Sunday, February 26, 2017

Darse Qur'an

*➢ 📜Darse Qur'an: ➥ By: Abu Zaid Zameer Hafidahullah*

*🔮(Bacho Ki Deeni Taleem Ke Liye Qur'an Ke 31 Ahkaam Romanised By: Syed Ibraheem Salafi)*

BISMILLAH IR-RAHMAN IR-RAHIM

*⚜1. SHIRK SE BACHTE HUWE SIRF ALLAH KI EBADAD KARNA CHAHIYE*

Allah Ta'ala ne farmaya: "Aur Allah ki ebadad karo aur us ke sath kisi cheez ko shareek na banao" *📚[Surah An Nisa: 36]*

﹍﹎﹍﹎﹍﹎


*⚜2. ALLAH AUR USKE RASOOL KA HAR HUKUM MANNA CHAHIYE*

Allah Ta'ala ne farmaya: "Aur Allah aur uske Rasool ki farmabardari karo taake tum par raham kiya jaye" *📚[Surah Aal Imran: 132]*

﹍﹎﹍﹎﹍﹎

*⚜3. PANCH NAMAZO KO IN KE WAQT PAR AADA KARNA CHAHIYE*

Allah Ta'ala ne farmaya: "Lehaza tum namaz qayam karo, yaqinan namaz emaan walo par maqsoos awqaat mein farz kar di gayee hai"

*📖[Surah An Nisa: 103]*

﹍﹎﹍﹎﹍﹎

*⚜4. AGAR MAAL DAAR HO TOU IS KI ZAKAAT AADA KARNA CHAHIYE*

Allah Ta'ala ne farmaya: "Aur Namaz qayam karo aur zakaat aada karte raho aur ruku karne walo ke sath tum bhi ruku karo" *📖[Surah Al Baqarah: 43]*

﹍﹎﹍﹎﹍﹎

*⚜5. RAMADAN KE ROZO KA AHTEMAAM KARNA CHAHIYE*

Allah Ta'ala ne farmaya: "Aye Emaan walo: tum par roze farz kar diye gaye jis tarha tum se pehle ummatou par farz kiye gaye thae taake tumhare andar taqwa paida ho jaye" *📖[Surah Al Baqarah: 183]*

﹍﹎﹍﹎﹍﹎

*⚜6. AGAR MAAL DAAR HO TOU HAJJ KARNA CHAHIYE*

Allah Ta'ala ne farmaya: "Aur lougo par Allah ke ghar ka hajj karna farz kar diya gaya, is shaks par jo is ke raaste (yani safar) ki iste'ta'at rakhta ho" *📖[Surah Aal Imran: 97]*
﹍﹎﹍﹎﹍﹎

*⚜7. TAHARAT KA KHOOB AHTEMAAM KARNA CHAHIYE*

Allah Ta'ala ne farmaya: "Yaqinan Allah Ta'ala khoob tawba karne walo aur paak saaf rehne walo ko pasand karta hai" *📖[Surah Al Baqarah: 222]*
﹍﹎﹍﹎﹍﹎

*⚜8. Nabi SALLALLAHU AALAIHI WASALLAM PAR SALAAT BEHJNA CHAHIYE*

Allah Ta'ala ne farmaya: "Yaqinan Allah aur uske Faristey is Nabi (yani Muhammad Sallallahu Aalaihi Wasallam) par salaat behjte hai lehaza aye emaan walo tum bhi is par salaat behjo aur khoob salaam bhi behjte raho"

*📖[Surah Al Ahzaab: 56]*
﹍﹎﹍﹎﹍﹎

*⚜9. DEEN KA ILM HASIL KARTE REHNA CHAHIYE*

Allah Ta'ala ne farmaya: "Aur (aye Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam) Aap yu kahen: aye mere Rab, mere ilm mein aur izafa kar dey" *📖[Surah Taha: 114]*

﹍﹎﹍﹎﹍﹎

*⚜10. QUR'AN KI TILAWAT KA AHTEMAAM KARNA CHAHIYE*

Allah Ta'ala ne farmaya: "Aur Qur'an ko tehar tehar kar (saaf) padhe" *📖[Surah Al Muzamnil: 4]*
﹍﹎﹍﹎﹍﹎

*⚜11. ALLAH KA ZIKR WA SHUKR KARTE REHNA CHAHIYE*

Allah Ta'ala ne farmaya: "Lehaza tum Mera zikr karte raho Main tumhe yaad karuga, aur Mera shukr karte raho aur naahukri se bachte raho" *📖[Surah Al Baqarah: 152]*

﹍﹎﹍﹎﹍﹎

*⚜12. ALLAH SE UMEED WA KHAUF KE SATH DUA KARTE REHNA CHAHIYE*

Allah Ta'ala ne farmaya: "Apne Rab se dua karte raho, gidgida kar chupke chupke_ beshak wo had paar karne walo ko pasand nahi karta" *📖[Surah Al Aaraaf: 55]*

﹍﹎﹍﹎﹍﹎

*⚜13. DUSROU KO DEEN KI DAWAT DEYNA CHAHIYE*

Allah Ta'ala ne farmaya: "Apne Rab ki taraf dawat deyte raho aur mushrikeen mein se na ho jaou"

*📖[Surah Al Qisas: 87]*

﹍﹎﹍﹎﹍﹎

*⚜14. SIRF HALAAL RIZAQ KAMANA CHAHIYE

Allah Ta'ala ne farmaya: "Lehaza Allah ne jo rizaq tumhe aata kiya hai, halaal wa tayyib esse khaou, aur Allah ki neymat ka shukr aada karte raho, agar waqai tum Uski bandagi karte ho" *📖[Surah An Nahal: 114]*

﹍﹎﹍﹎﹍﹎

*⚜15. WALIDAIN SE ACHAA SULOOK KARNA CHAHIYE

Allah Ta'ala ne farmaya: "Aur humne insaan ko apne walidain se achchaa sulook karne ki khaas takeed ki hai" *📖[Surah Al Ankaboot: 8]
﹍﹎﹍﹎﹍﹎

*⚜16. FUQARAH WA MASAKEEN KO UNKA HAQ DEYNA CHAHIYE*

Allah Ta'ala ne farmaya: "Aur khareebi ristedaro ko unka haq dou, aur miskeen aur musafir ko bhi aur fuzool kharch se bacho" *📖[Surah Al Isra: 26]*
﹍﹎﹍﹎﹍﹎

*⚜17. NEK KAAM MEIN EK DUSRE KI MADAD KARNA CHAHIYE*

Allah Ta'ala ne farmaya: "Aur neki aur taqwa ke kamo mein ek dusre ki madad karo aur gunha aur sarkashi ke kamo mein hargis ek dusre ki madad na karo" *📖[Surah Al Maidah: 2]*
﹍﹎﹍﹎﹍﹎

*⚜18. ALLAH SE DARNE AUR BURAYEE SE BACHNE KA AHTEMAAM KARNA CHAHIYE*

Allah Ta'ala ne farmaya: "Aur (safar ke liye apna) zaad-e-rah sath ley lo, aur sab se behtareen tousha taqwa hai_ aye aqal walo, Mujh se darte raho" *📖[Surah Al Baqarah: 197]*

﹍﹎﹍﹎﹍﹎

*⚜19.GUNHAOU SE TAWBA KARTE REHNA CHAHIYE* 

Allah Ta'ala ne farmaya: "Bas Apne Rab se (apne gunhaou par) astaghfaar kar lo, phir Uski taraf tawba karo, yaqinan Mera Rab bada raham karne wala, nihayath muhabbat karne wala hai"

*📖[Surah Hood: 90]*
﹎﹍﹎﹍﹎

*⚜20. DUSROU KO MAAF KARN DEYNA CHAHIYE*

Allah Ta'ala ne farmaya: "(Emaan walo ko chahiye ke wo) maaf kar dey aur darguzar kare, kya tum ye pasand nahi karte ke kudh Allah tumhari maghfirat kar dey_ aur Allah tou bada maghfirat karne wala raham farmane wala hai"

*📖[Surah An Noor: 22]*

﹎﹍﹎﹍﹎

*⚜21. BURAYIYO KE BADLE BHALAYEEYA KARNA CHAHIYE*

Allah Ta'ala ne farmaya: "Aur bhalayee aur burayee dono barabar nahi ho sakte, tum burayee ko aisi cheez se dafa karo jo is se (aqlaaq mein) behtar ho" *📖[Surah Fusilat: 34]*
﹍﹎﹍﹎﹍﹎

*⚜22. KANJUSI KE BAJAYE SAQAWAT KARNA CHAHIYE*

Allah Ta'ala ne farmaya: "Lehaza tum mein se jo emaan ley aayen aur inhu ne (nek kamo mein) kharch kiya, in ke liye behat bada ajar hai" *📖[Surah Hadeed: 7]*

﹍﹎﹍﹎﹍


*⚜23. TAKLEEF PAR SABR KARNA CHAHIYE*

Allah Ta'ala ne farmaya: "Aur agar tum sabr karo aur taqwa ka ahtemaam karo tou dusrou ki halate tumhe koi nuksaan nahi pohcha sake gee" *📖[Surah Aal Imran: 120]*

﹍﹎﹍﹎﹍

*⚜24. TAMAAM HAJATOU MEIN ALLAH HI PAR BHAROSA RAKHNA CHAHIYE*

Allah Ta'ala ne farmaya: "Aur Allah hi par tawakkul (yani bharosa) rakhe, aur Allah kamo ke bananey ke liye kafi hai" *📖[Surah Al Ahzaab: 3]*

﹍﹎﹍﹎﹍﹎

*⚜25. LOUGO KE SATH INSAAF WA AADAL KARNA CHAHIYE*

Allah Ta'ala ne farmaya: "Aur khawish ke peechey na chalo, wo tumhe aadal se rok deygee" *📖[Surah An Nisa: 135]*
﹍﹎﹍﹎﹍﹎

*⚜26. QAYANAT KE BAJAYE AMANATDARI KA AHTEMAAM KARNA CHAHIYE*

Allah Ta'ala ne farmaya: "Aye Emaan walo, Allah aur Uske Rasool se hargis qayanat na karna, aur na apni amanatou mein qayanat karna halanke tum ilm rakhte ho" *📖[Surah Al Anfaal: 27]*
﹍﹎﹍﹎﹍﹎

*⚜27. DUSROU SE KIYA HUWA WADA WA AAHAD NIBHANA CHAHIYE*

Allah Ta'ala ne farmaya: "Aur ahad (wade) pure kiya karo, aahad ke bareme (qayamat ke din) zaroor pouch ho gee" *📖[Surah Al Isra: 34]*
﹍﹎﹍﹎﹍﹎

*⚜28. HAMESHA SACH BOLNA CHAHIYE*

Allah Ta'ala ne farmaya: Aye Emaan walo, Allah se daro, aur sachcho ke sath ho jaou" *📖[Surah At Tawba: 119]*
﹍﹎﹍﹎﹍﹎

*⚜29. AAKHIRAT KI FIKR AUR IS KI TAYYARI KARTE REHNA CHAHIYE*

Allah Ta'ala ne farmaya: "Aye Emaan walo, Allah se darte raho, aur har shaks dekh ley ke usne apne kal (yani aakhirat) ke liye kiya aage behj rakkha hai"

*📖[Surah Al Hashar: 18]*

﹍﹎﹍﹎﹍﹎

*⚜30. ZAMEEN MEIN FASAAD PEHLANE SE BACHNA CHAHIYE*

Allah Ta'ala ne farmaya: "Aur zameen mein fasad ki chahat na kar, Allah Ta'ala fasad karne walo ko pasand nahi karta" *📖[Surah Al Qisas: 77]*


*⚜31. ALLAH KE DEEN KI MADAD KARNA CHAHIYE*

Allah Ta'ala ne farmaya: "Aye Emaan walo, agar tum Allah ki madad karogen tou Allah bhi tumhari madad karega aur tumhare khadam jama deyga" *📖[Surah Muhammad: 7]*

Aye Allah!

Hum Sab Ko Deen Ki Sahih Samahj Aata Farma. AAMEEN YA ALLAH

****-----------*******----------****

*FOLLOW US ON : whatsapp Female Grp 1⃣ kly Sisters muje msgs krein taqiq kr ke add krdia jyga*

*Male Grp2⃣ Join krne kly ⏬*

https://chat.whatsapp.com/2jMn4CMz7XVFTI1oGz8VNr


*FOLLOW US ON: DEEN E SAWAL AUR JAWAB GRP*

https://chat.whatsapp.com/9Zjcdsa8AzKKQX7StLPwTX

*FOLLOW US ON: Telegram Grp*

t.me/akhiratkiitayari

*FOLLOW US ON: Blogspot*

http://akhiratkitayari.blogspot.sg

*FOLLOW US ON: Facebook Page*

https://www.facebook.com/akhiratkitayari/

Saturday, February 25, 2017

Dhul -Qarnayn Kaun The Quran Inke Bare Mai Kya Batata Hai?*

SawaL

*Dhul -Qarnayn Kaun The Quran Inke Bare Mai Kya Batata Hai?*


JAWAB:✍🏻

Dhul -Qarnayn Ke Lafzi Maana Hai 2 Singo Wale Ke Ye Nam Isliye Pada Ki Asal Me Uske Sar Par 2 Sing The Ya Isliye Ki Usane Mashrik Wa Maghrib Yani Duniya Ke Dono Kinaro Par Pahunch Kar Suraj Ke Karan Ka Mushahda Kia Tha Kuch Kahte Hai Ki Uske Sar Par Balo Ki 2 Late Thi Karan Balo Ki Lat Ko Bhi Kahte Hai Yani 2 Lato Ya 2 Mendho Ya 2 Julfo Wala

Kadeem Mufsserin Ne Aamtaur Par Uska Misdak Sikandar Rumi Ko Qarar Dia Hai Jiski Fatuhat Ka Daira Mashriq Wa Maghrib Tak Faila Hua Tha Lekin Jadeed Mufssereen Ne Jadeed Tarikhi Malumat Ki Nazar Se Us se Itefaq Nahi Karte Hai Khastaur Se Maulana Abul Kalam Azad Hind

Maulana Abul Kalam Azad Tafseer Tarzumanul Quran Jild Awwal Safa 399 Tab’aa Kadeem Me Dhul -Qarnayn Ke Bare Me Likhte Hai Ki

Dhul -Qarnayn Ko Allah Ne Asabab Wa Wasail Ki Farwani Se Nawaza Tha Wah Mashriqi Wa Maghribi Mamalik Ko Fat’ah Karta Hua Aik Aisi Pahri Durre Par Pahuncha Jiski Dusari Taraf Yajuj Majuj The Usne Waha Yajuj wa Majuj Ka Rasta Band Karne Le Liye Ek Nihayat Muhkam Bandh Tameer Kia Wah Aadil Wa Allah Ko Manane Wala Akhirat Par Iman Rakhne Wala Tha Wah Nafs Parsat Aur Mal Wa Daulat Ka Harees Nahi Tha Us Se Murad Farsi Ka Wah Azim Huqmaran Hai Jise Yunani Cayrus , Ibrani Khuras Aur Arab Khusru Ke Nam Se Pukarate Hai Uska Daure Huqmrani 539 Kabl Masih Hai


Yah Bhi Farmate Hai Ki 1838 Me Cayrus Ke Ek Mujassame Ka Bhi Inkshaf Hua Jisme Cayrus Jism Is Tarah Dikhaya Gaya Ki Uske Dono Tarf Ukab Ki Tarah Par Nikale Huwe Hai Aur Sar Par Mendhe Ki Tarah 2 Sing Hai

*[Tafsir Ke Liye Mazkura Wala Hawala]*


Quraish Makkah Ko Yahudiyo Ke Jakheere Ilm Par Kafi Aitmad Tha Unhone Haris Aur Uqba Bin Abi Mueet Ko Yahudiyo Ke Pas Madina Bheja Tha Ki Muhammad Rasul s.a.w Kya Waqai Allah Ke Nabi Aur Rasul Hai?

Muhammad s.a.w Us Waqt Makkah Me Hi Me The Hijrat Karke Madina Nahi Aye The Un Yahudiyo Ne Muhammad s.a.w Ke Rasul Aur Nabi Ki Tasdeek Aur Takjeeb Ke Liye 3 Sawalat Kuraish Ko Talqeen Kiye The Ek Ruh Se Mut’alik ,Dusra Ashabul Kahaf Aur Teesra Dhul -Qarnayn Ke Mut’allik Tha Tab Quraish Ne Madina Se Wapas Aakar Makkah Me Muhammad s.a.w Se Yah 3 Sawalat Kiye Jin Me 2 Sawalo Ke Jawab Us se Pahle Bayan Kiye Ja Chuke Teesra Dhul -Qarnayn Ka Hai Allah Ne Us Waqiya Ka Quran Majeed Me Yun Bayan Farmaya Hai

Aap say zulqarnain ka waqiya yeh log daryaft ker rahey hain aap keh dijiye kay mein unn ka thora sa haal tumhen parh ker sunata hun.

Hum ney ussay zamin mein qooat ata farmaee thi aur ussay her cheez kay saman bhi inayat ker diye thay.
Woh aik raah kay peechay laga.

Yahan tak kay sooraj doobney ki jagah phonch gaya aur ussay aik daldal kay chashmay mein ghuroob hota hua paya aur iss chashmay kay pass aik qom ko bhi paya hum ney farma diya kay aey zulqarnain! Ya to tu enhen takleef phonchaye ya inn kay baray mein tu koi behtareen ravish ikhtiyar keray.

Uss ney kaha jo zulm keray ga ussay to hum bhi abb saza den gay phir woh apney perwerdigar ki taraf lotaya jayega aur woh ussay sakht tar azab dey ga.

Haan jo eman laye aur nek aemaal keray uss kay liye to badlay mein bhalaee hai aur hum ussay apney kaam mein bhi aasani hi ka hukum den gay.
Phir woh aur raah kay peechay laga.

Yahan tak kay jab sooraj nikalney ki jagah tak phoncha to ussay aik aisi qom per nikalta hua paya kay unn kay liye hum ney uss say aur koi oat nahi banaee.

Waqiya aisa hi hai aur hum ney uss kay pass ki kul khabron ka ehaata ker rakha hai.
Woh phir aik safar kay saman mein laga.


Yahan tak kay jab do deewaron kay darmiyan phoncha unn dono kay paray uss ney aik aisi qom paee jo baat samjhney ka qareeb bhi na thi.

Unhon ney kaha aey zulqarnain! Yajoob majooj iss mulk mein (baray bhari) fasadi hain to kiya hum aap kay liye kuch kharch ka intizam ker den? (iss shart per kay) aap humaray aur unn kay darmiyan aik deewat bana den.

Uss ney jawab diya kay meray ikhtiyar mein meray perwerdigar ney jo dey rakha hai wohi behtar hai tum sirf qooat taqat say meri madad kero.

Mein tum mein aur inn mein mazboot hijab bana deta hun. Mujhay lohay ki chadaren laa do. Yahan tak kay jab inn dono paharon kay darmiyan deewar barabar kerdi to hukum diya kay aag tez jalao ta-waqt-e-kay lohay ki inn chadaron ko bilkul aag ker diyato farmaya meray pass laao iss per pighla hua tanbaa daal doon.

Pus to inn mein iss deewar kay upper charhney ki taqat thi aur na iss mein koi soorakh ker saktay thay.

Kaha yeh sab meray rab ki meharbani hai haan jab meray rab ka wada aayega to issay zamin boss ker dey ga be-shak meray rab ka wada sacha aur haq hai.
*SURAH KAHAF AYAT 83 - 98*

****-----------******--------***
*FOLLOW US ON : whatsapp Female Grp 1⃣ kly Sisters muje msgs krein taqiq kr ke add krdia jyga*

*Male Grp2⃣ Join krne kly ⏬*

https://chat.whatsapp.com/2jMn4CMz7XVFTI1oGz8VNr

*FOLLOW US ON: DEEN E SAWAL AUR JAWAB GRP*

https://chat.whatsapp.com/9Zjcdsa8AzKKQX7StLPwTX

*FOLLOW US ON: Telegram Grp*

t.me/akhiratkiitayari

*FOLLOW US ON: Blogspot*

http://akhiratkitayari.blogspot.sg

*FOLLOW US ON: Facebook Page*

https://www.facebook.com/akhiratkitayari/

Friday, February 24, 2017

Namaz- E- ISTIKHARA

BISMILLAH

Jab kisi ko koi (Jaaez) kaam karna ho aur wo is mein shak ho ke ise karu’n ya na karu’n, ya jab kisi kaam ka iraada kare to is par isteqhara karna sunnat hai.

Jaabir bin Abdullah se riwayat hai ke Rasool Allah hamei’n tamaam kamo’n ke liey isi tarha isteqhara ki dua sikhate the, jis tarha Quran e Hakeem ki koi surat sikhate the. Aap farmate: ‘Jab koi admi kisi kaam ka iraada kare to 2 rakat nafil adaa kare, phir farigh hokar ye dua padhe:

Allahumma Inni Astakhiruka Bi I’ilmika wa Astaqdiruka Bi Qudratika wa Asaluka Min Fadhlikal A’azeemi Fainnaka Taqdiru
wala Aqdiru wa Ta’alamu wala A’alamu wa Anta A’allamul Ghuyoobi Allahumma In Kunta Ta’alamu Anna Hazal Amra
Khairulli Fee Deeni wa Ma’ashee wa A’aqibati Amri Faqdurhu wa Yassirhu li Summa Baariklee Feehi Wa in Kunta Ta’alamu Anna Hazal Amra Sharrulli Fee Deeni wa Ma’ashee wa A’aqimati Amri Fasrifhu A’anni Wasrifni A’anhu Waqdurliyal Khaira
Haisu Kaana Summar Zini Bihi

TArjuma: 
Aey Allah! 
Tehqeeq main (is kaam mein) tujh se tere ilm ki madad se khair maangta hu’n aur (husool e khair ke liey) tujh se tere qudrat ke zarie qudrat maangta hu’n aur main tujh se tera fazal azeem maangta hu’n, beshak tu (har cheez par) qaadir hai aur main (kisi cheez par) qaadir nahi. 
Tu (har kaam ke anjam ko) jaanta hai aur main (kuch) nahi jaanta aur tu tamaam ghaibo’n ka jaanne wala hai. Aey Allah! Agar tu jaanta hai ke ye kaam (jiska main iraada rakhta hu’n) mere liey mere deen, mere zindagi aur mere anjaam kaar ke lehaaz se behtar hai to ise mere liey muqaddar kar aur asaan kar phir is mein mere liey barkat paida farma aur agar tere ilm mein ye kaam mere liey mere deen, meri zindagi aur mere anjaam kaar ke lehaaz se bura hai to is (kaam) ko mujh se aur mujhe is se pher de aur mere liey bhalaai muhiyya kar jaha’n (kahee’n bhi) ho. Phir mujhe iske sath raazi karde.
Nabi e Rahmat ne farmaya ke phir apni haajat bayan karo.’
(Bukhari: al Tahajjud 1162).

Baaz log khud isteqhara karne ki bajaae dusro’n se isteqhara karwate hain ye rawish 1 wabaa ki shakal iqhtiyaar kar gai hai jis ne jagah jagah dusro’n ke liey isteqhara karne waale specialist paida kar diey hain. Haala’nke apne liey khud isteqhara karne ki bajaae kisi aur se isteqhara karwaana sirf khilaaf e sunnat hi nahi, blake kaahin aur nujoomi ki tasdeeq karne ke mutaraadif hai.

Khusoosan jabke isteqhara karwane waala is niyyat se isteqhara karwata hai ke mujhe in ‘Buzrugo’n’ se koi pakki khabar ya wazeh mushaheda milega jise baad mein wo min o a’an saccha jaan kar kisi kaam ke karne ya na karne ka faisla karta hai. 
Halaa’nke isteqhara ke liey na to ye laazmi hai ke ye sone se pehle kiya jaae aur nay a laazmi hai ke khuwab mein koi wazeh ishaara hoga.

Seedhi se baat hai ke zaroorat mand khuwah isteqhara kare Allah Ta’ala iska seena khol dega mazeed tasalli chaahta hai to kisi acche shaqs se mashwara karle phir wo jo kaam karega Allah Ta’ala is mein behtari paida karega In shaa Allah Ta’ala.

Jab aap ye masnoon isteqhara karke koi kaam karei’nge to Allah Ta’ala apne fazal se zaroor is mein behtari ki surat paida karega aur buraai se bachaega.

Isteqhara raat ya din ki jis ghadi mein bhi aap chaahei’n kar sakte hain, siwaae auqaat e makruha ke.

Monday, February 20, 2017

Dayyoos Mua'shre Main Phailta Naasor...


BISMILLAH

Hazrat Abdullah Bin Umar (Razi'Allahu Anhu) Farmate Hai Ke Nabi Kareem (Sallallaahu Alaihe Wasallam)Ne Irshad Farmaya- #3_Aadmi Aise Hai Jin Par ALLAH Jalla Shanahu Ne Jannat Ko #Haram Kar Diya Hai-


* Dayimi (Hameshgi Wala) #Sharabi.

* #Waldain Ka Nafarman.

* #Dayyoos Jo Apne #Biwi #Bacchon Main #Be_hayayi Ko #Bardasht Karta Hai.
(Munad_Ahmad_Hadees_5372)

* #Dayyoos_Ki_Tareef Main Aise #Bhai, #Baap Or #Khawind Shamil Hai Jo Apni #Bahen, #Beti Or #Biwi Ko Neem Uryan (Aadha Nanga) #Fashion Zadah Libas Pahna Kar Bazaron Or Mahfilon Ki #Zeenat Banate Hai, Ek Dusri Hadees Ka Mafhoom Hai Ke Dayyoos Ko Is Baat Ki Koi Parwah Nahi Hoti Ke Uske Ghar Ki #Aurton Se Kaun Log Mil Rahe Hai Or Kis Tarah Ke Maahol Main Unka Aana Jana Hai.
(Al_Baihaqi_10800)


ALLAH Hidayat De Ameen Taqabbal Ya Rabbulalamin

Plz All Brothers and Sisters Share zarur Kare Ye Post Kyu Ki Mua'shre Main Ye Bimaari Bahut Tezi Se Phail Rahi Hai

SURAJ AUR CHAND GARHAN


BISMILLAH

Rasool Allah SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya: ‘

Chand aur Suraj ka grahan asaar e qudrat hain. Kisi ke marne, jeene (ya kisi aur wajah) se namudaar nahi hote.

Balke Allah (apne) bando’n ko ibrat dilaane ke liey zahir fermata hai.
Agar ’tum aise asaar dekho to jald az
jald dua, isteghfar aur yaad ilaahi ki taraf rujoo karo’.
(Bukahri: al Kasoof 1059 – Muslim: al Kasoof -2098)

Ahle Jaahiliyat ka aqeeda tha ke suraj ya chand isi waqt grahan hote hain jab koi ahem shaqsiyat paida ho ya wafaat
paae ya duniya mein koi ahem waqya numaa ho.

Nabi e Akram SallAllahu Alaihi wasallam ne isi baatil aqeede ki nafee farmai.
Yaani suraj ya chand ke grahan hone ka ta’aluq kaenaat ke waaqyaat se nahi balke barah raast Allah Ta’ala ki mashiyat aur qudrat se hai aur wo Allah jo tumhare saamne inhei’n be noor kar sakta hai wo qiyaamat ke qareeb bhi inhei’n be noor karke lapet dene par qaadir hai, lehaza is se darte raho.

Abdullah bin Umroo r.a. se riwayat hai ke jab suraj graham ho to Ap SallAllahu Alaihi wasallam ne 1 shaqs ko ye elaan karne ka hukam farmaya:
‘As Salaatil Jaamia’ah’ Namaaz Jamaa Karne Waali Hai. (Tumhei’n bulaarahi hai).
(Bukahri: al Kasoof 1045 – Muslim: 2091 to 2098)

Suraj Grahan Ki Namaz Ka Tareeqa:

Abdullah bin Abbas r.a. se riwayat hai ke Nabi e RahmatSallAllahu Alaihi wasallam ke zamaane mein suraj grahan hua. Aap ne baa-jamaat 2 rakat namaz padhi. Aap ne Surah Baqra tilaawat karne ki miqdaar ke qareeb lamba qiyaam kiya phir lamba ruku kiya. Phir sar utha kar

lamba qiyaam kiya (ruku ke baad qauma karne ki bajaae dobaara qira‐at shuroo kardena 1 hi rakat ka tasalsul hai lehaza is

mauqe par nae sire se Surah Faatiha nahi padhi jaaegi. Phir pahle ruku se kam lamba ruku kiya.

Phir (qauma karke) 2 sajde kiey.

Phir khade hokar lamba qiyam kiya,

phir 2 ruku kiye phir 2 sajde karke aur tashahud padh kar salaam phera,

phir khutba diya, jis mein

Allah ki tareef aur sana bayan ki aur farmaya: ‘Suraj aur chand Allah ki nishaniyo’n mein se 2 nishaniya’n hain. Kisi ke marne ya paida hone se inko graham nahi lagta.

Jab tum graham dekho to Allah ka zikar karo. (Dauran e Namaz) main ne jannat dekhi,

agar main is mein se 1 angoor ka khosha le leta to tum rehti duniya tak is mein se khaate rehte aur main ne dozaqh (bhi) dekhi.

Is se badh kar haulnaak manzar main ne (kabhi) nahi dekha. (aur) main ne jahannam mein ziyada ta’adaad aurato’n ki dekhi. Arz ki gai Ya Rasool Allah kya wajah hai (auratei’n ziyada jahannam mein kyou’n hain) Aap ne farmaya: Wo kufr karti hain.
Arz Ki gai kya Allah ka kufr karti hain?

Aap ne farmaya: ‘Wo khawind ki naashukri karti hain, agar tu 1 muddat tak inke sath acchai karta rahe phir inki marzi ke khilaf koi kaam kare to kahti hain ke maine tujh se kabhi bhalaai nahi dekhi.’
(Bukahri: al Kasoof 1052 – Muslim: al Kasoof - 2091 to 2098)

Is se maloom hua ke kisi mohsin ki ehsaan faraamoshi gunah e kabeera hai. Jab kisi bande ki ehsan faraamoshi kabeera gunah hai to jo khaliq ki ehsaan faraamoshi karta hai iska gunah kis qadr khatarnaak hoga? Allah ham sab ko hidaayat de. aameen.

Suraj aur chand garhan jaa ne par Aap ghabra uthte aur namaz padhte, Asma r.a. bayan karti hain ke Aap ke zamaane mein (1 dafa) suraj graham hua to Aap ghabra gae aur ghabrahat mein ahle khana mein se kisi ek kurta le liya. Baad mein chadar mubaarak Aap ko paho’nchai gai. Asma bhi masjid mein gaie’n aur aurato’n ki saf mein khadi ho gaei’n. Aap ne itna taweel qiyaam kiya ke inki niyyat baithne ki ho gai lekin inho’n ne idhar udhar apne se kamzor aurato’n ko khade dekha to wo bhi khadi rahei’n.
(Muslim: 2091 to 2098)

Aap ka ghabraana Allah ke dar ki wajah se tha. Jab Aap Allah ke pyaare Nabi hokar bhi ghabraa uthte the to afsos hai ham ummatiyo’n par jo baarha gunaho’n ke bawajood aise mawaaqe par Allah ki taraf rujoo nahi karte.

Jabir r.a. kahte hain Nabi e Akram ke zamaane mein 1 saqht garmi ke din suraj grahan hua, Aap SallAllahu Alaihi wasallam ne Sahaba Ikram ko sath le kar namaz padhi. Aap ne itna taweel qiyaam kiya ke log girne lage.
(Muslim: 2091 to 2098)

Asma r.a. khti hain ke Aap SallAllahu Alaihi wasallam ne itna lamba qiyaam kiya ke mujhe (Aurato’n ki saf mein khade khade) ghash agayaa. Main ne baraabar mein apni mushk se paani le kar sar par daala.
(Bukhari: al Juma 922 – Muslim: 2091 to 2098)

Nabi e Rahmat SallAllahu Alaihi wasallam kis qadr se suraj grahan ki namaz padhte the, lekin ham ne kabhi is namaz ki taraf tawajjoh nahi ki.

Rasool Allah SallAllahu Alaihi wasallam ke peeche auratei’n bhi suraj grahan ki namaz padhti thei’n. Hamei’n bhi chaahiey ke ham masjid mein suraj graham ki namaz ba jamaat ka ehtemaam karei’n aur hamari auratie’n bhi zaroor masaajid mein jaakar namaz mein shaamil ho’n.

Allah hame taufeek inayat kare ki is namaz ko ham fir se ba-ehtimam padhe jis tarah RasoolAllah SallAllahu Alaihi wasallam, sahaba aur sahabiyat ehtimam karti thi.

AAMEEN YA ALLAH.

LAILATUL QADR AUR USKI FAZILAT

BISMILLAH

◄Hum ne ye Quran ko Shab-e-Qadr me nazil farmaya hai.
(Al Quran, Surah Qadr 97, Ayaah 1)


◄Beshak! Hum ne is (Quran) ko Laylat-ul-Mubaraka me uthara hai. Beshak! Hum khabardaar karne wale hai, isi Raat me har mamile ka Hakimana faisla kiya jaata hai.
(Al Quran, Surah Dukhan 44, Ayaah 3-4)

◄Beshaq humne is (Quran) ko Shab--e-Qadr mein nazil kiya hai, Aur Aapko kya Malum ki Shab-e-Qadr Kya hai, Shab-e-Qadr Hazar mahino se behtar hai ismein farishtey aur rooh nazeel hote hain, Aapney Rab ke hukm se har kaam par wo subah Roshan honey tak salamati ki raat hai
(Al Quraan: Surah Al-Qadr (97)

◄ Umm Aayesha Radi allahu anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya

"Shab-e-Qadr ko Ramadhan ki Aakhri Ashrey ki Taaq (21, 23, 25, 27, 29) raaton mein talaash karo".
Sahih Bukhari, Vol 3, 2017

◄Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya
Shab-e-Qadr ko Ramzan ke aakhri ashrey ki taaq Raato me talaash karo
(Sahih Bukhari, Hadees 2017)

◄Hazrath Ibne Omar Radi Allahu Anhu ka bayan hai Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke sahaba ko khwab mein Ramzan ke akhri Ashre mein Shabe Qadr nazer ayi

Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya," Tum logon ko Ramzan ke akhri Ashre mein hi Shabe Qadr nazar ayi hai .Chunache Tum sab log Akhri Ashre hi mein iski justaju kiya karo ".

(Sahih Bukhari, Shabe Qadr ki fazilat ka Bayan ,Vol-no: 03, Book: 32 (Kitaab-ul-Lailatul-Qadr), Hadees-no: 2015)

=============

LAILATUL QADR ki FAZILAT

◄Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya
"Ye Mahina jo tum par aya hai ismein ek aisee Raat hai jo Hazaar Mahino se behtar hai
Jo Shaks is se mehroom raha wo har bhalayi se mehroom raha is raat ki saadat se sirf Badnaseeb hi ko mehroom kiya jata hai "
(Sunan Ibn E Majah, Hadees Number 1644)

Sab e Qadr (ki raat) ek hazaar mahino se behtar hai [83 saal 4 mahino ki ibadaat se behtar](surah:kadr-97 aayat no.3) HAZRAT MUHAMMAD SALLAL LAHO ALAIH WA SALLAM NE FARMAYA

"jo lailatul qadr mein imaan wa ahtasaab ke saath namaaz mein khara rahega uske agle tammam gunaah maaf kar diye jaate hai "
(bukhari:2014)

==============

LAILATUL QADR KI DUWA

اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّ

◄ Hazrath Aisha Radi Allahu Anha ne farmaya," Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam agar

Mujhe shab-e-Qadr mil jaye to kya dua karu "?

To Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya.
kaho

Allahumma innaka afuwwun tuhibbul-afwa, fafu anni

Ya Allah tu maaf karne wala hai aur maaf karne ko pasand karta hai isliye mujhe maaf farma
(Sunan ibn Majah, Vol 3, 731-Sahih)
(Tirmizi ,Hadees Number 3513

==========
Bohat log aise hain jo apne aap ko Aashiq-E-Rasool,Ghulam-E-Rasool aur na Jaane kya kya bolte rehte hai lekin is hadeeson pe amal hi nahi..

raat din aimma arba ka rat lagane wale ko bhi aksar dekha jata hai ke ek raat (27 ),ko makhaus karar de kar sirf usi raat me ibadat karye hain .

kuch aise bhi hain jo apne man se us raat ki alag alag pahchan banaye hue hain .

Yaad rahe ! lailatul qadr ke baare me hadees me bataur e khaas uski alaamat bayaan nhi ki gai,is liye ye kehna ke is raat aasmaan par taaron ki chamak zada hoti hai,kutton ke bhokne ki awaaz nhi aati,suba hone par suraj tulu hota hai to us ki shuwaayen(rays) nahi hoti,baatil qaul hai,jiski daleel hadees me maujood nhi ..

Allah pak se dua hai ki allah hame ye Mubarak raat naseeb farma de.
Aur in taak raaton me ye dua kasrat se padhen.

ALLAH HUMMA INNAKA AFF'UN TUHIBBUL AFWA FA FU ANNI.
  • (Tirmizi)

Aur apni duao me mujhe yaad rakhe.

Jazak Allahu khairan

AASAAN DEEN (Part - 2)


BISMILLAH

Hamaare Nabi ﷺ ne farmaaya: Adl wa insaaf ke saath hukoomat karne waale qayaamat ke din Allah ke nazdeek doosre sab logon se ziyaada pyaare aur mahboob honge aur un ko Allah Ta'ala se sab se ziyaada qurb haasil hoga. Aur zulm wa naainsaafi ke saath hukoomat karne waale qayaamat ke din Allah ke nazdeek sab se ziyaada mabgooz honge aur Allah se door honge.
[Tirmizi: 1329]

Is liye ham ko sab ke saath insaaf wa rawaadaari ka muaamla karna chaahiye aur kisi ke saath zulm wa naainsaafi nahin karni chaahiye. Mahmood Gaznawi bahot bade faateh aur riaaya parvar baadshaah guzre hain. Woh apni riaaya ke saath bahot adl wa insaaf karte the, un ke adl wa insaaf ke bahot se qisse mash'hoor hain.

Ek martaba ek saudaagar ne Mahmood Gaznawi se un ke ladke Masood ke baare mein shikaayat ki aur kaha ke main pardesi saudaagar hoon aur muddat se is shaher mein pada hoon, ghar jaana chaahta hoon magar nahin ja sakta. Kyun ke shehzaade ne mujh se saathh hazaar deenaar ka sauda khareeda hai aur qeemat nahin ada karta hai, main chaahta hoon ke shehzaada Masood ko qaazi ke saamne bheja jaaye.

Mahmood Gaznawi ko saudaagar ka waaqia sun kar bahot ranj huwa aur Masood ko hukm diya ke ya to saudaagar ka muaamla saaf karo ya us ke saath kachehri mein qaazi ke saamne haazir ho jaao, taake sharai hukm jaari kiya jaaye.

Jab sultaan Mahmood Gaznawi ka paigaam Masood ke paas pohncha to us ne fauran apne khazaanchi se poochha ke mere zaati khazaane mein kis qadr naqd hai.

Us ne kaha ke bees hazaar deenar. Masood ne kaha ke yeh raqam saudaagar ko dedo aur baaqi ke liye teen din ki mohlat maang lo. Aur Mahmood Gaznawi ki khidmat mein yeh kehla bheja ke main ne bees hazaar deenar is waqt ada kar diye hain aur teen din mein baaqi bhi ada kar doonga.

Sultaan ne kaha ke main kuchh nahin jaanta, jab tak tum saudaagar ka rupya ada na karoge main tumhaari soorat dekhna nahin chaahta.

Masood ko jab yeh jawaab mila to us ne idhar udhar se qarz le kar fauri taur par saudaagar ko ada kar diye.

Is tarah ke aur bhi qisse Mahmood Gaznawi ke adl wa insaaf ke baare mein mash'hoor hain. Unhon ne sab ke saath rawaadaari barti. Unhon ne gair muslimon ko bhi apni fauj mein bade bade ohde diye the, Hindu Rao us ki fauj ka aala afsar tha. Taulak naami shakhs bhi us ki saltanat ka rukn tha

*​​​(4)➾ Waalidain ka Adab-o-Ehteraam*​

Islaam ne maan baap ke saath achchha sulook karne aur un ka adab-o-ehteraam karne ki taaleem di hai, kyun ke maan baap hamaari parwarish karte hain, hamaari har zaroorat ka khayaal rakhte hain, hamaari khaatir apna aaraam qurbaan kar dete hain, un ka ham par bada ehsaan hai, isi liye Allah Ta'ala ne apni ibaadat ke baad maan baap ke saath achchha bartaao aur un ka adab-o-ehteraam karne ka hukm diya hai.

Qur'aan-e-Kareem mein hai: "Tumhaare rab ne saaf saaf hukm diya hai ke tum us ke alaawa kisi ki ibaadat na karo aur apne maan baap ke saath achchha bartao karo. Agar woh tumhaare paas hon aur un mein se ek ya donon budhaape ko pahonch jaayein, to unhein "uff" tak na kaho, na unhein jhidko, un se khoob adab se baat karo".
[Surah-e-Asra: 23]

Maan baap ki khidmat karne aur un ko raazi rakhne mein hamaare liye bahot faaide hain, duniya mein aur aakhirat mein bhi. Ek martaba ek sahaabi RaziyAllahu anhuma ne Huzoor ﷺ se poochha: Ya Rasoolallah ! Aulaad par maan baap ka kitna haq hai? Aap ﷺ ne farmaaya: Woh donon tumhaari Jannat aur Dozakh hain.
[Ibne Maaja: 3662]

Yaani jo shakhs maan baap ki khidmat karega, un ka kehna maanega, un ko raazi rakhega aur un ki izzat karega, to use Jannat milegi aur jo shakhs un ko takleef pahonchaaega, un ko naaraaz karega, un ka dil dukhaaega aur un ka kehna nahin maanega, to Allah Ta'ala use dozakh mein daal dega.

Ek hadees mein Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Jo farmaanbardaar aulaad apne maan baap ko muhabbat ki nazar se dekhe, to use har nigaah par ek maqbool haj ka sawaab milega.

Logon ko bada taajjub huwa, unhon ne poochha:
Agar woh din mein sau martaba dekhe (to har martaba maqbool haj ka sawaab milega?). Aap ﷺ ne farmaaya: Haan! (Har martaba us ko maqbool haj ka sawaab milega).
[Shoabul Imaan: 7856]

Is liye hamein chaahiye ke ham apne maan baap se muhabbat karein, un ki izzat karein, hamesha un ko aaraam pahonchaaein, kabhi bhi un ko zarra baraabar takleef na pahonchne dein,

har haal mein un se narmi aur adab se baat karein aur hamesha un ke liye dua karte rahein. Agar ham un ko raazi rakheinge to Allah Ta'ala bhi ham se raazi raheinge aur agar ham un ko naaraaz kar deinge, to Allah Ta'ala bhi ham se naaraaz ho jaaeinge.


*​​​​(5)➾ Kisi ke saamne haath na phailaao*

Logon se maangna aur sawaal karna intehaai buri aadat hai, yeh musalmaan ki gairat ke khilaaf hai ke woh Allah ke alaawa kisi doosre ke saamne haath phailaaye.

Islaam aise bure fel ko bilkul pasand nahin karta aur apne maanne waalon ko is se bachne ki taakeed karta hai aur har ek ko khuddaari ikhtiyaar karne aur mehnat ke zariye kama kar apni rozi ka intezaam karne ki taaleem deta hai.

Insaanon ka apni kamaai se khaana aur apni rozi ka intezaam karna, logon ke saamne haath phailaane se behtar hai.

Huzoor ﷺ ne farmaaya: "Tum mein se kisi (zaroorat mand) aadmi ka rassi lekar jangal jaana aur lakdiyon ka ek gatthha apni kamar par laad kar laana aur us ko bechna aur is tarah apne aap ko Allah ki taufeeq se sawaal ki zillat wa ruswaai se bacha lena bahot behtar hai is se ke woh logon ke saamne haath phailaaye phir khwaah woh us ko dein ya na dein".
[Sahih Bukhaari: 1471]

Hadees mein ek waaqia bayaan kiya gaya hai ke Ansaar mein se ek (muflis aur gareeb) shakhs Rasoolullah ﷺ ki khidmat mein haazir huwe aur Aap ﷺ se kuchh manga. Aap ﷺ ne farmaaya ke kya tumhaare ghar mein koi cheez nahin hai ? Unhon ne arz kiya: Bas ek kambal hai jis ka kuchh hissa ham odh lete hain aur kuch bichha lete hain aur ek pyaala hai jis se ham paani peete hain. Aap ﷺ ne farmaaya: Yeh donon cheezein mere paas le aao. Unhon ne woh donon cheezein Aap ﷺ ki khidmat mein pesh kar di. Aap ﷺ ne woh kambal aur pyaala haath mein liya aur (neelaam ke tareeqe par) haazireen se farmaaya: Kaon in donon cheezon ko khareedne ke liye tayyaar hai? Ek saahab ne arz kiya: Hazrat ! Main ek dirham mein in ko le sakta hoon. Aap ﷺ ne farmaaya: Kaon ek dirham se ziyaada de ga. (yeh baat Aap ﷺ ne do dafa ya teen dafa farmaai) Ek doosre saahab ne arz kiya ke Hazrat Main do dirham mein le sakta hoon. Aap ﷺ ne donon cheezein un ko de deen aur un se do dirham le liye aur us Ansari shakhs ke hawaale kiya aur farmaaya: In mein se ek dirham se tum khaane ka kuchh saamaan le kar apne ahl-o-ayaal ko de do aur doosre dirham se kulhaadi khareed kar mere paas laao. Unhon ne aisa hi kiya aur kulhaadi le kar Aap ﷺ ki khidmat mein haazir huwe.

Aap ﷺ ne apne daste mubaarak se us kulhaadi mein lakdi ka ek mazboot dasta laga diya aur un se farmaaya: Jaao aur jangal ki lakdiyaan laakar becho aur ab main pandra din tak tum ko na dekhoon, chunaanche woh saahab chale gaye aur Aap ﷺ ki hidaayat ke mutaabiq jangal ki lakdiyaan laakar bechte rahe.

Phir ek din Aap ﷺ ki khidmat mein haazir
huwe, unhon ne apni mehnat aur lakdi ke kaarobar se das dirham kama liye the, jin mein unhon ne kuchh ka kapda khareeda aur kuchh ka galla wagaira. Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Apni mehnat se kamaana tumhaare liye is se behtar hai ke qayaamat ke din tumhaare chehre par logon ke maangne ka daag ho.
[Abu Daawood: 1641]

*​​​​​(6)➾ Islaam ki taaleem*

Deen-e-Islaam bahot achchha mazhab hai, achchhi baatein sikhaata hai aur buri baaton se rokta hai, saare logon ki bhalaai aur kaamyaabi Islaam hi mein hai, Islaam sachcha mazhab hai, woh hamein sikhaata hai ke Allah ek hai, woh paak aur be aib hai, us ka koi shareek wa saajhi nahin hai, woh hamesha se hai aur hamesha rahega aur Hazrat Muhammad ﷺ Allah ke bande aur Rasool hain aur Qur'aan Majeed Allah Ta'ala ki kitaab hai.


Islaam hamein yeh hukm deta hai ke
 ham maan baap ke saath acha sulook karein,
 bhaai behnon ke saath muil jul kar rahein, rishtedaaron ke saath silah rehmi karein, kisi ka haq na dabaaein, kisi ke saath badsulooki aur badtameezi na karein, badon ki izzat aur chhoton par raham karein, 
hamesha sach bolein kabhi jhoot na bolein, sab ke saath insaaf ka muaamla karein, 

kisi par zulm na karein,
padosiyon aur hamsaayon ke saath achchha bartaao karein,
koi beemar ho jaaye to us ki ayaadat ke liye jaayein,
dil mein keena na rakhein,
kisi ki geebat na karein,
doosron ke saath bhi khair khwaahi ka muaamla karein,
kisi ke haq mein bura na chaahein,
halaal rozi kamaayein aur haraam kamaai se bachein,
zabaan se bhali baatein hi nikaalein aur
gaali galoch aur buri baaton se parhez karein,
kisi se kuchh waada karein, to us ko poora karein,
kisi ka maal chheen kar lena,
chori karna, ya kisi ka haq daba lena bade gunaah ka kaam hai,
sharaab peena juwa khelna,
soodi len den karna bhi naajaaiz aur haraam hai, in sab se bachte rahein.

*​​​​​​(7)➾ Namaaz ki taakeed​*

"Namaaz" Islaam ka doosra rukn hai, Qur'aan wa Hadees mein namaaz padhne ki sakht taakeed ki gai hai, yeh tamaam ibaadaton mein sab se afzal ibaadat hai, namaaz har musalmaan par farz hai aur zaahiri taur par momin aur kaafir ke darmiyaan farq karne waali cheez namaaz hi hai, goya yeh musalmaanon ki ek khaas nishaani hai.


Huzoor rasool ﷺ ne irshaad farmaaya: *"Inn bainarrajuli wa bainashshirki walkufri tarkassalaah"*

Tarjama:
Aadmi aur kufr wa shirk ke darmiyaan namaaz chhod dene hi ka farq hai
[Sahih Muslim: 256]

Islaam mein namaaz ko jitni ahmiyat di gai hai, kisi aur ibaadat ko utni ahmiyat nahin di gai hai. Namaaz ko chhodna ya us ko ada karne mein laaparwaahi karna sakht gunaah hai, is se Allah Ta'ala bahot naaraaz hote hain.


Ek hadees mein Rasoolullah ﷺ ne farmaaya ke jo banda ehtemaam se namaaz ada karega, to woh (Namaaz) qayaamat ke din us ke waaste noor hogi, (Jis se qayaamat ki andheriyon mein us ko roshni milegi aur us ke imaan waala hone aur Allah Ta'ala ka farmaanbardaar banda hone ki nishaani) aur daleel hogi aur us ke liye najaat ka zariya banegi aur jo shakhs namaaz ki adaaigi ka ehtemaam nahin karega, to woh us ke waaste na noor banegi aur na daleel hogi aur na hi najaat ka zariya hogi aur woh badbakht qayaamat mein Qaaroon, Firaon, Haamaan aur Umayya bin Khalf ke saath hoga.
[Musnad-e-Ahmad: 6576]

Is liye ham logon ko kabhi bhi namaaz nahin chhodni chaahiye. Is ko waqt par ada karne aur jamaat ke saath padhne ka poora ehtemaam karna chaahiye. 

Agar kabhi kisi sakht majboori ki wajah se namaaz qaza ho jaaye, to jald se jald padh lene ki koshish karni chaahiye.

Agar ham nahin padhenge, to Allah Ta'ala ham se naaraaz ho jaayeinge aur ham ko Jahannam mein daal deinge.

Ref:* Deeniyat Course book

CONTINUE IN SHAA ALLAH

AASAAN DEEN (Part - 1)

BISMILLAH

Allah Ta'ala ke hukm aur Nabi ﷺ ke tareeqe par zindagi guzaarne ko "Deen" kehte hain.

​Qur'aan :*​

اَلۡیَوۡمَ اَکۡمَلۡتُ لَکُمۡ دِیۡنَکُمۡ وَ اَتۡمَمۡتُ عَلَیۡکُمۡ نِعۡمَتِیۡ وَ رَضِیۡتُ لَکُمُ الۡاِسۡلَامَ دِیۡنًا ؕ

*Tarjama :*
Aaj main ne tumhaare liye tumhaara Deen mukammal kar diya aur tum par apni nemat poori kar di aur tumhaare liye Islaam ko Deen ke taur par (hamesha ke liye) pasand kar liya.
[Surah-e-Maaida: 3]

Islaam mukammal Nizaam-e-Zindagi ka naam hai. Is mein jahaan dil-o-jaan se ek Allah ki wahdaaniyat Rasool ki Risaalat aur Yaum-e-Aakhirat par Imaan laane ka hukm hai, waheen panj waqta namaazon ke ehtemaam, Ramzaan ke rozon ki paabandi, Zakaat ki adaaigi aur Haj karne ka mutaalba hai. Saath hi saath tijaarati len den mein amaanat daari wa sachchaai ikhtiyaar karne ka hukm aur dhoka dene aur jhoot bolne se ijtinaab ki taaleem hai neez apne akhlaaq wa kirdaar ko sanwaarne ki bhi talqeen wa hidaayat di gai hai.

​Isi liye Deen ke mash'hoor paanch shobe qaraar diye gaye hain:

*1. Imaaniyaat :* Is se muraad woh cheezein hain jin par ek musalmaan ko dil se pakka yaqeen rakhna zaroori hai, jaise Allah Ta'ala ki wahdaaniyat aur Rasool ﷺ ki Risaalat ka iqraar karna.

*2. Ibaadaat :* Is se muraad woh nek aamaal hain jo Allah ki raza aur khushnoodi haasil karne ke liye kiye jaate hain: Jaise Namaaz, Roza, Haj, Qur'aan ki tilaawat, Deen ka ilm haasil karna wagaira.

*3. Muaamlaat :* Is se muraad khareed wa farokht, tijaarat wa business, aapsi len den aur wiraasat wagaira ko Ahkaam-e-Shariat ke mutaabiq anjaam dena hai. Jaise naaptol mein kami na karna, amaanat mein khayaanat na karna, maal-e-wiraasat tamaam haq daaron mein taqseem karna wagaira.

*4. Muaasharat :* Is se muraad yeh hai ke Jin logon ke darmiyaan ham rehte hain un ke saath kaisa sulook aur kaisa bartaao karna chaahiye aur hamaare oopar un ke kya huqooq wa faraaiz hain. Jaise maan baap ki farman bardaari karna, padosiyon ke saath achchha sulook karna, kisi ko takleef na ponhchaana wagaira.

*5. Akhlaaqiyaat :* Is se muraad achchhe akhlaaq aur achchhi aadatein hain, jin ka har ek insaan ke andar hona zaroori hai. Jaise:

Sachaai,

amaanatdaari,

waada poora karna,

bugz wa hasad aur

geebat se bachna wagaira

​Kaamil wa mukammal Musalmaan wahi hai jis ki poori zindagi shariat ke mutaabiq guzre aur jin ke Imaan wa aqaaid,

ibaadat wa bandagi,

tijaarat wa len den,

aapsi taalluqaat,

akhlaaq wa aadaat sab kuchh Ahkaam-e-Shariat ke muwaafiq ho,

agar koi insaan Deen ke kisi shobe mein Islaami Ahkaam par amal nahin karta hai, to woh kaamil momin nahin ho sakta.

Maslan ek shakhs hai jis ka aqeeda to durust hai, ibaadatein bhi khoob karta hai magar logon ko dhoka deta hai, waada khilaafi karta hai, doosron ko takleef pahonchaata hai,

us ke akhlaaq-o-kirdaar gande hain, to aisa shakhs pasandeeda aur kaamil musalmaan nahin ho sakta; balke qayaamat ke din us ki yeh ibaadatein bhi kuchh kaam na deingi aur woh apni bad kirdaariyon ki bunyaad par Azaab-e-ilaahi mein giraftaar ho jaayega,

isi liye Allah Ta'ala ne musalmaanon se mutaalba kiya hai ke woh apne aap ko poore taur par Islaam ke taabe kar de aur apni zindagi us ke mutaabiq guzaare.

Allah Ta'ala ka irshaad hai: Aye Imaan waalo! Islaam mein poore ke poore daakhil ho jaao.

[Surah-e-Baqarah: 208]

Ek doosri jagah irshaad hai: Aur tum hargiz jaan na dena magar musalmaan hone ki haalat mein.

[Surah-e-Aale Imraan: 102]

​Lihaaza hamein apne Aqaaid, Ibaadaat, Muaamlaat, Muaasharat aur Akhlaaqiyaat wagaira zindagi ke tamaam shobon ko Islaam ke saanche mein dhaal dena chaahiye. Isi mein hamaari kaamyaabi aur najaat hai,

kyun ke Allah Ta'ala ne Islaam hi ko hamaare liye bataur-e-deen ke pasand kiya hai. Isi se Allah Ta'ala khush hote hai.

Islaam ke alaawa jitne bhi mazaahib hain sab baatil aur mansookh hain.

Ab qayaamat tak Islaam hi rahega. Har Insaan ki najaat aur kaamyaabi Islaam hi mein hai.

Isi ko Ikhtiyaar karne par paakeeza zindagi ka waada hai aur Jannat mein daakhle aur behisaab rizq ki khushkhabri hai.

Aasaan Deen ke mazmoon se hamaara mansha bachchon ki zehni tarbiyat aur aur Imaaniyaat aur Ibaadaat ke saath saath zindagi ke har shobe mein poore Deen ke mutaabiq apni zindagi guzaarne ka paaband banaana hai. Lihaaza Aasaan Deen ke unwaan ke tahat Deen ke mash'hoor paanch shobon se mutaalliq alag alag anaaween ke tahat mazaameen diye jaarahe hain.


Aasaan Deen ke asbaaq khud padh kar ya talba se padhwa kar achchhi tarah samjhaadein aur un mazaameen mein di gai hidaayaat ke mutaabiq apni zindagi guzaarne ki targeeb dein.

*(1)➾ Sab ko Allah ne Paida kiya*

Allah Ta'ala khaaliq hai, usi ne tamaam cheezon ko paida kiya, zameen ko banaaya, Aasmaanon ko bagair sutoon ke qaaim rakha, chaand wa sooraj aur sitaaron ko banaaya,

wahi aasmaan se baarish barsaata hai,

wahi zameen se darakht aur paude ugaata hai aur hamaare liye bahot saare phal aur phool paida karta hai,

Allah Ta'ala farmaata hai: Wahi hai jis ne aasmaan se paani barsaaya jis se tumhein peene ki cheezein haasil hoti hain aur usi se darakht ugte hain jin mein tum maweshiyon ko charaate ho.

Isi se Allah Ta'ala tumhaare liye khetiyaan, zaitoon, khajoor ke darakht, angoor aur har har qism ke phal ugaata hai.

Haqeeqat yeh hai ke in sab baaton mein un logon ke liye badi nishaani hai jo sochte samajhte hon.
[Surah-e-Nahal: 10,11]

Allah Ta'ala hi ne ham sab ko paida kiya hai, hamaare maan baap ko paida kiya hai, tamaam insaanon ke wahi khaaliq hain.

Qur'aan mein Allah Ta'ala farmaata hai: Usi ne insaan ko thheekre ki tarah khankhanaati hui mitti se paida kiya.
[Surah-e-Rahmaan: 14]

Tum yeh sochte honge ke Allah Ta'ala ne insaan ko kaise banaaya aur kab se insaanon ka silsila shuru huwa!

To maaloom hona chaahiye ke sab se pehle insaan Hazrat Aadam Alaihissalam hain, jab Allah Ta'ala ne un ko paida karne ka iraada kiya, to farishton se kaha:

Main zameen mein ek aisi makhlooq paida karne waala hoon jinhein main apna khaleefa aur qaaim maqaam banaaunga.

Farishton ne kaha:
Kya aap aisi makhlooq banaaeinge jo zameen par fitne phailaaegi aur fasaad karegi, haalaanke ham sab aap ki khoob ibaadat karte hain aur tasbeeh bayaan karte hain.

Allah Ta'ala ne farmaaya:
Jo main jaanta hoon woh tum nahin jaante, phir Allah Ta'ala ne paani aur mitti se ek paakeeza soorat banaai aur us mein rooh phoonki aur us ka naam "Aadam" rakha.

Unhein tamaam cheezon ke naam sikhaaye, un ke faaide bataaye, aur farishton ko hukm diya ke Aadam ko sajda karo.
Tamaam farishton ne sajda kiya,

magar Iblees ne sajda karne se inkaar kar diya aur ghamand mein aakar Allah ki naafarmaani ki, us par Allah Ta'ala ka gazab naazil huwa aur us ko Jannat se nikaal diya,
Iblees usi waqt se Hazrat Aadam Alaihissalam aur un ki aulaad ka dushman ban gaya.

Hazrat Aadam Alaihissalam hi se Allah Ta'ala ne apni qudrat ke zarye un ki biwi Hazrat Hawwa Alaihassalam ko paida kiya, Allah Ta'ala ne Hazrat Aadam Alaihissalam aur Hazrat Hawwa Alaihassalam ko hukm diya ke Jannat mein jo chaaho khaao piyo, magar ek darakht ke baare mein farmaaya ke us ke qareeb bhi mat jaana.

Donon Jannat mein khoob maze se rehne lage, Iblees to pehle hi se un ka dushman tha,
us par un ka Jannat mein is tarah rehna bahot naagawaar guzra, us ne yeh thhaan li ke donon ko Jannat se nikaal kar hi dam loonga.

Us ne Hazrat Aadam Alaihissalam se kaha: Jaante ho tumhein us darakht ke qareeb jaane se kyun mana kiya gaya hai?

Is liye ke agar darakht ka phal khaaloge to hamesha Jannat hi mein rahoge aur agar nahin khaaya to Jannat se nikaal diye jaaoge, main tumhaara sachcha dost hoon, tum meri baat maan lo.

Hazrat Aadam Alaihissalam us ke behkaawe mein aa gaye aur us darakht ka phal kha liya.

Us par Allah Ta'ala ka itaab naazil huwa aur Hazrat Aadam Alaihissalam wa Hazrat Hawwa Alaihassalam ko duniya mein bhej diya,

Hazrat Aadam Alaihissalam ne Allah Ta'ala se khoob maafi maangi to Allah Ta'ala ne unhein maaf kar diya, donon is zameen par rehne lage, un ki aulaadein hueen aur aahista aahista poori duniya mein phailti chali gaeen.

Hazrat Aadam Alaihissalam sab se pehle insaan hain aur aaj tak jitne insaan paida huwe hain ya qayaamat tak paida honge woh sab un hi ki aulaad hain, isi liye un ki taraf nisbat karte huwe unhein "Aadmi" bhi kaha jata hai.

*​(2)➾ "Bismillah" se har kaam shuru karna*

Har ache kaam ko *"Bismillah"* se shuru karna bahot hi pasandeeda amal hai aur muasalmaano ki ek khaas pehchaan hai. Jis kaam ko *"Bismillah"* padh kar shuru kiya jaata hai, Allah Ta'ala us mein barkat dete hain aur jis kaam ko *"Bismillah"* padh kar shuru nahin kiya jaata, us se barkat uthha li jaati hai.

Huzoor ﷺ ka irshaad hai: *"Kullu amrin zee baalin laa yubdau feehi bibismillahirrahmanir raheemi aqtau."*

Tarjama:
Har woh aham kaam jis ko *"Bismillahirrahmaanirraheem"* se shuru na kiya gaya ho, woh adhoora reh jaata hai.
[Kanzul Ummaal: 2491]

Hamaare pyaare Nabi ﷺ har achchhe kaam ke shuru mein *"Bismillah"* zaroor padha karte the. Is liye ham musalmaanon ko bhi Aap ﷺ ki is sunnat par amal karna chahiye.

Ghar mein daakhil hote waqt,

ghar se nikalte waqt,

khaana khaate waqt,

paani peete waqt,

kapde pahente waqt,

joote pahente waqt,

koi kitaab padhte waqt,

kuchh likhte waqt,

apne kaarobaar ka kaam shuru karte waqt,
kisi se koi naya muaamla karte waqt,
algarz har kaam ke shuru mein *"Bismillah"* zaroor padh lena chaahiye aur
apne rozaana ke kaamon mein *"Bismillah"* padhne ko apna maamool bana lena chaahiye.

Yeh bahot hi aasaan amal hai, is mein koi mehnat aur pareshaani nahin hoti aur na hi us me waqt lagta hai aur hamein bahot saare faaide haasil ho jaate hai, Huzoor ﷺ ki sunnat par amal ho jaata hai, aise kaamon mein Allah Ta'ala ki taraf se barkatein bhi utarti hain aur Naama-e-Aamaal mein nekiyaan likh di jaati hain aur *"Bismillah"* padhne ki barkat se bahot saare kaam jo zaahir mein hamein dunyawi nazar aate hain, woh hamaare liye ibaadat ban jaate hain

*​​(3)➾ Insaaf aur Rawaadaari*

Sab ke saath insaaf aur rawaadaari ka muaamla karna Islaam ki bunyaadi taaleem hai. Islaam mein har ek ke saath insaaf karne ka hukm diya gaya hai aur naainsaafi se bachne ki taakeed ki gai hai.

Qur'aan Majeed mein Allah Ta'ala ka irshaad hai: Allah Ta'ala adl wa insaaf karne ka aur ehsaan karne ka hukm deta hai.
[Surah-e-Nahl: 90]

Phir adl wa insaaf karne ka yeh hukm sirf apnon ke saath hi nahin diya gaya hai, balke yeh hukm sab ke baare mein hai, hatta ke dushmanon ke haq mein bhi adl wa insaaf hi ki taakeed ki gai hai.

Allah Ta'ala ka irshaad hai: Aur kisi qaum ki dushmani tum ko is baat par aamaada na kare ke tum us ke saath insaaf na karo, tum insaaf se kaam lo, yahi tareeqa taqwa se ziyaada qareeb hai.
[Surah-e-Maaida: 8]n

Is aayat se saaf zaahir hai ke kisi shakhs se ya kisi qaum se agar bil farz hamaari dushmani aur ladaai ho, tab bhi ham un ke saath koi beinsaafi kareinge to Allah ke nazdeek sakht gunaahgaar honge.

 Ref:* Deeniyat Course book

CONTINUE ..IN SHAA ALLAH

*Hasad Kise Kehte Hai ?*


BISMILLAH

*Kisi Ko Khaata Peeta Ya Falta Foolta Dekh Kar Dil Me Jalna*

Aur Uski Neymato Ke Zawaal (Khatam Hone) Ki Tamanna Karna

Iss Kharaab Aadat Ka Naam “Hasad” Hai

Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya Ke ⬇️

“Hasad Se Bacho!

Iss Liye Ke Hazrate Aadam (Alaihay Salam) Ke Ek Bete Ne

Dusre Bete Ko “Hasad” Me Qatl Kar Diya Tha"

*(Ibn-e-Asaakir:40/49)*

Allah ta’ala ne *Qur'an Surah al Maidah ke Ayat 27 ta 30* main Adam Alaihi Salam ke dono beto ka zikr farmaya hai

*Hasad Kaha Jayaz Hai* ⬇️

Hazrat Abdullah Bin Mas’ud (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,

Rasool’Aallah ((Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya

Hasad Sirf Do Baato Me Jayaz Hai,


(1). (Ek) Tou Uss Shakhs Ke Baare Me Jisey Allah Ta’ala Ne Doulat Di Ho

Aur Wo Uss Doulat Ko Raah-e-Haq Me Kharch Kare,… Aur,

(2). (Dusra) Uss Shakhs Ke Baare Me Jise Allah Ta’ala Ne Hiqmat Di Ho

Aur Wo Uskey Jariye Faisley Karta Ho Aur Logo Ko Uski Taalim Deta Ho”.

*(Sahih Bukhari, Ilm Ka Bayan, 73)*


*Hasido Ke Hasad Se Panah* *Ke Liye Dua:*

“Allah Ke Panaah Maangta Hoon, Haasid Ke Sharr Se Jab Wo Hasad Kare”
Ameen
*(Surah Al-Falaq, Aayat 5)*


Allah Rabbul Izzat Hume Haasido Ke Hasad Se Panah Ata Farmaye ,..

Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
Khatma Humara Imaan Par Ho …

AAMEEN YA ALLAH

Sunday, February 19, 2017

AGAR KOI RISHTE DAR SOOD KHATA HO AUR US KE GHAR KA KHANA KAHA SAKTE?

BISMILLAH

SAWAL

AGAR KOI RISHTE DAR SOOD KHATA HO AUR US KE GHAR KA HUM KUCH KHALETE HAI TO KYA HAMARI 40 DIN IBADAT QUBOL NAHI HOTI AGAR NA KHAI TO BAAT BAN HO JATI HAI IS HALAT ME HUM KYA KRE?


JAWAB

Jo log soodi karobar karte hain ya soodi lein dein main mubtala hain, *aise logon ke paas khana na khaya jaye.*

Jo shaks ALLAH aur uske RASOOL sallAllahu Alaihi wasallam se dushmani rakhe aur unn se e’alan-e-jung kare, aise logon se nafrat ka izhar karna chahiye Aur un ko baar baar talqeen karna chahiye keh wo is kaam ko jalde se jalde chore dein.

Magar unn se qata’a talluq na karein aur agar wo rishtedaar hain to tab to unn ka haq aur v badh jaata hai.

Is maamale main agar koi naraz v hota hai to ap us ki narazgi ki koi parwah na karein.

Jo shaks ALLAH aur uske RASOOL sallAllahu Alaihi wasallam ko naraz kar raha ho uski narazgi ki kya parwah?

Ek haram ka luqma insan ki zindagi ko wabale jaan bana sakta hai.

*Jis ke peth main haram ka luqma ho us shaks ki dua v ALLAH qubul nahi hoti*

*Kuch ghar aise hain jahaan agar khana kha lena majboori ho to wahan kha lene mein koi harj nahi hai,* *Jaise Maa baap ka ghar.*

ALLAH taala ne istarah bayan ki hai,

ALLAH farmata hai Surah Noor ki aayat no. 61 main

لَيْسَ عَلَى الْأَعْمَى حَرَجٌ وَلَا عَلَى الْأَعْرَجِ حَرَجٌ وَلَا عَلَى الْمَرِيضِ حَرَجٌ وَلَا عَلَى أَنْفُسِكُمْ أَنْ تَأْكُلُوا مِنْ بُيُوتِكُمْ أَوْ بُيُوتِ آبَائِكُمْ أَوْ بُيُوتِ أُمَّهَاتِكُمْ أَوْ بُيُوتِ إِخْوَانِكُمْ أَوْ بُيُوتِ أَخَوَاتِكُمْ أَوْ بُيُوتِ أَعْمَامِكُمْ أَوْ بُيُوتِ عَمَّاتِكُمْ أَوْ بُيُوتِ أَخْوَالِكُمْ أَوْ بُيُوتِ خَالَاتِكُمْ أَوْ مَا مَلَكْتُمْ مَفَاتِحَهُ أَوْ صَدِيقِكُمْ لَيْسَ عَلَيْكُمْ جُنَاحٌ أَنْ تَأْكُلُوا جَمِيعًا أَوْ أَشْتَاتًا فَإِذَا دَخَلْتُمْ بُيُوتًا فَسَلِّمُوا عَلَى أَنْفُسِكُمْ تَحِيَّةً مِنْ عِنْدِ اللَّهِ مُبَارَكَةً طَيِّبَةً كَذَلِكَ يُبَيِّنُ اللَّهُ لَكُمُ الْآيَاتِ لَعَلَّكُمْ تَعْقِلُونَ

Andhay per langray per beemar per aur khud tum per (mutlaqan) koi harj nahi kay tum

1) apnay gharon say khalo

2) apnay bapon kay gharon se

ya 3) apni maahein kay gharon se

4) apnay bhaiyon ke gharon se

5) apni behan ke gharon se 6) apnay chachaon kay gharon se

7) apni phoophiyon kay gharon se

8) apnay mamoo’on kay gharon se

9) apni khalaon kay gharon se

10) unn kay gharon say jin ki kunjiyon kay tum malik ho 11) apnay doston ke gharon say.

Tum per is mein vkoi gunah nahi kay tum sab sath beht ker khana khao ya alag alag. Pus jab tum gharon mein janey lago to apnay ghar walon ko salam ker liya kero duya-e-khair hai jo ba-barkat aur pakeeza hai Allah Taalaa ki taraf say nazil shuda yun hi Allah Taalaa khol khol ker tum say apnay ehkaam biyan farma raha hai takay tum samajh lo.

*(Surah Noor: 61)*

⬆⬆ Jis gharon ka yahan zikar huwa hai, yahan be Rizak khane ka hukum ALLAH ne diya hai.

Majboori ke tahat in gharaun mein kha lene mein koi harj nahee hai.

Sood aur soodi karobar aaj hamare mu’ashare mein badi bareeki se phaila huwa hai.

Aisa shaks jo khud- kafeel na ho, Agar in mein se koi ghar soodi karobar ya len den mein mubtala ho,

aur in ke alawa is ka koi kafeel aur sarparast na ho, to ye majboori hai, is halat mein khana kha lene mein koi harj nahi.

*Aise rishtedaar jahaan khana kha lena hamari majboori na ho, wahan khane se parhez e kiya jaye.*

Aise rishtedaron ka puri tarah boycott v na karein is se rishtedaari mein darar paida hoti hai.

*Maqsad sirf khana na khana ho, baaqi saare talluqat apni jagah banaye rakhein.*

*Unn se baat cheet karein, husn-e-akhlaq se pesh aayein, rishtedaari ke tamam huquq ada karein.*

Tuesday, February 14, 2017

Daef hadith ko Rad Karn Ha to Phr Muhaddithon Unki Kitab mai Kyun Daerf Hadith Rivayat Kiye Hai?

SAWAL

*Jitne v Da'eef Hadith per amal krte unka  yeh ek dawa hai ke Agar Da’eef hadith ko Radd karna hai tho fir Muhaddithone unki kitaabome kyun Da’eef hadithe rivayat kiye hai ?*

JAWAB:

Aaiye dekte hai iske peeche Muhaddithon ka kya maqsad hai.

*[ Taken from the magnificent work of  Shykah. ZUBAIR ALI ZAI [Rahimahullah] from his tahqiq of the book Fadal as-Salat an-Nabi of Imam Ismaieel bin Ishaq Qadhi page 151 and Ilmi Maqalaat ]*

⚜ *IMAM AHMAD AND IBN MAEEN :*

وحكى الخليلي في الإرشاد بسند صحيح أن أحمد قال ليحيى بن معين وهو يكتب عن عبد الرزاق عن معمر عن أبان نسخة: “تكتب هذه وأنت تعلم أن أبان كذاب فقال يرحمك الله يا أبا عبد الله, أكتبها وأحفظها حتى إذا جاء كذاب يرويها عن معمر عن ثابت عن أنس أقول له كذبت, إنما هو أبان

Khaleeli Rah. Apne “ AL IRSHAD “ me SAHIH SANAD Ke Rivayat karte hai ke :

Imam Ahmed [Rahimahullah], Imam Ibn Ma’eef [Rahimahullah] ek Niskhah An Abdur Razaq-An Mo’mar- An Abaan likte waqt farmate hai ke..

“ Ap yeh Nikshah likrahe ho tabki aap jaante hai ABAAN ek Jhoota hai ?

Tho ispar Ibn Ma’eef [Rahimahullah] farmate hai ke ..

“ ALLAH ki rahmat ho aap par ! Ya Abu Abdullah, Mai yeh likhraha hu aur yaad rakhlerahahu [ memorizing ], Tho jab kabhi Ravi aakar is SANAD, An Mom’ar-An Sabit-An Anas se rivayat karta hai tho mai kahsakta hu ke Tum jhoot bolrahe ho. Yeh Abaan hai Saabit nahi.

*[TAHDHEEB UT TAHDHEEB 1/101 QUOTE TRANSLATED BY ABDUL RAHEEM SALAFI]*

⚜ *AL HAFIDH IBN E HAJAR ASQALANI [RAHIMAHULLAH] :*

بل أكثر المحدثين في الأعصار الماضية من سنة مائتين وهلم جراً إذا ساقوا الحديث بإسناده اعتقدوا أنهم برئوا من عهدته

Asalme, Bahuth saare Muhadditheen 200 H ke baad Hadithonko SANADonke saath
zikr kiya hai aur unke mutaabik wo is ilzaamat se bari hai.

*[LISAN AL MEEZAN UNDER THE TARJUMAH OF SULEMAN BIN AHMAD BIN AYYUB TABRANI 3/75]*

⚜ *SAKHAWI [RAHIMAHULLAH] :*

Jyadatar Muhadditheen unme Kh’askar Tabrani, Abu Nueem aur Ibn E Mundah ne Hadithonko Sanadonke saath Rivayat kiye hai, Sanadonko rivayat karne ke baad unki kfayat thi ke wo wo is ilzaamat se bari hai.

*[FATH UL MUGHEES SHARAH AL FIYYATUL HADEETH VOL 1 PAGE 254]*

⚜ *SHAYKH UL ISLAM IBNE TAMIYAH [RAHIMAHULLAH] :*

(Abu Nuyeem) aur unke jaise muhadditheenone ek Kh’as mauzu par Hadithe Rivayat kiye hai [ Koi baat nahi SAHEEH ya DA’EEF ], taaki logonko hadith ke baareme pata chale ke ham unse Daleele [ Da’eef rivayatonse ] nahi lete.

*[MINHAJ US SUNNAH VOL # 4 PAGE # 15]*

⚜ *SHAYKH ZUBAIR ALI ZAI [RAHIMAHULLAH] :*

Sahihyn, SAHEEH AL BUKHARI AUR SAHEEH AL MUSLIM ke siwa poore kitaabe jaise Imam Al Bukhair Rah. Ke Al Adab Wal Mufrad aur Musnad Ahmad wagairah me Da’eef hadithe Maujood hai. Aur Muhadditheen isse Bari hai.

Wo log kabhi Rivayat DALEEL lene ke taur par nahi kiye hai magar Muarifat ke liye kiye hai.

*[AL HADITH NO : 68 PAGE 50]*
*(END QUOTE FROM THE WORK OF SHAYKH ZUBAIR]*

⚜ *SHAYKH HAITHAM HAMDAN [RAHIMAHULLAH] MULTAQA FORUM ME FARMATE HAI KE :*

1⃣ Agar Da’eef Hadith nahi hothi, tho koi bhi Hasan li Ghayrihi’s hadith nahi hothi.

2⃣ Agar Da’eef Hadith nahi hothi, Taalib E Ilm [ Students ] kabhi Hadithonke Darje aur ya Kisme yeh nahi seekh paaye.

3⃣ Muhadditheen ne rivayat ki hai kyunki Rivayat me Urwadonki kamzori batane k liye.

4⃣ Muhadditheen ne Da’eef hadithonko rivayat kiya kyunki doosre rivayatonko SAHARA mile, nataake Qayem hojaaye.

5⃣ Muhadditheen Da’eef hadith rivayat kiye hai kyunki wo log ko pata tha ke Kaunsi Hadith Motabar hai aur kaunsi Da’eef, jaise ke Al-Thawri ne ek Da’eef Ravi Al-Kalbi se rivayat karte hai ke..” Muje pata hai ke wo kahase Sach kahraha hai “

6⃣ Muhadditheen ne Da’eef rivayt nakl kiye hai khyunke wo log ko pata tha ke Falan Ravi Da’eef nahi hai.

7⃣ Muhadditheen ne Da’eef rivayt nakl kiye hai kyunki sabko pata chale ke Falan Ravi ne Galti ki hai.

8⃣Muhadditheen ne Da’eef rivayt nakl kiye hai kyunki Ravi Da’eef hai magar Ek motabar pahlu ke zariyese jaise walid se rivayat karraha hai batane k liye.

9⃣ Da’eef rivayat shayad doosre Motabar Sanad ke sath bhi rivayat hothi ho magar Motabar Sanad badi (Naazil) hothi hai, tho Musannif [ Author ] chote daeef sanad (Aali) se kaafi karte hai.

🔟 Muhadditheen apne kitaabome Da’eef hadithe rivayat kiye hai aur fir da’eef hadithonko bayan karneka maqsad zaahir kiya hai jaise Malik, magar pahle wafat pagaye, jaise Hakim aur Bayhaqi [ Akri Hisseke inke kitaaben Pahle hisse se bhi kaafi Da’eef hai. ].

1⃣1⃣ Musannif [ Author ]  da’eef hadith ke baareme bekhabar the jab wo bayan karrahe the..

1⃣2⃣ Kyunki kuch log Hadith me jyada alfaaz ka izaafa kiya Jo darasal Haqiqatan Muhadditheen ke kitaabome aisa kuch nahi milega, jaise Musnad e Imam Ahmed, wo asalme chahte the ke ek shaks ki saare Rivayaten ek jagah jama Karen.

1⃣3⃣ Kuch Ulamaone Da’eef hadith ko Be-Usool aur Ba-Khaidah se hatke bayan karne ki Ijaazat di hai.
*[ SIrf Bayan karne ko, AML karne par nahi ]*

1⃣4⃣ Aur Akir me, Mizzi farmate hai ke :

Ibn Ma’een Rah. Farmaya ke : Ham Jhootonke Da’eef hadithe likhte hai kyunki un kagazse ham aag lagakar tazi roti banate hai.

*[ (31/557, TATHEEB AL-KAMAAL ]*

via: Nadeem Shaik

****-------------*******-------****
*FOLLOW US ON :  whatsapp Male Grp 2⃣*

 *FEMALE Grp kaly muje msgs krein taqiq kr ke add kia jyga*

https://chat.whatsapp.com/2jMn4CMz7XVFTI1oGz8VNr

*FOLLOW US ON: DEEN E SAWAL AUR JAWAB GRP*
https://chat.whatsapp.com/9Zjcdsa8AzKKQX7StLPwTX


*FOLLOW US ON: Telegram Grp*
t.me/akhiratkiitayari

*FOLLOW US ON: Blogspot*
http://akhiratkitayari.blogspot.sg

*FOLLOW US ON: Facebook Page*
https://www.facebook.com/akhiratkitayari/

Akhirat Ki Tayari: ISLAMIC ROMAN URDU BOOKS

Akhirat Ki Tayari: ISLAMIC ROMAN URDU BOOKS

ISLAMIC ROMAN URDU BOOKS


1. Allah Kahan Hain..?? Roman Urdu Books 

Link : 
https://thewayofsalafiyyah.wordpress.com/2016/12/21/allah-kahan-hain-roman-urdu-books/

2. Usool-e-Salaasah- Roman Urdu Book

Link : 
https://thewayofsalafiyyah.wordpress.com/2016/12/21/usool-e-salaasah-roman-urdu-book/

3. USOOL-e-Salasah ( Sawal-o-jawab )- Roman Urdu Book 

Link :
https://thewayofsalafiyyah.wordpress.com/2016/12/21/usool-e-salasah-sawal-o-jawab-roman-urdu-book/

4. Aao EEMAAN Ki Batein Karein- Roman Urdu Book 

Link :
https://thewayofsalafiyyah.wordpress.com/2016/12/20/aao-eemaan-ki-batein-karein-roman-urdu-book/

5. Musalmaan Ka Aqeedah Kitab-o-Sunnat ki Roshni mein – Roman Urdu Book 

Link :
https://thewayofsalafiyyah.wordpress.com/2016/12/20/musalmaan-ka-aqeedah-kitab-o-sunnat-ki-roshni-mein-roman-urdu-book/

6. Imaan Billah ki haqeeqat (Roman Urdu PDF Book)

Link :
https://thewayofsalafiyyah.wordpress.com/2017/02/09/imaan-billah-ki-haqeeqat-roman-urdu-pdf-book/

7. Mukhtasar Sahi Namaz E Nabvi By : Hafiz. Zubair Ali Zai – Roman Urdu Book 

Link : 
https://thewayofsalafiyyah.wordpress.com/2016/12/20/mukhtasar-sahi-namaz-e-nabvi-by-hafiz-zubair-ali-zai-roman-urdu-book/

8. Namaaz E Nabwi By : Shaikh.Saleh Al Uthaimeen- Roman Urdu Book 

Link : 
https://thewayofsalafiyyah.wordpress.com/2016/12/20/namaaz-e-nabwi-by-shaikh-saleh-al-uthaimeen-roman-urdu-book/

9. Namaz mein Seene Par Hath Baandhna ka Daleel (Roman Urdu Book)

Link :
https://thewayofsalafiyyah.wordpress.com/2017/02/09/namaz-mein-seene-par-hath-baandhna-ka-daleel-roman-urdu-book/

10. Muhammad Ali Mirza Ki HaQeeqat -Roman Urdu Book 

Link : 
https://thewayofsalafiyyah.wordpress.com/2016/12/20/muhammad-ali-mirza-ki-haqeeqat-roman-urdu-book/

11. Arafah Ka Roza Kab Rakha Jaye…?? Aek TehQeeqi Jaiza -Roman Urdu Book 
Link : 
https://thewayofsalafiyyah.wordpress.com/2016/12/20/arafah-ka-roza-kab-rakha-jaye-aek-tehqeeqi-jaiza-roman-urdu-book/

12. Kya Yeh Bhi Haram..?? Roman Urdu Book 

Link : 
https://thewayofsalafiyyah.wordpress.com/2016/12/20/kya-a-bhi-haram-roman-urdu-book/

13. Chehre ka Pardah Mustahab ya Wajeeb..?? Roman Urdu BOOK -PDF 

Link : 
https://thewayofsalafiyyah.wordpress.com/2016/12/20/chehre-ka-pardah-mustahab-ya-wajeeb-roman-urdu-pdf-book/

14. AHLE HADEES EK SIFATI NAAM HAI AUR ISPAR MUHADDISEEN KA IJMA HAI. 

Link : 
https://thewayofsalafiyyah.wordpress.com/2016/12/19/ahle-hadees-ek-sifati-naam-hai-aur-ispar-muhaddiseen-ka-ijma-hai/


15. Sirf “OnlyMuslim” KehneWale Nawajawanon ka Radd – Roman Urdu Book- PDF 

Link :
https://thewayofsalafiyyah.wordpress.com/2016/12/19/sirf-onlymuslim-kehnewale-nawajawanon-ka-radd-roman-urdu-book-pdf/

16. Gunahon Ko Mitane Wale Aamal – Roman Urdu Book – PDF 

Link :
https://thewayofsalafiyyah.wordpress.com/2016/12/19/gunahon-ko-mitane-wale-aamal-roman-urdu-book-pdf/

17. Parda Kion Aur Kaise ? Roman Urdu Book – PDF 

Link : 
https://thewayofsalafiyyah.wordpress.com/2016/12/19/parda-kion-aur-kaise-roman-urdu-book-pdf/

18. Shadi Kion Aur Kaise.? Roman Urdu Book – PDF 

Link :
https://thewayofsalafiyyah.wordpress.com/2016/12/19/shadi-kion-aur-kaise-roman-urdu-book-pdf/

19. Qu’ran In Roman Urdu Tarjuma By : Moulana Mohammad Junaagadi

Link :
https://thewayofsalafiyyah.wordpress.com/2016/12/20/quran-in-roman-urdu-tarjuma-by-moulana-mohammad-junaagadi/

20. Sahih Al- Bukhari Roman Urdu Book 

Link : 
https://thewayofsalafiyyah.wordpress.com/2016/12/21/sahih-al-bukhari-roman-urdu-book/

21. Seerat -e- Rasool ( Sallallahu alaihi wasallam ) Roman Urdu Book – PDF 

Link :
https://thewayofsalafiyyah.wordpress.com/2016/12/19/seerat-e-rasool-sallallahu-alaihi-wasallam-roman-urdu-book-pdf/

22. Ar-Raheeq Al-Makhtum (Roman Urdu PDF Book)

Link : 
https://thewayofsalafiyyah.wordpress.com/2017/02/09/ar-raheeq-al-makhtum-roman-urdu-pdf-book/

23. Eid ul Fitr ke Ahkaam / Eid Ke Masail (Roman Urdu PDF Book)

Link : 
https://allahisenoughforme123.wordpress.com/2016/06/29/eid-ul-fitr-ke-ahkaam-shaykh-abu-zaid-zameer/

24. Ramzan Se Mutalliq 50 Sawalat (ROMAN Urdu PDF Book)

Link : 
https://allahisenoughforme123.wordpress.com/2016/05/18/ramadhan-se-mutalliq-50-sawalat/

25. Talaq-e-Salasa : Quran Aur Saheeh Hadees ki Roshni Mein – Roman Urdu PDF 
Link : 
https://thewayofsalafiyyah.wordpress.com/2017/01/31/talaq-e-salasa-quran-aur-saheeh-hadees-ki-roshni-mein-roman-urdu-pdf-book/

Sunday, February 12, 2017

HAMAL Ke DAURÃN WAZEEFEY Ka HUKM?*

Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah*

SAWAL

Hamarey yahan kuch aurtein hamal ke dauran surah Yusuf aur surah Maryam wagairah ki tilawat karti hain, mera sawal ye hai ke kya shariyat mein hamal ke dauraan (period mein) kisi wazeefey ka suboot milta hai


JAWAB:

Hamal mukammal taur se takleef ka naam hai, hamila aurat ko is halat me bohot zada mushkilaat aur pareshaaniyon ka saamna karna padta hai, khaas taur se starting ke teen mahino mein. Jaisey jaisey hamal badhta hai museebat mein izafa hota chala jata hai, aur jab zachgi ka aalam hota hai toh us aalam ki takleef ka mardon ko taswwur nhi ho sakta. Iska andaza wahi kar sakti hai jo is halat se guzarti hai.

Quraan ne Iska zikr is tarha kiya hai:

وَوَصَّيْنَا الْإِنْسَانَ بِوَالِدَيْهِ حَمَلَتْهُ أُمُّهُ وَهْنًا عَلَىٰ وَهْنٍ وَفِصَالُهُ فِي عَامَيْنِ أَنِ اشْكُرْ لِي وَلِوَالِدَيْكَ إِلَيَّ الْمَصِيرُ

Tarjuma:

Hum ne insaan ko uskey maa baap ke mutalliq naseehat ki hai, uski maa ne dukh par dukh utha ke usey hamal me rakha.

Surah Luqman, Surah No: 31 Ayat No:14


Doosri jagah is takleef ka zikr is andaaz me hai:

وَوَصَّيْنَا الْإِنْسَانَ بِوَالِدَيْهِ إِحْسَانًا ۖ حَمَلَتْهُ أُمُّهُ كُرْهًا وَوَضَعَتْهُ كُرْهًا ۖ وَحَمْلُهُ وَفِصَالُهُ ثَلَاثُونَ شَهْرًا ۚ

Tarjuma:

Aur hum ne insaan ko apne maa baap ke saath husn e sulook karney ka hukm diya hai, uski maa ne takleef jhel kar usey pet me rakha aur takleef bardasht kar ke usey jana. Uskey hamal ka aur doodh chudaney ka zamana tees (30) mahiney ka hai.

*Surah Al-Ahqaaf, Surah No: 46 Ayat No:15*

Qurani Aayaat se wazeh hota hai ke hamal takleef-dar-takleef ka naam hai. Isi wajah se maa ka darja uncha ho jata hai.

Yahan sawal ye paida hota hai ke Islam ne Itni takleef'deh halat e hamal ke liye koi makhsoos dua ya koi makhsoos amal bataya hai?

Toh Iska jawab ye hai ke Islam mein takleef ke waqt ke liye kai duayen maujood hain? magar hamal ke liye koi khaas zikr, koi khaas dua, koi khaas wazeefa, aur koi khaas amal nahi batlaya gaya hai. Takleef ki halat me hamila (pregnant) aurat bagair takhsees kiye zikr o azkaar, tilawat e Quran, dua aur isteghfar wagera kar sakti hai.


*MUSEEBAT AUR BE'CHAINI KE WAQT KI KUCH DUAYEIN*


1⃣ اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ الْعَفْوَ وَالْعَافِيَةَ فِي الدُّنْيَا وَالْآخِرَةِ، اللَّهُمَّ أَسْأَلُكَ الْعَفْوَ وَالْعَافِيَةَ فِي دِينِي وَدُنْيَايَ وَأَهْلِي وَمَالِي، اللَّهُمَّ اسْتُرْ عَوْرَاتِي، وَآمِنْ رَوْعَاتِي، وَاحْفَظْنِي مِنْ بَيْنِ يَدَيَّ، وَمِنْ خَلْفِي، وَعَنْ يَمِينِي، وَعَنْ شِمَالِي، وَمِنْ فَوْقِي، وَأَعُوذُ بِكَ أَنْ أُغْتَالَ مِنْ تَحْتِي

Tarjuma:

Ya Allah! Beshak mein tujh se duniya aur akhirat mein maafi aur aafiyat ka sawal karta hon. Ya Allah! beshak mein tujh se maafi ka aur deen o duniya mein ahl o ayaal aur maal asbaab mein aafiyat ka sawal karta hon. Ya Allah! Merey aibon par parda daal dey aur meri pareshaniyon se mujhey aman day. Aur meri hifazat farma merey samnay se, mere peechay se, meri dayen taraf se, meri bayen taraf se aur mere upar se aur mai teri pañah chahti hun neeche se hàlàq kiye jane se.

*Ibn e Majah: 3871*

2⃣ Hazrat Abdullah bin Abbas Radhiallahu Anhuma se riwayat hai ke, RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam pareshaani ki halat mein ye kalimat dohratey they:

لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ الْعَظِيمُ الْحَلِيمُ، لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ رَبُّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ، لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ رَبُّ السَّمَوَاتِ، وَرَبُّ الأَرْضِ، وَرَبُّ الْعَرْشِ الْكَرِيمِ

Tarjuma:

Sahib e azmat aur burdbaar ke siwa koi ma’bood e barhaq nahi, Allah ke siwa koi ma’bood e barhaq nahi jo arsh e azeem ka Rab hai, Allah ke siwa koi mabood e barhaq nahi jo aasmaano aur zameenon ka Rab hai arsh e kareem ka Rab hai.

*Sahih Bukhari: 6346, Sahih Muslim: 2730*

3⃣ Hazrat Abu Bakrah Radhiallahu Anhu se riwayat hai ke, RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshaad farmaya: Preshaan haal ke liye yeh dua hai:

اللَّهُمَّ رَحْمَتَكَ أَرْجُو فَلاَ تَكِلْنِي إِلَى نَفْسِي طَرْفَةَ عَيْنٍ وَأَصْلِحْ لِي شَأْنِي كُلَّهُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ

Tarjuma:

Aye Allah! Main teri hi rehmat ki ummeed karta hun, tu mujhey lamha bhar (palakPaighaam e islam:

jhapakney tak) ke liye bhi mere nafs ke hawaaley na kar, merey saarey mu’aamlaat durust farma de, tere alawah koi sachcha ma’bood nahi hai.

*Abu Dawud: 5090*

*Allama Albani Rahimahullah ne “sahih al Jami’: 3388” mein isko sahih kaha hai*

4⃣ ﻟَﺎ ﺇِﻟَﻪَ ﺇِﻟَّﺎ ﺃَﻧْﺖَ ﺳُﺒْﺤَﺎﻧَﻚَ ﺇِﻧِّﻲ ﻛُﻨْﺖُ ﻣِﻦَ ﺍﻟﻈَّﺎﻟِﻤِﻴﻦ

Tarjuma:

Tere alawah koi sachcha ma’bood nahi, tu paak hai, yaqeenan mai hi zaalimon mein se hun.

*Tirmidhi: 3505*

*Allama Albani Rahimahullah ne “Sahih al Targheeb: 1826” mein isko sahih kaha hai*

5⃣ اللَّهُ اللَّهُ رَبِّي لاَ أُشْرِكُ بِهِ شَيْئًا

Tarjuma: Allah Allah mera Rab hai, main uskey saath kisi chiz ko bhi shareek nahi karta.

*Ibn e Majah: 3882*

Allama Albani Rahimahullah ne is Hadees ko sahih kaha hai.

6⃣ Rasool e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Agar kisi bande ko koi museebat pahunchey aur wo ye alfaaz kahey to Allah Taala usey uski museebat ka ajr deta hai aur usey uska behtar badal ata kar farmata hai.

إِنَّا لِلَّهِ وَإِنَّا إِلَيْهِ رَاجِعُونَ اللَّهُمَّ أْجُرْنِي فِي مُصِيبَتِي وَأَخْلِفْ لِي خَيْرًا مِنْهَا

Tarjuma:
Yaqeenan hum Allah hi ki milkiyat hain aur usi ki taraf laut kar jaaney waley hain, Aye Allah! mujhey meri is museebat ka ajr dey aur mujhey iska behtar badal ata farma.

*sahih Muslim: 918*

7⃣ ‏حَسْبُنَا اللَّهُ وَنِعْمَ الْوَكِيلُ‏

Tarjuma: Humarey liye Allah kaafi hai aur wo bohot achcha kaar saaz hai.

*Sahih Bukhari: Kitab ul Tafseer*

Allah Ta'ala har maa ko is dauran sabr e jameel ki quwwat dey. Aur aulaad ko walidain ke sath husn e suluk ki taufeeq ata farma.

AAMEEN YA ALLAH

Usool-e-Hadees kaha se aaye aur kisne banaya?*


SAWAL

*Usool-e-Hadees kaha se aaye aur kisne banaya?*


JAWAB:

Hadees ek Arabic lafz hai jisko Urdu me "khabar", "baat" kaha jayega. Isiliye "Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ke naam par bayan ki gayi Hadees bhi ek tarah ki khabar hi hai kyunke Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ke daur me ham mawjood nahi the. Agar aaj koi Aalim ya Musalman ya koi bhi shakhs Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ka naam lekar kaheta hai ke "ye baat" Rasoolullah ne kahi thi. Aise waqt me us shakhs ki baat ko fauri qubul nahi karenge. Ham tahqeeq karenge ke ye shakhs ne "ye Hadees" kaha se suni ? Aisa karke ham Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ke zamane tak pahunch sakte hain. Lekin uske liye kuchh buniyaadi usoolo ki zarurat padegi Aur wo usool already ban chuke hai.

*Log ye samjte hai ke Ulma-e-Muhadddisin ne Usool-e-Hadees apne taraf se tayyar kiye. Allah aur uske Rasool ne Hadees ke usool nahi diye the.Ulma-e-Muhaddisin ne Hadees ke Authencity ke liye jo usool banaye hai uski buniyaad already shariyat me mawjood hai* aur ye usool insaani fitrat par bhi khare utarte hai.

Ham bhi apni zindagi me jab koi aham khabar sunte hai to uski taheqiq karte hai. Jaisa ke aap apne ghar se dur kisi aur jagah rahte ho aur apko kisi AJNABI admi ne khabar di hai ke apke ghar me ladka paida huwa (us ajnabi admi ke baat par aap fauri bharosa nahi karoge) aise waqt aap apne gharwalo ko fauri phone karenge aur pata karenge ke waqai ladka paida huwa ya nahi. Agar yahi khabar aapko apke walid ne di hai to aap unpar bharosa karte huye khushi mahsus karoge.

*Aaj ham apko Hadees ke Usoolo ki buniyaad batana chahte hai.*

*Buniyaad Number 1:*

Allah ne khud hukm diya hai kisi khabar ke bareme tahqiq karne ke liye :

*يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓا۟ إِن جَآءَكُمْ فَاسِقٌۢ بِنَبَإٍۢ فَتَبَيَّنُوٓا۟ أَن تُصِيبُوا۟ قَوْمًۢا بِجَهَٰلَةٍۢ فَتُصْبِحُوا۟ عَلَىٰ مَا فَعَلْتُمْ نَٰدِمِين*


*"Aye Imanwalo! agar tumhe koyi faasiq khabar de to tum us ki acchhi tarah tahqeeq kar liya karo aisa na ho ke nadaani mein kisi qaum ko takhlif pahoncha do phir apne kiye par pashemaani uthaao".*

(Surah 49 Hujraat : Ayat 06)


*Is ayat se 2 Usool milte hai :*

1⃣ Agar koi khabar dena wala Kafir, Munafiq, Jhoota ho to uski kahbar/baat ko qubul na kiya jaayega. Aise shakhs ki di hui khabar ki taheqiq ki jayegi. Agar wo jhoota saaabit ho jaaye to aise shakhs se bayan ki hui hadees ko mawzu/manghadat/jhooti (fabricated) hadees kaha jayega.


2. Iske ulat, agar koi khabar denewala Imanwala, Siddique, Sachha ho to uski khabar/baat ko qubul kiya jayega. Aisa koi sachha Imanwala shakhs Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ke naam koi baat bayan karta hai to uski baat ko Sahih/Hasan Hadees kaha jaeyega.

*Buniyaad Number 2:

Zaid ibn Sabit Razi Allahu anhu ne kaha ke Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne dua farmayi hai ke :

*"Allah us shakhs ko taro-taazaa (hara-bhara, khush-hal) rakhe jo meri koi Hadees sune aur usko waise hi yaad kare (jaisa maine farmaya tha) aur usko waise hi logo tak pahuncha de”.*

(Kitabul Ilm, Sahih Abu Dawood)

*Is Hadees se ham ko 3 aur Usool milte hai...*

1⃣Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ki Hadees jis se li jaarahi hai wo Imanwala ho.


2⃣Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ka naam lekar koi Imanwala agar Hadees bayan kar raha ho aur uska haafiza (memory-power) mazboot (strong) ho to uski Hadees/khabar/baat ko qubul kiya jayega.

3⃣Iske ulat, Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ka naam lekar koi Imanwala agar Hadees bayan kar raha ho aur uska haafiza (memory-power) kamzor (weak) ho to uski Hadees/khabar/baat ko nahi liya jayega. Aise shakhs ki bayan ki hui hadees ko "Zaeef Hadees" qarar diya jayega.

*Khulasa:*

1⃣Hadees bayan karnewala Kafir/Fasiq/Munafiq na ho.

2⃣Dusari ahem shart Hadees bayan karnewala Imanwala ho.

Hadees bayan karnewala agar Imanwala hai to uska haafiza (memory power) dekha jayega.

Agar Hafeeza mazboot (strIslamic Concepts:

ong) hai to uski baat lijayegi

Agar uska haafiza kamzor ho to uski bayan ki hui Hadees qubul nahi ki jayegi. Lekin ek musalman hone ke naate uski izaat zarur karenge.

3⃣In Usoolo ke alaawa aur bhi kuchh usool hai aap khud un usoolo ko janne ki koshish kare.

Ye Dars :

*Shaykh Noorul Hasan Madani* serieske Lecture

*"Usool Al Hadeeth"* se liya gaya.

Complete Lecture series YouTube par maujud hai.

khade hoke khaana jaiz hai ya nhi aur kursi maze pe kaisa hai?

Sawal:
khade hoke khaana jaiz hai ya nhi aur kursi maze pe kaisa hai?

Jazak allah khair


ANSWER:

Maze par bait ke kabi nai khaye nabi sallAllahu alaihi wasallam


SUNNAT KA DALEEL

Hazrat Abu Hujefah Rad. se riwaayat hai ki Rasoolullah SALLALLAHU ALAI WASALLAM ne farmaaya main tek laga kar nahin khaata.

[ Sahi Al Bukhari ]

[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 746]


Hazrat Anas Rad. se riwaayat hai ki maine Rasoolullah SALLALLAHU ALAI WASALLAM ko dekha tha aap donon ghutne khade kiye huye aur khule zameen par tapke huye khajoor nosh farmaaya rahe the.

[ Sahih Muslim ]

[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 747]

Hazrat ibn e Abbas Rad. se riwaayat hai ki Rasoolullah SALLALLAHU ALAI WASALLAM ne farmaaya…

Jab khaana kha chuko to haath us waqt tak na pochho jab tak usko chaat na lo ya chatwa na lo.

[Al-Bukhari and Muslim].
[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 748]


Ka'b bin Malik (May Allah be pleased with him) reported:
I saw Messenger of Allah SALLALLAHU ALAI WASALLAM eating with three fingers (i.e., the thumb, the index finger and the middle finger) and licking them after having finished the food.

[Sahih Muslim].
[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 749]

Hazrat Jabir Rad. se riwaayat hai ki Rasoolullah SALLALLAHU ALAI WASALLAM ne oongliyon ke chaatne aur bartan ko saaf karne ka hukm diya aur farmaaya tum nahin jaante ho ki tumhaare kis khaane me barkat hai.

[ Sahi Muslim ]
[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 750]


Prophet (peace and blessings of Allaah be upon him) never ate at a table.

In Saheeh al-Bukhaari (6450) it was narrated that Anas (may Allaah be pleased with him) said: “The Prophet (peace and blessings of Allaah be upon him) never ate at a table (khiwaan) until he died and he never ate soft bread until he died.”

*Jannati (Kaamiyab) Insan kaun?*


Sawal

*Jannati (Kaamiyab) Insan kaun?*

Jawab:

Har ek ke paas Kaamiyabi (success) ke alag alag measurements(paimane) hote hai, jaisa ke kisi ke paas kaamiyabi yaani Bank-balance, Costly Cars, Alishaan Bangla, unchi degree, achhi job wagaira wagaira,


*Lekin, Allah jo saare Insano ka Rab hai uske paas kaamiyab Insaan Kaun hai?*


Allah ke paas Kamiyab log wo hai jinke andar ye 4 khubiya paayi jaati ho:


1⃣ Iman laate hai jaisa Allah ko matloob hai.

2⃣ Nek Amaal karte hai jo Nabi SallallahuA'laihiWaSallam ke SUNNAT ke mutabiq ho.

3⃣ Ek dusro ko Haq ki Dawat dete rahte hai jo Quran Wa Sunnat ke mutabiq ho.

4⃣ Haq ki dawat dete darmiyaan aane wale musibato par khud bhi Sabr karte hai aur dusro ko bhi iski nasihat karte rahte hai.


Yaad raahe ,

Haq wo hai jo Nabi SallallahuA'laihiWaSallam par nazil huwa.

Jaisa ke Allah ne Irshad farmaya :

وَٱلْعَصْرِ
"Zamaane ki Qasam!".

إِنَّ ٱلْإِنسَٰنَ لَفِى خُسْرٍ

"Beshak (bil yaqeen) Insaan sarasar nuqsaan me hai".

إِلَّا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوا۟ وَعَمِلُوا۟ ٱلصَّٰلِحَٰتِ وَتَوَاصَوْا۟ بِٱلْحَقِّ وَتَوَاصَوْا۟ بِٱلصَّبْرِ

"Siwaaye un logo ke, jo Imaan laaye aur nek amal kiye aur (jinhone) aapas mein haq ki wasiyat ki aur ek dusre ko sabr ki nasihat ki".

*(Surah 103 Al-Asr : 1-3)*


*Yaha KAAMIYABI se muraad kya :?*

Yaha Kaamiyabi se muraad Jannat me dakhila aur Jahannam se nijaat hai (chhutkaara)


Allah Irshad farmata hai :

لَا يَسْتَوِىٓ أَصْحَٰبُ ٱلنَّارِ وَأَصْحَٰبُ ٱلْجَنَّةِ ۚ أَصْحَٰبُ ٱلْجَنَّةِ هُمُ ٱلْفَآئِزُونَ


"Ahle Naar (Jahannam wale) aur Ahle Jannat (baaham) baraabar nahi,

jo Ahle Jannat hai wahi kamyaab hai (aur jo Ahle Naar hai wo na-kaamiyab hai)".

*(Surah 59 Hashr : 20)*

****-------------*******---------****

*FOLLOW US ON : whatsapp Male Grp*

https://chat.whatsapp.com/2jMn4CMz7XVFTI1oGz8VNr

*FOLLOW US ON: Telegram Grp*

t.me/akhiratkiitayari


*FOLLOW US ON: Blogspot*

http://akhiratkitayari.blogspot.sg

*FOLLOW US ON: Facebook Page*

https://www.facebook.com/akhiratkitayari/

*Aurat ka Masjid aur* *Eidgaah me aana-jaana* *Shariyat ke Roshni me

BISMILLAH


وَمَنْ أَظْلَمُ مِمَّن مَّنَعَ مَسَٰجِدَ ٱللَّهِ أَن يُذْكَرَ فِيهَا ٱسْمُهُۥ وَسَعَىٰ فِى خَرَابِهَآ ۚ أُو۟لَٰٓئِكَ مَا كَانَ لَهُمْ أَن يَدْخُلُوهَآ إِلَّا خَآئِفِينَ ۚ لَهُمْ فِى ٱلدُّنْيَا خِزْىٌۭ وَلَهُمْ فِى ٱلْءَاخِرَةِ عَذَابٌ عَظِيمٌۭ

“Us shakhs se badh kar zalim kaun hai jo Allah ta’ala ki masjido mein Allah ta’ala ke zikr kiye jaane ko roke aur un ki barbaadi ki koshish kare, aise logo ko khauf khaate hoye hee us mein jaana chahiye, un ke liye dunya mein bhi ruswaayi hai aur aakhirat mein bhi bada azaab hai”.

*(Surah 2 Baqrah : 114)*


➖Indian Govt. nahi balke Aaj Muslim Aurato ko khud Musalmano ne 2 jagah aane-jaane ki pabandi lagayi hai :


1. Masjid

2. Eidgaah

Jab Indian Govornmnet yani Hukumat Islami Shariyat me dakhal andaaazi karti hai to saare Musalman Awaaz uthate hai lekin jab khud Musalman apne “Maslaq” ke gurur me Shariyat ko badal deta hai to tab kya kiya jaaye ?

Aise log Astin ke saanp hote hai.

Jab “Fiqh” aur “Maslaq” ko “SHARIYAT” se uncha muqam diya gaya to iska natija ye huwa ke Shariyat ko thukra kar aur Hadees-e-Rasool ko nazar andaaz karke Aurat ko har jagah jaane ki PERMISSION di gayi aur sirf MASJID aur Eidgaah me aane-jaane par PABANDI lagayi gayi.

Aaj Muslim Auratein Kaha Kaha nahi pahunch gayi.

Nauzubillah,

Lekin Masjid aur Eidgaah unki nazar me aisi jagah hai jaha saare BADMASH, GUNDE, aur AaWARA qism ke log aate hai isliye Aurat ka waha ibaadat ke liye aana jana aisa SAKHT HARAAM hai jaisa kisi Sharab ke adde par jana aana.

Kaha jata hai Aurat ka Masjid aur Eidgaah me aana FITNA ho sakta hai ….

lekin

*Aaj Aurat ka in muqamaat par Aana-Jana ya kaam karna FITNA nahi hai kya ? *

*Jaisa ke Aurat ka ….*

Bazaar me

Election me –

Voting Booth, MLA,

MP, Sarpanch, Mayor,

Corporator.

Job me –

Doctor, Engineer, Pilot,

Teacher, Lecturer,

Professor, Conductor

Bank me –

Manager, Cashier

Sports me –

Cricket, Tennis

Film Industry me –

Model, Actress, Singer

Film Theater me

Business me

IT Industry me


*Aurato ko rokne wale kaun?*

Aurat ko Masjid aur Eidgaah me aane se rokne wale Allah aur uske Rasoolullah SallallahuA’laihiWaSallam nahi hai balke…


Ulma

Walidain

Bhai- bahen

Rishtedar

Samaaj hai.


*Nuqsaanaat:*

Aurat ko Masjid me aane-aaje ko pabandi lagayi jaane se Aurato me …

Manhaj aur Aqaeed me bigad paida huwa

Bedeeni

Duniya parsti

Madda parsti (materialism)

Rasm Riwaaj

Biddatein

ye buraeeya ghar kar li.

Iska natija ye huwa ke ….

Zindagi ka maqsad bhul gayi

Aapne aulaad ki tarbiyat Nahi kar paa rahi hai

Ghar me jhagde – fasadaat

Qinaa’at pasandi chali gayi 


*Masjid ke Faydein:*

Agar auratein Masjid se jud jaaye to …

Ulmao ke bayanat me shirkat karegi

Islam ki buniyadi taalim milegi

Uske Manhaj aur Aqaeed ki islaah hogi

Ghar Wa Khandan ki islaah karegi

Deendaari paida hogi

Deendaar aurato se dosti hogi

Dil me se duniya ki muhabbat chali jayegi.


*Ajib hal hai :*

Jo log aurato ko Masjid aur Eidgaah me aane jaane pe pabandi lagate hai wahi log aaj kal Aurato ki Jamaat banakar gaon-gaon fira rahe hai.

Allah aur Rasool ka Hukm:

وَمَنْ أَظْلَمُ مِمَّن مَّنَعَ مَسَٰجِدَ ٱللَّهِ أَن يُذْكَرَ فِيهَا ٱسْمُهُۥ وَسَعَىٰ فِى خَرَابِهَآ ۚ أُو۟لَٰٓئِكَ مَا كَانَ لَهُمْ أَن يَدْخُلُوهَآ إِلَّا خَآئِفِينَ ۚ لَهُمْ فِى ٱلدُّنْيَا خِزْىٌۭ وَلَهُمْ فِى ٱلْءَاخِرَةِ عَذَابٌ عَظِيمٌۭ

“Us shakhs se badh kar zalim kaun hai jo Allah ta’ala ki masjido mein Allah ta’ala ke zikr kiye jaane ko roke aur un ki barbaadi ki koshish kare, aise logo ko khauf khaate hoye hee us mein jaana chahiye, un ke liye dunya mein bhi ruswaayi hai aur aakhirat mein bhi bada azaab hai”.

*(Surah 2 Baqrah : 114)*

Rasoolullah ﷺ ne Khawateen ko masjid aane ki ijazat di hai aur mardo ko hukum diya hai k wo apni biwiyon ko masjid janay se na roke.

1.Farmane Rasool ﷺ hai:

“Izas taazantim raata ahdikum falaa yamna’haa.” alaa yamna’haa.”


Tarjuma:

Ager tum may se kisi ki biwi is se masjid jane ki ijazat talab kare to wo use mat roke, ijazat de de.

*SAHIH BUKHARI (Volume 1, Book #12, Hadith #824)*

2. Ibne Umar(R) se riwayat hi k Nabi kareem(S) ne farmaya “Izas Tazanakum Nisaawukum bil laili ilal Masjidi fazanoo lahunna.”


Tarjuma:

Ager tumhari auraten tum say raat ke waqt masjid me jane ki ijazat talab karen to tum log unhe uski ijazat de diya karo.

*SAHIH BUKHARI (Volume 2, Book 13, Hadith 22)*


3. RasoolAllah ﷺ ka farman hai “Laa tamnawoo ima’a Allahi masajidAllahi.”


Tarjuma:

ALLAH ki bandiyon ko ALLAH K Gharon(Masajid) say mat roko.

*MUSLIM (Book 4, Hadith 886)*

4. Umm-e-Atiya R.A. farmati hain ke “Hume namaz eid ke liye jany ka hukm diya jata tha, yahan tak ke hum kanwari bachiyon, perdah nasheen larkiyon aur haiza aurton ko bhi sath le jaya karte the taa-ke woh musalmano ke sath mil ke takribat parhain aur inki duaon mai shirkat karen aur is din ke fiyoz-o-barkaat ki umeed rakhen.

*(Sahih Bukhari :324)*

****------------*****--------****

*FOLLOW US ON : whatsapp Male Grp*

https://chat.whatsapp.com/2jMn4CMz7XVFTI1oGz8VNr

*FOLLOW US ON:* DEEN E SAWAL AUR JAWAB GRP

https://chat.whatsapp.com/9Zjcdsa8AzKKQX7StLPwTX

*FOLLOW US ON: Telegram Grp*

t.me/akhiratkiitayari


*FOLLOW US ON: Blogspot*

http://akhiratkitayari.blogspot.sg


*FOLLOW US ON: Facebook Page*

https://www.facebook.com/akhiratkitayari/