI*



BISMILLAH

Saheeh hadees ko apnana Ahle Hadees ka Shahaar hai.

Jaisa ke Imaam Muslim Rahmatullah Alai farmate hai ke

واعلم۔ رحمک اللہ۔ أنّ صناعۃ الحدیث، ومعرفۃ أسبابہ من الصحیح والسقیم، إنّما ھی لأھل الحدیث خاصّۃ، لأنّھم الحفّاظ لروایات الناس، العارفین بھا دون غیرھم، إذ الأصل الذی یعتمدون لأدیانھم السنن والآثار المنقولۃ، من عصر إلی عصر، _من لدن النبیّ صلّی اللہ علیہ وسلّم إلی عصرنا ھذا_

“ Allah aap par rahmat karen ! Jaanle’n ke fann hadees aur iske sehth wa saqam ke asbab ke Muarifat sirf Ahle hadees ka Khaas hai. Kyunki wo logonki Rivaayat ko yaad rakhne waale aur wahi inko janne wale hai. Wajah yeh hai ke Mazaahib ke dalail wa Sunan wa Asaar hai jo zamane ba zamana nabi e Kareem Sallallahu Alai Wasallam se hamare daur tak naqal hothi aayi hai._
*{ Kitaab Al Tamheed Laa Imaam Muslim # Safa #218 }*


2) *Imaam Ibn Khuzaimah Rahmatullah Alai likte hai ke*

_و أنّا مبّین عللہ، إن وفّق اللہ لذلک، حتّی لا یغترّ بعض طّلاب الحدیث بہ، فیلتبس الصحیح بغیر الثابت من الأخبار، قد أعلمت ما لا أحصی من مرّۃ أنّی لا أستحلّ أن أموّہ علی طّلاب العلم بالاحتجاج بالخبر الواھیۃ، و أنّی خائف من خالقی جلّ وعلا، إذا موّھت علی طّلاب العلم بالاحتجاج بالأخبار الواھیۃ، وإن کان حجّۃ لمذھبی۔_

“ Agar ALLAHutaala ne Taufeeq di tho mai iske Illaten waazeh karunga taaki baaz Taalbaan hadees isse dhoka na khajaye aur Saheeh hadees aur ghair saabit hadees ke saath ghadd madd na hojaaye. Maine bahut dafa khabardaar kiya hai ke mai Zaeef ahadees ke saath Taalibaan e Hadees par hujjat pakadkar dhoka dene ko halal nahi samajta tha. Mai apne Khaliq se darta hu ke mai Taalbaan e Hadees ko Zaeef hadees ke saath Hujjat pakadkar dhokha du. Agarche mere mazhab ke dalail hi kyun na ho._
*{ Kitaab At-Tawheed Laa ibn Khuzaimah : 2/833 }*

3) Imaam Ibn Hibbaan Rahmatullah Farmate hai ke :_
_لأنّا نستحلّ الاحتجاج بغیر الصحیح من سائر الأخبار، و إن وافق ذلک مذھبنا، ولا نعتمد من المذاھب إلّا علی المنتزع من الآثار، و إن خالف ذلک قول أئمتنا۔_
“ Kyunki ham ghair saheeh ahadees ke saath hujjat dalail lena jayaz nahi samajte agarcha wo hamare Mazhab ke Muafiq ho aur ham sirf isi mazhab par aitmaad karte hai jo ahadees wa asaar se saabit ho. Agarche wo hamare Aimmah ke qaul ke khilaaf bhi ho. “_
*{ Sahih Ibn Hibbaan, Tahat Hadees : 1112 }*



Nez Farmate hai ke :_

_ذکر رحمۃ اللہ جلّ و علا من بلّغ أمّۃ المصطفٰی صلّی اللہ علیہ وسلّم حدیثا صحیحا عنہ۔_

“ Is shaks par ALLAHutaala ki rahmat ka bayan jo Nabi e Kareem Sallallahu Alai Wasallam ki Ummat ko ap ki koi Saheeh hadees pahunchaye “_
*{ Saheeh Ibn Hibbaan, Tahat Hadees : 67 }*


4) Imaam Abu Al Mazfar Al Sam’aani Rahmatullah Alai Farmate hai ke :_

_ولکن یحتجّ بقول التابعیّ علی قول النبّی أو بحدیث مرسل ضعیف علی حدیث متّصل قویّ، و من ھنا امتاز أھل اتّباع السنّۃ عن غیرھم، لأنّ صاحب السنّۃ لا یألو أن یتّبع من السنن أقواھا، ومن الشھود علیھا أعدلھا و أتقاھا، و صاحب الھوی

کالغریق یتعلّق بکلّ عود ضعیف أو قویّ۔_

“ Lekin har bidaat Nabi Akram Sallallahu Alai Wasallam ke Farmaan ke Khilaaf kisi Tabaee ka Qaul bataur hujjat paish karta hai ya Muttasil Qawi Hadees ke Khilaaf Mursal Za’eef Hadees ko Paish karta hai, Is buniyaad par Sunat ke Mutbaeen ghaironse Mumtaaz hothe hai. Kyunki Sahaab e Sunnat hadeesome se sabse Qawi aur Gawahome se sabse Aadil aur Muttaqi ke baat ko manne me khotaahi nahi karte. Jabke Bidaati shaks is doobne wale ki tarah hotha hai jo har Kamzor aur Mazboot ka sahara leta hai._

*{ AL Intisaar Laa Sahaab al Hadees al Sam’aani : Safa # 55-56 }*


5) Shaikh Ul Islam Imaam Ibn Taymiyyah Rahmatullah Alai Farmate hai ke :_

_لا یجوز أن یعتمد فی الشریعۃ علی الأحادیث الضعیفۃ التی لیست صحیحۃ و لا حسنۃ۔_

_“ Shariyat me un Za’eef Ahadees par Aitmaad karna jayaz nahi, jo Saheeh Ya Hasan na ho “_
*{ Majmua Al Fatawa : 1/250 }*


6) Haafiz Ibn Rajab Rahmatullah Alai Farmate hai ke :

_فأمّا الأئمّۃ و فقھاء أھل الحدیث، فإنّھم یتّبعون الحدیث الصحیح حیث کان، إذا کان معمولا بہ عند الصحابۃ و من بعدھم، أو عند طائفۃ منھم، فأمّا ما اتفّق علی ترکہ، فلا یجوز العمل بہ، لأنّھم ما ترکوہ إلّا علی علم أنّہ لا یعمل بہ۔_


“ Aimmah Wa Fuqaha Ahle Hadees

Saheeh Hadees ka Ittiba karte hai. Wo Jahan bhi ho jab ho Sahaaba kiraam aur Tabaee azeem ke Nazdeek Ittifaaqi taur par ya unmese ek taifa ke yaa mamool bi ho. Rahi wo surat ke jab iske tarf par sahaaba wa Tabaeen ka Ittifaaq hojaye tho ispar Aml jayaz nahi. Kyunki Sahaaba wa Tabaeen ne ispar Aml isliye choda hai ke inko Maalum tha ke ispar Aml nahi kiya jayega. “
*{ Fazal Alam al Salaf Ali Al Khalaf laa ibn Rajab : Safa # 57 }*

by: Nadeem Shaik